Surah Al-Anfal - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلۡأَنفَالِۖ قُلِ ٱلۡأَنفَالُ لِلَّهِ وَٱلرَّسُولِۖ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَأَصۡلِحُواْ ذَاتَ بَيۡنِكُمۡۖ وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
ye log aap se ghanimato ka hukm daryaft karte hai,aap farma dijiye ke ye ghanimate Allah ki hai aur rasol ki hai so tum Allah se daro aur apne ba-hami talloqath ki islah karo aur Allah tala aur us ke rasol ki ita’ath karo agar tum iman wale ho
Surah Al-Anfal, Verse 1
إِنَّمَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ ٱللَّهُ وَجِلَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَإِذَا تُلِيَتۡ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُهُۥ زَادَتۡهُمۡ إِيمَٰنٗا وَعَلَىٰ رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُونَ
bus iman wale tuh aise hote hai ke jab Allah tala ka zikr ata hai tuh un ke qulob1 darr jate hai aur jab Allah ki aayate un ko pud kar sunai jati hai tuh wo ayate un ke iman ko aur zyada kar deti hai aur wo log apne rub par tawakkul karte hai
Surah Al-Anfal, Verse 2
ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَمِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ يُنفِقُونَ
jo ke namaz ki pabandi karte hai aur hum ne un ko jo kuch diya hai wo us mein se qarch karte hai
Surah Al-Anfal, Verse 3
أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ حَقّٗاۚ لَّهُمۡ دَرَجَٰتٌ عِندَ رَبِّهِمۡ وَمَغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
sacche iman wale ye log hai,in ke liye bade darje hai un ke rub ke pas aur maghfirath aur izzath ki rozi hai
Surah Al-Anfal, Verse 4
كَمَآ أَخۡرَجَكَ رَبُّكَ مِنۢ بَيۡتِكَ بِٱلۡحَقِّ وَإِنَّ فَرِيقٗا مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ لَكَٰرِهُونَ
jaisa ke aap ke rub ne aap ke ghar se haq ke sath aap ko rawana kiya aur musalmano ki ek jamath us ko gira samajhti thi
Surah Al-Anfal, Verse 5
يُجَٰدِلُونَكَ فِي ٱلۡحَقِّ بَعۡدَ مَا تَبَيَّنَ كَأَنَّمَا يُسَاقُونَ إِلَى ٱلۡمَوۡتِ وَهُمۡ يَنظُرُونَ
wo us haq ke bare mein us ke badh ke us ka zahor ho gaya tha,aap se is tarah jhagad rahe thein ke goya koyi un ko mauth ki taraf hanke liye jata,aur wo dekh rahe hai
Surah Al-Anfal, Verse 6
وَإِذۡ يَعِدُكُمُ ٱللَّهُ إِحۡدَى ٱلطَّآئِفَتَيۡنِ أَنَّهَا لَكُمۡ وَتَوَدُّونَ أَنَّ غَيۡرَ ذَاتِ ٱلشَّوۡكَةِ تَكُونُ لَكُمۡ وَيُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُحِقَّ ٱلۡحَقَّ بِكَلِمَٰتِهِۦ وَيَقۡطَعَ دَابِرَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
aur tum log us waqt ko yad karo! jab ke Allah tum se un do jamato mein se ek ka wada karta tha ke wo tumhare hath aa jaegi aur tum us tamanna mein thein ke ghair musleh jamath2 tumhare hath aa jae aur Allah tala ko ye manzor tha ke apne ehkam se haq ka haq hona sabith karde aur un kafiro ki jad kat de
Surah Al-Anfal, Verse 7
لِيُحِقَّ ٱلۡحَقَّ وَيُبۡطِلَ ٱلۡبَٰطِلَ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُجۡرِمُونَ
ta ke haq ka haq hona aur batil ka batil hona sabith karde,go ye mujrim log napasand hee kare
Surah Al-Anfal, Verse 8
إِذۡ تَسۡتَغِيثُونَ رَبَّكُمۡ فَٱسۡتَجَابَ لَكُمۡ أَنِّي مُمِدُّكُم بِأَلۡفٖ مِّنَ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ مُرۡدِفِينَ
us waqt ko yad karo jab ke tum apne rub se faryad kar rahe thein,phir Allah tala ne tumhari sunli ke main tum ko ek hazar farishto se madad donga, jo lagataar chale aenge
Surah Al-Anfal, Verse 9
وَمَا جَعَلَهُ ٱللَّهُ إِلَّا بُشۡرَىٰ وَلِتَطۡمَئِنَّ بِهِۦ قُلُوبُكُمۡۚ وَمَا ٱلنَّصۡرُ إِلَّا مِنۡ عِندِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
aur Allah tala ne ye imdad mahez is liye ki ke basharath ho aur ta ke tumhare dilo ko qarar ho jae aur madad sirf Allah hee ki taraf se hai,jo ke zabardast hikmath wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 10
إِذۡ يُغَشِّيكُمُ ٱلنُّعَاسَ أَمَنَةٗ مِّنۡهُ وَيُنَزِّلُ عَلَيۡكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ لِّيُطَهِّرَكُم بِهِۦ وَيُذۡهِبَ عَنكُمۡ رِجۡزَ ٱلشَّيۡطَٰنِ وَلِيَرۡبِطَ عَلَىٰ قُلُوبِكُمۡ وَيُثَبِّتَ بِهِ ٱلۡأَقۡدَامَ
us waqt ko yad karo jab ke Allah tum par ong tari kar raha tha, apni taraf se chain dene ke liye aur tum par asman se pani barsa raha tha ke us pani ke zariye se tum ko pak karde aur tum se shaitani waswase ko dafa karde aur tumhare dilo ko mazboth karde aur tumhare pao jama de
Surah Al-Anfal, Verse 11
إِذۡ يُوحِي رَبُّكَ إِلَى ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ أَنِّي مَعَكُمۡ فَثَبِّتُواْ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْۚ سَأُلۡقِي فِي قُلُوبِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلرُّعۡبَ فَٱضۡرِبُواْ فَوۡقَ ٱلۡأَعۡنَاقِ وَٱضۡرِبُواْ مِنۡهُمۡ كُلَّ بَنَانٖ
us waqt ko yad karo jab ke aap ka rub farishto ko hukm deta tha ke main tumhara sathi hoon, so tum iman walo ki himmath badao, main abhi kuffar ke qulob mein rob dale deta hoon, so tum gardano par maro aur un ke por por ko maro
Surah Al-Anfal, Verse 12
ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ شَآقُّواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥۚ وَمَن يُشَاقِقِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَإِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
ye is bath ki saza hai ke unhone Allah ki aur us ke rasol ki muqalifath ki aur jo Allah ki aur us ke rasol ki muqalifath karta hai so beshak Allah tala saqt saza dene wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 13
ذَٰلِكُمۡ فَذُوقُوهُ وَأَنَّ لِلۡكَٰفِرِينَ عَذَابَ ٱلنَّارِ
so ye saza chako aur jan rakho ke kafiro ke liye jahannum ka azaab muqarrar hee hai
Surah Al-Anfal, Verse 14
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا لَقِيتُمُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ زَحۡفٗا فَلَا تُوَلُّوهُمُ ٱلۡأَدۡبَارَ
ae iman walo! jab tum kafiro se do ba do muqabil ho jao tuh un se pusht3 math pherna
Surah Al-Anfal, Verse 15
وَمَن يُوَلِّهِمۡ يَوۡمَئِذٖ دُبُرَهُۥٓ إِلَّا مُتَحَرِّفٗا لِّقِتَالٍ أَوۡ مُتَحَيِّزًا إِلَىٰ فِئَةٖ فَقَدۡ بَآءَ بِغَضَبٖ مِّنَ ٱللَّهِ وَمَأۡوَىٰهُ جَهَنَّمُۖ وَبِئۡسَ ٱلۡمَصِيرُ
aur jo shaqs un se us mauqe par pusht pherega magar haan jo ladai ke liye paitra badalta ho ya jo (apni) jamath ki taraf panah lene ata ho wo mustasna4 hai, bakhi aur jo aisa karega, wo Allah ke ghazab mein a jaega aur us ka tikhana dozakh hoga,wo bahuth hee bori jageh hai
Surah Al-Anfal, Verse 16
فَلَمۡ تَقۡتُلُوهُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ قَتَلَهُمۡۚ وَمَا رَمَيۡتَ إِذۡ رَمَيۡتَ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ رَمَىٰ وَلِيُبۡلِيَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ مِنۡهُ بَلَآءً حَسَنًاۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
so tum ne unhe qatl nahi kiya lekin Allah tala ne un ko qatl kiya aur aap ne qaak ki mitthi nahi pheki lekin Allah tala ne wo pheki aur ta ke musalmano ko apni taraf se un ki mehnath ka qoob ewaz de,bila shuba Allah tala qoob sunne wala qoob janne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 17
ذَٰلِكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ مُوهِنُ كَيۡدِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
(ek bath tuh) ye hoi aur (dosri bath ye hai)Allah tala ko kafiro ki tadbir ko kamzor karna tha
Surah Al-Anfal, Verse 18
إِن تَسۡتَفۡتِحُواْ فَقَدۡ جَآءَكُمُ ٱلۡفَتۡحُۖ وَإِن تَنتَهُواْ فَهُوَ خَيۡرٞ لَّكُمۡۖ وَإِن تَعُودُواْ نَعُدۡ وَلَن تُغۡنِيَ عَنكُمۡ فِئَتُكُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَوۡ كَثُرَتۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
agar tum log faisla chahte ho tuh wo faisla tumhare samne aa maujod hoa aur agar baz aa jao tuh ye tumhare liye nihayath qoob hai aur agar tum phir wahi kaam karoge tuh hum bhi phir wahi kaam karenge aur tumhari jamiath tumhare zara bhi kaam na aegi,go kitni zyada ho aur waqei bath ye hai ke Allah tala iman walo ke sath hai
Surah Al-Anfal, Verse 19
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَوَلَّوۡاْ عَنۡهُ وَأَنتُمۡ تَسۡمَعُونَ
ae iman walo! Allah ka aur us ke rasol ka kehna mano aur us (ka kehna manne)se ru-gardani5 math karo, sunte jaante hoye
Surah Al-Anfal, Verse 20
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ قَالُواْ سَمِعۡنَا وَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
aur tum un logo ki tarah math hona jo dawah tuh karte hai ke hum ne sun liya halan ke wo sunte (sunaate kuch) nahi
Surah Al-Anfal, Verse 21
۞إِنَّ شَرَّ ٱلدَّوَآبِّ عِندَ ٱللَّهِ ٱلصُّمُّ ٱلۡبُكۡمُ ٱلَّذِينَ لَا يَعۡقِلُونَ
beshak budh-tareen qalaayeq, Allah tala ke nazdik wo log hai jo behre hai gonge hai jo ke (zara) nahi samajhte
Surah Al-Anfal, Verse 22
وَلَوۡ عَلِمَ ٱللَّهُ فِيهِمۡ خَيۡرٗا لَّأَسۡمَعَهُمۡۖ وَلَوۡ أَسۡمَعَهُمۡ لَتَوَلَّواْ وَّهُم مُّعۡرِضُونَ
aur agar Allah tala un mein koi qobi dekhta, tuh un ko sunne ki taufiq de deta aur agar un ko ab sunaade, tuh zaror rugardani karenge, be-roqi karte hoe
Surah Al-Anfal, Verse 23
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱسۡتَجِيبُواْ لِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ إِذَا دَعَاكُمۡ لِمَا يُحۡيِيكُمۡۖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَحُولُ بَيۡنَ ٱلۡمَرۡءِ وَقَلۡبِهِۦ وَأَنَّهُۥٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
ae iman walo! tum Allah aur rasol ke kehne ko baja lao jab ke rasol tum ko tumhari zindagi-baqsh cheez ki taraf bolate ho aur jaan rakho ke Allah tala admi ke aur us ke qalb ke darmiyan aad ban jaya karta hai, aur bila shuba tum sub ko Allah hee ke pas jama hona hai
Surah Al-Anfal, Verse 24
وَٱتَّقُواْ فِتۡنَةٗ لَّا تُصِيبَنَّ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنكُمۡ خَآصَّةٗۖ وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
aur tum aise wabal se bacho! ke jo qaas-kar sirf unhi logo par waqe na hoga jo tum mein se un gunaho ke murtakab hoe hai aur ye jan rakho ke Allah saqt saza dene wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 25
وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ أَنتُمۡ قَلِيلٞ مُّسۡتَضۡعَفُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ تَخَافُونَ أَن يَتَخَطَّفَكُمُ ٱلنَّاسُ فَـَٔاوَىٰكُمۡ وَأَيَّدَكُم بِنَصۡرِهِۦ وَرَزَقَكُم مِّنَ ٱلطَّيِّبَٰتِ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
aur us halath ko yad karo! jab ke tum zamin mein qalil thein,kamzor shumar kiye jate thein,is andeshe mein rehte thein ke tum ko log, nooch khasoot6 na le,so Allah ne tum ko rehne ki jagah di aur tum ko apni nusrath se quwwath di aur tum ko nafis nafis chize ata farmayi ta ke tum shukr karo
Surah Al-Anfal, Verse 26
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَخُونُواْ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ وَتَخُونُوٓاْ أَمَٰنَٰتِكُمۡ وَأَنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
ae iman walo! tum Allah aur rasol (ke huqoq) mein jaante hoye qayanath math karo aur apni qaabile hifazath chizo mein qayanath math karo
Surah Al-Anfal, Verse 27
وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَأَوۡلَٰدُكُمۡ فِتۡنَةٞ وَأَنَّ ٱللَّهَ عِندَهُۥٓ أَجۡرٌ عَظِيمٞ
aur tum us bath ko jan rakho ke tumhare amwaal aur tumhari aulad ek imtihaan ki chiz hai aur us baath ko bhi jaan rakho ke Allah tala ke paas bada bhari ajr hai
Surah Al-Anfal, Verse 28
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَتَّقُواْ ٱللَّهَ يَجۡعَل لَّكُمۡ فُرۡقَانٗا وَيُكَفِّرۡ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۗ وَٱللَّهُ ذُو ٱلۡفَضۡلِ ٱلۡعَظِيمِ
ae iman walo! agar tum Allah se darte rahoge tuh Allah tala tum ko ek faisle ki chiz dega aur tum se tumhare gunah door kar dega, aur tum ko baqsh dega aur Allah tala bade fazl wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 29
وَإِذۡ يَمۡكُرُ بِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِيُثۡبِتُوكَ أَوۡ يَقۡتُلُوكَ أَوۡ يُخۡرِجُوكَۚ وَيَمۡكُرُونَ وَيَمۡكُرُ ٱللَّهُۖ وَٱللَّهُ خَيۡرُ ٱلۡمَٰكِرِينَ
aur us waqae ka bhi zikr ki jiye! jab ke kafir log aap ki nisbath tadbir sonch rahe thein ke aap ko qaid karle ya aap ko qatl kar dale ya aap ko qarije watan karde aur wo tuh apni tadbire kar rahe thein aur Allah apni tadhbir kar raha tha aur sub se zyada mustahekam7 tadbir wala Allah hai
Surah Al-Anfal, Verse 30
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا قَالُواْ قَدۡ سَمِعۡنَا لَوۡ نَشَآءُ لَقُلۡنَا مِثۡلَ هَٰذَآ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
aur jab un ke samne hamari ayate padi jati hai tuh kehte hai ke hum ne sun liya agar hum chaahe, to us ke barabar hum bhi kehde ye tuh kuch bhi nahi sirf be-sanadh baatein hai jo pehlo se manqool8 chali aa rahi hai
Surah Al-Anfal, Verse 31
وَإِذۡ قَالُواْ ٱللَّهُمَّ إِن كَانَ هَٰذَا هُوَ ٱلۡحَقَّ مِنۡ عِندِكَ فَأَمۡطِرۡ عَلَيۡنَا حِجَارَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ أَوِ ٱئۡتِنَا بِعَذَابٍ أَلِيمٖ
aur jab ke un logo ne kaha ke aye Allah! agar ye Qur’an aap ki taraf se waqei hai tuh hum asaman se patthar barsa ya hum par koyi dardnak azaab waqe karde
Surah Al-Anfal, Verse 32
وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمۡ وَأَنتَ فِيهِمۡۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ مُعَذِّبَهُمۡ وَهُمۡ يَسۡتَغۡفِرُونَ
aur Allah tala aisa na karega ke un mein aap ke hote hoe un ko azaab de aur Allah un ko azaab na dega is halath mein ke wo isteghfar bhi karte ho
Surah Al-Anfal, Verse 33
وَمَا لَهُمۡ أَلَّا يُعَذِّبَهُمُ ٱللَّهُ وَهُمۡ يَصُدُّونَ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ وَمَا كَانُوٓاْ أَوۡلِيَآءَهُۥٓۚ إِنۡ أَوۡلِيَآؤُهُۥٓ إِلَّا ٱلۡمُتَّقُونَ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
aur un mein kya bath hai ke un ko Allah tala saza na de, halan ke wo log masjide haraam se rukte hai jab ke wo log us masjid ke mutawalli9 nahi,us ke mutawalli tuh sivae muttaqio ke aur ashqaas10 nahi,lekin un mein aksar log ilm nahi rakhte
Surah Al-Anfal, Verse 34
وَمَا كَانَ صَلَاتُهُمۡ عِندَ ٱلۡبَيۡتِ إِلَّا مُكَآءٗ وَتَصۡدِيَةٗۚ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
aur un ki namaz kabe ke pas sirf ye thi,sitiya bajana aur thaliya bajana,so apne kufr ke sabab is azaab ka maza chako
Surah Al-Anfal, Verse 35
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُنفِقُونَ أَمۡوَٰلَهُمۡ لِيَصُدُّواْ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ فَسَيُنفِقُونَهَا ثُمَّ تَكُونُ عَلَيۡهِمۡ حَسۡرَةٗ ثُمَّ يُغۡلَبُونَۗ وَٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِلَىٰ جَهَنَّمَ يُحۡشَرُونَ
bila shak ye kafir log apne malo ko is liye qarch kar rahe hai ke Allah ki rah se roke,so ye log tuh apne malo ko qarch karte hee rahenge phir wo mal un ke haq mein bayese hasrath ho jaenge,phir maghlob11 ho jaenge aur kafir logo ko dozakh ki taraf jama kiya jaega
Surah Al-Anfal, Verse 36
لِيَمِيزَ ٱللَّهُ ٱلۡخَبِيثَ مِنَ ٱلطَّيِّبِ وَيَجۡعَلَ ٱلۡخَبِيثَ بَعۡضَهُۥ عَلَىٰ بَعۡضٖ فَيَرۡكُمَهُۥ جَمِيعٗا فَيَجۡعَلَهُۥ فِي جَهَنَّمَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
ta ke Allah tala napaak ko paak se alag karde aur na-pako ko ek dosre se milade,pus un sub ko eqatta dher karde,phir un sub ko jahannum mein dal de,aise log pore qasare mein hai
Surah Al-Anfal, Verse 37
قُل لِّلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِن يَنتَهُواْ يُغۡفَرۡ لَهُم مَّا قَدۡ سَلَفَ وَإِن يَعُودُواْ فَقَدۡ مَضَتۡ سُنَّتُ ٱلۡأَوَّلِينَ
aap un kafiro se keh dijiye ke agar ye log baz aa jae tuh un ke sare gunah jo pehle ho chuke hai sub maf kar diye jaenge aur agar apni wahi adath rakhenge tuh (kuffar) saabeqeen12 ke haq mein qanoon naafis ho chuka hai
Surah Al-Anfal, Verse 38
وَقَٰتِلُوهُمۡ حَتَّىٰ لَا تَكُونَ فِتۡنَةٞ وَيَكُونَ ٱلدِّينُ كُلُّهُۥ لِلَّهِۚ فَإِنِ ٱنتَهَوۡاْ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِمَا يَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
aur tum un se us hadh tak lado ke un mein fasaade aqida13 na rahe, aur deen Allah hee ka ho jae,phir agar ye baz aa jae tuh Allah tala un amaal ko qoob dekhta hai
Surah Al-Anfal, Verse 39
وَإِن تَوَلَّوۡاْ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ مَوۡلَىٰكُمۡۚ نِعۡمَ ٱلۡمَوۡلَىٰ وَنِعۡمَ ٱلنَّصِيرُ
aur agar ru-gardani kare tuh yaqin rakhe ke Allah tala tumhara kaar-saaz hai, wo bahuth accha kaar-saaz hai, aur bahuth accha madadgar hai
Surah Al-Anfal, Verse 40
۞وَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا غَنِمۡتُم مِّن شَيۡءٖ فَأَنَّ لِلَّهِ خُمُسَهُۥ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي ٱلۡقُرۡبَىٰ وَٱلۡيَتَٰمَىٰ وَٱلۡمَسَٰكِينِ وَٱبۡنِ ٱلسَّبِيلِ إِن كُنتُمۡ ءَامَنتُم بِٱللَّهِ وَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَىٰ عَبۡدِنَا يَوۡمَ ٱلۡفُرۡقَانِ يَوۡمَ ٱلۡتَقَى ٱلۡجَمۡعَانِۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ
jaan lo ke tum jis qism ki jo kuch ghanimath hasil karo us mein se panchwa hissa tuh Allah ka hai aur rasol ka aur qarabatdaaro ka aur yatimo aur miskino ka aur musafiro ka,agar tum Allah par iman lae ho aur us chiz par jo hum ne apne bandhe par us din utara hai jo din haq wa batil ki judai ka tha,jis din do fauje bhid gai thi,Allah har chiz par qaadir hai
Surah Al-Anfal, Verse 41
إِذۡ أَنتُم بِٱلۡعُدۡوَةِ ٱلدُّنۡيَا وَهُم بِٱلۡعُدۡوَةِ ٱلۡقُصۡوَىٰ وَٱلرَّكۡبُ أَسۡفَلَ مِنكُمۡۚ وَلَوۡ تَوَاعَدتُّمۡ لَٱخۡتَلَفۡتُمۡ فِي ٱلۡمِيعَٰدِ وَلَٰكِن لِّيَقۡضِيَ ٱللَّهُ أَمۡرٗا كَانَ مَفۡعُولٗا لِّيَهۡلِكَ مَنۡ هَلَكَ عَنۢ بَيِّنَةٖ وَيَحۡيَىٰ مَنۡ حَيَّ عَنۢ بَيِّنَةٖۗ وَإِنَّ ٱللَّهَ لَسَمِيعٌ عَلِيمٌ
jab ke tum paas wale kinare par thein aur wo door wale kinare par thein aur qafila tum se niche tha, agar tum aapas mein wade karte tuh yaqinan tum waqte mu-ayyan par pahochne mein muqtalif ho jate,lekin Allah ko tuh ek kam kar hee dalna tha jo muqarrar ho chuka tha,ta ke jo halak ho wo dalil par(yani yaqin jan kar)halak ho, aur jo zinda rahe wo bhi dalil par(haq pehchan kar) zinda rahe,beshak Allah bahuth sunne wala qoob janne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 42
إِذۡ يُرِيكَهُمُ ٱللَّهُ فِي مَنَامِكَ قَلِيلٗاۖ وَلَوۡ أَرَىٰكَهُمۡ كَثِيرٗا لَّفَشِلۡتُمۡ وَلَتَنَٰزَعۡتُمۡ فِي ٱلۡأَمۡرِ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ سَلَّمَۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
jab ke Allah tala ne tujhe tere qwab mein un ki tedad kam dikhai,agar un ki zyadati dikhata tuh tum buzdil ho jate aur us kaam ke bare mein aapas mein eqtilaf karte,lekin Allah tala ne bacha liya,wo dilo ke bhedo se qoob agah hai
Surah Al-Anfal, Verse 43
وَإِذۡ يُرِيكُمُوهُمۡ إِذِ ٱلۡتَقَيۡتُمۡ فِيٓ أَعۡيُنِكُمۡ قَلِيلٗا وَيُقَلِّلُكُمۡ فِيٓ أَعۡيُنِهِمۡ لِيَقۡضِيَ ٱللَّهُ أَمۡرٗا كَانَ مَفۡعُولٗاۗ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
jab ke us ne ba-waqte mulaqath unhe tumhari nigaho mein bahuth kam dikhaaye aur tumhe unki nigaho mein kam dikhaaye,ta ke Allah tala us kam ko anjam tak pahocha de jo karna hee tha aur sub kaam Allah hee ki taraf phere jate hai
Surah Al-Anfal, Verse 44
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا لَقِيتُمۡ فِئَةٗ فَٱثۡبُتُواْ وَٱذۡكُرُواْ ٱللَّهَ كَثِيرٗا لَّعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
ae iman walo! jab tum kisi muqalif fauj se bhid jao tuh sabith qadam raho aur ba-kasrath Allah ko yad karo ta ke tumhe kamyabi hasil ho
Surah Al-Anfal, Verse 45
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَلَا تَنَٰزَعُواْ فَتَفۡشَلُواْ وَتَذۡهَبَ رِيحُكُمۡۖ وَٱصۡبِرُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
aur Allah ki aur us ke rasol ki farma bardari karte raho,aapas mein eqtilaf na karo,warna buzdil ho jaoge aur tumhari hawa uqad jaegi aur sabr wa sihaar14 rakho,yaqinan Allah tala sabr karne walo ke sath hai
Surah Al-Anfal, Verse 46
وَلَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ خَرَجُواْ مِن دِيَٰرِهِم بَطَرٗا وَرِئَآءَ ٱلنَّاسِ وَيَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ وَٱللَّهُ بِمَا يَعۡمَلُونَ مُحِيطٞ
un logo jaise na bano jo itrate hoe aur logo mein khud numai karte hoe apne gharo se chale aur Allah ki rah se rukte thein,jo kuch wo kar rahe hai Allah ose gher lene wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 47
وَإِذۡ زَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَعۡمَٰلَهُمۡ وَقَالَ لَا غَالِبَ لَكُمُ ٱلۡيَوۡمَ مِنَ ٱلنَّاسِ وَإِنِّي جَارٞ لَّكُمۡۖ فَلَمَّا تَرَآءَتِ ٱلۡفِئَتَانِ نَكَصَ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِ وَقَالَ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّنكُمۡ إِنِّيٓ أَرَىٰ مَا لَا تَرَوۡنَ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَۚ وَٱللَّهُ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
jab ke un ke amaal ko shaitan un he zinatdar dikha raha tha aur keh raha tha ke logo mein se koi bhi aaj tum par ghalib nahi aa sakta,main khud bhi tumhara himayati ho,lekin jab duno jamate namodar hoi tuh apni ediyo ke bal piche hat gaya aur kehne laga main tuh tum se bari ho,mein wo dekh raha ho,jo tum nahi dekh rahe,main Allah se darta ho aur Allah tala saqt azaab wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 48
إِذۡ يَقُولُ ٱلۡمُنَٰفِقُونَ وَٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٌ غَرَّ هَـٰٓؤُلَآءِ دِينُهُمۡۗ وَمَن يَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِ فَإِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
jab ke munafiq keh rahe thein aur wo bhi jin ke dilo mein roog tha ke unhe tuh un ke deen ne dhoke mein dal diya hai,jo bhi Allah bharosa kare Allah tala bila shak wa shuba ghalbe wala aur hikmath wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 49
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ يَتَوَفَّى ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ يَضۡرِبُونَ وُجُوهَهُمۡ وَأَدۡبَٰرَهُمۡ وَذُوقُواْ عَذَابَ ٱلۡحَرِيقِ
kash ke tuh dekhta jab ke farishte kafiro ki roh qabz karte hai un ke muh par aur surino15 par maar marte hai (aur kehte hai) tum jalne ka azaab chako
Surah Al-Anfal, Verse 50
ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتۡ أَيۡدِيكُمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ لَيۡسَ بِظَلَّـٰمٖ لِّلۡعَبِيدِ
ye ba sabab un kamo ke jo tumhare hatho ne pehle hee bhej rakha hai,beshak Allah apne bandu par zulm karne wala nahi
Surah Al-Anfal, Verse 51
كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَفَرُواْ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ فَأَخَذَهُمُ ٱللَّهُ بِذُنُوبِهِمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ قَوِيّٞ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
misl ferauniyo ke hal ke aur un se aglo ke,ke unhone Allah ki ayato se kufr kiya,pas Allah ne un ke gunaho ke baayes16 unhe pakad liye,Allah tala yaqinan quwwath wala aur saqt azaab wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 52
ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ لَمۡ يَكُ مُغَيِّرٗا نِّعۡمَةً أَنۡعَمَهَا عَلَىٰ قَوۡمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُواْ مَا بِأَنفُسِهِمۡ وَأَنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٞ
ye is liye ke Allah tala aisa nahi ke kisi khaum par koi nemath inam farma kar phir badal de jab tak ke wo khud apni us halath ko na badal de jo ke un ki apni thi aur ye ke Allah sunne wala janne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 53
كَدَأۡبِ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ وَٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۚ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمۡ فَأَهۡلَكۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡ وَأَغۡرَقۡنَآ ءَالَ فِرۡعَوۡنَۚ وَكُلّٞ كَانُواْ ظَٰلِمِينَ
misl halath ferauniyo aur unse pehle ke logo ke,ke unhone apne rub ki batein jhutlayi, pas un ke gunaho ke baayes hum ne unhe barbadh kiya aur feroniyo ko dubo diya,ye sare zalim thein
Surah Al-Anfal, Verse 54
إِنَّ شَرَّ ٱلدَّوَآبِّ عِندَ ٱللَّهِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
tamam jandaro se badh-tar, Allah ke nazdik wo hai jo kufr kare phir wo iman na laaye
Surah Al-Anfal, Verse 55
ٱلَّذِينَ عَٰهَدتَّ مِنۡهُمۡ ثُمَّ يَنقُضُونَ عَهۡدَهُمۡ فِي كُلِّ مَرَّةٖ وَهُمۡ لَا يَتَّقُونَ
jin se aap ne ehado paiman kar liya,phir bhi wo apne ehado paimaan ko tud dete hai aur bilkul parhez nahi karte
Surah Al-Anfal, Verse 56
فَإِمَّا تَثۡقَفَنَّهُمۡ فِي ٱلۡحَرۡبِ فَشَرِّدۡ بِهِم مَّنۡ خَلۡفَهُمۡ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
pas jab kabhi tu ladaayi mein un par ghalib aa jae,unhe aisi mar maar ke un ke pichle bhi bhaag khade ho, ho sakta hai ke wo ibrath hasil kare
Surah Al-Anfal, Verse 57
وَإِمَّا تَخَافَنَّ مِن قَوۡمٍ خِيَانَةٗ فَٱنۢبِذۡ إِلَيۡهِمۡ عَلَىٰ سَوَآءٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡخَآئِنِينَ
aur agar tujhe kisi khaum ki qiyanath ka darr ho, to barabari ki halath mein unka ahad nama tud de,Allah tala qayanath karne walo ko pasand nahi farmata
Surah Al-Anfal, Verse 58
وَلَا يَحۡسَبَنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ سَبَقُوٓاْۚ إِنَّهُمۡ لَا يُعۡجِزُونَ
kafir ye qayal na kare ke wo bhag nikle,yaqinan wo aajiz17 nahi kar sakte
Surah Al-Anfal, Verse 59
وَأَعِدُّواْ لَهُم مَّا ٱسۡتَطَعۡتُم مِّن قُوَّةٖ وَمِن رِّبَاطِ ٱلۡخَيۡلِ تُرۡهِبُونَ بِهِۦ عَدُوَّ ٱللَّهِ وَعَدُوَّكُمۡ وَءَاخَرِينَ مِن دُونِهِمۡ لَا تَعۡلَمُونَهُمُ ٱللَّهُ يَعۡلَمُهُمۡۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِن شَيۡءٖ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ يُوَفَّ إِلَيۡكُمۡ وَأَنتُمۡ لَا تُظۡلَمُونَ
tum un ke muqable ke liye apni taqath bhar quwwath ki tayyari karo aur ghudo ke tayyar rakhne ki, ke us se tum Allah ke aur apne dushmano ko khauf zada rakh sako aur un ke siva auro ko bhi jinhe tum nahi jaante,Allah unhe qoob jan raha hai,jo kuch bhi Allah ki rah mein sarf karoge, wo tumhe pora pora diya jaega aur tumhara haq na mara jaega
Surah Al-Anfal, Verse 60
۞وَإِن جَنَحُواْ لِلسَّلۡمِ فَٱجۡنَحۡ لَهَا وَتَوَكَّلۡ عَلَى ٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
agar wo sulah ki taraf jhoke tuh,tu bhi sulah ki taraf jhuk ja aur Allah par bharosa rakh,yaqinan wo bahuth sunne, jaanne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 61
وَإِن يُرِيدُوٓاْ أَن يَخۡدَعُوكَ فَإِنَّ حَسۡبَكَ ٱللَّهُۚ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَيَّدَكَ بِنَصۡرِهِۦ وَبِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
agar wo tujh se dagha bazi karna chahenge tuh Allah tujhe kafi hai,osi ne apni madad se momino se teri tayeed ki hai
Surah Al-Anfal, Verse 62
وَأَلَّفَ بَيۡنَ قُلُوبِهِمۡۚ لَوۡ أَنفَقۡتَ مَا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا مَّآ أَلَّفۡتَ بَيۡنَ قُلُوبِهِمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ أَلَّفَ بَيۡنَهُمۡۚ إِنَّهُۥ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
un ke dilo mein ba-hami ulfath bhi osi ne dali hai, zamin mein jo kuch hai tu agar sara ka sara bhi qarch kar daalta, tuh bhi un ke dil aapas mein na mila sakta,ye tuh Allah hee ne un mein ulfath daal di hai,wo ghalib hikmato wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 63
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ حَسۡبُكَ ٱللَّهُ وَمَنِ ٱتَّبَعَكَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
ae Nabi! tujhe Allah kafi hai aur un momino ko jo teri pairvi kar rahe hai
Surah Al-Anfal, Verse 64
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ حَرِّضِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ عَلَى ٱلۡقِتَالِۚ إِن يَكُن مِّنكُمۡ عِشۡرُونَ صَٰبِرُونَ يَغۡلِبُواْ مِاْئَتَيۡنِۚ وَإِن يَكُن مِّنكُم مِّاْئَةٞ يَغۡلِبُوٓاْ أَلۡفٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَفۡقَهُونَ
ae Nabi! imaan walo ko jihad ka shauq dilao,agar tum bees bhi sabr karne wale honge tuh do sau par ghalib rahenge aur agar tum mein ek sau honge tuh ek hazar kafiro par ghalib rahenge,is waste ke wo be-samajh log hai
Surah Al-Anfal, Verse 65
ٱلۡـَٰٔنَ خَفَّفَ ٱللَّهُ عَنكُمۡ وَعَلِمَ أَنَّ فِيكُمۡ ضَعۡفٗاۚ فَإِن يَكُن مِّنكُم مِّاْئَةٞ صَابِرَةٞ يَغۡلِبُواْ مِاْئَتَيۡنِۚ وَإِن يَكُن مِّنكُمۡ أَلۡفٞ يَغۡلِبُوٓاْ أَلۡفَيۡنِ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ مَعَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
accha Allah tumhara bojh halka karta hai,wo qoob janta hai ke tum mein na-tawaani18 hai, pus agar tum mein se ek sau sabr karne wale honge tuh wo do sau par ghalib rahenge aur agar tum mein se ek hazar honge tuh wo Allah ke hukm se do hazaar par ghalib rahenge,Allah sabr karne walo ke saath hai
Surah Al-Anfal, Verse 66
مَا كَانَ لِنَبِيٍّ أَن يَكُونَ لَهُۥٓ أَسۡرَىٰ حَتَّىٰ يُثۡخِنَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ تُرِيدُونَ عَرَضَ ٱلدُّنۡيَا وَٱللَّهُ يُرِيدُ ٱلۡأٓخِرَةَۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
nabi ke hath mein qaidi nahi chahiye jab tak ke mulk mein acchi qoon rezi ki jung na ho jaaye, tum tuh dunya ke maal chahte ho aur Allah ka irada aqirath ka hai aur Allah zoor aawar, b-hikmath hai
Surah Al-Anfal, Verse 67
لَّوۡلَا كِتَٰبٞ مِّنَ ٱللَّهِ سَبَقَ لَمَسَّكُمۡ فِيمَآ أَخَذۡتُمۡ عَذَابٌ عَظِيمٞ
agar pehle hee se Allah ki taraf se bath likhi hoi na hoti tuh jo kuch tum ne liya hai us bare mein tumhe koi badi saza hoti
Surah Al-Anfal, Verse 68
فَكُلُواْ مِمَّا غَنِمۡتُمۡ حَلَٰلٗا طَيِّبٗاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
pas jo kuch halal aur pakiza ghanimath tum ne hasil ki hai, qoob khaao piyo aur Allah se darte raho, yaqinan Allah ghafoor wa raheem hai
Surah Al-Anfal, Verse 69
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِيُّ قُل لِّمَن فِيٓ أَيۡدِيكُم مِّنَ ٱلۡأَسۡرَىٰٓ إِن يَعۡلَمِ ٱللَّهُ فِي قُلُوبِكُمۡ خَيۡرٗا يُؤۡتِكُمۡ خَيۡرٗا مِّمَّآ أُخِذَ مِنكُمۡ وَيَغۡفِرۡ لَكُمۡۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
ae Nabi! apne haath-ta-le19 ke qaidiyo se kehdo ke agar Allah tala tumhare dilo mein nek niyyati dekhega tuh jo kuch tum se liya gaya hai us se behtar tumhe dega aur phir gunah bhi maf farmaega aur Allah baqshne wala meherban hai hee
Surah Al-Anfal, Verse 70
وَإِن يُرِيدُواْ خِيَانَتَكَ فَقَدۡ خَانُواْ ٱللَّهَ مِن قَبۡلُ فَأَمۡكَنَ مِنۡهُمۡۗ وَٱللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
aur agar wo tujh se qayanath ka qayal karenge tuh ye tuh us se pehle khud Allah ki qayanath kar chuke hai,aqir us ne unhe giraftar kara diya aur Allah ilm wa hikmath wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 71
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَـٰٓئِكَ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَمۡ يُهَاجِرُواْ مَا لَكُم مِّن وَلَٰيَتِهِم مِّن شَيۡءٍ حَتَّىٰ يُهَاجِرُواْۚ وَإِنِ ٱسۡتَنصَرُوكُمۡ فِي ٱلدِّينِ فَعَلَيۡكُمُ ٱلنَّصۡرُ إِلَّا عَلَىٰ قَوۡمِۭ بَيۡنَكُمۡ وَبَيۡنَهُم مِّيثَٰقٞۗ وَٱللَّهُ بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
jo log iman laaye aur hijrath ki aur apne malo aur jano se Allah ki rah mein jihad kiya aur jin logo ne un ko panaah di aur madad ki, ye sub apas mein ek dosre ke rafiq hai aur jo iman to lae hai lekin hijrath nahi ki tumhare liye un ki kuch bhi rafaaqath20 nahi, jab tak ke wo hijrath na kare,haan agar wo tum se deen ke bare mein madad talab kare tuh tum par madad karna zarori hai, sivaaye un logo ke, ke tum mein aur un mein ehado paiman hai, tum jo kuch kar rahe ho Allah qoob dekhta hai
Surah Al-Anfal, Verse 72
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٍۚ إِلَّا تَفۡعَلُوهُ تَكُن فِتۡنَةٞ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَفَسَادٞ كَبِيرٞ
kafir apas mein ek dosre ke rafiq hai,agar tum ne aisa na kiya tuh mulk mein fitna hoga aur zabardast fasaad ho jayega
Surah Al-Anfal, Verse 73
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَٱلَّذِينَ ءَاوَواْ وَّنَصَرُوٓاْ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ حَقّٗاۚ لَّهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
jo log iman lae aur hijrath ki aur Allah ki rah mein jihad kiya aur jinhone jagah doi aur madad pahochaayi, yahi log sacche momin hai,un ke liye baqshish hai aur izzath ki rozi
Surah Al-Anfal, Verse 74
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنۢ بَعۡدُ وَهَاجَرُواْ وَجَٰهَدُواْ مَعَكُمۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ مِنكُمۡۚ وَأُوْلُواْ ٱلۡأَرۡحَامِ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلَىٰ بِبَعۡضٖ فِي كِتَٰبِ ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمُۢ
aur jo log us ke baadh iman lae aur hijrath ki aur tumhare sath ho kar jihad kiya pus ye log bhi tum mein se hee hai, aur rishte naate wale, un mein se baaz,baaz se zyaada nazdeek hai Allah ke hukm mein, beshak Allah ta’ala har cheez ka janne wala hai
Surah Al-Anfal, Verse 75