Surah Al-Anfal Verse 72 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anfalإِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَـٰٓئِكَ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَمۡ يُهَاجِرُواْ مَا لَكُم مِّن وَلَٰيَتِهِم مِّن شَيۡءٍ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْۚ وَإِنِ ٱسۡتَنصَرُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ فَعَلَيۡكُمُ ٱلنَّصۡرُ إِلَّا عَلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Jin logon ne iman qabool kiya aur hijrat ki aur Allah ki raah mein apni jaanein ladayin aur apne maal khapaye , aur jin logon ne hijrat karne walon ko jagah di aur unki madad ki, wahi dar-asal ek dusre ke wali (allies) hain. Rahey woh log jo iman to le aaye magar hijrat karke (daar ul Islam mein) aa nahin gaye to unsey tumhara wilayat (alliance) ka koi talluq nahin hai jab tak ke woh hijrat karke na aa jayein. Haan agar woh deen ke maamle mein tumse madad maangein to unki madad karna tumpar farz hai lekin kisi aisi qaum ke khilaf nahin jissey tumhara muhaida ho. Jo kuch tum karte ho Allah usey dekhta hai