Surah Al-Araf - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
الٓمٓصٓ
alif laam meem swaad
Surah Al-Araf, Verse 1
كِتَٰبٌ أُنزِلَ إِلَيۡكَ فَلَا يَكُن فِي صَدۡرِكَ حَرَجٞ مِّنۡهُ لِتُنذِرَ بِهِۦ وَذِكۡرَىٰ لِلۡمُؤۡمِنِينَ
ye ek kitaab hai jo aap ke paas is liye bheji gayi hai ke aap is ke zariye se daraaye, so aap ke dil mein is se bil-kul tangi na ho, aur nasihath hai imaan waalo ke liye
Surah Al-Araf, Verse 2
ٱتَّبِعُواْ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡ وَلَا تَتَّبِعُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَۗ قَلِيلٗا مَّا تَذَكَّرُونَ
tum log us ki itteba karo jo tumhaare rab ki taraf se aayi hai aur Allah ta’ala ko chohd kar man-ghadat sar-parasto ki itteba math karo, tum log bahuth hee kam nasihath pakadte ho
Surah Al-Araf, Verse 3
وَكَم مِّن قَرۡيَةٍ أَهۡلَكۡنَٰهَا فَجَآءَهَا بَأۡسُنَا بَيَٰتًا أَوۡ هُمۡ قَآئِلُونَ
aur bahuth bastiyo ko hum ne tabaah kar diya aur un par hamaara azaab raath ke waqt pahoncha ya aisi haalath mein ke wo do-paher ke waqt araam mein thein
Surah Al-Araf, Verse 4
فَمَا كَانَ دَعۡوَىٰهُمۡ إِذۡ جَآءَهُم بَأۡسُنَآ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ إِنَّا كُنَّا ظَٰلِمِينَ
so jis waqt un par hamaara azaab aaya us waqt un ke mu se ba-juz is ke aur koyi baath na nikli ke waqeyi hum zaalim thein
Surah Al-Araf, Verse 5
فَلَنَسۡـَٔلَنَّ ٱلَّذِينَ أُرۡسِلَ إِلَيۡهِمۡ وَلَنَسۡـَٔلَنَّ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
phir hum un logo se zaroor puchenge jin ke paas paighambar bheje gaye thein aur hum paighambaro se zaroor pochenge
Surah Al-Araf, Verse 6
فَلَنَقُصَّنَّ عَلَيۡهِم بِعِلۡمٖۖ وَمَا كُنَّا غَآئِبِينَ
phir hum cho ke puri qabar rakhte hai un ke ru-baro bayaan kar denge, aur hum kuch be-qabar na thein
Surah Al-Araf, Verse 7
وَٱلۡوَزۡنُ يَوۡمَئِذٍ ٱلۡحَقُّۚ فَمَن ثَقُلَتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
aur us roz wazan bhi bar-haq hai, phir jis shaqs ka palla bhaari hoga, so aise log kamyaab honge
Surah Al-Araf, Verse 8
وَمَنۡ خَفَّتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُم بِمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَظۡلِمُونَ
aur jis shaqs ka palla halka hoga so ye wo log honge jinhone apna nuqsaan kar liya, ba-sabab is ke, ke hamaari aayato ke saath zulm karte thein
Surah Al-Araf, Verse 9
وَلَقَدۡ مَكَّنَّـٰكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَجَعَلۡنَا لَكُمۡ فِيهَا مَعَٰيِشَۗ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
aur be-shak hum ne tum ko zameen par rehne ki jagah di aur hum ne tumhaare liye is mein samaan rizkh paida kiya, tum log bahuth hee kam shukar karte ho
Surah Al-Araf, Verse 10
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَٰكُمۡ ثُمَّ صَوَّرۡنَٰكُمۡ ثُمَّ قُلۡنَا لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ ٱسۡجُدُواْ لِأٓدَمَ فَسَجَدُوٓاْ إِلَّآ إِبۡلِيسَ لَمۡ يَكُن مِّنَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
aur hum ne tum ko paida kiya, phir hum hee ne tumhaari surate banaayi, phir hum ne farishto se kaha ke aadam ko sajda karo, so sab ne sajda kiya ba-juz iblees ke, wo sajda karne waalo mein shaamil na hoa
Surah Al-Araf, Verse 11
قَالَ مَا مَنَعَكَ أَلَّا تَسۡجُدَ إِذۡ أَمَرۡتُكَۖ قَالَ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡهُ خَلَقۡتَنِي مِن نَّارٖ وَخَلَقۡتَهُۥ مِن طِينٖ
haq ta’ala ne faramaaya tu jo sajda nahi karta, to tujh ko is se kaun amr maane hai, jab ke main tujh ko hukm de chuka, kehne laga main is se behtar hoon, aap ne mujh ko aag se paida kiya hai aur is ko aap ne qaak se paida kiya
Surah Al-Araf, Verse 12
قَالَ فَٱهۡبِطۡ مِنۡهَا فَمَا يَكُونُ لَكَ أَن تَتَكَبَّرَ فِيهَا فَٱخۡرُجۡ إِنَّكَ مِنَ ٱلصَّـٰغِرِينَ
haq ta’ala ne farmaaya tu asmaan se utar, tujh ko koyi haq haasil nahi ke tu asmaan mein reh kar takabbur kare, so nikal, beshak tu zalilo mein se hai
Surah Al-Araf, Verse 13
قَالَ أَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
us ne kaha ke mujh ko mahullath di jiye qayaamath ke din tak
Surah Al-Araf, Verse 14
قَالَ إِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ
Allah ta’ala ne farmaaya tujh ko mahulath di gayi
Surah Al-Araf, Verse 15
قَالَ فَبِمَآ أَغۡوَيۡتَنِي لَأَقۡعُدَنَّ لَهُمۡ صِرَٰطَكَ ٱلۡمُسۡتَقِيمَ
us ne kaha ba-sabab is ke, ke aap ne mujh ko gumraah kiya hai, main qasam khaata hoon ke main un ke liye aap ki sidhi raah par baithonga
Surah Al-Araf, Verse 16
ثُمَّ لَأٓتِيَنَّهُم مِّنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ وَعَنۡ أَيۡمَٰنِهِمۡ وَعَن شَمَآئِلِهِمۡۖ وَلَا تَجِدُ أَكۡثَرَهُمۡ شَٰكِرِينَ
phir un par hamla karonga un ke aage se bhi un ke piche se bhi aur un ki dahni jaanib se bhi aur un ki baayi jaanib se bhi, aur aap un mein se aksar ko shukar guzar na payenge
Surah Al-Araf, Verse 17
قَالَ ٱخۡرُجۡ مِنۡهَا مَذۡءُومٗا مَّدۡحُورٗاۖ لَّمَن تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ لَأَمۡلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنكُمۡ أَجۡمَعِينَ
Allah ta’ala ne farmaaya yaha se zaleel wa qaar ho kar nikal ja, jo shaqs in mein se tera kehna manega, main zaroor tum sab se jahannam ko bhar donga
Surah Al-Araf, Verse 18
وَيَـٰٓـَٔادَمُ ٱسۡكُنۡ أَنتَ وَزَوۡجُكَ ٱلۡجَنَّةَ فَكُلَا مِنۡ حَيۡثُ شِئۡتُمَا وَلَا تَقۡرَبَا هَٰذِهِ ٱلشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
aur hum ne hukm diya ke aye aadam! tum aur tumhaari biwi jannath mein raho, phir jis jagah se chaaho duno khaao aur us daraqth ke paas math jaao, warna tum duno zaalimo mein se ho jaoge
Surah Al-Araf, Verse 19
فَوَسۡوَسَ لَهُمَا ٱلشَّيۡطَٰنُ لِيُبۡدِيَ لَهُمَا مَا وُۥرِيَ عَنۡهُمَا مِن سَوۡءَٰتِهِمَا وَقَالَ مَا نَهَىٰكُمَا رَبُّكُمَا عَنۡ هَٰذِهِ ٱلشَّجَرَةِ إِلَّآ أَن تَكُونَا مَلَكَيۡنِ أَوۡ تَكُونَا مِنَ ٱلۡخَٰلِدِينَ
phir shaitaan ne un duno ke dilo mein was-wasa daala ta ke un ki sharam gaahe jo ek dosre se poshida thi, duno ke rubaro be-parda karde aur kehne laga ke tumhaare rab ne tum duno ko is daraqth se aur kisi sabab se mana nahi farmaaya, magar mahez is wajeh se ke tum duno kahi farishte ho jaao ya kahi hamesha zinda rehne waalo mein se ho jaao
Surah Al-Araf, Verse 20
وَقَاسَمَهُمَآ إِنِّي لَكُمَا لَمِنَ ٱلنَّـٰصِحِينَ
aur un duno ke ru-baro qasam khaali ke yaqeen jaaniye ke main tum duno ka khair qaah hoon
Surah Al-Araf, Verse 21
فَدَلَّىٰهُمَا بِغُرُورٖۚ فَلَمَّا ذَاقَا ٱلشَّجَرَةَ بَدَتۡ لَهُمَا سَوۡءَٰتُهُمَا وَطَفِقَا يَخۡصِفَانِ عَلَيۡهِمَا مِن وَرَقِ ٱلۡجَنَّةِۖ وَنَادَىٰهُمَا رَبُّهُمَآ أَلَمۡ أَنۡهَكُمَا عَن تِلۡكُمَا ٱلشَّجَرَةِ وَأَقُل لَّكُمَآ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لَكُمَا عَدُوّٞ مُّبِينٞ
so un duno ko fareb se niche le aaya, pas un duno ne jab daraqt ko chaka,duno ki sharam gaahe ek dosre ke ru-baro be-parda ho gayi aur duno apne upar jannat ke patte jod jod kar rakhne lage, aur un ke rab ne un ko pukaara kya main tum duno ko is daraqth se mana na kar chuka tha aur ye na keh chuka ke shaitaan tumhaara sarih dushman hai
Surah Al-Araf, Verse 22
قَالَا رَبَّنَا ظَلَمۡنَآ أَنفُسَنَا وَإِن لَّمۡ تَغۡفِرۡ لَنَا وَتَرۡحَمۡنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
duno ne kaha aye hamaare rab! hum ne apna bada nuqsaan kiya aur agar tu hamaari maghfirath na karega aur hum par rahem na karega to waqeyi hum nuqsaan paane waalo mein se ho jayenge
Surah Al-Araf, Verse 23
قَالَ ٱهۡبِطُواْ بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوّٞۖ وَلَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُسۡتَقَرّٞ وَمَتَٰعٌ إِلَىٰ حِينٖ
haq ta’ala ne faramaaya ke niche aisi haalath mein jaao ke tum baaham ek dosre ke dushman hoge aur tumhaare waaste zameen mein rehne ki jagah hai aur nafa haasil karna hai ek waqt tak
Surah Al-Araf, Verse 24
قَالَ فِيهَا تَحۡيَوۡنَ وَفِيهَا تَمُوتُونَ وَمِنۡهَا تُخۡرَجُونَ
farmaaya tum ko waha hee zindagi basar karna hai aur waha hee marna hai aur osi mein se phir nikaale jaoge
Surah Al-Araf, Verse 25
يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ قَدۡ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكُمۡ لِبَاسٗا يُوَٰرِي سَوۡءَٰتِكُمۡ وَرِيشٗاۖ وَلِبَاسُ ٱلتَّقۡوَىٰ ذَٰلِكَ خَيۡرٞۚ ذَٰلِكَ مِنۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
aye aadam(alaihissalaam) ki aulaad hum ne tumhaare liye libaas paida kiya jo tumhaari sharam gaaho ko bhi chupaata hai aur maujib zeenath bhi hai, aur taqwe ka libaas, ye is se bad kar hai, ye Allah ta’ala ki nishaaniyo mein se hai ta ke ye log yaad rakhe
Surah Al-Araf, Verse 26
يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ لَا يَفۡتِنَنَّكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ كَمَآ أَخۡرَجَ أَبَوَيۡكُم مِّنَ ٱلۡجَنَّةِ يَنزِعُ عَنۡهُمَا لِبَاسَهُمَا لِيُرِيَهُمَا سَوۡءَٰتِهِمَآۚ إِنَّهُۥ يَرَىٰكُمۡ هُوَ وَقَبِيلُهُۥ مِنۡ حَيۡثُ لَا تَرَوۡنَهُمۡۗ إِنَّا جَعَلۡنَا ٱلشَّيَٰطِينَ أَوۡلِيَآءَ لِلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ
aye aulaad aadam! shaitaan tum ko kisi qaraabi mein na daal de jaisa us ne tumhaare maa baap ko jannath se baahar kara diya, aisi haalath mein un ka libaas bhi utarwa diya ta ke wo un ko un ki sharam gaahe dikhaaye, wo aur us ka lashkar tum ko aise taur par dekhta hai ke tum un ko nahi dekhte ho, hum ne shaitaano ko un hee logo ka dosth banaaya hai jo imaan nahi laate
Surah Al-Araf, Verse 27
وَإِذَا فَعَلُواْ فَٰحِشَةٗ قَالُواْ وَجَدۡنَا عَلَيۡهَآ ءَابَآءَنَا وَٱللَّهُ أَمَرَنَا بِهَاۗ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَأۡمُرُ بِٱلۡفَحۡشَآءِۖ أَتَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
aur wo log jab koyi fahesh kaam karte hai to kehte hai ke hum ne apne baap dada ko isi tareeq par paaya hai aur Allah ne bhi hum ko yahi bataaya hai, aap keh di jiye ke Allah ta’ala fahesh baath ki taleem nahi deta, kya Allah ke zimme aisi baath lagaate ho jis ki tum sanadh nahi rakhte
Surah Al-Araf, Verse 28
قُلۡ أَمَرَ رَبِّي بِٱلۡقِسۡطِۖ وَأَقِيمُواْ وُجُوهَكُمۡ عِندَ كُلِّ مَسۡجِدٖ وَٱدۡعُوهُ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَۚ كَمَا بَدَأَكُمۡ تَعُودُونَ
aap keh di jiye ke mere rab ne hukm diya hai insaaf ka aur ye ke tum, har sajda ke waqt apna ruq sidha rakha karo aur Allah ta’ala ki ibaadath is taur par karo ke us ibaadath ko qaalis Allah hee ke waaste rakho, tum ko Allah ne jis tarah shuro mein paida kiya tha osi tarah tum dubaara paida hoge
Surah Al-Araf, Verse 29
فَرِيقًا هَدَىٰ وَفَرِيقًا حَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلضَّلَٰلَةُۚ إِنَّهُمُ ٱتَّخَذُواْ ٱلشَّيَٰطِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُم مُّهۡتَدُونَ
baaz logo ko Allah ne hidaayath di hai aur baaz par gumraahi saabith ho gayi hai, un logo ne Allah ta’ala ko chohd kar shaitaano ko dosth bana liya hai aur qayaal rakhte hai ke wo raasth par hai
Surah Al-Araf, Verse 30
۞يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ خُذُواْ زِينَتَكُمۡ عِندَ كُلِّ مَسۡجِدٖ وَكُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ وَلَا تُسۡرِفُوٓاْۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
aye aulaad aadam! tum masjid ki har haazri ke waqt apna libaas pehen liya karo, aur qoob khaao aur piyo aur hadh se math niklo, be-shak Allah hadh se nikal jaane waalo ko pasand nahi karta
Surah Al-Araf, Verse 31
قُلۡ مَنۡ حَرَّمَ زِينَةَ ٱللَّهِ ٱلَّتِيٓ أَخۡرَجَ لِعِبَادِهِۦ وَٱلطَّيِّبَٰتِ مِنَ ٱلرِّزۡقِۚ قُلۡ هِيَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا خَالِصَةٗ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
aap farmaiye ke Allah ta’ala ke paida kiye hoye asbaabe zeenath ko, jin ko us ne apne bandho ke waaste banaaya hai aur khaane pine ki halaal chizo ko, kis shaqs ne haraam kiya hai? aap keh di jiye ke ye ashya is taur par ke qayaamath ke roz qaalis hogi ahle imaan ke liye, dunyaawi zindagi mein momino ke liye bhi hai, hum isi tarah tamaam ayaath ko samajh-daaro ke waaste saaf saaf bayaan karte hai
Surah Al-Araf, Verse 32
قُلۡ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَ وَٱلۡإِثۡمَ وَٱلۡبَغۡيَ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَأَن تُشۡرِكُواْ بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗا وَأَن تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
aap farmaaiye ke al-batta mere rab ne sirf haraam kiya hai un tamaam fahesh baatho ko jo elaaniya hai aur jo poshida hai aur har gunaah ki baath ko aur na-haq kisi par zulm karne ko aur us baath ko ke tum Allah ke saath kisi aisi cheez ko shareek tehraao jis ki Allah ne koyi sanadh naazil nahi ki aur us baath ko ke tum log Allah ke zimme aisi baath laga do jis ko tum jaante nahi
Surah Al-Araf, Verse 33
وَلِكُلِّ أُمَّةٍ أَجَلٞۖ فَإِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ لَا يَسۡتَأۡخِرُونَ سَاعَةٗ وَلَا يَسۡتَقۡدِمُونَ
aur har gruh ke liye ek miyad mu-ayyan hai, so jis waqt un ki miyaad mu-ayyan aa jayegi us waqt na ek saa-ath(ek lamha) piche hat sakenge aur na aage bad sakenge
Surah Al-Araf, Verse 34
يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ إِمَّا يَأۡتِيَنَّكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَقُصُّونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِي فَمَنِ ٱتَّقَىٰ وَأَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
aye aulaad aadam! agar tumhaare paas paighambar aaye jo tum hee mein se ho jo mere ehkaam tum se bayaan kare, to jo shaqs taqwa eqtiyaar kare aur durusti kare, so un logo par na kuch andesha hai aur na wo ghamgeen honge
Surah Al-Araf, Verse 35
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱسۡتَكۡبَرُواْ عَنۡهَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
aur jo log hamaare in ehkaam ko jhutlaaye aur in se takabbur kare wo log dozakh waale honge, wo us mein hamesha hamesha rahenge
Surah Al-Araf, Verse 36
فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ يَنَالُهُمۡ نَصِيبُهُم مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا يَتَوَفَّوۡنَهُمۡ قَالُوٓاْ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالُواْ ضَلُّواْ عَنَّا وَشَهِدُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰفِرِينَ
so us shaqs se zyaada zaalim kaun hoga jo Allah ta’ala par jhoot baandhe ya us ki aayatho ko jhota bataaye, un logo ke naseeb ka jo kuch kitaab se hai wo un ko mil jayenga, yaha tak ke jab un ke paas hamaare bheje hoye farishte un ki jaan qabz karne aayenge to kahenge ke wo kaha gaye jin ki tum Allah ko chohd kar ibaadath karte thein, wo kahenge ke hum se sab ghayb ho gaye aur apne kaafir hone ka iqraar karenge
Surah Al-Araf, Verse 37
قَالَ ٱدۡخُلُواْ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِكُم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ فِي ٱلنَّارِۖ كُلَّمَا دَخَلَتۡ أُمَّةٞ لَّعَنَتۡ أُخۡتَهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا ٱدَّارَكُواْ فِيهَا جَمِيعٗا قَالَتۡ أُخۡرَىٰهُمۡ لِأُولَىٰهُمۡ رَبَّنَا هَـٰٓؤُلَآءِ أَضَلُّونَا فَـَٔاتِهِمۡ عَذَابٗا ضِعۡفٗا مِّنَ ٱلنَّارِۖ قَالَ لِكُلّٖ ضِعۡفٞ وَلَٰكِن لَّا تَعۡلَمُونَ
Allah ta’ala farmayega ke jo firqe tum se pehle guzar chuke hai jinnaath mein se bhi aur aadmiyo mein se bhi, un ke saath tum bhi dozakh mein jaao, jis waqt bhi koyi jamaath daakhil hogi apni dosri jamaath ko laanath karegi, yaha tak ke jab us mein sab jama ho jayenge, to pichle log pehle logo ki nisbath kahenge, ke hamaare parvardigaar hum ko in logo ne gumraah kiya tha, so un ko dozakh ka azaab dogna de, Allah ta’ala farmayega ke sab hee ka dugna hai, lekin tum ko qabar nahi
Surah Al-Araf, Verse 38
وَقَالَتۡ أُولَىٰهُمۡ لِأُخۡرَىٰهُمۡ فَمَا كَانَ لَكُمۡ عَلَيۡنَا مِن فَضۡلٖ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ
aur pehle log pichle logo se kahenge ke phir tum ko hum par koyi fauqiyath nahi, so tum bhi apni kamaayi ke badhle mein azaab ka maza chako
Surah Al-Araf, Verse 39
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱسۡتَكۡبَرُواْ عَنۡهَا لَا تُفَتَّحُ لَهُمۡ أَبۡوَٰبُ ٱلسَّمَآءِ وَلَا يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ حَتَّىٰ يَلِجَ ٱلۡجَمَلُ فِي سَمِّ ٱلۡخِيَاطِۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُجۡرِمِينَ
jin logo ne hamaari aayatho ko jhutlaaya aur un se takabbur kiya un ke liye aasmaan ke darwaaze na khole jayenge, aur wo log kabhi jannath mein na jayenge, jab tak ke oont soyee ke naa-ke ke andar se na chala jaaye, aur hum mujrim logo ko aisi hee saza dete hai
Surah Al-Araf, Verse 40
لَهُم مِّن جَهَنَّمَ مِهَادٞ وَمِن فَوۡقِهِمۡ غَوَاشٖۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلظَّـٰلِمِينَ
un ke liye aatish jahannam ka bhichona hoga aur un ke upar (osi ka) odna hoga aur hum aise zaalimo ko aisi hee saza dete hai
Surah Al-Araf, Verse 41
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
aur jo log imaan laaye aur unhone nek kaam kiye, hum kisi shaqs ko us ki khudrath se zyaada kisi ka mukallaf1 nahi banaate, wahi log jannath waale hai aur wo us mein hamesha hamesha rahenge
Surah Al-Araf, Verse 42
وَنَزَعۡنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنۡ غِلّٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمُ ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي هَدَىٰنَا لِهَٰذَا وَمَا كُنَّا لِنَهۡتَدِيَ لَوۡلَآ أَنۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُۖ لَقَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِٱلۡحَقِّۖ وَنُودُوٓاْ أَن تِلۡكُمُ ٱلۡجَنَّةُ أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
aur jo kuch un ke dilo mein (kina) tha hum us ko door kar denge, un ke niche nehre jaari hogi, aur wo log kahenge ke Allah ka (laakh laakh) shukr hai jis ne hum ko is muqaam tak pahonchaaya aur hamaari kabhi rasaayi na hoti, agar Allah ta’ala hum ko na pahonchaata, waqeyi hamaare rab ke paghambar sacchi baatein le kar aaye thein, aur un se pukaar kar kaha jayega ke is jannath ke tum waaris banaaye gaye ho apne amaal ke badhle
Surah Al-Araf, Verse 43
وَنَادَىٰٓ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ أَصۡحَٰبَ ٱلنَّارِ أَن قَدۡ وَجَدۡنَا مَا وَعَدَنَا رَبُّنَا حَقّٗا فَهَلۡ وَجَدتُّم مَّا وَعَدَ رَبُّكُمۡ حَقّٗاۖ قَالُواْ نَعَمۡۚ فَأَذَّنَ مُؤَذِّنُۢ بَيۡنَهُمۡ أَن لَّعۡنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلظَّـٰلِمِينَ
aur ahle jannath ahle dozakh ko pukarenge ke hum se jo hamaare rab ne waada farmaaya tha hum ne to us ko waaqae ke mutaabiq paaya, so tum se jo tumhaare rab ne waada kiya tha, tum ne bhi us ko waaqae ke mutaabiq paaya? Wo kahenge, haan, phir ek pukaarne waala duno ke darmiyaan mein pukarega ke Allah ki maar ho un zaalimo par
Surah Al-Araf, Verse 44
ٱلَّذِينَ يَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَيَبۡغُونَهَا عِوَجٗا وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ كَٰفِرُونَ
jo Allah ki raah se eraaz karte thein aur us mein kaji talaash karte thein aur wo log aaqirath ke bhi munkir thein
Surah Al-Araf, Verse 45
وَبَيۡنَهُمَا حِجَابٞۚ وَعَلَى ٱلۡأَعۡرَافِ رِجَالٞ يَعۡرِفُونَ كُلَّۢا بِسِيمَىٰهُمۡۚ وَنَادَوۡاْ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ أَن سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡۚ لَمۡ يَدۡخُلُوهَا وَهُمۡ يَطۡمَعُونَ
aur un duno ke darmiyaan ek aad hogi aur araaf2 ke upar bahuth se aadmi honge, wo log har ek ko un ke qayaafa se pehchaanenge aur ahle jannath ko pukaar kar kahenge, assalamualaikum! abhi ye ahle araaf jannath mein daakhil nahi hoye honge aur us ke umeed-waar honge
Surah Al-Araf, Verse 46
۞وَإِذَا صُرِفَتۡ أَبۡصَٰرُهُمۡ تِلۡقَآءَ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِ قَالُواْ رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
aur jab un ki nigaahe ahle dozakh ki taraf phirengi, to kahenge aye hamaare rab! hum ko in zaalim logo ke saath shaamil na kar
Surah Al-Araf, Verse 47
وَنَادَىٰٓ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأَعۡرَافِ رِجَالٗا يَعۡرِفُونَهُم بِسِيمَىٰهُمۡ قَالُواْ مَآ أَغۡنَىٰ عَنكُمۡ جَمۡعُكُمۡ وَمَا كُنتُمۡ تَسۡتَكۡبِرُونَ
aur ahle araaf bahuth se aadmiyo ko jin ko ke un ke qayaafa se pehchanenge, pukarenge, kahenge tumhaari jamaath aur tumhaara apne ko bada samajhna tumhaare kuch kaam na aaya
Surah Al-Araf, Verse 48
أَهَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَقۡسَمۡتُمۡ لَا يَنَالُهُمُ ٱللَّهُ بِرَحۡمَةٍۚ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡكُمۡ وَلَآ أَنتُمۡ تَحۡزَنُونَ
kya ye wahi hai jin ki nisbath tum qasme kha kha kar kaha karte thein ke Allah ta’ala un par rehmath na karega, un ko yo hukm hoga ke jaao jannath mein, tum par na kuch khauf hai aur na tum maghmoom3 hoge
Surah Al-Araf, Verse 49
وَنَادَىٰٓ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ أَنۡ أَفِيضُواْ عَلَيۡنَا مِنَ ٱلۡمَآءِ أَوۡ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُۚ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ حَرَّمَهُمَا عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
aur dozakh waale jannath waalo ko pukarenge ke hamaare upar thoda paani hee daal do, ya aur hee kuch de do, jo Allah ne tum ko de rakha hai, jannath waale kahenge ke Allah ta’ala ne duno chizo ki kaafiro ke liye bandish kardi hai
Surah Al-Araf, Verse 50
ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَهۡوٗا وَلَعِبٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ فَٱلۡيَوۡمَ نَنسَىٰهُمۡ كَمَا نَسُواْ لِقَآءَ يَوۡمِهِمۡ هَٰذَا وَمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ
jinhone dunya mein apne deen ko lahu wa la-aab bana rakha tha aur jin ko dunyaawi zindagi ne dhoke mein daal rakha tha, so hum (bhi) aaj ke roz un ka naam bhol jayenge jaisa ke wo is din ko bhol gaye aur jaisa ye hamaari aayato ka inkaar karte thein
Surah Al-Araf, Verse 51
وَلَقَدۡ جِئۡنَٰهُم بِكِتَٰبٖ فَصَّلۡنَٰهُ عَلَىٰ عِلۡمٍ هُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
aur hum ne un logo ke paas ek aisi kitaab pahonchaadi hai jis ko hum ne apne ilm kaamil se bahuth waazeh kar ke bayaan kar diya hai, wo zariya hidaayath aur rehmath un logo ke liye hai jo imaan laaye hai
Surah Al-Araf, Verse 52
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا تَأۡوِيلَهُۥۚ يَوۡمَ يَأۡتِي تَأۡوِيلُهُۥ يَقُولُ ٱلَّذِينَ نَسُوهُ مِن قَبۡلُ قَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِٱلۡحَقِّ فَهَل لَّنَا مِن شُفَعَآءَ فَيَشۡفَعُواْ لَنَآ أَوۡ نُرَدُّ فَنَعۡمَلَ غَيۡرَ ٱلَّذِي كُنَّا نَعۡمَلُۚ قَدۡ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
un logo ko aur kisi baath ka intezaar nahi, sirf us ke akheer natije ka intezaar hai, jis roz us ka akheer natija pesh aayega aur us roz jo log us ko pehle se bhule hoye thein, yo kahenge ke waqeyi hamaare rab ke paighambar sacchi sacchi baatein laaye thein, so ab kya koyi hamaara sifaarishi hai ke wo hamaari sifaarish kar de ya kya hum phir waapas bheje ja sakte hai, ta ke hum log un amaal ke, jin ko hum kiya karte thein bar-qilaaf dosre amaal karenge, be-shak un logo ne apne aap ko qasaare mein daal diya aur ye jo jo baatein taraashte thein sab gom ho gayi
Surah Al-Araf, Verse 53
إِنَّ رَبَّكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يُغۡشِي ٱلَّيۡلَ ٱلنَّهَارَ يَطۡلُبُهُۥ حَثِيثٗا وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ وَٱلنُّجُومَ مُسَخَّرَٰتِۭ بِأَمۡرِهِۦٓۗ أَلَا لَهُ ٱلۡخَلۡقُ وَٱلۡأَمۡرُۗ تَبَارَكَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
beshak tumhaara rab Allah hee hai jis ne sab asmaano aur zameen ko che roz mein paida kiya, phir arsh par qaayem hoa,wo shab se din ko aise taur par chipa deta hai ke wo shab us din ko jaldi se aa leti hai, aur suraj aur chaandh aur dosre sitaaro ko paida kiya aise taur par ke sab us ke hukm ke taabe hai, yaad rakho ke Allah hee ke liye qaas hai khaaliq hona aur haakim hona, badi qobiyo se bhara hoa hai Allah jo tamaam aalam ka parvardigaar hai
Surah Al-Araf, Verse 54
ٱدۡعُواْ رَبَّكُمۡ تَضَرُّعٗا وَخُفۡيَةًۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
tum log apne parvardigaar se dua kiya karo gid gida kar ke bhi aur chipke chipke bhi, waqeyi Allah un logo ko na-pasandh karta hai jo hadh se nikal jaaye
Surah Al-Araf, Verse 55
وَلَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بَعۡدَ إِصۡلَٰحِهَا وَٱدۡعُوهُ خَوۡفٗا وَطَمَعًاۚ إِنَّ رَحۡمَتَ ٱللَّهِ قَرِيبٞ مِّنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
aur dunya mein us ke baadh ke us ki durusti kardi gayi hai, fasaad math phailaao aur tum Allah ki ibaadath karo us se darte hoye aur umeed-waar rehte hoye, beshak Allah ta’ala ki rehmath nek kaam karne waalo ke nazdeek hai
Surah Al-Araf, Verse 56
وَهُوَ ٱلَّذِي يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَقَلَّتۡ سَحَابٗا ثِقَالٗا سُقۡنَٰهُ لِبَلَدٖ مَّيِّتٖ فَأَنزَلۡنَا بِهِ ٱلۡمَآءَ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِۚ كَذَٰلِكَ نُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
aur wo aisa hai ki apni baraan rehmath se pehle hawaao ko bhejta hai ke wo khush kar deti hai, yaha tak ke jab wo hawaaye bhari baadalo ko utha leti hai, to hum us baadal ko kisi qushk sar-zameen ki taraf haank le jaate hai, phir us baadal se pani barsaate hai, phir us paani se har qism ke phal nikalte hai, yo hee hum murdo ko nikaal khada karenge, ta ke tum samjho
Surah Al-Araf, Verse 57
وَٱلۡبَلَدُ ٱلطَّيِّبُ يَخۡرُجُ نَبَاتُهُۥ بِإِذۡنِ رَبِّهِۦۖ وَٱلَّذِي خَبُثَ لَا يَخۡرُجُ إِلَّا نَكِدٗاۚ كَذَٰلِكَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَشۡكُرُونَ
aur jo sutri sar-zameen hoti hai us ki paida-waar to Allah ke hukm se qoob nikalti hai aur jo qaraab hai us ki paida-waar bahuth kam nikalti hai, isi tarah hum dalaayel ko tarah tarah se bayaan karte hai, un logo ke liye jo shukr karte hai
Surah Al-Araf, Verse 58
لَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
hum ne Nuh (alaihissalaam) ko un ki khaum ki taraf bheja to unhone farmaaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo us ke siva koyi tumhaara maboodh hone ke qaabil nahi, mujh ko tumhaare liye ek bade din ke azaab ka andesha hai
Surah Al-Araf, Verse 59
قَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِهِۦٓ إِنَّا لَنَرَىٰكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
un ki khaum ke bade logo ne kaha ke hum tum ko sarih ghalti mein dekhte hai
Surah Al-Araf, Verse 60
قَالَ يَٰقَوۡمِ لَيۡسَ بِي ضَلَٰلَةٞ وَلَٰكِنِّي رَسُولٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
unhone farmaaya ke aye meri khaum! mujh mein to zara bhi gumraahi nahi lekin main parvardigaar aalam ka rasool hoon
Surah Al-Araf, Verse 61
أُبَلِّغُكُمۡ رِسَٰلَٰتِ رَبِّي وَأَنصَحُ لَكُمۡ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
tum ko apne parvardigaar ke paighaam pahochaata hoon aur tumhaari khair qaahi karta hoon aur main Allah ki taraf se un umoor ki qabar rakhta hoon jin ki tum ko qabar nahi
Surah Al-Araf, Verse 62
أَوَعَجِبۡتُمۡ أَن جَآءَكُمۡ ذِكۡرٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنكُمۡ لِيُنذِرَكُمۡ وَلِتَتَّقُواْ وَلَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
aur kya tum is baath se taajjub karte ho ke tumhaare parvardigaar ki taraf se tumhaare paas ek aise shaqs ki maarifath4, jo tumhaari hee jins ka hai, koyi nasihath ki baath aa gayi ta ke wo shaqs tum ko daraaye aur ta ke tum dar jaao, aur ta ke tum par rahem kiya jaaye
Surah Al-Araf, Verse 63
فَكَذَّبُوهُ فَأَنجَيۡنَٰهُ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥ فِي ٱلۡفُلۡكِ وَأَغۡرَقۡنَا ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمًا عَمِينَ
so wo log unki takzeeb hee karte rahe to hum ne Nuh (alaihissalaam) ko aur un ko jo un ke saath kashti mein thein bacha liya aur jin logo ne hamaari aayato ko jhutlaaya tha, un ko hum ne gharq kar diya, beshak wo log andhe ho rahe thein
Surah Al-Araf, Verse 64
۞وَإِلَىٰ عَادٍ أَخَاهُمۡ هُودٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
aur hum ne khaum aadh ki taraf un ki bhai Hoodh (alaihissalaam) ko bheja, unhone farmaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo, us ke siva koyi tumhaara maboodh nahi, so kya tum nahi darte
Surah Al-Araf, Verse 65
قَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦٓ إِنَّا لَنَرَىٰكَ فِي سَفَاهَةٖ وَإِنَّا لَنَظُنُّكَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
un ki khaum mein jo bade log kaafir thein unhone kaha ke hum tum ko kam-aqli mein dekhte hai, aur hum beshak tum ko jhoote logo mein samajhte hai
Surah Al-Araf, Verse 66
قَالَ يَٰقَوۡمِ لَيۡسَ بِي سَفَاهَةٞ وَلَٰكِنِّي رَسُولٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
unhone farmaaya aye meri khaum! mujh mein zara bhi kam-aqli nahi, lekin main parvardigaar aalam ka bheja hoa paighambar hoon
Surah Al-Araf, Verse 67
أُبَلِّغُكُمۡ رِسَٰلَٰتِ رَبِّي وَأَنَا۠ لَكُمۡ نَاصِحٌ أَمِينٌ
tum ko apne parvardigaar ke paighaam pahochaata hoon aur main tumhaara amaanat-daar khair qaah hoon
Surah Al-Araf, Verse 68
أَوَعَجِبۡتُمۡ أَن جَآءَكُمۡ ذِكۡرٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنكُمۡ لِيُنذِرَكُمۡۚ وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ جَعَلَكُمۡ خُلَفَآءَ مِنۢ بَعۡدِ قَوۡمِ نُوحٖ وَزَادَكُمۡ فِي ٱلۡخَلۡقِ بَصۜۡطَةٗۖ فَٱذۡكُرُوٓاْ ءَالَآءَ ٱللَّهِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
aur kya tum is baath se taajjub karte ho ke tumhaare parvardigaar ki taraf se tumhaare paas ek aise shaqs ki maarifath, jo tumhaari hee jins ka hai koyi nasihath ki baath aa gayi ta ke wo shaqs tum ko daraaye aur tum ye haalath yaad karo ke Allah ne tum ko khaum nuh ke baadh jaanasheen banaaya aur del dol5 mein tum ko phailaao zyaada diya, so Allah ki nemato ko yaad karo ta ke tum ko falaah ho
Surah Al-Araf, Verse 69
قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِنَعۡبُدَ ٱللَّهَ وَحۡدَهُۥ وَنَذَرَ مَا كَانَ يَعۡبُدُ ءَابَآؤُنَا فَأۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
unhone kaha ke kya aap hamaare paas is waaste aaye hai ke hum sirf Allah hee ki ibaadath kare aur jin ko hamaare baap daada pojte thein un ko chohd de, pas hum ko jis azaab ki dhamki dete ho us ko hamaare paas mangwa do agar tum sacche ho
Surah Al-Araf, Verse 70
قَالَ قَدۡ وَقَعَ عَلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡ رِجۡسٞ وَغَضَبٌۖ أَتُجَٰدِلُونَنِي فِيٓ أَسۡمَآءٖ سَمَّيۡتُمُوهَآ أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُم مَّا نَزَّلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلۡطَٰنٖۚ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ
unhone farmaya ke bas ab tum par Allah ki taraf se azaab aur ghazab aaya hee chaahta hai, kya tum mujh se aise naamo ke baab mein jhagadte ho jin ko tum ne aur tumhaare baap daado ne tehra liya hai? un ke maboodh hone ki Allah ne koyi daleel nahi bheji, so tum muntazir raho main bhi tumhaare saath intezaar kar raha hoon
Surah Al-Araf, Verse 71
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥ بِرَحۡمَةٖ مِّنَّا وَقَطَعۡنَا دَابِرَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۖ وَمَا كَانُواْ مُؤۡمِنِينَ
gharz hum ne un ko aur un ke saathiyo ko apni rehmath se bacha liya, aur un logo ki jad kaat di, jinhone hamaari aayato ko jhutlaaya tha aur wo imaan laane waale na thein
Surah Al-Araf, Verse 72
وَإِلَىٰ ثَمُودَ أَخَاهُمۡ صَٰلِحٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥۖ قَدۡ جَآءَتۡكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡۖ هَٰذِهِۦ نَاقَةُ ٱللَّهِ لَكُمۡ ءَايَةٗۖ فَذَرُوهَا تَأۡكُلۡ فِيٓ أَرۡضِ ٱللَّهِۖ وَلَا تَمَسُّوهَا بِسُوٓءٖ فَيَأۡخُذَكُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
aur hum ne samoodh ki taraf un ke bhai Saaleh (alaihissalaam) ko bheja, unhone farmaaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo, us ke siva koyi tumhaara maboodh nahi, tumhaare paas tumhaare parvardigaar ki taraf se ek waazeh daleel aa chuki hai, ye oontni hai Allah ki jo tumhaare liye daleel hai, so us ko chohd do, ke Allah ta’ala ki zameen mein khaati phire aur us ko buraayi ke saath haath bhi math lagaana ke kahi tum ko dard-naak azaab aa pakde
Surah Al-Araf, Verse 73
وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ جَعَلَكُمۡ خُلَفَآءَ مِنۢ بَعۡدِ عَادٖ وَبَوَّأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ تَتَّخِذُونَ مِن سُهُولِهَا قُصُورٗا وَتَنۡحِتُونَ ٱلۡجِبَالَ بُيُوتٗاۖ فَٱذۡكُرُوٓاْ ءَالَآءَ ٱللَّهِ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ
aur tum ye haalath yaad karo ke Allah ta’ala ne tum ko aadh ke baadh jaanasheen banaaya aur tum ko zameen par rehne ka thikaana diya, ke narm zameen par mahel banaate ho, aur pahaado ko taraash taraash kar un mein ghar banaate ho, so Allah ta’ala ki nemato ko yaad karo aur zameen mein fasaad math phailaao
Surah Al-Araf, Verse 74
قَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ لِلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ لِمَنۡ ءَامَنَ مِنۡهُمۡ أَتَعۡلَمُونَ أَنَّ صَٰلِحٗا مُّرۡسَلٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قَالُوٓاْ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلَ بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
un ki khaum mein jo mutakabbir sardaar thein un hone ghareeb logo se jo ke un mein se imaan le aaye thein pocha, kya tum ko is baath ka yaqeen hai ke Saaleh (alaihissalaam) apne rab ki taraf se bheje hoye hai? unhone kaha ke beshak hum to us par pura yaqeen rakhte hai jo un ko de kar bheja gaya hai
Surah Al-Araf, Verse 75
قَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُوٓاْ إِنَّا بِٱلَّذِيٓ ءَامَنتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
wo mutakabbir log kehne lage ke tum jis baath par yaqeen laaye hoye ho, hum to us ke munkir hai
Surah Al-Araf, Verse 76
فَعَقَرُواْ ٱلنَّاقَةَ وَعَتَوۡاْ عَنۡ أَمۡرِ رَبِّهِمۡ وَقَالُواْ يَٰصَٰلِحُ ٱئۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
pas unhone us oontni ko maar dala aur apne parvardigaar ke hukm se sar-kashi ki aur kehne lage ke aye Saaleh! jis ki aap hum ko dhamki dete thein us ko mangwaaiye agar aap paighambar hai
Surah Al-Araf, Verse 77
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ فَأَصۡبَحُواْ فِي دَارِهِمۡ جَٰثِمِينَ
pas un ko zal-zale ne aa pakda aur wo apne gharo mein aundhe ke aundhe pade reh gaye
Surah Al-Araf, Verse 78
فَتَوَلَّىٰ عَنۡهُمۡ وَقَالَ يَٰقَوۡمِ لَقَدۡ أَبۡلَغۡتُكُمۡ رِسَالَةَ رَبِّي وَنَصَحۡتُ لَكُمۡ وَلَٰكِن لَّا تُحِبُّونَ ٱلنَّـٰصِحِينَ
us waqt Saaleh (alaihissalaam) un se mu mod kar chale aur farmaane lage ke aye meri khaum! main ne to tum ko apne parvardigaar ka hukm pahoncha diya tha aur main ne tumhaari khair qaahi ki, lekin tum log khair qaaho ko pasandh nahi karte
Surah Al-Araf, Verse 79
وَلُوطًا إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ أَتَأۡتُونَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مَا سَبَقَكُم بِهَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
aur hum ne Looth (alaihissalaam) ko bheja jab ke unhone apni khaum se farmaaya ke tum aisa fahesh kaam karte ho jis ko tum se pehle kisi ne dunya jahaan waalo mein se nahi kiya
Surah Al-Araf, Verse 80
إِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلرِّجَالَ شَهۡوَةٗ مِّن دُونِ ٱلنِّسَآءِۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ مُّسۡرِفُونَ
tum mardo ke saath shehwath raani karte ho aurto ko chohd kar, balke tum to hadh hee se guzar gaye ho
Surah Al-Araf, Verse 81
وَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ أَخۡرِجُوهُم مِّن قَرۡيَتِكُمۡۖ إِنَّهُمۡ أُنَاسٞ يَتَطَهَّرُونَ
aur un ki khaum se koyi jawaab na ban pada, ba-juz is ke, ke aapas mein kehne lage ke un logo ko apni basti se nikaal do, ye log bade paak saaf bante hai
Surah Al-Araf, Verse 82
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥٓ إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ كَانَتۡ مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
so hum ne Looth (alaihissalaam) ko aur un ke ghar waalo ko bacha liya ba-juz un ki biwi ke, ke wo unhi logo mein rahi jo azaab mein reh gaye thein
Surah Al-Araf, Verse 83
وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِم مَّطَرٗاۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
aur hum ne un par qaas tarah ka meena6 barsaaya, pas dekho to sahi un mujrimo ka anjaam kaisa hoa
Surah Al-Araf, Verse 84
وَإِلَىٰ مَدۡيَنَ أَخَاهُمۡ شُعَيۡبٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥۖ قَدۡ جَآءَتۡكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡۖ فَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ وَلَا تَبۡخَسُواْ ٱلنَّاسَ أَشۡيَآءَهُمۡ وَلَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بَعۡدَ إِصۡلَٰحِهَاۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
aur hum ne madyan ki taraf un ke bhai Shoib (alaihissalaam) ko bheja, unhone farmaaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo, us ke siva koyi tumhaara maboodh nahi, tumhaare paas tumhaare parvardigaar ki taraf se waaze daleel aa chuki hai, pas tum naap aur tol pura pura kiya karo aur logo ko un ki chize kam kar ke math do aur roye zameen mein, us ke baadh ke us ki durusti kardi gayi, fasaadh math phailaao, ye tumhaare liye naafe hai agar tum tasdeeq karo
Surah Al-Araf, Verse 85
وَلَا تَقۡعُدُواْ بِكُلِّ صِرَٰطٖ تُوعِدُونَ وَتَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ مَنۡ ءَامَنَ بِهِۦ وَتَبۡغُونَهَا عِوَجٗاۚ وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ كُنتُمۡ قَلِيلٗا فَكَثَّرَكُمۡۖ وَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
aur tum sadko par us gharz se math baitha karo ke Allah par imaan laane waale ko dhamkiya do aur Allah ki raah se roko aur us mein kaji ki talaash mein lage raho, aur us haalath ko yaad karo jab ke tum kam thein, phir Allah ne tum ko zyaada kar diya aur dekho ke kaisa anjaam hoa fasaad karne waalo ka
Surah Al-Araf, Verse 86
وَإِن كَانَ طَآئِفَةٞ مِّنكُمۡ ءَامَنُواْ بِٱلَّذِيٓ أُرۡسِلۡتُ بِهِۦ وَطَآئِفَةٞ لَّمۡ يُؤۡمِنُواْ فَٱصۡبِرُواْ حَتَّىٰ يَحۡكُمَ ٱللَّهُ بَيۡنَنَاۚ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ
aur agar tum mein se kuch log is hukm par, jis ko de kar mujh ko bheja gaya, imaan le aaye hai aur kuch imaan nahi laaye hai to zara teher jaao! yaha tak ke hamaare darmiyaan Allah faisla kiye deta hai aur wo sab faisla karne waalo se behtar hai
Surah Al-Araf, Verse 87
۞قَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ لَنُخۡرِجَنَّكَ يَٰشُعَيۡبُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَكَ مِن قَرۡيَتِنَآ أَوۡ لَتَعُودُنَّ فِي مِلَّتِنَاۚ قَالَ أَوَلَوۡ كُنَّا كَٰرِهِينَ
un ki khaum ke mutakabbir sardaaro ne kaha ke aye Shoib! hum aap ko aur jo aap ke hamraah imaan waale hai un ko apni basti se nikaal denge, illa ye ke tum hamaare maz-hab mein phir aa jaao, Shoib (alaihissalaam) ne jawaab diya ke kya hum tumhaare maz-hab mein aa jaaye go hum us ko makro hee samajhte ho
Surah Al-Araf, Verse 88
قَدِ ٱفۡتَرَيۡنَا عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا إِنۡ عُدۡنَا فِي مِلَّتِكُم بَعۡدَ إِذۡ نَجَّىٰنَا ٱللَّهُ مِنۡهَاۚ وَمَا يَكُونُ لَنَآ أَن نَّعُودَ فِيهَآ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُ رَبُّنَاۚ وَسِعَ رَبُّنَا كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمًاۚ عَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡنَاۚ رَبَّنَا ٱفۡتَحۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ قَوۡمِنَا بِٱلۡحَقِّ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡفَٰتِحِينَ
hum to Allah ta’ala par badi jhooti tuhmath lagaane waale ho jayenge agar hum tumhaare deen mein aa jaaye us ke baadh ke Allah ta’ala ne hum ko us se najaath di, aur hum se mumkin nahi ke tumhaare maz-hab mein phir aa jaaye, lekin haan ye ke Allah hee ne jo hamaara maalik hai muqaddar kiya ho, hamaare rab ka ilm har cheez ko moheeth hai, hum Allah hee par bharosa rakhte hai, aye hamaare parvardigaar! hamaare aur hamaari khaum ke darmiyaan haq ke mawaafiq faisla kar de aur tu sab se accha faisla karne waala hai
Surah Al-Araf, Verse 89
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ لَئِنِ ٱتَّبَعۡتُمۡ شُعَيۡبًا إِنَّكُمۡ إِذٗا لَّخَٰسِرُونَ
aur un ki khaum ke kaafir sardaaro ne kaha ke agar tum Shoib (alaihissalaam) ki raah par chaloge to beshak bada nuqsaan uthaoge
Surah Al-Araf, Verse 90
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ فَأَصۡبَحُواْ فِي دَارِهِمۡ جَٰثِمِينَ
pas un ko zal-zale ne aa pakda, so wo apne gharo mein aundhe ke aundhe pade reh gaye
Surah Al-Araf, Verse 91
ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ شُعَيۡبٗا كَأَن لَّمۡ يَغۡنَوۡاْ فِيهَاۚ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ شُعَيۡبٗا كَانُواْ هُمُ ٱلۡخَٰسِرِينَ
jinhone Shoib (alaihissalaam) ki takzeeb ki thi un ki ye haalath ho gayi jaise un gharo mein kabhi ba-se hee na thein, jinhone Shoib (alaihissalaam) ki takzeeb ki thi wahi qasaare mein pad gaye
Surah Al-Araf, Verse 92
فَتَوَلَّىٰ عَنۡهُمۡ وَقَالَ يَٰقَوۡمِ لَقَدۡ أَبۡلَغۡتُكُمۡ رِسَٰلَٰتِ رَبِّي وَنَصَحۡتُ لَكُمۡۖ فَكَيۡفَ ءَاسَىٰ عَلَىٰ قَوۡمٖ كَٰفِرِينَ
us waqt Shoib (alaihissalaam) un se mu mod kar chale aur farmaane lage ke aye meri khaum! main ne tum ko apne parvardigaar ke ehkaam pahnocha diye thein aur main ne tumhaari khair qaahi ki, phir main un kaafir logo par kyo ranj karo
Surah Al-Araf, Verse 93
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّبِيٍّ إِلَّآ أَخَذۡنَآ أَهۡلَهَا بِٱلۡبَأۡسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ لَعَلَّهُمۡ يَضَّرَّعُونَ
aur hum ne kisi basti mein koyi nabi nahi bheja ke waha ke rehne waalo ko hum ne saqti aur takleef mein na pakda ho, ta ke wo gid gidaaye
Surah Al-Araf, Verse 94
ثُمَّ بَدَّلۡنَا مَكَانَ ٱلسَّيِّئَةِ ٱلۡحَسَنَةَ حَتَّىٰ عَفَواْ وَّقَالُواْ قَدۡ مَسَّ ءَابَآءَنَا ٱلضَّرَّآءُ وَٱلسَّرَّآءُ فَأَخَذۡنَٰهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
phir hum ne us badh-haali ki jagah khush haali badal di, yaha tak ke un ko qoob taraqqi hoyi aur kehne lage ke hamaare abaa wa ajdaad ko bhi tangi aur raahath pesh aayi thi, to hum ne un ko daf-atan7 pakad liya aur un ko qabar bhi na thi
Surah Al-Araf, Verse 95
وَلَوۡ أَنَّ أَهۡلَ ٱلۡقُرَىٰٓ ءَامَنُواْ وَٱتَّقَوۡاْ لَفَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَرَكَٰتٖ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَٰكِن كَذَّبُواْ فَأَخَذۡنَٰهُم بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
aur agar un bastiyo ke rehne waale imaan le aate aur parhezgaari eqtiyaar karte, to hum un par asmaan aur zameen ki barkate khol dete lekin unhone takzeeb ki to hum ne un ke amaal ki wajeh se un ko pakad liya
Surah Al-Araf, Verse 96
أَفَأَمِنَ أَهۡلُ ٱلۡقُرَىٰٓ أَن يَأۡتِيَهُم بَأۡسُنَا بَيَٰتٗا وَهُمۡ نَآئِمُونَ
kya phir bhi un bastiyo ke rehne waale is baath se be-fikr ho gaye hai ke un par hamaara azaab shab ke waqt aa pade jis waqt wo sote ho
Surah Al-Araf, Verse 97
أَوَأَمِنَ أَهۡلُ ٱلۡقُرَىٰٓ أَن يَأۡتِيَهُم بَأۡسُنَا ضُحٗى وَهُمۡ يَلۡعَبُونَ
aur kya un bastiyo ke rehne waale is baath se be-fikr ho gaye hai ke un par hamaara azaab din chade aa pade jis waqt wo apne khelo mein mashghool ho
Surah Al-Araf, Verse 98
أَفَأَمِنُواْ مَكۡرَ ٱللَّهِۚ فَلَا يَأۡمَنُ مَكۡرَ ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
kya pas wo Allah ki is pakad se be-fikr ho gaye, so Allah ki pakad se ba-juz un ke jin ki shaamath hee aa gayi ho aur koyi be-fikr nahi hota
Surah Al-Araf, Verse 99
أَوَلَمۡ يَهۡدِ لِلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلۡأَرۡضَ مِنۢ بَعۡدِ أَهۡلِهَآ أَن لَّوۡ نَشَآءُ أَصَبۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡۚ وَنَطۡبَعُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
aur kya un logo ko jo zameen ke waaris hoye, waha ke logo ki halaakath ke baadh (un waqeaath mazkora8 ne) ye baath nahi batlaayi ke agar hum chaahe to un ke jaraayem ke sabab un ko halaak kar daale aur hum un ke dilo par bandh laga de, pas wo na sun sa-ke
Surah Al-Araf, Verse 100
تِلۡكَ ٱلۡقُرَىٰ نَقُصُّ عَلَيۡكَ مِنۡ أَنۢبَآئِهَاۚ وَلَقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَمَا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُواْ بِمَا كَذَّبُواْ مِن قَبۡلُۚ كَذَٰلِكَ يَطۡبَعُ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
un bastiyo ke kuch kuch qisse hum aap se bayaan kar rahe hai aur un sab ke paas un ke paighambar maujezaath le kar aaye, phir jis cheez ko unhone ibteda mein jhota keh diya ye baath na hoyi ke phir us ko maan lete, Allah ta’ala isi tarah kaafiro ke dilo par bandh laga deta hai
Surah Al-Araf, Verse 101
وَمَا وَجَدۡنَا لِأَكۡثَرِهِم مِّنۡ عَهۡدٖۖ وَإِن وَجَدۡنَآ أَكۡثَرَهُمۡ لَفَٰسِقِينَ
aur aksar logo mein hum ne wafa-e-ahad na dekha aur hum ne aksar logo ko be-hukm hee paya
Surah Al-Araf, Verse 102
ثُمَّ بَعَثۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِم مُّوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَظَلَمُواْ بِهَاۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
phir un ke baadh hum ne Mosa ko apne dalaayel de kar feraun aur us ke umara9 ke paas bheja magar un logo ne un ka bil-kul haq ada na kiya, so dekhiye un mufsido ka kya anjaam hoa
Surah Al-Araf, Verse 103
وَقَالَ مُوسَىٰ يَٰفِرۡعَوۡنُ إِنِّي رَسُولٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
aur Mosa ne faramaaya ke aye feraun! main rabbul aalamin ki taraf se paighambar hoon
Surah Al-Araf, Verse 104
حَقِيقٌ عَلَىٰٓ أَن لَّآ أَقُولَ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّۚ قَدۡ جِئۡتُكُم بِبَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ فَأَرۡسِلۡ مَعِيَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
mere liye yahi shayaan10 hai ke ba-juz sach ke Allah ki taraf koyi baath mansoob na karo, main tumhaare paas tumhaare rab ki taraf se ek badi daleel bhi laya hoon, so tum bani israel ko mera saath bhej de
Surah Al-Araf, Verse 105
قَالَ إِن كُنتَ جِئۡتَ بِـَٔايَةٖ فَأۡتِ بِهَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
feraun ne kaha agar aap koyi maujeza le kar aaye hai to us ko ab pesh ki jiye! agar aap sacche hai
Surah Al-Araf, Verse 106
فَأَلۡقَىٰ عَصَاهُ فَإِذَا هِيَ ثُعۡبَانٞ مُّبِينٞ
pas aap ne apna asa11 daal diya, so daf-atan wo saaf ek azdaha ban gaya
Surah Al-Araf, Verse 107
وَنَزَعَ يَدَهُۥ فَإِذَا هِيَ بَيۡضَآءُ لِلنَّـٰظِرِينَ
aur apna haath baahar nikaala, so wo yeka yek sab dekhne waalo ke rubaro bahuth hee chamakta hoa ho gaya
Surah Al-Araf, Verse 108
قَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِ فِرۡعَوۡنَ إِنَّ هَٰذَا لَسَٰحِرٌ عَلِيمٞ
khaum feraun mein jo sardaar log thein unhone kaha ke waqeyi ye shaqs bada maaher jaadugar hai
Surah Al-Araf, Verse 109
يُرِيدُ أَن يُخۡرِجَكُم مِّنۡ أَرۡضِكُمۡۖ فَمَاذَا تَأۡمُرُونَ
ye chaahta hai ke tum ko tumhaari sar-zameen se baahar kar de, so tum log kya mashwera dete ho
Surah Al-Araf, Verse 110
قَالُوٓاْ أَرۡجِهۡ وَأَخَاهُ وَأَرۡسِلۡ فِي ٱلۡمَدَآئِنِ حَٰشِرِينَ
unhone kaha aap un ko aur un ke bhai ko mahullath di jiye aur shahro mein har-kaaro ko bhej di jiye
Surah Al-Araf, Verse 111
يَأۡتُوكَ بِكُلِّ سَٰحِرٍ عَلِيمٖ
ke wo sab maaher jaadu-garo ko aap ke paas la kar haazir kar de
Surah Al-Araf, Verse 112
وَجَآءَ ٱلسَّحَرَةُ فِرۡعَوۡنَ قَالُوٓاْ إِنَّ لَنَا لَأَجۡرًا إِن كُنَّا نَحۡنُ ٱلۡغَٰلِبِينَ
aur wo jaadugar feraun ke paas haazir hoye, kehne lage ke agar hum ghaalib aaye to hum ko koyi bada sila milega
Surah Al-Araf, Verse 113
قَالَ نَعَمۡ وَإِنَّكُمۡ لَمِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ
feraun ne kaha ke haan, aur tum muqarrab logo mein daakhil ho jaoge
Surah Al-Araf, Verse 114
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِمَّآ أَن تُلۡقِيَ وَإِمَّآ أَن نَّكُونَ نَحۡنُ ٱلۡمُلۡقِينَ
un saahero ne arz kiya ke aaye Mosa! qaah aap daaliye ya hum hee daale
Surah Al-Araf, Verse 115
قَالَ أَلۡقُواْۖ فَلَمَّآ أَلۡقَوۡاْ سَحَرُوٓاْ أَعۡيُنَ ٱلنَّاسِ وَٱسۡتَرۡهَبُوهُمۡ وَجَآءُو بِسِحۡرٍ عَظِيمٖ
(Moosa) ne farmaaya ke tum hee daalo, pas jab unhone daala to logo ki nazar bandhi kar di, aur un par haibath ghaalib kar di aur ek hee tarah ka bada jaadu dikh laya
Surah Al-Araf, Verse 116
۞وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنۡ أَلۡقِ عَصَاكَۖ فَإِذَا هِيَ تَلۡقَفُ مَا يَأۡفِكُونَ
aur hum ne Mosa ko hukm diya ke apna asa daal di jiye, so asa ka daalna tha ke us ne un ke, saare bane banaaye khel ko nigalna shuro kiya
Surah Al-Araf, Verse 117
فَوَقَعَ ٱلۡحَقُّ وَبَطَلَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
pas haq zaaher ho gaya aur unhone jo kuch banaaya tha sab jaata raha
Surah Al-Araf, Verse 118
فَغُلِبُواْ هُنَالِكَ وَٱنقَلَبُواْ صَٰغِرِينَ
pas wo log us mauqe par haar gaye aur qoob zaleel ho kar phire
Surah Al-Araf, Verse 119
وَأُلۡقِيَ ٱلسَّحَرَةُ سَٰجِدِينَ
aur wo jo saaher thein sajde mein gir gaye
Surah Al-Araf, Verse 120
قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
kehne lage ke hum imaan laaye rabbul aalamin par
Surah Al-Araf, Verse 121
رَبِّ مُوسَىٰ وَهَٰرُونَ
jo Mosa aur Haroon ka bhi rab hai
Surah Al-Araf, Verse 122
قَالَ فِرۡعَوۡنُ ءَامَنتُم بِهِۦ قَبۡلَ أَنۡ ءَاذَنَ لَكُمۡۖ إِنَّ هَٰذَا لَمَكۡرٞ مَّكَرۡتُمُوهُ فِي ٱلۡمَدِينَةِ لِتُخۡرِجُواْ مِنۡهَآ أَهۡلَهَاۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
feraun kehne laga ke tum Mosa par imaan laaye ho baghair is ke, ke main tum ko ijaazath do? beshak ye saazish thi jis par tumhaara amal dar aamad12 hoa hai is shehar mein, ta ke tum sab is shehar se yaha ke rehne waalo ko baahar nikaal do, so ab tum ko haqiqath maalom ho jaati hai
Surah Al-Araf, Verse 123
لَأُقَطِّعَنَّ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَرۡجُلَكُم مِّنۡ خِلَٰفٖ ثُمَّ لَأُصَلِّبَنَّكُمۡ أَجۡمَعِينَ
main tumhaare ek taraf ke haath aur dosri taraf ke paao kaatonga, phir tum sab ko soli par latka donga
Surah Al-Araf, Verse 124
قَالُوٓاْ إِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا مُنقَلِبُونَ
unhone jawaab diya ke hum (mar kar) apne maalik hee ke paas jayenge
Surah Al-Araf, Verse 125
وَمَا تَنقِمُ مِنَّآ إِلَّآ أَنۡ ءَامَنَّا بِـَٔايَٰتِ رَبِّنَا لَمَّا جَآءَتۡنَاۚ رَبَّنَآ أَفۡرِغۡ عَلَيۡنَا صَبۡرٗا وَتَوَفَّنَا مُسۡلِمِينَ
aur tu ne hum mein kaun sa ayb dekha hai ba-juz is ke, ke hum apne rab ke ehkaam par imaan le aaye jab wo hamaare paas aaye, aye hamaare rab! hamaare upar sabr ka faizan farma aur hamaari jaan haalath Islam par nikaal
Surah Al-Araf, Verse 126
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِ فِرۡعَوۡنَ أَتَذَرُ مُوسَىٰ وَقَوۡمَهُۥ لِيُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَيَذَرَكَ وَءَالِهَتَكَۚ قَالَ سَنُقَتِّلُ أَبۡنَآءَهُمۡ وَنَسۡتَحۡيِۦ نِسَآءَهُمۡ وَإِنَّا فَوۡقَهُمۡ قَٰهِرُونَ
aur khaum feraun ke sardaaro ne kaha ke kya aap Mosa (alaihissalaam) aur in ki khaum ko yo hee rehne denge ke wo mulk mein fasaad karte phire aur wo aap ko aur aap ke mabudo ko tark kiye rahe, feraun ne kaha ke hum abhi un logo ke beto ko qatl karna shuro kar denge aur aurto ko zinda rehne denge aur hum ko un par har tarah ka zoor hai
Surah Al-Araf, Verse 127
قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِ ٱسۡتَعِينُواْ بِٱللَّهِ وَٱصۡبِرُوٓاْۖ إِنَّ ٱلۡأَرۡضَ لِلَّهِ يُورِثُهَا مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۖ وَٱلۡعَٰقِبَةُ لِلۡمُتَّقِينَ
Mosa(alaihissalaam) ne apni khaum se farmaaya Allah ta’ala ka sahaara haasil karo aur sabr karo, ye zameen Allah ta’ala ki hai, apne bandho mein se jis ko chaahe wo maalik bana de aur aaqir kamyaabi un hee ki hoti hai jo Allah se darte hai
Surah Al-Araf, Verse 128
قَالُوٓاْ أُوذِينَا مِن قَبۡلِ أَن تَأۡتِيَنَا وَمِنۢ بَعۡدِ مَا جِئۡتَنَاۚ قَالَ عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يُهۡلِكَ عَدُوَّكُمۡ وَيَسۡتَخۡلِفَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرَ كَيۡفَ تَعۡمَلُونَ
khaum ke log kehne lage ke hum to hamesha musibath hee mein rahe, aap ki tashreef aawari se qabl bhi aur aap ki tashreef aawari ke baadh bhi, Mosa ne farmaaya bahuth jald Allah tumhaare dushman ko halaak kar dega aur ba-jaaye un ke tum ko is sar-zameen ka qalifa bana dega, phir tumhaara tarz amal dekhega
Surah Al-Araf, Verse 129
وَلَقَدۡ أَخَذۡنَآ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ بِٱلسِّنِينَ وَنَقۡصٖ مِّنَ ٱلثَّمَرَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
aur hum ne feraun waalo ko mubtela kiya qahedh saali mein aur phalo ki kam paida waari mein ta ke wo nasihath qubool kare
Surah Al-Araf, Verse 130
فَإِذَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡحَسَنَةُ قَالُواْ لَنَا هَٰذِهِۦۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةٞ يَطَّيَّرُواْ بِمُوسَىٰ وَمَن مَّعَهُۥٓۗ أَلَآ إِنَّمَا طَـٰٓئِرُهُمۡ عِندَ ٱللَّهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
so jab un par khush haali aa jaati to kehte ke ye to hamaare liye hona hee chaahiye aur agar un ko koyi badh-haali pesh aati, to Mosa(alaihissalaam) aur un ke saathiyo ki nahusath bath-laate, yaad rakho ke un ki nahusath Allah ta’ala ke paas hai, lekin un ke aksar log nahi jaante
Surah Al-Araf, Verse 131
وَقَالُواْ مَهۡمَا تَأۡتِنَا بِهِۦ مِنۡ ءَايَةٖ لِّتَسۡحَرَنَا بِهَا فَمَا نَحۡنُ لَكَ بِمُؤۡمِنِينَ
aur yo kehte, kaisi hee baath hamaare saamne laao, ke un ke zariye se hum par jaado chalaao, jab bhi hum tumhaari baath har-giz na maanenge
Surah Al-Araf, Verse 132
فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلطُّوفَانَ وَٱلۡجَرَادَ وَٱلۡقُمَّلَ وَٱلضَّفَادِعَ وَٱلدَّمَ ءَايَٰتٖ مُّفَصَّلَٰتٖ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ
phir hum ne un par tofaan bheja aur tiddiya aur ghun13 ka kida aur mendak aur qoon, ke ye sab khole khole maujeze thein, so wo takabbur karte rahe aur wo log kuch thein hee jaraayem pesha
Surah Al-Araf, Verse 133
وَلَمَّا وَقَعَ عَلَيۡهِمُ ٱلرِّجۡزُ قَالُواْ يَٰمُوسَى ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِندَكَۖ لَئِن كَشَفۡتَ عَنَّا ٱلرِّجۡزَ لَنُؤۡمِنَنَّ لَكَ وَلَنُرۡسِلَنَّ مَعَكَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
aur jab un par koyi azaab waaqe hota, to yo kehte ke aye Mosa! hamaare liye apne rab se us baath ki dua kar di jiye jis ka us ne aap se ahad kar rakha hai, agar aap is azaab se hum ko hata de to hum zaroor zaroor aap ke kehne se imaan le ayenge aur hum bani israel ko bhi (reha kar ke) aap ke hamraah kar denge
Surah Al-Araf, Verse 134
فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُمُ ٱلرِّجۡزَ إِلَىٰٓ أَجَلٍ هُم بَٰلِغُوهُ إِذَا هُمۡ يَنكُثُونَ
phir jab un se us azaab ko ek qaas waqt tak ke us tak un ko pahonchna tha hata de te, to wo fauran hee ahad shikni karne lagte
Surah Al-Araf, Verse 135
فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ فَأَغۡرَقۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡيَمِّ بِأَنَّهُمۡ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَكَانُواْ عَنۡهَا غَٰفِلِينَ
phir hum ne un se badhla liya, yani un ko darya mein gharq kar diya, us sabab se ke wo hamaari aayato ko jhut laate thein aur un se bil-kul hee ghaflath karte thein
Surah Al-Araf, Verse 136
وَأَوۡرَثۡنَا ٱلۡقَوۡمَ ٱلَّذِينَ كَانُواْ يُسۡتَضۡعَفُونَ مَشَٰرِقَ ٱلۡأَرۡضِ وَمَغَٰرِبَهَا ٱلَّتِي بَٰرَكۡنَا فِيهَاۖ وَتَمَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ ٱلۡحُسۡنَىٰ عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ بِمَا صَبَرُواْۖ وَدَمَّرۡنَا مَا كَانَ يَصۡنَعُ فِرۡعَوۡنُ وَقَوۡمُهُۥ وَمَا كَانُواْ يَعۡرِشُونَ
aur hum ne un logo ko jo ke bil-kul kamzoor shumaar kiye jaate thein us sar-zameen ke purab paschim ka maalik bana diya jis mein hum ne barkath rakhi hai aur aap ke rab ka nek waada bani israel ke haq mein un ke sabr ki wajeh se pora ho gaya aur hum ne feraun ke aur us ki khaum ke saaqta par-daaqta14 kaar-khaano ko aur jo kuch wo oonchi onchi imaarate ban-waate thein sab ko dar-ham bar-ham kar diya
Surah Al-Araf, Verse 137
وَجَٰوَزۡنَا بِبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱلۡبَحۡرَ فَأَتَوۡاْ عَلَىٰ قَوۡمٖ يَعۡكُفُونَ عَلَىٰٓ أَصۡنَامٖ لَّهُمۡۚ قَالُواْ يَٰمُوسَى ٱجۡعَل لَّنَآ إِلَٰهٗا كَمَا لَهُمۡ ءَالِهَةٞۚ قَالَ إِنَّكُمۡ قَوۡمٞ تَجۡهَلُونَ
aur hum ne bani israel ko darya se paar utaar diya, pas un logo ka ek khaum par guzar hoa jo apne chandh butho se lage baite thein, kehne lage aye Mosa! hamaare liye bhi ek maboodh aisa hee muqarrar kar di jiye! jaise un ke ye maboodh hai, aap ne farmaaya waqeyi tum logo mein badi jahaalath hai
Surah Al-Araf, Verse 138
إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ مُتَبَّرٞ مَّا هُمۡ فِيهِ وَبَٰطِلٞ مَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
ye log jis kaam mein lage hai ye tabaah kiya jayega aur un ka ye kaam mahez be-bunyaad hai
Surah Al-Araf, Verse 139
قَالَ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَبۡغِيكُمۡ إِلَٰهٗا وَهُوَ فَضَّلَكُمۡ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
farmaaya kya Allah ta’ala ke siva aur kisi ko tumhaara maboodh tajweez kar doon? halaan ke us ne tum ko tamaam jahaan waalo par fauqiyath di hai
Surah Al-Araf, Verse 140
وَإِذۡ أَنجَيۡنَٰكُم مِّنۡ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ يَسُومُونَكُمۡ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ يُقَتِّلُونَ أَبۡنَآءَكُمۡ وَيَسۡتَحۡيُونَ نِسَآءَكُمۡۚ وَفِي ذَٰلِكُم بَلَآءٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَظِيمٞ
aur wo waqt yaad karo jab hum ne tum ko feraun waalo se bacha liya jo tum ko badi saqt taklife pahonchaate thein, tumhaare beto ko qatl kar daalte thein aur tumhaari aurto ko zinda chohd dete thein aur us mein tumhaare parvardigaar ki taraf se badi bhaari azmaayesh thi
Surah Al-Araf, Verse 141
۞وَوَٰعَدۡنَا مُوسَىٰ ثَلَٰثِينَ لَيۡلَةٗ وَأَتۡمَمۡنَٰهَا بِعَشۡرٖ فَتَمَّ مِيقَٰتُ رَبِّهِۦٓ أَرۡبَعِينَ لَيۡلَةٗۚ وَقَالَ مُوسَىٰ لِأَخِيهِ هَٰرُونَ ٱخۡلُفۡنِي فِي قَوۡمِي وَأَصۡلِحۡ وَلَا تَتَّبِعۡ سَبِيلَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
aur hum ne Mosa se tees raatho ka waada kiya aur das raath mazeedh se un tees raatho ko pora kiya, so un ke parvardigaar ka waqt pore chaalees raath ka ho gaya aur Mosa(alaihissalaam) ne apne bhai Haroon(alaihissalaam) se kaha ke mere baadh un ka intezaam rakhna aur islaah karte rehna aur badh-nazm logo ki raaye par amal math karna
Surah Al-Araf, Verse 142
وَلَمَّا جَآءَ مُوسَىٰ لِمِيقَٰتِنَا وَكَلَّمَهُۥ رَبُّهُۥ قَالَ رَبِّ أَرِنِيٓ أَنظُرۡ إِلَيۡكَۚ قَالَ لَن تَرَىٰنِي وَلَٰكِنِ ٱنظُرۡ إِلَى ٱلۡجَبَلِ فَإِنِ ٱسۡتَقَرَّ مَكَانَهُۥ فَسَوۡفَ تَرَىٰنِيۚ فَلَمَّا تَجَلَّىٰ رَبُّهُۥ لِلۡجَبَلِ جَعَلَهُۥ دَكّٗا وَخَرَّ مُوسَىٰ صَعِقٗاۚ فَلَمَّآ أَفَاقَ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
aur jab Mosa(alaihissalaam) hamaare waqt par aaye aur un ke rab ne un se baatein ki, to arz kiya ke aye mere parvardigaar! apna didaar mujh ko kara di jiye, ke main aap ko ek nazar dekh lo, irshaad hoa ke tum mujh ko har giz nahi dekh sakte, lekin tum us pahaad ki taraf dekhte raho, wo agar apni jageh par bar-qaraar raha to tum bhi mujhe dekh sakoge, pas jab un ke rab ne pahaad par tajalli farmaayi to, tajalli ne us ke paraqche uda diye aur Mosa(alaihissalaam) be-hosh ho kar gir pade, phir jab hosh mein aaye to arz kiya beshak aap ki zaath munazzah15 hai, main aap ki janaab mein tauba karta hoon aur main sab se pehle aap par imaan laane waala hoon
Surah Al-Araf, Verse 143
قَالَ يَٰمُوسَىٰٓ إِنِّي ٱصۡطَفَيۡتُكَ عَلَى ٱلنَّاسِ بِرِسَٰلَٰتِي وَبِكَلَٰمِي فَخُذۡ مَآ ءَاتَيۡتُكَ وَكُن مِّنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
irshaad hoa ke aye Mosa! main ne paighambari aur apni hum kalaami se, aur logo par tum ko imtiyaaz diya hai, to jo kuch tum ko main ne ata kiya hai us ko lo aur shukr karo
Surah Al-Araf, Verse 144
وَكَتَبۡنَا لَهُۥ فِي ٱلۡأَلۡوَاحِ مِن كُلِّ شَيۡءٖ مَّوۡعِظَةٗ وَتَفۡصِيلٗا لِّكُلِّ شَيۡءٖ فَخُذۡهَا بِقُوَّةٖ وَأۡمُرۡ قَوۡمَكَ يَأۡخُذُواْ بِأَحۡسَنِهَاۚ سَأُوْرِيكُمۡ دَارَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
aur hum ne chandh taqtiyo par har qism ki nasihath aur har cheez ki tafseel un ko likh kar di, tum un ko puri taaqath se pakad lo aur apni khaum ko hukm karo ke un ke acche acche ehkaam par amal kare, ab bahuth jald tum logo ko un be-hukmo ka muqaam dikh laata hoon
Surah Al-Araf, Verse 145
سَأَصۡرِفُ عَنۡ ءَايَٰتِيَ ٱلَّذِينَ يَتَكَبَّرُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَإِن يَرَوۡاْ كُلَّ ءَايَةٖ لَّا يُؤۡمِنُواْ بِهَا وَإِن يَرَوۡاْ سَبِيلَ ٱلرُّشۡدِ لَا يَتَّخِذُوهُ سَبِيلٗا وَإِن يَرَوۡاْ سَبِيلَ ٱلۡغَيِّ يَتَّخِذُوهُ سَبِيلٗاۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَكَانُواْ عَنۡهَا غَٰفِلِينَ
main aise logo ko apne ehkaam se bargashta hee rakhonga jo dunya mein takabbur karte hai, jis ka un ko koyi haq haasil nahi aur agar tamaam nishaan dekh le tabh bhi wo un par imaan na laaye aur agar hidaayath ka raasta dekhe to us ko apna tariqa na banaaye aur agar gumraahi ka raasta dekh le to us ko apna tariqa bana le, ye us sabab se hai ke unhone hamaari aayato ko jhut laya aur un se ghaafil rahe
Surah Al-Araf, Verse 146
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَلِقَآءِ ٱلۡأٓخِرَةِ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡۚ هَلۡ يُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
aur ye log jinhone hamaari aayato ko aur qayaamath ke pesh aane ko jhut laya un ke sab kaam ghaarath gaye, un ko wahi saza di jayegi jo kuch ye karte thein
Surah Al-Araf, Verse 147
وَٱتَّخَذَ قَوۡمُ مُوسَىٰ مِنۢ بَعۡدِهِۦ مِنۡ حُلِيِّهِمۡ عِجۡلٗا جَسَدٗا لَّهُۥ خُوَارٌۚ أَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّهُۥ لَا يُكَلِّمُهُمۡ وَلَا يَهۡدِيهِمۡ سَبِيلًاۘ ٱتَّخَذُوهُ وَكَانُواْ ظَٰلِمِينَ
aur Mosa (alaihissalaam) ki khaum ne un ke baadh apne zewaro ka ek bachda maboodh tehra liya, jo ke ek qaalib16 tha jis mein ek awaaz thi, kya unhone ye na dekha ke wo un se baath nahi karta tha aur na un ko koyi raah batlaata tha, us ko unhone maboodh qaraar diya aur badi be-insaafi ka kaam kiya
Surah Al-Araf, Verse 148
وَلَمَّا سُقِطَ فِيٓ أَيۡدِيهِمۡ وَرَأَوۡاْ أَنَّهُمۡ قَدۡ ضَلُّواْ قَالُواْ لَئِن لَّمۡ يَرۡحَمۡنَا رَبُّنَا وَيَغۡفِرۡ لَنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
aur jab naadim hoye aur maloom hoa ke waqeyi wo log gumraahi mein pad gaye to kehne lage ke agar hamaara rab hum par rahem na kare aur hamaara gunaah maaf na kare to hum bil-kul gaye guzre ho jayenge
Surah Al-Araf, Verse 149
وَلَمَّا رَجَعَ مُوسَىٰٓ إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ غَضۡبَٰنَ أَسِفٗا قَالَ بِئۡسَمَا خَلَفۡتُمُونِي مِنۢ بَعۡدِيٓۖ أَعَجِلۡتُمۡ أَمۡرَ رَبِّكُمۡۖ وَأَلۡقَى ٱلۡأَلۡوَاحَ وَأَخَذَ بِرَأۡسِ أَخِيهِ يَجُرُّهُۥٓ إِلَيۡهِۚ قَالَ ٱبۡنَ أُمَّ إِنَّ ٱلۡقَوۡمَ ٱسۡتَضۡعَفُونِي وَكَادُواْ يَقۡتُلُونَنِي فَلَا تُشۡمِتۡ بِيَ ٱلۡأَعۡدَآءَ وَلَا تَجۡعَلۡنِي مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
aur jab Mosa (alaihissalaam) apni khaum ki taraf waapas aaye, ghussa aur ranj mein bhare hoye, to faramaaya ke tum ne mere baadh ye badi bori jaanashini ki? kya apne rab ke hukm se pehle hee tum ne jald baazi kar li aur jaldi se taqtiya ek taraf rakhi aur apne bhai ka sar pakad kar un ko apni taraf ghasitne lage, Haroon(alaihissalaam) ne kaha ke aye mere ma jaaye! 17 Un logo ne mujh ko be-haqiqath samjha aur qareeb tha ke mujh ko qatl kar daale, to tum mujh par dushmano ko math hasaao aur mujh ko un zaalimo ke zel18 mein math shumaar karo
Surah Al-Araf, Verse 150
قَالَ رَبِّ ٱغۡفِرۡ لِي وَلِأَخِي وَأَدۡخِلۡنَا فِي رَحۡمَتِكَۖ وَأَنتَ أَرۡحَمُ ٱلرَّـٰحِمِينَ
Mosa(alaihissalaam) ne kaha aye mere rab! meri qata maaf farma aur mere bhai ki bhi aur hum duno ko apni rehmath mein daakhil farma aur tu sab rahem karne waalo se, zyaada rahem karne waala hai
Surah Al-Araf, Verse 151
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ ٱلۡعِجۡلَ سَيَنَالُهُمۡ غَضَبٞ مِّن رَّبِّهِمۡ وَذِلَّةٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُفۡتَرِينَ
beshak jin logo ne go saala parasti19 ki hai un par bahuth jald un ke rab ki taraf se ghazab aur zillath is dunyaawi zindagi hee mein padegi aur hum iftera pardaazo20 ko aisi hee saza diya karte hai
Surah Al-Araf, Verse 152
وَٱلَّذِينَ عَمِلُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ ثُمَّ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِهَا وَءَامَنُوٓاْ إِنَّ رَبَّكَ مِنۢ بَعۡدِهَا لَغَفُورٞ رَّحِيمٞ
aur jin logo ne gunah ke kaam kiye phir wo un ke baadh tauba kar le aur imaan le aaye to tumhaara rab us tauba ke baadh gunah maaf kar dene waala rehmath karne waala hai
Surah Al-Araf, Verse 153
وَلَمَّا سَكَتَ عَن مُّوسَى ٱلۡغَضَبُ أَخَذَ ٱلۡأَلۡوَاحَۖ وَفِي نُسۡخَتِهَا هُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّلَّذِينَ هُمۡ لِرَبِّهِمۡ يَرۡهَبُونَ
aur jab Mosa(alaihisslaam) ka ghussa fardh21 hoa, to un taqtiyo ko utha liya aur un ke maza-meen mein un logo ke liye jo apne rab se darte thein, hidaayath aur rehmath thi
Surah Al-Araf, Verse 154
وَٱخۡتَارَ مُوسَىٰ قَوۡمَهُۥ سَبۡعِينَ رَجُلٗا لِّمِيقَٰتِنَاۖ فَلَمَّآ أَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ قَالَ رَبِّ لَوۡ شِئۡتَ أَهۡلَكۡتَهُم مِّن قَبۡلُ وَإِيَّـٰيَۖ أَتُهۡلِكُنَا بِمَا فَعَلَ ٱلسُّفَهَآءُ مِنَّآۖ إِنۡ هِيَ إِلَّا فِتۡنَتُكَ تُضِلُّ بِهَا مَن تَشَآءُ وَتَهۡدِي مَن تَشَآءُۖ أَنتَ وَلِيُّنَا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَاۖ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡغَٰفِرِينَ
aur Mosa(alaihissalaam) ne sattar aadmi apni khaum mein se hamaare waqte mu-ayyan ke liye muntaqab kiye, so jab un ko zalzale ne aa pakda to Mosa(alaihissalaam) arz karne lage ke aye mere parvardigaar agar tujh ko ye manzoor hota to us se qabl hee un ko aur mujh ko halaak kar deta, kya to hum mein se chandh be-waqufo ki harkath par sab ko halaak kar dega? ye waqea mahez teri taraf se ek imtehaan hai, aise imtehanaath se jis ko to chaahe gumraahi mein daal de aur jis ko chaahe hidaayath par qaayem rakhe, tu hee tuh hamaara kaar-saaz hai, pas hum par maghfirath aur rehmath farma aur tu sab maafi dene waalo se zyaada accha hai
Surah Al-Araf, Verse 155
۞وَٱكۡتُبۡ لَنَا فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٗ وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِنَّا هُدۡنَآ إِلَيۡكَۚ قَالَ عَذَابِيٓ أُصِيبُ بِهِۦ مَنۡ أَشَآءُۖ وَرَحۡمَتِي وَسِعَتۡ كُلَّ شَيۡءٖۚ فَسَأَكۡتُبُهَا لِلَّذِينَ يَتَّقُونَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلَّذِينَ هُم بِـَٔايَٰتِنَا يُؤۡمِنُونَ
aur hum logo ke naam dunya mein bhi nek haali likh de aur aaqirath mein bhi hum teri taraf rujo karte hai, Allah ta’ala ne faramaaya ke main apna azaab osi par waaqe karta hoon jis par chaahta hoon aur meri rehmath tamaam ashya par muheeth hai, to wo rehmath un logo ke naam zaroor likhonga jo Allah se darte hai aur zakaath dete hai aur jo hamaari aayato par imaan laate hai
Surah Al-Araf, Verse 156
ٱلَّذِينَ يَتَّبِعُونَ ٱلرَّسُولَ ٱلنَّبِيَّ ٱلۡأُمِّيَّ ٱلَّذِي يَجِدُونَهُۥ مَكۡتُوبًا عِندَهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَٱلۡإِنجِيلِ يَأۡمُرُهُم بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَىٰهُمۡ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَيُحِلُّ لَهُمُ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَيُحَرِّمُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡخَبَـٰٓئِثَ وَيَضَعُ عَنۡهُمۡ إِصۡرَهُمۡ وَٱلۡأَغۡلَٰلَ ٱلَّتِي كَانَتۡ عَلَيۡهِمۡۚ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِهِۦ وَعَزَّرُوهُ وَنَصَرُوهُ وَٱتَّبَعُواْ ٱلنُّورَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ مَعَهُۥٓ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
jo log aise rasool nabi ummi ka itteba karte hai jin ko wo log apne paas tauraath aur injeel mein likha hoa paate hai, wo un ko nek baatho ka hukm farmaate hai aur bori baatho se mana karte hai aur paakiza chizo ko halaal bataate hai aur gandi chizo ko un par haraam farmaate hai aur un logo par jo boojh aur tauq thein un ko door karte hai, so jo log us nabi par imaan laate hai aur un ki himaayath karte hai aur un ki madad karte hai aur us noor ka itteba karte hai jo un ke saath bheja gaya hai, aise log puri falaah paane waale hai
Surah Al-Araf, Verse 157
قُلۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡ جَمِيعًا ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِ ٱلنَّبِيِّ ٱلۡأُمِّيِّ ٱلَّذِي يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَكَلِمَٰتِهِۦ وَٱتَّبِعُوهُ لَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
aap keh di jiye ke aye logo! main tum sab ki taraf us Allah ta’ala ka bheja hoa hoon jis ki baad-shaahi tamaam asmaano aur zaen mein hai, us ke siva koyi ibaadath ke laayeq nahi, wahi zindagi deta hai aur wahi mauth deta hai, so Allah ta’ala par imaan laao aur us ke nabi ummi par jo ke Allah ta’ala par aur us ke ehkaam par imaan rakhte hai aur un ka itteba karo ta ke tum raah par aa jaao
Surah Al-Araf, Verse 158
وَمِن قَوۡمِ مُوسَىٰٓ أُمَّةٞ يَهۡدُونَ بِٱلۡحَقِّ وَبِهِۦ يَعۡدِلُونَ
aur khaum Mosa mein ek jamaath aisi bhi hai jo haq ke mutaabiq hidaayath karti hai aur isi ke mutabiq insaaf bhi karti hai
Surah Al-Araf, Verse 159
وَقَطَّعۡنَٰهُمُ ٱثۡنَتَيۡ عَشۡرَةَ أَسۡبَاطًا أُمَمٗاۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ إِذِ ٱسۡتَسۡقَىٰهُ قَوۡمُهُۥٓ أَنِ ٱضۡرِب بِّعَصَاكَ ٱلۡحَجَرَۖ فَٱنۢبَجَسَتۡ مِنۡهُ ٱثۡنَتَا عَشۡرَةَ عَيۡنٗاۖ قَدۡ عَلِمَ كُلُّ أُنَاسٖ مَّشۡرَبَهُمۡۚ وَظَلَّلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلۡغَمَٰمَ وَأَنزَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَنَّ وَٱلسَّلۡوَىٰۖ كُلُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا رَزَقۡنَٰكُمۡۚ وَمَا ظَلَمُونَا وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
aur hum ne un ko baara khaandaano mein taqseem kar ke sab ki alag alag jamaath muqarrar kar di aur hum ne Mosa(alaihissalaam) ko hukm diya jab ke un ki khaum ne un se paani manga ke apne asa ko fala patthar par maaro, pas fauran us se baara chashme phot nikle, har har shaqs ne apne paani pine ka mauqa22 maloom kar liya aur hum ne un par abr ko saaya figan23 kiya aur un ko man-wa-salwa (taranjabeen aur batere) pahonchaaye, khaao nafees chizo se jo ke hum ne tum ko di hai aur unhone hamaara koyi nuqsaan nahi kiya, lekin apna hee nuqsaan karte thein
Surah Al-Araf, Verse 160
وَإِذۡ قِيلَ لَهُمُ ٱسۡكُنُواْ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةَ وَكُلُواْ مِنۡهَا حَيۡثُ شِئۡتُمۡ وَقُولُواْ حِطَّةٞ وَٱدۡخُلُواْ ٱلۡبَابَ سُجَّدٗا نَّغۡفِرۡ لَكُمۡ خَطِيٓـَٰٔتِكُمۡۚ سَنَزِيدُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
aur jab un ko hukm diya gaya ke tum log us aabadi mein ja kar raho aur khaao us se jis jageh tum raghbath karo aur zabaan se ye kehte jaana ke tauba hai aur jhoke jhoke darwaaze mein daakhil hona, hum tumhaari qataaye maaf kar denge, jo log nek kaam karenge un ko mazeed bar’aa aur denge
Surah Al-Araf, Verse 161
فَبَدَّلَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡهُمۡ قَوۡلًا غَيۡرَ ٱلَّذِي قِيلَ لَهُمۡ فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِجۡزٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ بِمَا كَانُواْ يَظۡلِمُونَ
so badal daala un zaalimo ne ek aur kalma jo qilaaf tha, us kalme ki jis ki un se farmaayesh ki gayi thi, us par hum ne un par ek aafate samaavi24 bheji, us wajeh se ke wo hukm ko zaaya karte thein
Surah Al-Araf, Verse 162
وَسۡـَٔلۡهُمۡ عَنِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِي كَانَتۡ حَاضِرَةَ ٱلۡبَحۡرِ إِذۡ يَعۡدُونَ فِي ٱلسَّبۡتِ إِذۡ تَأۡتِيهِمۡ حِيتَانُهُمۡ يَوۡمَ سَبۡتِهِمۡ شُرَّعٗا وَيَوۡمَ لَا يَسۡبِتُونَ لَا تَأۡتِيهِمۡۚ كَذَٰلِكَ نَبۡلُوهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
aur aap un logo se us basti waalo ka jo ke daryaae (shor) ke qareeb abaadh thein us waqt ka haal pochiye! jab ke wo hafte ke baare mein hadh se nikal rahe thein, jab ke un ke hafte ke roz to un ki machliya zaaher ho ho kar un ke saamne aati thi aur jab hafte ka din na hota to un ke saamne na aati thi, hum un ki is tarah par azmayesh karte thein, us sabab se ke wo be-hukmi kiya karte thein
Surah Al-Araf, Verse 163
وَإِذۡ قَالَتۡ أُمَّةٞ مِّنۡهُمۡ لِمَ تَعِظُونَ قَوۡمًا ٱللَّهُ مُهۡلِكُهُمۡ أَوۡ مُعَذِّبُهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗاۖ قَالُواْ مَعۡذِرَةً إِلَىٰ رَبِّكُمۡ وَلَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
aur jab ke un mein se ek jamaath ne yo kaha ke tum aise logo ko kyo nasihath karte ho jin ko Allah bil-kul halaak karne waala hai ya un ko saqt saza dene waala hai? unhone jawaab diya ke tumhaare rab ke ru-baro uzr25 karne ke liye aur is liye ke shaayad ye dar jaaye
Surah Al-Araf, Verse 164
فَلَمَّا نَسُواْ مَا ذُكِّرُواْ بِهِۦٓ أَنجَيۡنَا ٱلَّذِينَ يَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلسُّوٓءِ وَأَخَذۡنَا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ بِعَذَابِۭ بَـِٔيسِۭ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
so jab wo us ko bhol gaye jo un ko samjhaaya jaata tha to hum ne un logo ko to bacha liya jo is buri aadath se mana kiya karte thein aur un logo ko jo ke zyaadati karte thein ek saqt azaab mein pakad liya is wajeh se ke wo be-hukmi kiya karte thein
Surah Al-Araf, Verse 165
فَلَمَّا عَتَوۡاْ عَن مَّا نُهُواْ عَنۡهُ قُلۡنَا لَهُمۡ كُونُواْ قِرَدَةً خَٰسِـِٔينَ
yani jab wo jis kaam se un ko mana kiya gaya tha us mein hadh se nikal gaye to hum ne un ko keh diya tum bandar zaleel ban jaao
Surah Al-Araf, Verse 166
وَإِذۡ تَأَذَّنَ رَبُّكَ لَيَبۡعَثَنَّ عَلَيۡهِمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَن يَسُومُهُمۡ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِۗ إِنَّ رَبَّكَ لَسَرِيعُ ٱلۡعِقَابِ وَإِنَّهُۥ لَغَفُورٞ رَّحِيمٞ
aur wo waqt yaad karna chaahiye ke aap ke rab ne ye baath batlaadi ke wo un yahood par qayaamath tak aise shaqs ko zaroor musallath karta rahega jo un ko sazaaye shadeed ki takleef pahonchaata rahega, bila shuba aap ka rab jaldi hee saza deta hai aur bila shuba wo waqeyi badi maghfirath aur badi rehmath waala hai
Surah Al-Araf, Verse 167
وَقَطَّعۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ أُمَمٗاۖ مِّنۡهُمُ ٱلصَّـٰلِحُونَ وَمِنۡهُمۡ دُونَ ذَٰلِكَۖ وَبَلَوۡنَٰهُم بِٱلۡحَسَنَٰتِ وَٱلسَّيِّـَٔاتِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
aur hum ne dunya mein un ki muqtalif jamaate kar di, baaz un mein nek thein aur baaz un mein aur tarah thein aur hum un ko khush haaliyo aur badh-haaliyo se aazmaate rahe, ke shaayed baaz aa jaaye
Surah Al-Araf, Verse 168
فَخَلَفَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ خَلۡفٞ وَرِثُواْ ٱلۡكِتَٰبَ يَأۡخُذُونَ عَرَضَ هَٰذَا ٱلۡأَدۡنَىٰ وَيَقُولُونَ سَيُغۡفَرُ لَنَا وَإِن يَأۡتِهِمۡ عَرَضٞ مِّثۡلُهُۥ يَأۡخُذُوهُۚ أَلَمۡ يُؤۡخَذۡ عَلَيۡهِم مِّيثَٰقُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن لَّا يَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّ وَدَرَسُواْ مَا فِيهِۗ وَٱلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يَتَّقُونَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
phir un ke baadh aise log un ke jaanasheen hoye ke kitaab ko un se haasil kiya, wo us dunyaae duni ka maal mata le lete hai aur kehte hai ke hamaari zaroor maghfirath ho jayegi, halaan ke un ke paas waisa hee maal mata aane lage to us ko bhi le lenge, kya un se is kitaab ke us mazmoon ka ahad nahi liya gaya ke Allah ki taraf ba-juz haq baath ke aur kisi baath ki nisbath na kahe aur unhone us kitaab mein jo kuch tha us ko pad liya aur aaqirath waala ghar un logo ke liye behtar hai jo taqwa rakhte hai, phir kya tum nahi samajhte
Surah Al-Araf, Verse 169
وَٱلَّذِينَ يُمَسِّكُونَ بِٱلۡكِتَٰبِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ إِنَّا لَا نُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُصۡلِحِينَ
aur jo log kitaab ke paabandh hai aur namaaz ki paabandi karte hai, hum aise logo ka jo apni islaah kare sawaab zaaya na karenge
Surah Al-Araf, Verse 170
۞وَإِذۡ نَتَقۡنَا ٱلۡجَبَلَ فَوۡقَهُمۡ كَأَنَّهُۥ ظُلَّةٞ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُۥ وَاقِعُۢ بِهِمۡ خُذُواْ مَآ ءَاتَيۡنَٰكُم بِقُوَّةٖ وَٱذۡكُرُواْ مَا فِيهِ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
aur wo waqt bhi qaabil zikr hai jab hum ne pahaad ko utha kar sayebaan ki tarah un ke upar mu-allaq26 kar diya aur un ko yaqeen ho gaya ke ab un par gira, aur kaha ke jo kitaab hum ne tum ko di hai ose mazbooti ke saath qubool karo aur yaad rakho jo ehkaam us mein hai us se tawaqqo hai ke tum muttaqi ban jaao
Surah Al-Araf, Verse 171
وَإِذۡ أَخَذَ رَبُّكَ مِنۢ بَنِيٓ ءَادَمَ مِن ظُهُورِهِمۡ ذُرِّيَّتَهُمۡ وَأَشۡهَدَهُمۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَلَسۡتُ بِرَبِّكُمۡۖ قَالُواْ بَلَىٰ شَهِدۡنَآۚ أَن تَقُولُواْ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ إِنَّا كُنَّا عَنۡ هَٰذَا غَٰفِلِينَ
aur jab aap ke rab ne aulaad aadam ki posht se un ki aulaad ko nikaala aur un se un hee ke mutaalleq iqraar liya ke, kya main tumhaara rab nahi ho? sab ne jawaab diya kyo nahi! hum sab gawaah bante hai ta ke tum log qayaamath ke roz yo na kaho ke hum to is se mahez be-qabar thein
Surah Al-Araf, Verse 172
أَوۡ تَقُولُوٓاْ إِنَّمَآ أَشۡرَكَ ءَابَآؤُنَا مِن قَبۡلُ وَكُنَّا ذُرِّيَّةٗ مِّنۢ بَعۡدِهِمۡۖ أَفَتُهۡلِكُنَا بِمَا فَعَلَ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
ya yo kaho ke pehle pehle shirk to hamaare bado ne kiya aur hum un ke baadh un ki nasl mein hoye, so kya un ghalat raah waalo ke fa-al par tu hum ko halaakath mein daal dega
Surah Al-Araf, Verse 173
وَكَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ وَلَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
hum isi tarah ayaath ko saaf saaf bayaan karte hai aur ta ke wo baaz aa jaaye
Surah Al-Araf, Verse 174
وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ ٱلَّذِيٓ ءَاتَيۡنَٰهُ ءَايَٰتِنَا فَٱنسَلَخَ مِنۡهَا فَأَتۡبَعَهُ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَكَانَ مِنَ ٱلۡغَاوِينَ
aur un logo ko us shaqs ka haal pad kar sunaiye ke jis ko hum ne apni aayate di, phir wo un se bil-kul hee nikal gaya, phir shaitaan us ke piche lag gaya, so wo gumraah logo mein shaamil ho gaya
Surah Al-Araf, Verse 175
وَلَوۡ شِئۡنَا لَرَفَعۡنَٰهُ بِهَا وَلَٰكِنَّهُۥٓ أَخۡلَدَ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ وَٱتَّبَعَ هَوَىٰهُۚ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ ٱلۡكَلۡبِ إِن تَحۡمِلۡ عَلَيۡهِ يَلۡهَثۡ أَوۡ تَتۡرُكۡهُ يَلۡهَثۚ ذَّـٰلِكَ مَثَلُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۚ فَٱقۡصُصِ ٱلۡقَصَصَ لَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
aur agar hum chaahte to us ko un aayato ki ba-daulat bulandh martaba kar dete lekin wo to dunya ki taraf maayel ho gaya aur apni nafsaani qaahish ki pairvi karne laga, so us ki haalath kutte ki si ho gayi ke agar tu us par hamla kare tabh bhi haampe ya us ko chohd de tabh bhi haampe, yahi haalath un logo ki hai jinhone hamaari aayato ko jhut laaya, so aap is haal ko bayaan kar di jye, shaayad wo log kuch sonche
Surah Al-Araf, Verse 176
سَآءَ مَثَلًا ٱلۡقَوۡمُ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَأَنفُسَهُمۡ كَانُواْ يَظۡلِمُونَ
un logo ki haalath bhi buri haalath hai jo hamaari ayaath ko jhutlaate hai aur wo apna nuqsaan karte hai
Surah Al-Araf, Verse 177
مَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَهُوَ ٱلۡمُهۡتَدِيۖ وَمَن يُضۡلِلۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
jis ko Allah hidaayat karta hai, so hidaayath paane waala wahi hota hai aur jis ko gumraah kar de so aise hee log qasaare mein padne waale hai
Surah Al-Araf, Verse 178
وَلَقَدۡ ذَرَأۡنَا لِجَهَنَّمَ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ لَهُمۡ قُلُوبٞ لَّا يَفۡقَهُونَ بِهَا وَلَهُمۡ أَعۡيُنٞ لَّا يُبۡصِرُونَ بِهَا وَلَهُمۡ ءَاذَانٞ لَّا يَسۡمَعُونَ بِهَآۚ أُوْلَـٰٓئِكَ كَٱلۡأَنۡعَٰمِ بَلۡ هُمۡ أَضَلُّۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡغَٰفِلُونَ
aur hum ne aise bahuth se jin aur insaan dozakh ke liye paida kiye jin ke dil aise hai jin se nahi samajhte aur jin ki aankhe aisi hai jin se nahi dekhte aur jin ke kaan aise hai jin se nahi sunte, ye log chaupaayo ki tarah hai balke un se bhi zyaada gumraah hai, yahi log ghaafil hai
Surah Al-Araf, Verse 179
وَلِلَّهِ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰ فَٱدۡعُوهُ بِهَاۖ وَذَرُواْ ٱلَّذِينَ يُلۡحِدُونَ فِيٓ أَسۡمَـٰٓئِهِۦۚ سَيُجۡزَوۡنَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
aur acche acche naam Allah hee ke liye hai, so un naamo se Allah hee ko mausoom kiya karo, aur aise logo se taalluq bhi na rakho jo us ke naamo mein kaj ravi karte hai, un logo ko, un ke kiye zaroor saza milegi
Surah Al-Araf, Verse 180
وَمِمَّنۡ خَلَقۡنَآ أُمَّةٞ يَهۡدُونَ بِٱلۡحَقِّ وَبِهِۦ يَعۡدِلُونَ
aur hamaari maqlooq mein ek jamaath aisi bhi hai jo haq ke mawaafiq hidaayath karti hai aur us ke mawaafiq insaaf bhi karti hai
Surah Al-Araf, Verse 181
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا سَنَسۡتَدۡرِجُهُم مِّنۡ حَيۡثُ لَا يَعۡلَمُونَ
aur jo log hamaari ayaath ko jhutlaate hai hum un ko ba-tadreej (girifth mein) liye ja rahe hai us taur par ke un ko qabar bhi nahi
Surah Al-Araf, Verse 182
وَأُمۡلِي لَهُمۡۚ إِنَّ كَيۡدِي مَتِينٌ
aur un ko mahullath deta hoon, beshak meri tadhbeer badi mazbooth hai
Surah Al-Araf, Verse 183
أَوَلَمۡ يَتَفَكَّرُواْۗ مَا بِصَاحِبِهِم مِّن جِنَّةٍۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا نَذِيرٞ مُّبِينٌ
kya un logo ne us baath par ghaur na kiya ke un ke saathi ko zara bhi junoon nahi, wo to sirf ek saaf saaf daraane waale hai
Surah Al-Araf, Verse 184
أَوَلَمۡ يَنظُرُواْ فِي مَلَكُوتِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا خَلَقَ ٱللَّهُ مِن شَيۡءٖ وَأَنۡ عَسَىٰٓ أَن يَكُونَ قَدِ ٱقۡتَرَبَ أَجَلُهُمۡۖ فَبِأَيِّ حَدِيثِۭ بَعۡدَهُۥ يُؤۡمِنُونَ
aur kya un logo ne ghaur nahi kiya, asmaano aur zameen ke aalam mein aur dosri chizo mein jo Allah ne paida ki hai aur is baath mein ke mumkin hai ke un ki ajl27 qareeb hee aa pahonchi ho, phir Qur’aan ke baadh kaun si baath par ye log imaan layenge
Surah Al-Araf, Verse 185
مَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَا هَادِيَ لَهُۥۚ وَيَذَرُهُمۡ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
jis ko Allah ta’ala gumraah kar de us ko koyi raah par nahi la sakta aur Allah ta’ala un ko un ki gumraahi mein bhatakte hoye chohd deta hai
Surah Al-Araf, Verse 186
يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلسَّاعَةِ أَيَّانَ مُرۡسَىٰهَاۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ رَبِّيۖ لَا يُجَلِّيهَا لِوَقۡتِهَآ إِلَّا هُوَۚ ثَقُلَتۡ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَا تَأۡتِيكُمۡ إِلَّا بَغۡتَةٗۗ يَسۡـَٔلُونَكَ كَأَنَّكَ حَفِيٌّ عَنۡهَاۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ ٱللَّهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
ye log aap se qayaamath ke mutaalleq sawaal karte hai ke us ka waqo kab hoga? aap farma di jiye ke us ka ilm sirf mere rab hee paas hai, us ke waqt par us ko siva Allah ke koyi aur zaaher na karega, wo asmaano aur zameen mein bada bhaari (haadesa) hoga, wo tum par mahez achaanak aa padegi, wo aap se is tarah pochte hai jaise goya aap us ki tahqiqaath kar chuke hai, aap farma di jiye ke us ka ilm qaas Allah hee ke paas hai, lekin aksar log nahi jaante
Surah Al-Araf, Verse 187
قُل لَّآ أَمۡلِكُ لِنَفۡسِي نَفۡعٗا وَلَا ضَرًّا إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ وَلَوۡ كُنتُ أَعۡلَمُ ٱلۡغَيۡبَ لَٱسۡتَكۡثَرۡتُ مِنَ ٱلۡخَيۡرِ وَمَا مَسَّنِيَ ٱلسُّوٓءُۚ إِنۡ أَنَا۠ إِلَّا نَذِيرٞ وَبَشِيرٞ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
aap farma di jiye ke main khud apni zaate qaas ke liye kisi nafa eqtiyaar nahi rakhta aur na kisi zarar ka magar utna hee, ke jitna Allah ne chaaha ho, aur agar mein ghayb ki baatein jaanta hota to main bahuth se munaafe haasil kar leta aur koyi nuqsaan mujh ko na pahonchta, main to mahez daraane waala aur bashaarath dene waala hoon, un logo ko jo imaan rakhte hai
Surah Al-Araf, Verse 188
۞هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ وَجَعَلَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا لِيَسۡكُنَ إِلَيۡهَاۖ فَلَمَّا تَغَشَّىٰهَا حَمَلَتۡ حَمۡلًا خَفِيفٗا فَمَرَّتۡ بِهِۦۖ فَلَمَّآ أَثۡقَلَت دَّعَوَا ٱللَّهَ رَبَّهُمَا لَئِنۡ ءَاتَيۡتَنَا صَٰلِحٗا لَّنَكُونَنَّ مِنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
wo Allah ta’ala aisa hai jis ne tum ko ek ta-ne waahed se paida kiya aur osi se us ka joda banaya, ta ke wo us apne jode se uns28 haasil kare, phir jab miya ne biwi se qurbath ki to us ko hamal reh gaya halka sa, so wo us ke liye hoye chalti phirti rahi, phir jab wo bojhal ho gayi to duno miya biwi Allah se jo un ka maalik hai dua karne lage ke agar tu ne hum ko sahih saalim aulad de di to hum qoob shukr guzaari karenge
Surah Al-Araf, Verse 189
فَلَمَّآ ءَاتَىٰهُمَا صَٰلِحٗا جَعَلَا لَهُۥ شُرَكَآءَ فِيمَآ ءَاتَىٰهُمَاۚ فَتَعَٰلَى ٱللَّهُ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
so jab Allah ne duno ko sahih saalim aulaad de di to Allah ki di hoyi cheez mein wo duno Allah ke shareek qaraar dene lage, so Allah paak hai un ke shirk se
Surah Al-Araf, Verse 190
أَيُشۡرِكُونَ مَا لَا يَخۡلُقُ شَيۡـٔٗا وَهُمۡ يُخۡلَقُونَ
kya aiso ko shareek teh raate hai jo kisi cheez ko paida na kar sake aur wo khud hee paida kiye gaye ho
Surah Al-Araf, Verse 191
وَلَا يَسۡتَطِيعُونَ لَهُمۡ نَصۡرٗا وَلَآ أَنفُسَهُمۡ يَنصُرُونَ
aur wo un ko kisi qism ki madad nahi de sakte aur wo khud bhi madad nahi kar sakte
Surah Al-Araf, Verse 192
وَإِن تَدۡعُوهُمۡ إِلَى ٱلۡهُدَىٰ لَا يَتَّبِعُوكُمۡۚ سَوَآءٌ عَلَيۡكُمۡ أَدَعَوۡتُمُوهُمۡ أَمۡ أَنتُمۡ صَٰمِتُونَ
aur agar tum un ko koyi baath batlaane ko pukaro to tumhaare kehne par na chale, tumhaare etebaar se duno amr baraabar hai, qaah tum un ko pukaaro ya tum qamoosh raho
Surah Al-Araf, Verse 193
إِنَّ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ عِبَادٌ أَمۡثَالُكُمۡۖ فَٱدۡعُوهُمۡ فَلۡيَسۡتَجِيبُواْ لَكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
waqeyi tum Allah ko chohd kar jin ki ibaadath karte ho wo bhi tum hee jaise bande hai, so tum un ko pukaaro, phir un ko chaahiye ke tumhaara kehna pura kar de agar tum sacche ho
Surah Al-Araf, Verse 194
أَلَهُمۡ أَرۡجُلٞ يَمۡشُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ أَيۡدٖ يَبۡطِشُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ أَعۡيُنٞ يُبۡصِرُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ ءَاذَانٞ يَسۡمَعُونَ بِهَاۗ قُلِ ٱدۡعُواْ شُرَكَآءَكُمۡ ثُمَّ كِيدُونِ فَلَا تُنظِرُونِ
kya un ke paao hai jin se wo chalte ho, ya un ke haath hai jin se wo kisi cheez ko thaam sa ke, ya un ki aankhe hai jin se wo dekhte ho ya un ke kaan hai jin se wo sunte hai, aap keh di jiye! tum apne sab shurka ko bula lo, phir meri zarar rasaani ki tadbeer karo, phir mujh ko zara mahulath math do
Surah Al-Araf, Verse 195
إِنَّ وَلِـِّۧيَ ٱللَّهُ ٱلَّذِي نَزَّلَ ٱلۡكِتَٰبَۖ وَهُوَ يَتَوَلَّى ٱلصَّـٰلِحِينَ
yaqinan mera madadgaar Allah ta’ala hai jis ne ye kitaab naazil farmaayi aur wo nek bandho ki madad karta hai
Surah Al-Araf, Verse 196
وَٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَسۡتَطِيعُونَ نَصۡرَكُمۡ وَلَآ أَنفُسَهُمۡ يَنصُرُونَ
aur tum jin logo ki Allah ko chohd kar ibaadath karte ho, wo tumhaari kuch madad nahi kar sakte aur na wo apni madad kar sakte hai
Surah Al-Araf, Verse 197
وَإِن تَدۡعُوهُمۡ إِلَى ٱلۡهُدَىٰ لَا يَسۡمَعُواْۖ وَتَرَىٰهُمۡ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ وَهُمۡ لَا يُبۡصِرُونَ
aur un ko agar koyi baath bathlaane ko pukaaro to us ko na sune aur un ko aap dekhte hai ke goya wo aap ko dekh rahe hai aur wo kuch bhi nahi dekhte
Surah Al-Araf, Verse 198
خُذِ ٱلۡعَفۡوَ وَأۡمُرۡ بِٱلۡعُرۡفِ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡجَٰهِلِينَ
aap dar guzar ko eqtiyaar kare, nek kaam ki taalim de aur jaahelo se ek kinaara ho jaaye
Surah Al-Araf, Verse 199
وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ نَزۡغٞ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
aur agar aap ko koyi was-wasa shaitaan ki taraf se aane lage to Allah ki panaah maang liya ki jiye, bila shuba wo qoob sunne waala qoob jaanne waala hai
Surah Al-Araf, Verse 200
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ إِذَا مَسَّهُمۡ طَـٰٓئِفٞ مِّنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ تَذَكَّرُواْ فَإِذَا هُم مُّبۡصِرُونَ
yaqinan jo log khuda tars29 hai jab un ko koyi qatra shitaan ki taraf se aa jaata hai to wo yaad mein lag jaate hai, so yaka yek un ki aankhe khol jaati hai
Surah Al-Araf, Verse 201
وَإِخۡوَٰنُهُمۡ يَمُدُّونَهُمۡ فِي ٱلۡغَيِّ ثُمَّ لَا يُقۡصِرُونَ
aur jo shayaateen ke taabe hai wo un ko gumraahi mein khinche le jaate hai, pas wo baaz nahi aate
Surah Al-Araf, Verse 202
وَإِذَا لَمۡ تَأۡتِهِم بِـَٔايَةٖ قَالُواْ لَوۡلَا ٱجۡتَبَيۡتَهَاۚ قُلۡ إِنَّمَآ أَتَّبِعُ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ مِن رَّبِّيۚ هَٰذَا بَصَآئِرُ مِن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
aur jab aap koyi maujeza un ke saamne zaaher nahi karte to wo log kehte hai ke aap ye maujeza kyo na laaye? aap farma di jiye! ke main us ka itteba karta hoon jo mujh par mere rab ki taraf se hukm bheja gaya hai, ye goya bahuth si dalile hai tumhaare rab ki taraf se aur hidaayath aur rehmath hai un logo ke liye jo imaan rakhte hai
Surah Al-Araf, Verse 203
وَإِذَا قُرِئَ ٱلۡقُرۡءَانُ فَٱسۡتَمِعُواْ لَهُۥ وَأَنصِتُواْ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
aur jab Qur’aan pada jaya kare to us ki taraf kaan laga diya karo aur qamoosh raha karo, ummid hai ke tum par rehmath ho
Surah Al-Araf, Verse 204
وَٱذۡكُر رَّبَّكَ فِي نَفۡسِكَ تَضَرُّعٗا وَخِيفَةٗ وَدُونَ ٱلۡجَهۡرِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ وَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡغَٰفِلِينَ
aur aye shaqs! apne rab ki yaad kiya kar, apne dil mein aajizi ke saath aur khauf ke saath aur zor ki awaaz ki nisbath kam awaaz ke saath, subah aur shaam aur ahle ghaflat mein se math hona
Surah Al-Araf, Verse 205
إِنَّ ٱلَّذِينَ عِندَ رَبِّكَ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ عَنۡ عِبَادَتِهِۦ وَيُسَبِّحُونَهُۥ وَلَهُۥ يَسۡجُدُونَۤ۩
yaqinan jo tere rab ke nazdeek hai wo us ki ibaadath se takabbur nahi karte aur us ki paaki bayaan karte hai aur us ko sajda karte hai
Surah Al-Araf, Verse 206