Surah Al-Araf - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
الٓمٓصٓ
Alif-laam-meem-suaad
Surah Al-Araf, Verse 1
كِتَٰبٌ أُنزِلَ إِلَيۡكَ فَلَا يَكُن فِي صَدۡرِكَ حَرَجٞ مِّنۡهُ لِتُنذِرَ بِهِۦ وَذِكۡرَىٰ لِلۡمُؤۡمِنِينَ
Yeh aik kitab hai jo aap kay pass iss liye bheji gaee hai kay aap iss kay zariye say darayen so aap kay dil mein iss say bilkul tangi na ho aur naseehat hai eman walon kay liye
Surah Al-Araf, Verse 2
ٱتَّبِعُواْ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡ وَلَا تَتَّبِعُواْ مِن دُونِهِۦٓ أَوۡلِيَآءَۗ قَلِيلٗا مَّا تَذَكَّرُونَ
Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aaee hai aur Allah Taalaa ko chor ker mann gharat sir paraston ki ittabaa mat kero tum log boht hi kum naseehat pakartay ho
Surah Al-Araf, Verse 3
وَكَم مِّن قَرۡيَةٍ أَهۡلَكۡنَٰهَا فَجَآءَهَا بَأۡسُنَا بَيَٰتًا أَوۡ هُمۡ قَآئِلُونَ
Aur boht bastiyon ko hum ney tabah ker diya aur unn per humara azab raat kay waqt phonchaya aisi halat mein kay woh dophare kay waqt aaram mein thay
Surah Al-Araf, Verse 4
فَمَا كَانَ دَعۡوَىٰهُمۡ إِذۡ جَآءَهُم بَأۡسُنَآ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ إِنَّا كُنَّا ظَٰلِمِينَ
So jiss waqt unn per humara azab aaya uss waqt unn kay mun say ba-juz iss kay aur koi baat na nikli kay waqaee hum zalim thay
Surah Al-Araf, Verse 5
فَلَنَسۡـَٔلَنَّ ٱلَّذِينَ أُرۡسِلَ إِلَيۡهِمۡ وَلَنَسۡـَٔلَنَّ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Phir hum unn logon say zaroor poochen gay jin kay pass payghumbar bhejay gaye thay aur hum payghumbaron say zaroor poochen gay
Surah Al-Araf, Verse 6
فَلَنَقُصَّنَّ عَلَيۡهِم بِعِلۡمٖۖ وَمَا كُنَّا غَآئِبِينَ
Phir hum chunkay poori khabar rakhtay hain unn kay roo baroo biyan ker den gay. Aur hum kuch bey khabar na thay
Surah Al-Araf, Verse 7
وَٱلۡوَزۡنُ يَوۡمَئِذٍ ٱلۡحَقُّۚ فَمَن ثَقُلَتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Aur uss roz wazan bhi bar haq hai phir jiss shaks ka palla bhari hoga so aisay log kaamyab hongay
Surah Al-Araf, Verse 8
وَمَنۡ خَفَّتۡ مَوَٰزِينُهُۥ فَأُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُم بِمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَظۡلِمُونَ
Aur jiss shaks ka palla halka hoga so yeh woh log hongay jinhon ney apna nuksan ker liya ba-sabab iss kay kay humari aayaton kay sath zulm kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 9
وَلَقَدۡ مَكَّنَّـٰكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَجَعَلۡنَا لَكُمۡ فِيهَا مَعَٰيِشَۗ قَلِيلٗا مَّا تَشۡكُرُونَ
Aur be-shak hum ney tum ko zamin per rehney ki jagah di aur hum ney tumaharay liye iss mein samaan-e-rizq peda kiya tum log boht hi kum shukar kertay ho
Surah Al-Araf, Verse 10
وَلَقَدۡ خَلَقۡنَٰكُمۡ ثُمَّ صَوَّرۡنَٰكُمۡ ثُمَّ قُلۡنَا لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ ٱسۡجُدُواْ لِأٓدَمَ فَسَجَدُوٓاْ إِلَّآ إِبۡلِيسَ لَمۡ يَكُن مِّنَ ٱلسَّـٰجِدِينَ
Aur hum ney tum ko peda kiya phri hum hi ney tumhari soorat banaee phir hum ney farishton say kaha aadam ko sajda kero so sab ney sajda kiya ba-juz iblees kay woh sajda kerney walon mein shamil na hua
Surah Al-Araf, Verse 11
قَالَ مَا مَنَعَكَ أَلَّا تَسۡجُدَ إِذۡ أَمَرۡتُكَۖ قَالَ أَنَا۠ خَيۡرٞ مِّنۡهُ خَلَقۡتَنِي مِن نَّارٖ وَخَلَقۡتَهُۥ مِن طِينٖ
Haq Taalaa ney farmayato jo sajda nahi kerta to tujh ko iss say kaun amr-e-maaney hai jabkay mein tujh ko hukum dey chuka kehney laga mein iss say behtar hun aap ney mujh ko aag say peda kiya hai aur iss ko aap ney khaak say peda kiya hai
Surah Al-Araf, Verse 12
قَالَ فَٱهۡبِطۡ مِنۡهَا فَمَا يَكُونُ لَكَ أَن تَتَكَبَّرَ فِيهَا فَٱخۡرُجۡ إِنَّكَ مِنَ ٱلصَّـٰغِرِينَ
Haq Taalaa ney farmaya tu aasman say utar tujh ko koi haq hasil nahi kay tu aasman mein reh ker takabbur keray so nikal bey shak to zaleelon mein say hai
Surah Al-Araf, Verse 13
قَالَ أَنظِرۡنِيٓ إِلَىٰ يَوۡمِ يُبۡعَثُونَ
Uss ney kaha mujh ko mohlat dijiye qayamat kay din tak
Surah Al-Araf, Verse 14
قَالَ إِنَّكَ مِنَ ٱلۡمُنظَرِينَ
Allah Taalaa ney farmaya tujh ko mohlat di gaee
Surah Al-Araf, Verse 15
قَالَ فَبِمَآ أَغۡوَيۡتَنِي لَأَقۡعُدَنَّ لَهُمۡ صِرَٰطَكَ ٱلۡمُسۡتَقِيمَ
Uss ney kaha ba-sabab iss kay, kay aap ney mujhay gumrah kiya hai mein qasam khata hun kay mein inn kay liye aap ki seedhi raah per bethon ga
Surah Al-Araf, Verse 16
ثُمَّ لَأٓتِيَنَّهُم مِّنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ وَعَنۡ أَيۡمَٰنِهِمۡ وَعَن شَمَآئِلِهِمۡۖ وَلَا تَجِدُ أَكۡثَرَهُمۡ شَٰكِرِينَ
Phir inn per hamla keroon ga aur inn kay aagay say bhi aur inn kay peechay say bhi aur inn ki dhaani janib say bhi aur inn ki bayen janib say bhi aur aap inn mein say aksar ko shukar guzar na payiye ga
Surah Al-Araf, Verse 17
قَالَ ٱخۡرُجۡ مِنۡهَا مَذۡءُومٗا مَّدۡحُورٗاۖ لَّمَن تَبِعَكَ مِنۡهُمۡ لَأَمۡلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنكُمۡ أَجۡمَعِينَ
Allah Taalaa ney farmaya kay yahan say zaleel-o-khuwar hoker nikal jaa jo shaks inn say mein tera kehna maney ga mein zaroor tum sab say jahannum ko bhar doon ga
Surah Al-Araf, Verse 18
وَيَـٰٓـَٔادَمُ ٱسۡكُنۡ أَنتَ وَزَوۡجُكَ ٱلۡجَنَّةَ فَكُلَا مِنۡ حَيۡثُ شِئۡتُمَا وَلَا تَقۡرَبَا هَٰذِهِ ٱلشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur hum ney hukum diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho. Phir jiss jagah say chahao dono khao aur uss darakht kay pass mat jao werna tum dono zalimon mein say hojao gay
Surah Al-Araf, Verse 19
فَوَسۡوَسَ لَهُمَا ٱلشَّيۡطَٰنُ لِيُبۡدِيَ لَهُمَا مَا وُۥرِيَ عَنۡهُمَا مِن سَوۡءَٰتِهِمَا وَقَالَ مَا نَهَىٰكُمَا رَبُّكُمَا عَنۡ هَٰذِهِ ٱلشَّجَرَةِ إِلَّآ أَن تَكُونَا مَلَكَيۡنِ أَوۡ تَكُونَا مِنَ ٱلۡخَٰلِدِينَ
Phir shetan ney inn dono kay dilon mein waswasa dala takay inn ki sharamgahen jo aik doosray say posheeda thi dono kay roo baroo parda kerdey aur kehney laga kay tumharay rab ney tum dono ko iss darakht say aur kissi sabab say mana nahi farmaya magar mehaz iss waja say kay tum dono kahin farishtay hojao ya kahin hamesha zinda rehney walon mein say na hojao
Surah Al-Araf, Verse 20
وَقَاسَمَهُمَآ إِنِّي لَكُمَا لَمِنَ ٱلنَّـٰصِحِينَ
Aur inn dono kay roo baroo qasam kha li kay yaqeen janiye mein tum dono ka khair khuwa hun
Surah Al-Araf, Verse 21
فَدَلَّىٰهُمَا بِغُرُورٖۚ فَلَمَّا ذَاقَا ٱلشَّجَرَةَ بَدَتۡ لَهُمَا سَوۡءَٰتُهُمَا وَطَفِقَا يَخۡصِفَانِ عَلَيۡهِمَا مِن وَرَقِ ٱلۡجَنَّةِۖ وَنَادَىٰهُمَا رَبُّهُمَآ أَلَمۡ أَنۡهَكُمَا عَن تِلۡكُمَا ٱلشَّجَرَةِ وَأَقُل لَّكُمَآ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لَكُمَا عَدُوّٞ مُّبِينٞ
So inn dono ko fareb say neechay le aaya pus inn dono ney jab darakht ko chakha dono ki sharamgahen aik doosray kay roo baroo bey parda hogayen aur dono apney upper jannat kay pattay jor jor ker rakhne lagay aur inn kay rab ney inn ko pukara mein tum dono ko iss darakht say mana nahi ker chuka tha aur yeh na keh chuka kay shetan tumhara sareeh dushman hai
Surah Al-Araf, Verse 22
قَالَا رَبَّنَا ظَلَمۡنَآ أَنفُسَنَا وَإِن لَّمۡ تَغۡفِرۡ لَنَا وَتَرۡحَمۡنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Dono ney kaha aey humaray rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar tu humari maghfirat na keray ga aur hum per reham na keray ga wo waqaee hum nuksan paney walon mein say hojayen gay
Surah Al-Araf, Verse 23
قَالَ ٱهۡبِطُواْ بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٍ عَدُوّٞۖ وَلَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُسۡتَقَرّٞ وَمَتَٰعٌ إِلَىٰ حِينٖ
Haq Taalaa ney farmaya kay neechay aisi halat mein aajao kay tum bahum aik doosray kay dushman hogay aur tumharay wastay zamin mein rehney ki jagah hai aur nafa hasil kerna hai aik waqt tak
Surah Al-Araf, Verse 24
قَالَ فِيهَا تَحۡيَوۡنَ وَفِيهَا تَمُوتُونَ وَمِنۡهَا تُخۡرَجُونَ
Farmaya tum ko wahan hi zindagi basar kerna hai aur wahan hi marna hai aur issi mein phir nikalay jao gay
Surah Al-Araf, Verse 25
يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ قَدۡ أَنزَلۡنَا عَلَيۡكُمۡ لِبَاسٗا يُوَٰرِي سَوۡءَٰتِكُمۡ وَرِيشٗاۖ وَلِبَاسُ ٱلتَّقۡوَىٰ ذَٰلِكَ خَيۡرٞۚ ذَٰلِكَ مِنۡ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
Aey aadam (alh-e-salam) ki aulad hum ney tumharay liye libas peda kiya jo tumhari sharamgahon ko bhi chupata hai aur mojib-e-zeenat bhi hai aur taqway ka libas yeh iss say barh ker hai. Yeh Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hai takay yeh log yaad rakhen
Surah Al-Araf, Verse 26
يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ لَا يَفۡتِنَنَّكُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ كَمَآ أَخۡرَجَ أَبَوَيۡكُم مِّنَ ٱلۡجَنَّةِ يَنزِعُ عَنۡهُمَا لِبَاسَهُمَا لِيُرِيَهُمَا سَوۡءَٰتِهِمَآۚ إِنَّهُۥ يَرَىٰكُمۡ هُوَ وَقَبِيلُهُۥ مِنۡ حَيۡثُ لَا تَرَوۡنَهُمۡۗ إِنَّا جَعَلۡنَا ٱلشَّيَٰطِينَ أَوۡلِيَآءَ لِلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ
Aey aulad-e-aadam! Shetan tum ko kissi kharabi mein na daal dey jaisa kay uss ney tumharay maa baap ko jannat say bahir kera diya aisi halat mein unn ka libas bhi utarwa diya takay woh inn ko inn ki sharamgahen dikhaye. Woh aur uss ka lashkar tum ko aisay tor per dekhta hai kay tum unn ko nahi dekhta ho. Hum ney shetanon ko unn hi logon ka dost banaya hai jo eman nahi latay
Surah Al-Araf, Verse 27
وَإِذَا فَعَلُواْ فَٰحِشَةٗ قَالُواْ وَجَدۡنَا عَلَيۡهَآ ءَابَآءَنَا وَٱللَّهُ أَمَرَنَا بِهَاۗ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَأۡمُرُ بِٱلۡفَحۡشَآءِۖ أَتَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Aur woh log koi fahash kaam kertay hain to kehtay hain hum ney apney baap dada ko issi tareeq per paya hai aur Allah ney bhi hum ko yehi bataya hai. Aap keh dijiye kay Allah fahash baat ki taleem nahi deta kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ko tum sanad nahi rakhtay
Surah Al-Araf, Verse 28
قُلۡ أَمَرَ رَبِّي بِٱلۡقِسۡطِۖ وَأَقِيمُواْ وُجُوهَكُمۡ عِندَ كُلِّ مَسۡجِدٖ وَٱدۡعُوهُ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَۚ كَمَا بَدَأَكُمۡ تَعُودُونَ
Aap keh dijiye kay meray rab ney hukum diya hai insaf ka aur yeh kay tum her sajda kay waqt apna rukh seedha rakha kero aur Allah Taalaa ki ibadat iss tor per kero kay iss ibadat ko khalis Allah hi kay wastay rakho. Tum ko Allah ney jiss tarah shuroo mein peda kiya tha issi tarah tum doobara peda hogay
Surah Al-Araf, Verse 29
فَرِيقًا هَدَىٰ وَفَرِيقًا حَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلضَّلَٰلَةُۚ إِنَّهُمُ ٱتَّخَذُواْ ٱلشَّيَٰطِينَ أَوۡلِيَآءَ مِن دُونِ ٱللَّهِ وَيَحۡسَبُونَ أَنَّهُم مُّهۡتَدُونَ
Baaz logon ko Allah ney hidayat di hai aur baaz per gumrahi sabit hogaee hai. Inn logon ney Allah Taalaa ko chor ker shetanon ko dost bana liya hai aur khayal rakhtay hain kay woh raast per hain
Surah Al-Araf, Verse 30
۞يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ خُذُواْ زِينَتَكُمۡ عِندَ كُلِّ مَسۡجِدٖ وَكُلُواْ وَٱشۡرَبُواْ وَلَا تُسۡرِفُوٓاْۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
Aey aulad-e-aadam! Tum masjid ki her hazri kay waqt apna libas pehan liya kero. Aur khoob khao aur piyo aur hadd say mat niklo. Be-shak Allah hadd say nikal janey walon ko pasand nahi kerta
Surah Al-Araf, Verse 31
قُلۡ مَنۡ حَرَّمَ زِينَةَ ٱللَّهِ ٱلَّتِيٓ أَخۡرَجَ لِعِبَادِهِۦ وَٱلطَّيِّبَٰتِ مِنَ ٱلرِّزۡقِۚ قُلۡ هِيَ لِلَّذِينَ ءَامَنُواْ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا خَالِصَةٗ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِۗ كَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Aap farmaiye kay Allah Taalaa kay peda kiye huye asbaab-e-zeenat ko jin ko uss ney apney bandon kay wastay banaya hai aur khaney peenay ki halal cheezon ko kiss shaks ney haram kiya hai? Aap keh dijiye kay yeh ashiya iss tor per kay qayamat kay roz khalis hongi ehal-e-eman kay liye dunyawi zindagi mein mominon kay liye bhi hain. Hum issi tarah tamam aayaat ko samajh daron kay wastay saaf saaf biyan kertay hain
Surah Al-Araf, Verse 32
قُلۡ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَ وَٱلۡإِثۡمَ وَٱلۡبَغۡيَ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَأَن تُشۡرِكُواْ بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗا وَأَن تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi
Surah Al-Araf, Verse 33
وَلِكُلِّ أُمَّةٍ أَجَلٞۖ فَإِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ لَا يَسۡتَأۡخِرُونَ سَاعَةٗ وَلَا يَسۡتَقۡدِمُونَ
Aur her giroh kay liye aik miyaad-e-moyyen hai so jiss waqt inn ki miyaad-e-moyyen aajayegi uss waqt aik sa’at na peechay hatt saken gay aur na aagay barh saken gay
Surah Al-Araf, Verse 34
يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ إِمَّا يَأۡتِيَنَّكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَقُصُّونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِي فَمَنِ ٱتَّقَىٰ وَأَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Aey aulad-e-aadam! Agar tumharay pass payghumbar aayen jo tum hi mein say hon jo meray ehkaam tum say biyan keren to jo shaks taqwa ikhtiyar keray aur durusti keray so inn logon per na kuch andesha hai aur na woh ghumgeen hongay
Surah Al-Araf, Verse 35
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱسۡتَكۡبَرُواْ عَنۡهَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur jo log humaray inn ehkaam ko jhutlayen aur inn say takabbur keren woh log dozakh walay hongay woh iss mein hamesha hamesha rahen gay
Surah Al-Araf, Verse 36
فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ يَنَالُهُمۡ نَصِيبُهُم مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا يَتَوَفَّوۡنَهُمۡ قَالُوٓاْ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالُواْ ضَلُّواْ عَنَّا وَشَهِدُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰفِرِينَ
So uss shaks say ziyada zalim kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot banadhay ya uss ki aayaton ko jhoota bataye inn logon kay naseeb ka jo kuch kitab say hai woh inn ko mill jayega yahan tak kay jab inn kay pass humaray bhejay huye farishtay inn ki jaan qabz kerney aayen gay to kahen gay woh kahan gaye jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay thay woh kahen gay kay hum say sab ghaeeb hogaye aur apney kafir honey ka iqrar keren gay
Surah Al-Araf, Verse 37
قَالَ ٱدۡخُلُواْ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِكُم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ فِي ٱلنَّارِۖ كُلَّمَا دَخَلَتۡ أُمَّةٞ لَّعَنَتۡ أُخۡتَهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا ٱدَّارَكُواْ فِيهَا جَمِيعٗا قَالَتۡ أُخۡرَىٰهُمۡ لِأُولَىٰهُمۡ رَبَّنَا هَـٰٓؤُلَآءِ أَضَلُّونَا فَـَٔاتِهِمۡ عَذَابٗا ضِعۡفٗا مِّنَ ٱلنَّارِۖ قَالَ لِكُلّٖ ضِعۡفٞ وَلَٰكِن لَّا تَعۡلَمُونَ
Allah Taalaa farmaye ga jo firqay tum say pehlay guzar chukay hain jinnaat mein say bhi aur aadmiyon mein say bhi unn kay sath tum bhi dozakh mein jao. Jiss waqt bhi koi jamat dakhil hogi apni doosti jamat ko laanat keray gi yahan tak kay jab iss mein sab jama hojayen gay to pichlay log pehlay logon ki nisbat kahen gay kay humaray perwerdigar hum ko inn logon ney gumrah kiya tha so inn ko dozakh ka azab dugna dey. Allah Taala farmaye ga sab hi ka dugna hai lekin tum ko khabar nahi
Surah Al-Araf, Verse 38
وَقَالَتۡ أُولَىٰهُمۡ لِأُخۡرَىٰهُمۡ فَمَا كَانَ لَكُمۡ عَلَيۡنَا مِن فَضۡلٖ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡسِبُونَ
Aur pehlay log pichlay logon say kahen gay kay phir tum ko hum per koi foqiyat nahi so tum bhi apni kamaee kay badlay mein azab ka maza chakho
Surah Al-Araf, Verse 39
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱسۡتَكۡبَرُواْ عَنۡهَا لَا تُفَتَّحُ لَهُمۡ أَبۡوَٰبُ ٱلسَّمَآءِ وَلَا يَدۡخُلُونَ ٱلۡجَنَّةَ حَتَّىٰ يَلِجَ ٱلۡجَمَلُ فِي سَمِّ ٱلۡخِيَاطِۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say takbbur kiya unn kay liye aasman kay darwazay na kholay jayen gay aur woh log kabhi jannat mein na jayengay jab tak oont sui kay nakay kay andar say na chala jaye aur hum mujrim logon ko aisi hi saza detay hain
Surah Al-Araf, Verse 40
لَهُم مِّن جَهَنَّمَ مِهَادٞ وَمِن فَوۡقِهِمۡ غَوَاشٖۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلظَّـٰلِمِينَ
Unn kay liye aatish-e-dozakh ka bichona hoga aur unn kay upper (issi) ka ordhna hoga aur hum aisay zalimon ko aisi hi saza detay hain
Surah Al-Araf, Verse 41
وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِۖ هُمۡ فِيهَا خَٰلِدُونَ
Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye hum kissi shaks ko uss ki qudrat say ziyada kissi ka mukallaf nahi banatay wohi log jannat walay hain aur woh iss mein hamesha hamesha rahen gay
Surah Al-Araf, Verse 42
وَنَزَعۡنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنۡ غِلّٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمُ ٱلۡأَنۡهَٰرُۖ وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي هَدَىٰنَا لِهَٰذَا وَمَا كُنَّا لِنَهۡتَدِيَ لَوۡلَآ أَنۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُۖ لَقَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِٱلۡحَقِّۖ وَنُودُوٓاْ أَن تِلۡكُمُ ٱلۡجَنَّةُ أُورِثۡتُمُوهَا بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aur jo kuch inn kay dilon mein (keena) tha hum uss ko door ker den gay. Inn kay neechay nehren jari hongi. Aur woh log kahen gay kay Allah ka (lakh lakh) shukar hai jiss ney hum ko iss moqam tak phonchaya aur humari kabhi rasaee na hoti agar Allah Taalaa hum ko na pehchanta. Waqaee humaray rab kay payghumbar sachi baaten ley ker aaye thay. Aur inn say pukar ker kaha jayega iss jannata kay tum waris banaye gaye ho apney aemaal kay badlay
Surah Al-Araf, Verse 43
وَنَادَىٰٓ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَنَّةِ أَصۡحَٰبَ ٱلنَّارِ أَن قَدۡ وَجَدۡنَا مَا وَعَدَنَا رَبُّنَا حَقّٗا فَهَلۡ وَجَدتُّم مَّا وَعَدَ رَبُّكُمۡ حَقّٗاۖ قَالُواْ نَعَمۡۚ فَأَذَّنَ مُؤَذِّنُۢ بَيۡنَهُمۡ أَن لَّعۡنَةُ ٱللَّهِ عَلَى ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aue ehal-e-jannat ehal-e-dozakh ko pukaren gay kay hum say jo humaray rab ney wada farmaya tha hum ney to uss ko waqiyey kay mutabiq paya so tum say jo tumharay rab ney wada kiya tha tum ney bhi uss ko waqiyey kay mutabiq paya? Woh kahen gay haan phir aik pukarney wala dono kay darmiyan mein pukaray ga kay Allah ki maar ho inn zalimon per
Surah Al-Araf, Verse 44
ٱلَّذِينَ يَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ وَيَبۡغُونَهَا عِوَجٗا وَهُم بِٱلۡأٓخِرَةِ كَٰفِرُونَ
Jo Allah ki raah say aeyraaz kertay thay aur iss mein kuji talash kertay thay aur woh log aakhirat kay bhi munkir thay
Surah Al-Araf, Verse 45
وَبَيۡنَهُمَا حِجَابٞۚ وَعَلَى ٱلۡأَعۡرَافِ رِجَالٞ يَعۡرِفُونَ كُلَّۢا بِسِيمَىٰهُمۡۚ وَنَادَوۡاْ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ أَن سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡۚ لَمۡ يَدۡخُلُوهَا وَهُمۡ يَطۡمَعُونَ
Aur inn dono kay darmiyan aik aarr hogi aur aeyraaf kay upper boht say aadmi hongay woh log her aik ko unn kay qayafa say pehchaney gay aue ehal-e-jannat ko pukar ker kahen gay asslam-o-alaikum! Abhi yeh ehal-e-aeyraaf jannat mein dakhil nahi huye hongay aur iss kay umeed waar hongay
Surah Al-Araf, Verse 46
۞وَإِذَا صُرِفَتۡ أَبۡصَٰرُهُمۡ تِلۡقَآءَ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِ قَالُواْ رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jab inn ki nigahen ehal-e-dozakh ki taraf phiren gi to kahen gay aey humaray rab! Hum ko inn zalim logon kay sath shamil na ker
Surah Al-Araf, Verse 47
وَنَادَىٰٓ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأَعۡرَافِ رِجَالٗا يَعۡرِفُونَهُم بِسِيمَىٰهُمۡ قَالُواْ مَآ أَغۡنَىٰ عَنكُمۡ جَمۡعُكُمۡ وَمَا كُنتُمۡ تَسۡتَكۡبِرُونَ
Aur ehal-e-aeyraaf boht say aadmiyon ko jin ko unn kay qayafa say pehchanen gay pukaren gay kahen gay kay tumhari jamat aur tumhara apney ko bara samajhna tumharay kuch kaam na aaya
Surah Al-Araf, Verse 48
أَهَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَقۡسَمۡتُمۡ لَا يَنَالُهُمُ ٱللَّهُ بِرَحۡمَةٍۚ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡجَنَّةَ لَا خَوۡفٌ عَلَيۡكُمۡ وَلَآ أَنتُمۡ تَحۡزَنُونَ
Kiye yeh wohi hai jin ki nisbat tum qasmen kha kha ker kaha kertay thay kay Allah Taalaa inn per rehmat na keray ga inn ko yun hukum hoga kay jao jannat mein tum per na kuch khof hai aur na tum maghmoom hogay
Surah Al-Araf, Verse 49
وَنَادَىٰٓ أَصۡحَٰبُ ٱلنَّارِ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ أَنۡ أَفِيضُواْ عَلَيۡنَا مِنَ ٱلۡمَآءِ أَوۡ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُۚ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ حَرَّمَهُمَا عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aur dozakh walay jannat walon ko pukaren gay kay humaray upper thora pani hi daal do ya aur hi kuch dey do jo Allah ney tum ko dey rakha hai. Jannat walay kahen gay kay Allah Taalaa ney dono cheezon ki kafiron kay liye bandish ker di hai
Surah Al-Araf, Verse 50
ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَهۡوٗا وَلَعِبٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ فَٱلۡيَوۡمَ نَنسَىٰهُمۡ كَمَا نَسُواْ لِقَآءَ يَوۡمِهِمۡ هَٰذَا وَمَا كَانُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَجۡحَدُونَ
Jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha tha aur jin ko dunyawi zindagi dhokay mein daal rakha tha. So hum (bhi) aaj kay roz unn ka naam bhool jayengay jaisa kay woh iss din ko bhool gaye aur jaisa yeh humari aayaton ka inkar kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 51
وَلَقَدۡ جِئۡنَٰهُم بِكِتَٰبٖ فَصَّلۡنَٰهُ عَلَىٰ عِلۡمٍ هُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur hum ney inn logon kay pass aik aisi kitab phoncha di hai jiss ko hum ney apney ilm-e-kaamil say boht wazeh ker kay biyan ker diya hai woh zariya-e-hidayat aur rehmat unn logon kay liye hai jo eman laye hain
Surah Al-Araf, Verse 52
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا تَأۡوِيلَهُۥۚ يَوۡمَ يَأۡتِي تَأۡوِيلُهُۥ يَقُولُ ٱلَّذِينَ نَسُوهُ مِن قَبۡلُ قَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِٱلۡحَقِّ فَهَل لَّنَا مِن شُفَعَآءَ فَيَشۡفَعُواْ لَنَآ أَوۡ نُرَدُّ فَنَعۡمَلَ غَيۡرَ ٱلَّذِي كُنَّا نَعۡمَلُۚ قَدۡ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Inn logon ko aur kissi baat ka intizar nahi sirf iss kay akheet nateejay ka intizar hai jiss roz iss ka akheet nateeja paish aaye ga aur uss roz jo log iss ko pehlay say bhoolay huye thay yun kahen gay kay waqaee humaray rab kay payghumbar sachi sachi baaten laye thay so abb kiya koi humara sifarshi hai kay woh humari sifarish ker dey ya kiya hum phir wapis bhejay jaa saktay hain takay hum log unn aemaal kay jo hum kiya kertay thay bar khilaf doosray aemaal keren. Be-shak inn logon ney apney aap ko khasaray mein daal diya aur yeh jo jo baaten tarashtay thay sab gum hogaeen
Surah Al-Araf, Verse 53
إِنَّ رَبَّكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يُغۡشِي ٱلَّيۡلَ ٱلنَّهَارَ يَطۡلُبُهُۥ حَثِيثٗا وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ وَٱلنُّجُومَ مُسَخَّرَٰتِۭ بِأَمۡرِهِۦٓۗ أَلَا لَهُ ٱلۡخَلۡقُ وَٱلۡأَمۡرُۗ تَبَارَكَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai
Surah Al-Araf, Verse 54
ٱدۡعُواْ رَبَّكُمۡ تَضَرُّعٗا وَخُفۡيَةًۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
Tum log apney perwerdigar say dua kiya kero girr gira kerkay bhi aur chupkay chupkay bhi. Waqaee Allah Taalaa unn logon ko na pasand kerta hai jo hadd say nikal jayen
Surah Al-Araf, Verse 55
وَلَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بَعۡدَ إِصۡلَٰحِهَا وَٱدۡعُوهُ خَوۡفٗا وَطَمَعًاۚ إِنَّ رَحۡمَتَ ٱللَّهِ قَرِيبٞ مِّنَ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Aur duniya mein iss kay iss ki durusti kerdi gaee hai fasaad mat phelao aur tum Allah ki ibadat kero uss say dartay huye aur umeed waar rehtay huye. Be-shak Allah Taalaa ki rehmat nek kaam kerney walon kay nazdik hai
Surah Al-Araf, Verse 56
وَهُوَ ٱلَّذِي يُرۡسِلُ ٱلرِّيَٰحَ بُشۡرَۢا بَيۡنَ يَدَيۡ رَحۡمَتِهِۦۖ حَتَّىٰٓ إِذَآ أَقَلَّتۡ سَحَابٗا ثِقَالٗا سُقۡنَٰهُ لِبَلَدٖ مَّيِّتٖ فَأَنزَلۡنَا بِهِ ٱلۡمَآءَ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ مِن كُلِّ ٱلثَّمَرَٰتِۚ كَذَٰلِكَ نُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Aur woh aisa hai kay apni baaraan-e-rehmat say pehlay hawaon ko bhejta hai kay woh khush ker deti hain yahan tak kay woh hawayen jab badlon ko utha leti hain to hum iss badal ko kissi khushk sir zamin ki taraf haank ley jatay hain phir iss badal say pani barsatay hain phir iss pani say her qisam kay phal nikaltay hain. Yun hi hum murdon ko nikal khara keren gay takay tum samjho
Surah Al-Araf, Verse 57
وَٱلۡبَلَدُ ٱلطَّيِّبُ يَخۡرُجُ نَبَاتُهُۥ بِإِذۡنِ رَبِّهِۦۖ وَٱلَّذِي خَبُثَ لَا يَخۡرُجُ إِلَّا نَكِدٗاۚ كَذَٰلِكَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَشۡكُرُونَ
Aur jo suthri sir zamin hoti hai uss ki peda waar to Allah kay hukum say khoob nikalti hai aur jo kaharab hai ussi ki peda waar boht kum nikalti hai issi tarah hum dalaeel ko tarah tarah say biyan kertay hain unn logon kay liye jo shukar kertay hain
Surah Al-Araf, Verse 58
لَقَدۡ أَرۡسَلۡنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ فَقَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓ إِنِّيٓ أَخَافُ عَلَيۡكُمۡ عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf bheja to unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi mabood honey kay qabil nahi mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai
Surah Al-Araf, Verse 59
قَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِهِۦٓ إِنَّا لَنَرَىٰكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Unn ki qom kay baray logon ney kaha hum tum ko sareeh ghalati mein dekhtay hain
Surah Al-Araf, Verse 60
قَالَ يَٰقَوۡمِ لَيۡسَ بِي ضَلَٰلَةٞ وَلَٰكِنِّي رَسُولٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Unhon ney farmaya kay aey meri qom! Mujh mein to zara bhi gumrahi nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka rasool hun
Surah Al-Araf, Verse 61
أُبَلِّغُكُمۡ رِسَٰلَٰتِ رَبِّي وَأَنصَحُ لَكُمۡ وَأَعۡلَمُ مِنَ ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Tum ko apney perwerdigar ka payghaam phonchata hun aur tumhari khair khuwaee kerta hun aur mein Allah ki taraf say unn umoor ki khabar rakhta hun jin ki tum ko khabar nahi
Surah Al-Araf, Verse 62
أَوَعَجِبۡتُمۡ أَن جَآءَكُمۡ ذِكۡرٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنكُمۡ لِيُنذِرَكُمۡ وَلِتَتَّقُواْ وَلَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur takay tum darr jao aur takay tum per reham kiya jaye
Surah Al-Araf, Verse 63
فَكَذَّبُوهُ فَأَنجَيۡنَٰهُ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥ فِي ٱلۡفُلۡكِ وَأَغۡرَقۡنَا ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمًا عَمِينَ
So woh log unn ki takzeeb hi kertay rahey to hum ney nooh (alh-e-salam) ko aur unn ko jo unn kay sath kashti mein thay bacha liya aur jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko hum ney gharq ker diya. Be-shal woh log andhay horahey thay
Surah Al-Araf, Verse 64
۞وَإِلَىٰ عَادٍ أَخَاهُمۡ هُودٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥٓۚ أَفَلَا تَتَّقُونَ
Aur hum ney qom-e-aad ki taraf unn kay bhai hood (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi so kiya tum nahi dartay
Surah Al-Araf, Verse 65
قَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦٓ إِنَّا لَنَرَىٰكَ فِي سَفَاهَةٖ وَإِنَّا لَنَظُنُّكَ مِنَ ٱلۡكَٰذِبِينَ
Unn ki qom mein jo baray log kafir thay unhon ney kaha hum tum ko kum aqali mein dekhtay hain. Aur hum be-shak tum ko jhootay logon mein samajhtay hain
Surah Al-Araf, Verse 66
قَالَ يَٰقَوۡمِ لَيۡسَ بِي سَفَاهَةٞ وَلَٰكِنِّي رَسُولٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Unhon ney farmaya aey meri qom! Mujh mein zara bhi kum aqali nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka bheja hua payghumbar hun
Surah Al-Araf, Verse 67
أُبَلِّغُكُمۡ رِسَٰلَٰتِ رَبِّي وَأَنَا۠ لَكُمۡ نَاصِحٌ أَمِينٌ
Tum ko apney perwerdigar kay paygham phonchata hun aur mein tumhara amanatdaar aur khair khuwa hun
Surah Al-Araf, Verse 68
أَوَعَجِبۡتُمۡ أَن جَآءَكُمۡ ذِكۡرٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنكُمۡ لِيُنذِرَكُمۡۚ وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ جَعَلَكُمۡ خُلَفَآءَ مِنۢ بَعۡدِ قَوۡمِ نُوحٖ وَزَادَكُمۡ فِي ٱلۡخَلۡقِ بَصۜۡطَةٗۖ فَٱذۡكُرُوٓاْ ءَالَآءَ ٱللَّهِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur tum yeh halat yaad kero kay Allah ney tum ko qom-e-nooh kay baad ja nasheen banaya aur deel dol mein tum ko phelao ziyada diya so Allah ki nematon ko yaad kero takay tum ko falah ho
Surah Al-Araf, Verse 69
قَالُوٓاْ أَجِئۡتَنَا لِنَعۡبُدَ ٱللَّهَ وَحۡدَهُۥ وَنَذَرَ مَا كَانَ يَعۡبُدُ ءَابَآؤُنَا فَأۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Unhon ney kaha kiya aap humaray pass iss wastay aaye hain kay hum sirf Allah hi ki ibadat keren aur jin ko humaray baap dada poojtay thay unn ko chor den pus hum ko jiss azab ki dhamki detay ho uss ko humaray pass mangwa do agar tum sachay ho
Surah Al-Araf, Verse 70
قَالَ قَدۡ وَقَعَ عَلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡ رِجۡسٞ وَغَضَبٌۖ أَتُجَٰدِلُونَنِي فِيٓ أَسۡمَآءٖ سَمَّيۡتُمُوهَآ أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُم مَّا نَزَّلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلۡطَٰنٖۚ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ
Unhon ney farmaya kay bus abb tum per Allah ki taraf say azab aur ghazab aaya hi chahata hai kiya tum mujh say aisay naamon kay baab mein jhagartay ho jin ko tum ney aur tumharay baap dadon ney thehra liya hai? Unn kay mabood honey ko Allah ney koi daleel nahi bheji. So tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intizar ker raha hun
Surah Al-Araf, Verse 71
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَٱلَّذِينَ مَعَهُۥ بِرَحۡمَةٖ مِّنَّا وَقَطَعۡنَا دَابِرَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۖ وَمَا كَانُواْ مُؤۡمِنِينَ
Gharz hum ney unn ko aur unn kay sathiyon ko apni rehmat say bacha liya aur unn logon ki jarr kaat di jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha aur woh eman laney walay na thay
Surah Al-Araf, Verse 72
وَإِلَىٰ ثَمُودَ أَخَاهُمۡ صَٰلِحٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥۖ قَدۡ جَآءَتۡكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡۖ هَٰذِهِۦ نَاقَةُ ٱللَّهِ لَكُمۡ ءَايَةٗۖ فَذَرُوهَا تَأۡكُلۡ فِيٓ أَرۡضِ ٱللَّهِۖ وَلَا تَمَسُّوهَا بِسُوٓءٖ فَيَأۡخُذَكُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aur hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi tumhara mabood nahi. Tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say aik wazeh daleel aa chuki hai. Yeh oontni hai Allah ki jo tumharay liye daleel hai so iss ko chor do kay Allah Taalaa ki zamin mein khati phiray aur issko buraee kay sath haath bhi na lagana kay kahin tum ko dard naak azab aa pakray
Surah Al-Araf, Verse 73
وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ جَعَلَكُمۡ خُلَفَآءَ مِنۢ بَعۡدِ عَادٖ وَبَوَّأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ تَتَّخِذُونَ مِن سُهُولِهَا قُصُورٗا وَتَنۡحِتُونَ ٱلۡجِبَالَ بُيُوتٗاۖ فَٱذۡكُرُوٓاْ ءَالَآءَ ٱللَّهِ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ
Aur tum yeh halat yaad kero kay Allah Taalaa ney tum ko aad kay baad janasheen banaya aur tum ko zamin per rehney ka thikana diya kay naram zamin per mehal banatay ho aur paharon ko taraash taraash ker unn mein ghar banatay ho so Allah Taalaa ki nematon ko yaad kero aur zamin mein fasaad mat phelao
Surah Al-Araf, Verse 74
قَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ لِلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ لِمَنۡ ءَامَنَ مِنۡهُمۡ أَتَعۡلَمُونَ أَنَّ صَٰلِحٗا مُّرۡسَلٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قَالُوٓاْ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلَ بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
Unn ki qom mein jo mutakabbir sardar thay unhon ney gharib logon say jo kay inn mein say eman ley aaye thay poocha kiya tum ko iss baat ka yaqeen hai kay saleh (alh-e-salam) apney rab ki taraf say bhejay huye hain? Unhon ney kaha kay be-shak hum to iss per poora yaqeen rakhtay hain jo inn ko dey ker bheja gaya hai
Surah Al-Araf, Verse 75
قَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُوٓاْ إِنَّا بِٱلَّذِيٓ ءَامَنتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
Woh mutakabbir log kehney lagay kay tum jiss baat per yaqeen laye ho hum to iss kay munkir hain
Surah Al-Araf, Verse 76
فَعَقَرُواْ ٱلنَّاقَةَ وَعَتَوۡاْ عَنۡ أَمۡرِ رَبِّهِمۡ وَقَالُواْ يَٰصَٰلِحُ ٱئۡتِنَا بِمَا تَعِدُنَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Pus unhon ney uss oontni ko maar dala aur apney perwerdigar kay hukum say sirkashi ki aur kehney lagay kay aey saleh! Jiss ki aap hum ko dhamki detay thay uss ko mangwaiye agar aap payghumbar hain
Surah Al-Araf, Verse 77
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ فَأَصۡبَحُواْ فِي دَارِهِمۡ جَٰثِمِينَ
Pus unn ko zalzalay ney aa pakra aur woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye
Surah Al-Araf, Verse 78
فَتَوَلَّىٰ عَنۡهُمۡ وَقَالَ يَٰقَوۡمِ لَقَدۡ أَبۡلَغۡتُكُمۡ رِسَالَةَ رَبِّي وَنَصَحۡتُ لَكُمۡ وَلَٰكِن لَّا تُحِبُّونَ ٱلنَّـٰصِحِينَ
Uss waqt (saleh alh-e-salam) unn say mun mor ker chalay aur farmaney lagay aey meri qom! Mein to tum ko apney perwerdigar ka hukum phoncha diya tha aur mein ney tumhari khair khuwahi ki lekin tum log khair khuwahon ko pasand nahi kertay
Surah Al-Araf, Verse 79
وَلُوطًا إِذۡ قَالَ لِقَوۡمِهِۦٓ أَتَأۡتُونَ ٱلۡفَٰحِشَةَ مَا سَبَقَكُم بِهَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko bheja jabkay unhon ney apni qom say farmaya tum aisa fahash kaam kertay ho jiss ko tum say pehlay kissi ney duniya jahaan walon mein say nahi kiya
Surah Al-Araf, Verse 80
إِنَّكُمۡ لَتَأۡتُونَ ٱلرِّجَالَ شَهۡوَةٗ مِّن دُونِ ٱلنِّسَآءِۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ مُّسۡرِفُونَ
Tum mardon kay sath shewat rani kertay ho aurton ko chor ker bulkay tum to hadd hi say guzar gaye ho
Surah Al-Araf, Verse 81
وَمَا كَانَ جَوَابَ قَوۡمِهِۦٓ إِلَّآ أَن قَالُوٓاْ أَخۡرِجُوهُم مِّن قَرۡيَتِكُمۡۖ إِنَّهُمۡ أُنَاسٞ يَتَطَهَّرُونَ
Aur unn ki qom say koi jawab na bann para ba-juz iss kay, kay aapas mein kehney lagay kay inn logon ko apni basti say nikal do. Yeh log baray pak saaf bantay hain
Surah Al-Araf, Verse 82
فَأَنجَيۡنَٰهُ وَأَهۡلَهُۥٓ إِلَّا ٱمۡرَأَتَهُۥ كَانَتۡ مِنَ ٱلۡغَٰبِرِينَ
So hum ney loot (alh-e-salam) ko aur unn kay ghar walon ko bacha liya ba-juz unn ki biwi kay, kay woh unn hi logon mein rahi jo azab mein reh gaye thay
Surah Al-Araf, Verse 83
وَأَمۡطَرۡنَا عَلَيۡهِم مَّطَرٗاۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Aur hum ney unn per khaas tarah ka meenh barsaya pus dekho to sahi inn mujrimon ka anjam kaisa hua
Surah Al-Araf, Verse 84
وَإِلَىٰ مَدۡيَنَ أَخَاهُمۡ شُعَيۡبٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥۖ قَدۡ جَآءَتۡكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡۖ فَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ وَلَا تَبۡخَسُواْ ٱلنَّاسَ أَشۡيَآءَهُمۡ وَلَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بَعۡدَ إِصۡلَٰحِهَاۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aur hum ney madiyan ki taraf unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero iss kay siwa koi tumhara mabood nahi tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say wazeh daleel aa chuki hai. Pus tum naap aur tol poora poora kiya kero aur logon ko unn ki cheezen kum kerkay mat do aur ruy-e-zamin mein iss kay baad kay iss ki durusti ker di gaee fasaad mat phelao yeh tumharay liye naafay hai agar tum tasdeeq kero
Surah Al-Araf, Verse 85
وَلَا تَقۡعُدُواْ بِكُلِّ صِرَٰطٖ تُوعِدُونَ وَتَصُدُّونَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِ مَنۡ ءَامَنَ بِهِۦ وَتَبۡغُونَهَا عِوَجٗاۚ وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ كُنتُمۡ قَلِيلٗا فَكَثَّرَكُمۡۖ وَٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Aur tum sarkaon per iss gharz say nahi betha kero kay Allah per eman laney walay ko dhamkiyan do aur Allah ki raah say roko aur iss mein kuji ki talash mein lagay raho. Aur uss halat ko yaad kero jabkay tum kum thay phir Allah ney tum ko ziyada ker diya aur dekho kay kaisa anjam hua fasaad kerney walon ka
Surah Al-Araf, Verse 86
وَإِن كَانَ طَآئِفَةٞ مِّنكُمۡ ءَامَنُواْ بِٱلَّذِيٓ أُرۡسِلۡتُ بِهِۦ وَطَآئِفَةٞ لَّمۡ يُؤۡمِنُواْ فَٱصۡبِرُواْ حَتَّىٰ يَحۡكُمَ ٱللَّهُ بَيۡنَنَاۚ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡحَٰكِمِينَ
Aur agar tum say kuch log iss hukum per jiss ko dey ker mujh ko bheja gaya eman ley aaye hain aur kuch eman nahi laye hain to zara thehar jao! Yahan tak kay humaray darmiyan Allah faisla kiye deta hai aur woh sab faisla kerney walon say behtar hai
Surah Al-Araf, Verse 87
۞قَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ لَنُخۡرِجَنَّكَ يَٰشُعَيۡبُ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَعَكَ مِن قَرۡيَتِنَآ أَوۡ لَتَعُودُنَّ فِي مِلَّتِنَاۚ قَالَ أَوَلَوۡ كُنَّا كَٰرِهِينَ
Unn ki qom kay mutakabbir sardaron ney kaha aey shoaib! Hum aap ko aur jo aap kay humrah eman laye hain unn ko apni basti say nikal den gay illa yeh kay tum humaray mazhab mein phir aajao. Shoaib (alh-e-salam) ney jawab diya kay kiya hum tumharay mazhab mein aajayen go hum iss ko makrooh hi samajhtay hon
Surah Al-Araf, Verse 88
قَدِ ٱفۡتَرَيۡنَا عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا إِنۡ عُدۡنَا فِي مِلَّتِكُم بَعۡدَ إِذۡ نَجَّىٰنَا ٱللَّهُ مِنۡهَاۚ وَمَا يَكُونُ لَنَآ أَن نَّعُودَ فِيهَآ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُ رَبُّنَاۚ وَسِعَ رَبُّنَا كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمًاۚ عَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡنَاۚ رَبَّنَا ٱفۡتَحۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ قَوۡمِنَا بِٱلۡحَقِّ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡفَٰتِحِينَ
Hum Allah Taalaa per bari jhooti tohmat laganey walay hojayen gay agar hum tumharay deen mein aajayen iss kay baad kay Allah Taalaa ney hum ko iss say nijat di aur hum say mumkin nahi kay tumharay mazhab mein phir aajayen lekin haan yeh kay Allah hi ney humara maalik hai muqaddar kiya ho. Humaray rab kay ilm her cheez per moheet hai hum Allah hi per bharosa rakhtay hain. Aey humaray perwerdigar! Humaray aur humari qom kay darmiyan haq kay moafiq faisla ker dey aur tu sab say acha faisla kerney wala hai
Surah Al-Araf, Verse 89
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن قَوۡمِهِۦ لَئِنِ ٱتَّبَعۡتُمۡ شُعَيۡبًا إِنَّكُمۡ إِذٗا لَّخَٰسِرُونَ
Aur unn ki qom kay kafir sardaron ney kaha agar tum shoaib (alh-e-salam) ki raah per chalo gay to be-shak bara nuksan uthao gay
Surah Al-Araf, Verse 90
فَأَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ فَأَصۡبَحُواْ فِي دَارِهِمۡ جَٰثِمِينَ
Pus unn ko zalzalay ney aa pakra so woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye
Surah Al-Araf, Verse 91
ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ شُعَيۡبٗا كَأَن لَّمۡ يَغۡنَوۡاْ فِيهَاۚ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ شُعَيۡبٗا كَانُواْ هُمُ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi unn ki yeh halat hogaee jaisay inn gharon mein kabhi basay hi na thay. Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi wohi kahasaray mein parr gaye
Surah Al-Araf, Verse 92
فَتَوَلَّىٰ عَنۡهُمۡ وَقَالَ يَٰقَوۡمِ لَقَدۡ أَبۡلَغۡتُكُمۡ رِسَٰلَٰتِ رَبِّي وَنَصَحۡتُ لَكُمۡۖ فَكَيۡفَ ءَاسَىٰ عَلَىٰ قَوۡمٖ كَٰفِرِينَ
Uss waqt shoaib (alh-e-salam) unn say mun mor ker chalay aur farmaney lagay kay aey meri qom! Mein ney tum ko apney perwerdigar kay ehkaam phoncha diye thay aur mein ney tumhari khair khuwahi ki. Phir mein inn kafir logon per kiyon ranj keroon
Surah Al-Araf, Verse 93
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّبِيٍّ إِلَّآ أَخَذۡنَآ أَهۡلَهَا بِٱلۡبَأۡسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ لَعَلَّهُمۡ يَضَّرَّعُونَ
Aur hum ney kissi basti mein koi nabi nahi bheja kay wahan kay rehney walon ko hum ney sakhti aur takleef mein na pakra hota kay woh girr girayen
Surah Al-Araf, Verse 94
ثُمَّ بَدَّلۡنَا مَكَانَ ٱلسَّيِّئَةِ ٱلۡحَسَنَةَ حَتَّىٰ عَفَواْ وَّقَالُواْ قَدۡ مَسَّ ءَابَآءَنَا ٱلضَّرَّآءُ وَٱلسَّرَّآءُ فَأَخَذۡنَٰهُم بَغۡتَةٗ وَهُمۡ لَا يَشۡعُرُونَ
Phir hum ney uss bad haali ki jagah khushaali badal di yahan tak kay unn ko khoob taraqqi hui aur kehney lagay kay humaray aaba-o-ajdaad ko bhi tangi aur rahat paish aaee thi to hum ne unn ko dafatan pkara liya aur unn ko khabar bhi na thi
Surah Al-Araf, Verse 95
وَلَوۡ أَنَّ أَهۡلَ ٱلۡقُرَىٰٓ ءَامَنُواْ وَٱتَّقَوۡاْ لَفَتَحۡنَا عَلَيۡهِم بَرَكَٰتٖ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلَٰكِن كَذَّبُواْ فَأَخَذۡنَٰهُم بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Aur agar unn bastiyon kay rehney walay eman ley aatay aur perhezgari ikhtiyar kertay to hum unn per aasman aur zamin ki barkaten khol detay lekin unhon ney takzeeb ki to hum ney unn kay aemaal ki waja say unn ko pakar liya
Surah Al-Araf, Verse 96
أَفَأَمِنَ أَهۡلُ ٱلۡقُرَىٰٓ أَن يَأۡتِيَهُم بَأۡسُنَا بَيَٰتٗا وَهُمۡ نَآئِمُونَ
Kiya phir bhi inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar ho gaye hain kay unn per humara azab shab kay waqt aa paray jiss waqt woh sotay hon
Surah Al-Araf, Verse 97
أَوَأَمِنَ أَهۡلُ ٱلۡقُرَىٰٓ أَن يَأۡتِيَهُم بَأۡسُنَا ضُحٗى وَهُمۡ يَلۡعَبُونَ
Aur kiya inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar hogaye hain kay inn per humara azab din charhay aa paray jiss waqt kay woh apney khelon mein masghool hon
Surah Al-Araf, Verse 98
أَفَأَمِنُواْ مَكۡرَ ٱللَّهِۚ فَلَا يَأۡمَنُ مَكۡرَ ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Kiya pus woh Allah ki iss pakar say bey fikar hogaye. So Allah ki pakar say ba-juz unn kay jin ki shamat hi aagaee ho aur koi bey fikar nahi hota
Surah Al-Araf, Verse 99
أَوَلَمۡ يَهۡدِ لِلَّذِينَ يَرِثُونَ ٱلۡأَرۡضَ مِنۢ بَعۡدِ أَهۡلِهَآ أَن لَّوۡ نَشَآءُ أَصَبۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡۚ وَنَطۡبَعُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ فَهُمۡ لَا يَسۡمَعُونَ
Aur kiya unn logon ko jo zamin kay waris huye wahan kay logon ki halakat kay baad (inn waqiyaat-e-mazkoor ney) yeh baat nahi batlaee kay agar hum chahayen to inn kay jurm kay sabab inn ko halak ker dalen aur hum inn kay dilon per band laga denpus woh na sunn saken
Surah Al-Araf, Verse 100
تِلۡكَ ٱلۡقُرَىٰ نَقُصُّ عَلَيۡكَ مِنۡ أَنۢبَآئِهَاۚ وَلَقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَمَا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُواْ بِمَا كَذَّبُواْ مِن قَبۡلُۚ كَذَٰلِكَ يَطۡبَعُ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Inn bastiyon kay kuch kuch qissay hum aap say biyan ker rahey hain aur inn sab kay pass unn kay payghumbar mojzaat ley ker aaye phir jiss cheez ko enhon ney ibtidaa mein jhoota keh diya yeh baat nahi hui kay phir iss ko maan letay Allah Taalaa issi tarah kafiron kay dilon per band laga deta hai
Surah Al-Araf, Verse 101
وَمَا وَجَدۡنَا لِأَكۡثَرِهِم مِّنۡ عَهۡدٖۖ وَإِن وَجَدۡنَآ أَكۡثَرَهُمۡ لَفَٰسِقِينَ
Aur aksar logon mein hum ney wafay-e-ehad na rakha aur hum ney aksar logon ko bey hukum hi paya
Surah Al-Araf, Verse 102
ثُمَّ بَعَثۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِم مُّوسَىٰ بِـَٔايَٰتِنَآ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦ فَظَلَمُواْ بِهَاۖ فَٱنظُرۡ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Phir inn kay baad hum ney musa (alh-e-salam) ko apney dalaeel dey ker firaon aur uss kay umraa kay pass bheja magar unn logon ney inn kay bilkul haq ada na kiya. So dekhiye unn mufisdon ka kiya anjam hua
Surah Al-Araf, Verse 103
وَقَالَ مُوسَىٰ يَٰفِرۡعَوۡنُ إِنِّي رَسُولٞ مِّن رَّبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya kay aey firaon! Mein rabbul aalameen ki taraf say payghumbr hun
Surah Al-Araf, Verse 104
حَقِيقٌ عَلَىٰٓ أَن لَّآ أَقُولَ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّۚ قَدۡ جِئۡتُكُم بِبَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّكُمۡ فَأَرۡسِلۡ مَعِيَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
Meray liye yehi shayaan hai kay ba-juz sach kay Allah ki taraf koi baat mansoob na keroonmein tumharay pass tumhara rab ki taraf say aik bari daleel bhi laya hun so tu bani israeel ko meray sath bhej dey
Surah Al-Araf, Verse 105
قَالَ إِن كُنتَ جِئۡتَ بِـَٔايَةٖ فَأۡتِ بِهَآ إِن كُنتَ مِنَ ٱلصَّـٰدِقِينَ
Firaon ney kaha agar aap koi moajza ley ker aaye hain to iss ko abb paish kijiye! Agar aap sachay hain
Surah Al-Araf, Verse 106
فَأَلۡقَىٰ عَصَاهُ فَإِذَا هِيَ ثُعۡبَانٞ مُّبِينٞ
Pus aap ney apna asa daal diya so dafatan woh saaf aik azdaha bann gaya
Surah Al-Araf, Verse 107
وَنَزَعَ يَدَهُۥ فَإِذَا هِيَ بَيۡضَآءُ لِلنَّـٰظِرِينَ
Aur apna haath bhair nikala so woh yakayak sab dekhney walon kay roo baroo boht hi chamkta hua hogaya
Surah Al-Araf, Verse 108
قَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِ فِرۡعَوۡنَ إِنَّ هَٰذَا لَسَٰحِرٌ عَلِيمٞ
Qom-e-firaon mein jo sardar log thay unhon ney kaha kay waqaee yeh shaks bara maahir jadoogar hai
Surah Al-Araf, Verse 109
يُرِيدُ أَن يُخۡرِجَكُم مِّنۡ أَرۡضِكُمۡۖ فَمَاذَا تَأۡمُرُونَ
Yeh chahata hai kay tum ko tumhari sir zamin say bahir ker dey so tum log kiya mashwara detay ho
Surah Al-Araf, Verse 110
قَالُوٓاْ أَرۡجِهۡ وَأَخَاهُ وَأَرۡسِلۡ فِي ٱلۡمَدَآئِنِ حَٰشِرِينَ
Unhon ney kaha aap inn ko aur inn kay bhai ko mohlat dijiye aur shehron mein harkaaron ko bhej dijiye
Surah Al-Araf, Verse 111
يَأۡتُوكَ بِكُلِّ سَٰحِرٍ عَلِيمٖ
Kay woh sab maahir jadoogaron ko aap kay pass laa ker hazir ker den
Surah Al-Araf, Verse 112
وَجَآءَ ٱلسَّحَرَةُ فِرۡعَوۡنَ قَالُوٓاْ إِنَّ لَنَا لَأَجۡرًا إِن كُنَّا نَحۡنُ ٱلۡغَٰلِبِينَ
Aur woh jadoogar firaon kay pass hazir huye kehney lagay kay agar hum ghalib aaye to hum ko koi bara sila milay ga
Surah Al-Araf, Verse 113
قَالَ نَعَمۡ وَإِنَّكُمۡ لَمِنَ ٱلۡمُقَرَّبِينَ
Firaon ney kaha kay haan aur tum muqarrab logon mein shamil hojao gay
Surah Al-Araf, Verse 114
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِمَّآ أَن تُلۡقِيَ وَإِمَّآ أَن نَّكُونَ نَحۡنُ ٱلۡمُلۡقِينَ
Unn saahiron ney araz kiya aey musa! Khuwa aap daaliye aur ya hum hi daalen
Surah Al-Araf, Verse 115
قَالَ أَلۡقُواْۖ فَلَمَّآ أَلۡقَوۡاْ سَحَرُوٓاْ أَعۡيُنَ ٱلنَّاسِ وَٱسۡتَرۡهَبُوهُمۡ وَجَآءُو بِسِحۡرٍ عَظِيمٖ
(musa alh-e-salam) ney farmaya kay tum hi dalo pur jab unhon ney dala to logon ki nazar bandi ker di aur unn per haibat ghalib ker di aur aik tarah ka bara jadoo dikhlaya
Surah Al-Araf, Verse 116
۞وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنۡ أَلۡقِ عَصَاكَۖ فَإِذَا هِيَ تَلۡقَفُ مَا يَأۡفِكُونَ
Aur hum ney (alh-e-salam) ko hukum diya kay apna asa daal dijiye! So asa ka daalna tha kay uss ney unn kay saray banay banaye khel ko nigalna shuroo kiya
Surah Al-Araf, Verse 117
فَوَقَعَ ٱلۡحَقُّ وَبَطَلَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Pus haq zahir hogaya aur unhon ney jo kuch banaya tha sab jata raah
Surah Al-Araf, Verse 118
فَغُلِبُواْ هُنَالِكَ وَٱنقَلَبُواْ صَٰغِرِينَ
Pus woh log uss moqay per haar gaye aur khoob zaleel hoker phiray
Surah Al-Araf, Verse 119
وَأُلۡقِيَ ٱلسَّحَرَةُ سَٰجِدِينَ
Aur woh jo saahir thay sajday mein gir gaye
Surah Al-Araf, Verse 120
قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Kehney lagay hum eman laye rabbul aalameen per
Surah Al-Araf, Verse 121
رَبِّ مُوسَىٰ وَهَٰرُونَ
Jo musa aur haroon ka bhi rab hai
Surah Al-Araf, Verse 122
قَالَ فِرۡعَوۡنُ ءَامَنتُم بِهِۦ قَبۡلَ أَنۡ ءَاذَنَ لَكُمۡۖ إِنَّ هَٰذَا لَمَكۡرٞ مَّكَرۡتُمُوهُ فِي ٱلۡمَدِينَةِ لِتُخۡرِجُواْ مِنۡهَآ أَهۡلَهَاۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
Firaon kehney laga tum musa per eman laye hobaghair iss kay kay mein tum ko ijazat doon? Be-shak yeh saazish thi jiss per tumhara amal daramad hua hai iss shehar mein takay tum sab iss shehar say yahan kay rehney walon ko bahir nikal do. So abb tum ko haqeeqat maloom hui jati hai
Surah Al-Araf, Verse 123
لَأُقَطِّعَنَّ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَرۡجُلَكُم مِّنۡ خِلَٰفٖ ثُمَّ لَأُصَلِّبَنَّكُمۡ أَجۡمَعِينَ
Mein tumharay aik taraf kay haath aur doosri taraf kay paon kaaton ga. Phir tum sab ko sooli per latka doon ga
Surah Al-Araf, Verse 124
قَالُوٓاْ إِنَّآ إِلَىٰ رَبِّنَا مُنقَلِبُونَ
Unhon ney jawab diya kay hum (marr ker) apney maalik hi kay pass jayen gay
Surah Al-Araf, Verse 125
وَمَا تَنقِمُ مِنَّآ إِلَّآ أَنۡ ءَامَنَّا بِـَٔايَٰتِ رَبِّنَا لَمَّا جَآءَتۡنَاۚ رَبَّنَآ أَفۡرِغۡ عَلَيۡنَا صَبۡرٗا وَتَوَفَّنَا مُسۡلِمِينَ
Aur tu ney hum mein konsa aib dekha hai ba-juz isskay kay hum apney rab per eman ley aaye jab woh humaray pass aaye. Aey humaray rab! Humaray upper sabar ka faizan farma aur humari jaan halat-e-islam per nikal
Surah Al-Araf, Verse 126
وَقَالَ ٱلۡمَلَأُ مِن قَوۡمِ فِرۡعَوۡنَ أَتَذَرُ مُوسَىٰ وَقَوۡمَهُۥ لِيُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَيَذَرَكَ وَءَالِهَتَكَۚ قَالَ سَنُقَتِّلُ أَبۡنَآءَهُمۡ وَنَسۡتَحۡيِۦ نِسَآءَهُمۡ وَإِنَّا فَوۡقَهُمۡ قَٰهِرُونَ
Aur qom-e-fiaon kay sardaron ney kaha kay kiya aap musa (alh-e-salam) aur unn ki qom ko yun hi rehney den gay kay woh mulk mein fasaad kertay phiren aur woh aap ko aur aap kay maboodon ko tarak kiye rahen. Firaon ney kaha kay hum abhi inn logon kay beton ko qatal kerna shuroo ker den gay aur aurton ko zinda rehney den gay aur hum ko inn per her tarah ka zor hai
Surah Al-Araf, Verse 127
قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِ ٱسۡتَعِينُواْ بِٱللَّهِ وَٱصۡبِرُوٓاْۖ إِنَّ ٱلۡأَرۡضَ لِلَّهِ يُورِثُهَا مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۖ وَٱلۡعَٰقِبَةُ لِلۡمُتَّقِينَ
Musa (alh-e-salam) ney apni qom say farmaya Allah Taalaa ka sahara hasil kero aur sabar kero yeh zamin Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahaye woh maalik bana dey aur akheer kaamyabi unhi ki hoti hai jo Allah say dartay hain
Surah Al-Araf, Verse 128
قَالُوٓاْ أُوذِينَا مِن قَبۡلِ أَن تَأۡتِيَنَا وَمِنۢ بَعۡدِ مَا جِئۡتَنَاۚ قَالَ عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يُهۡلِكَ عَدُوَّكُمۡ وَيَسۡتَخۡلِفَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرَ كَيۡفَ تَعۡمَلُونَ
Qom kay log kehney lagay kay hum to hamesha museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sir zamin ka khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga
Surah Al-Araf, Verse 129
وَلَقَدۡ أَخَذۡنَآ ءَالَ فِرۡعَوۡنَ بِٱلسِّنِينَ وَنَقۡصٖ مِّنَ ٱلثَّمَرَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَذَّكَّرُونَ
Aur hum ney firaon walon ko mubtila kiya qehat saali mein aur phalon ki kum peda waari mein takay woh naseehat qabool keren
Surah Al-Araf, Verse 130
فَإِذَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡحَسَنَةُ قَالُواْ لَنَا هَٰذِهِۦۖ وَإِن تُصِبۡهُمۡ سَيِّئَةٞ يَطَّيَّرُواْ بِمُوسَىٰ وَمَن مَّعَهُۥٓۗ أَلَآ إِنَّمَا طَـٰٓئِرُهُمۡ عِندَ ٱللَّهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
So jab inn per khushali aajati to kehtay kay yeh to humaray liye hona hi chahaiye aur agar inn ko koi bad haali paish aati to musa (alh-e-salam) aur unn kay sathiyon ki nahoosat batlatay. Yaad rakho kay inn nahoosat Allah Taalaa kay pass hai lekin inn kay aksar log nahi jantay
Surah Al-Araf, Verse 131
وَقَالُواْ مَهۡمَا تَأۡتِنَا بِهِۦ مِنۡ ءَايَةٖ لِّتَسۡحَرَنَا بِهَا فَمَا نَحۡنُ لَكَ بِمُؤۡمِنِينَ
Aur yun kehtay kaisi hi baat humaray samney lao kay inn kay zariye say hum per jadoo chalao jab bhi hum tumhari baat hergiz na maanen gay
Surah Al-Araf, Verse 132
فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلطُّوفَانَ وَٱلۡجَرَادَ وَٱلۡقُمَّلَ وَٱلضَّفَادِعَ وَٱلدَّمَ ءَايَٰتٖ مُّفَصَّلَٰتٖ فَٱسۡتَكۡبَرُواْ وَكَانُواْ قَوۡمٗا مُّجۡرِمِينَ
Phir hum ney unn per toofan bheja aur tiddiyan aur ghun ka keera aur mendak aur khoon kay yeh sab khulay khulay moajzay thay. So woh takabbur kertay rahey aur woh log kuch tha hi jaraeem paisha
Surah Al-Araf, Verse 133
وَلَمَّا وَقَعَ عَلَيۡهِمُ ٱلرِّجۡزُ قَالُواْ يَٰمُوسَى ٱدۡعُ لَنَا رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِندَكَۖ لَئِن كَشَفۡتَ عَنَّا ٱلرِّجۡزَ لَنُؤۡمِنَنَّ لَكَ وَلَنُرۡسِلَنَّ مَعَكَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ
Aur jab unn per koi azab waqey hota to yun kehtay kay aey musa! Humaray liye apney rab say iss baat ki dua ker dijiye! Jiss ka uss ney aap say ehad ker rakha hai agar aap iss azab ko hum say hata den to hum zaroor zaroor aap kay kehney say eman ley aayen gay aur hum bani israeel ko bhi (raah ker kay) aap kay humrah ker den gay
Surah Al-Araf, Verse 134
فَلَمَّا كَشَفۡنَا عَنۡهُمُ ٱلرِّجۡزَ إِلَىٰٓ أَجَلٍ هُم بَٰلِغُوهُ إِذَا هُمۡ يَنكُثُونَ
Phir jab unn sya iss azab ko aik khaas waqt tak kay uss tak unn ko phonchna tha hata detayto woh foran hi ehad shikni kerney lagtay
Surah Al-Araf, Verse 135
فَٱنتَقَمۡنَا مِنۡهُمۡ فَأَغۡرَقۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡيَمِّ بِأَنَّهُمۡ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَكَانُواْ عَنۡهَا غَٰفِلِينَ
Phir hum ney unn say badla liya yani unn ko darya mein gharq ker diya iss sabab say kay woh humari aayaton ko jhutlatay thay aur inn say bilkul hi ghaflat kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 136
وَأَوۡرَثۡنَا ٱلۡقَوۡمَ ٱلَّذِينَ كَانُواْ يُسۡتَضۡعَفُونَ مَشَٰرِقَ ٱلۡأَرۡضِ وَمَغَٰرِبَهَا ٱلَّتِي بَٰرَكۡنَا فِيهَاۖ وَتَمَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ ٱلۡحُسۡنَىٰ عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ بِمَا صَبَرُواْۖ وَدَمَّرۡنَا مَا كَانَ يَصۡنَعُ فِرۡعَوۡنُ وَقَوۡمُهُۥ وَمَا كَانُواْ يَعۡرِشُونَ
Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya
Surah Al-Araf, Verse 137
وَجَٰوَزۡنَا بِبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱلۡبَحۡرَ فَأَتَوۡاْ عَلَىٰ قَوۡمٖ يَعۡكُفُونَ عَلَىٰٓ أَصۡنَامٖ لَّهُمۡۚ قَالُواْ يَٰمُوسَى ٱجۡعَل لَّنَآ إِلَٰهٗا كَمَا لَهُمۡ ءَالِهَةٞۚ قَالَ إِنَّكُمۡ قَوۡمٞ تَجۡهَلُونَ
Aur hum ney bani israeel ko darya kay paar utaar diya. Pus unn logon ka aik qom per guzar hua jo apney chand button say lagay bethay thay kehney lagay aey musa! Humaray liye bhi aik mabood aisa hi muqarrar ker dijiye! Jaisay inn kay yeh mabood hain. Aap ney farmaya kay waqaee tum logon mein bari jahalat hai
Surah Al-Araf, Verse 138
إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ مُتَبَّرٞ مَّا هُمۡ فِيهِ وَبَٰطِلٞ مَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Yeh log jiss kaam mein lagay hain yeh tabah kiya jayega aur inn kay yeh kaam mehaz bey bunyad hai
Surah Al-Araf, Verse 139
قَالَ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَبۡغِيكُمۡ إِلَٰهٗا وَهُوَ فَضَّلَكُمۡ عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Farmaya kiya Allah Taalaa key siwa aur kissi ko tumhara mabood tajweez ker doon? Halankay uss ney tum ko tamam jahaan walon per foqiyat di hai
Surah Al-Araf, Verse 140
وَإِذۡ أَنجَيۡنَٰكُم مِّنۡ ءَالِ فِرۡعَوۡنَ يَسُومُونَكُمۡ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ يُقَتِّلُونَ أَبۡنَآءَكُمۡ وَيَسۡتَحۡيُونَ نِسَآءَكُمۡۚ وَفِي ذَٰلِكُم بَلَآءٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَظِيمٞ
Aur qoh waqt yaad kero jab hum ney tum ko firaon walon say bacha liya jo tum ko bari sakht takleef phonchatay thay. Tumharay beton ko qatal ker daaltay thay aur tumhari aurton ko zinda chor detay thay aur iss mein tumharay perwerdigar ki taraf say bari bhari aazmaeesh thi
Surah Al-Araf, Verse 141
۞وَوَٰعَدۡنَا مُوسَىٰ ثَلَٰثِينَ لَيۡلَةٗ وَأَتۡمَمۡنَٰهَا بِعَشۡرٖ فَتَمَّ مِيقَٰتُ رَبِّهِۦٓ أَرۡبَعِينَ لَيۡلَةٗۚ وَقَالَ مُوسَىٰ لِأَخِيهِ هَٰرُونَ ٱخۡلُفۡنِي فِي قَوۡمِي وَأَصۡلِحۡ وَلَا تَتَّبِعۡ سَبِيلَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Aur hum ney musa (alh-e-salam) say tees raaton kay wada kiya aur dus raat mazeed say inn tees raaton ko poora kiya. So inn kay perwerdigar ka waqt pooray chalees raat ka hogaya. Aur musa (alh-e-salam) ney apney bhai haroon (alh-e-salam) say kaha kay meray baad inn kay intizam rakhna aur islah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye per amal mat kerna
Surah Al-Araf, Verse 142
وَلَمَّا جَآءَ مُوسَىٰ لِمِيقَٰتِنَا وَكَلَّمَهُۥ رَبُّهُۥ قَالَ رَبِّ أَرِنِيٓ أَنظُرۡ إِلَيۡكَۚ قَالَ لَن تَرَىٰنِي وَلَٰكِنِ ٱنظُرۡ إِلَى ٱلۡجَبَلِ فَإِنِ ٱسۡتَقَرَّ مَكَانَهُۥ فَسَوۡفَ تَرَىٰنِيۚ فَلَمَّا تَجَلَّىٰ رَبُّهُۥ لِلۡجَبَلِ جَعَلَهُۥ دَكّٗا وَخَرَّ مُوسَىٰ صَعِقٗاۚ فَلَمَّآ أَفَاقَ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur jab musa (alh-e-salam) humaray waqt per aaye aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay ura diye aur musa (alh-e-salam) bey hosh ho ker girr paray. Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein sab say pehlay aap per eman laney wala hun
Surah Al-Araf, Verse 143
قَالَ يَٰمُوسَىٰٓ إِنِّي ٱصۡطَفَيۡتُكَ عَلَى ٱلنَّاسِ بِرِسَٰلَٰتِي وَبِكَلَٰمِي فَخُذۡ مَآ ءَاتَيۡتُكَ وَكُن مِّنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Irshad hua kay aey musa! Mein ney payghubari aur apni hum kalaami say aur logon per tum ko imtiaz diya hai to jo kuch tum ko mein ney ata kiya hai uss ko lo aur shukar kero
Surah Al-Araf, Verse 144
وَكَتَبۡنَا لَهُۥ فِي ٱلۡأَلۡوَاحِ مِن كُلِّ شَيۡءٖ مَّوۡعِظَةٗ وَتَفۡصِيلٗا لِّكُلِّ شَيۡءٖ فَخُذۡهَا بِقُوَّةٖ وَأۡمُرۡ قَوۡمَكَ يَأۡخُذُواْ بِأَحۡسَنِهَاۚ سَأُوْرِيكُمۡ دَارَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Aur hum ney chand takhtiyon per her qisam ki naseehat aur her cheez ki tafseel unn ko likh ker di tum inn ko poori qooat say pakar lo aur apni qom ko hukum kero kay inn kay achay achay ehkaam per amal keren abb boht jald tum logon ko inn bey hukmon ka muqam dikhlata hun
Surah Al-Araf, Verse 145
سَأَصۡرِفُ عَنۡ ءَايَٰتِيَ ٱلَّذِينَ يَتَكَبَّرُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَإِن يَرَوۡاْ كُلَّ ءَايَةٖ لَّا يُؤۡمِنُواْ بِهَا وَإِن يَرَوۡاْ سَبِيلَ ٱلرُّشۡدِ لَا يَتَّخِذُوهُ سَبِيلٗا وَإِن يَرَوۡاْ سَبِيلَ ٱلۡغَيِّ يَتَّخِذُوهُ سَبِيلٗاۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَكَانُواْ عَنۡهَا غَٰفِلِينَ
Mein aisay logon ko apney ehkaam say bar-gashta hi rakhon ga jo duniya mein takabbur kertay hain jiss ka unn ko koi haq hasil nahi aur agar tamam nishaniyan dekh len tab bhi woh inn per eman na layen aur agar hidayat ka raasta dekhen to iss ko apna tareeqa na banayen aur agar gumrahi ka raasta dekh len to iss ko apna tareeq bana len. Yeh iss sabab say hai kay enhon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say ghafil rahey
Surah Al-Araf, Verse 146
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَلِقَآءِ ٱلۡأٓخِرَةِ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡۚ هَلۡ يُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye. Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 147
وَٱتَّخَذَ قَوۡمُ مُوسَىٰ مِنۢ بَعۡدِهِۦ مِنۡ حُلِيِّهِمۡ عِجۡلٗا جَسَدٗا لَّهُۥ خُوَارٌۚ أَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّهُۥ لَا يُكَلِّمُهُمۡ وَلَا يَهۡدِيهِمۡ سَبِيلًاۘ ٱتَّخَذُوهُ وَكَانُواْ ظَٰلِمِينَ
Aur musa (alh-e-salam) ki qom ney unn kay baad apney zewaron ka aik bachra mabood thehra liya jo kay aik qalib tha jiss mein aik aawaz thi. Kiya enhon ney yeh na dekha kay woh inn say baat nahi kerta tha aur na inn ko koi raah batlata tha uss ko enhon ney mabood qarar diya aur bari bey insafi ka kaam kiya
Surah Al-Araf, Verse 148
وَلَمَّا سُقِطَ فِيٓ أَيۡدِيهِمۡ وَرَأَوۡاْ أَنَّهُمۡ قَدۡ ضَلُّواْ قَالُواْ لَئِن لَّمۡ يَرۡحَمۡنَا رَبُّنَا وَيَغۡفِرۡ لَنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Aur jab naadim huye aur maloom hua kay waqaee woh log gumrahi mein parr gaye to kehney lagay kay agar humara rab hum per reham na keray aur humara gunah moaf na keray to hum bilkul gaye guzray hojayen gay
Surah Al-Araf, Verse 149
وَلَمَّا رَجَعَ مُوسَىٰٓ إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ غَضۡبَٰنَ أَسِفٗا قَالَ بِئۡسَمَا خَلَفۡتُمُونِي مِنۢ بَعۡدِيٓۖ أَعَجِلۡتُمۡ أَمۡرَ رَبِّكُمۡۖ وَأَلۡقَى ٱلۡأَلۡوَاحَ وَأَخَذَ بِرَأۡسِ أَخِيهِ يَجُرُّهُۥٓ إِلَيۡهِۚ قَالَ ٱبۡنَ أُمَّ إِنَّ ٱلۡقَوۡمَ ٱسۡتَضۡعَفُونِي وَكَادُواْ يَقۡتُلُونَنِي فَلَا تُشۡمِتۡ بِيَ ٱلۡأَعۡدَآءَ وَلَا تَجۡعَلۡنِي مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jab musa (alh-e-salam) apni qom ki taraf wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay. Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye! Inn logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar kero
Surah Al-Araf, Verse 150
قَالَ رَبِّ ٱغۡفِرۡ لِي وَلِأَخِي وَأَدۡخِلۡنَا فِي رَحۡمَتِكَۖ وَأَنتَ أَرۡحَمُ ٱلرَّـٰحِمِينَ
Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray rab! Meri khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai
Surah Al-Araf, Verse 151
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ ٱلۡعِجۡلَ سَيَنَالُهُمۡ غَضَبٞ مِّن رَّبِّهِمۡ وَذِلَّةٞ فِي ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَاۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُفۡتَرِينَ
Be-shak jin logon ney go sala parasti ki hai unn per boht jald unn kay rab ki taraf say ghazab aur zillat iss dunyawi zindagi hi mein paray gi aur hum iftra pardazon ko aisi hi saza diya kertay hain
Surah Al-Araf, Verse 152
وَٱلَّذِينَ عَمِلُواْ ٱلسَّيِّـَٔاتِ ثُمَّ تَابُواْ مِنۢ بَعۡدِهَا وَءَامَنُوٓاْ إِنَّ رَبَّكَ مِنۢ بَعۡدِهَا لَغَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai
Surah Al-Araf, Verse 153
وَلَمَّا سَكَتَ عَن مُّوسَى ٱلۡغَضَبُ أَخَذَ ٱلۡأَلۡوَاحَۖ وَفِي نُسۡخَتِهَا هُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّلَّذِينَ هُمۡ لِرَبِّهِمۡ يَرۡهَبُونَ
Aur jab musa (alh-e-salam) ka gussa farad hua to inn takhtiyon ko utha liya aur inn kay mazameen mein unn logon kay liye jo apney rab say dartay thay hidayat aur rehmat thi
Surah Al-Araf, Verse 154
وَٱخۡتَارَ مُوسَىٰ قَوۡمَهُۥ سَبۡعِينَ رَجُلٗا لِّمِيقَٰتِنَاۖ فَلَمَّآ أَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ قَالَ رَبِّ لَوۡ شِئۡتَ أَهۡلَكۡتَهُم مِّن قَبۡلُ وَإِيَّـٰيَۖ أَتُهۡلِكُنَا بِمَا فَعَلَ ٱلسُّفَهَآءُ مِنَّآۖ إِنۡ هِيَ إِلَّا فِتۡنَتُكَ تُضِلُّ بِهَا مَن تَشَآءُ وَتَهۡدِي مَن تَشَآءُۖ أَنتَ وَلِيُّنَا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَاۖ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡغَٰفِرِينَ
Aur musa (alh-e-salam) ney sattar aadmi apni qom mein say humaray waqt-e-moyyen kay liye muntakhib kiye so jab unn ko zalzalay ney aa pakra to musa (alh-e-salam) arz kerney lagay kay aey meray perwerdigar! Agar tujh ko yeh manzoor hota to iss say qabal hi inn ko aur mujh ko halak ker deta. Kiya tu hum mein say chand bey waqufon ki harkat per sab ko halak ker dey ga? Yeh waqiya teri taraf say mehaz aik imtehan hai aisay imtehanaat say jiss ko tu chahaye gumrahi mein daal dey aur jiss ko chahaye hidayat per qaeem rakhay. Tu hi to humara kaar saaz hai pus hum per maghfirat aur rehmat farma aur tu sab moafi denay walon say ziyada acha hai
Surah Al-Araf, Verse 155
۞وَٱكۡتُبۡ لَنَا فِي هَٰذِهِ ٱلدُّنۡيَا حَسَنَةٗ وَفِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِنَّا هُدۡنَآ إِلَيۡكَۚ قَالَ عَذَابِيٓ أُصِيبُ بِهِۦ مَنۡ أَشَآءُۖ وَرَحۡمَتِي وَسِعَتۡ كُلَّ شَيۡءٖۚ فَسَأَكۡتُبُهَا لِلَّذِينَ يَتَّقُونَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱلَّذِينَ هُم بِـَٔايَٰتِنَا يُؤۡمِنُونَ
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain
Surah Al-Araf, Verse 156
ٱلَّذِينَ يَتَّبِعُونَ ٱلرَّسُولَ ٱلنَّبِيَّ ٱلۡأُمِّيَّ ٱلَّذِي يَجِدُونَهُۥ مَكۡتُوبًا عِندَهُمۡ فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَٱلۡإِنجِيلِ يَأۡمُرُهُم بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَيَنۡهَىٰهُمۡ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَيُحِلُّ لَهُمُ ٱلطَّيِّبَٰتِ وَيُحَرِّمُ عَلَيۡهِمُ ٱلۡخَبَـٰٓئِثَ وَيَضَعُ عَنۡهُمۡ إِصۡرَهُمۡ وَٱلۡأَغۡلَٰلَ ٱلَّتِي كَانَتۡ عَلَيۡهِمۡۚ فَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِهِۦ وَعَزَّرُوهُ وَنَصَرُوهُ وَٱتَّبَعُواْ ٱلنُّورَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ مَعَهُۥٓ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡمُفۡلِحُونَ
Jo log aisay rasool nabi ummi ka ittabaa kertay hain jin ko woh log apney pass toraat-o-injeel mein likha hua patay hain. Woh inn ko nek baaton ka hukum farmatay hain aur buri baaton say mana kertay hain aur pakeezah cheezon ko halal batatay hain aur gandi cheezon ko inn per haram farmatay hain aur inn logon per jo bojh aur toq thay unn ko door kertay hain. So jo log iss nabi per eman latay hain aur inn ki himayat kertay hain aur inn ki madad kertay hain aur iss noor ka ittabaa kertay hain jo inn kay sath bheja gaya hai aisay log poori falah paney walay hain
Surah Al-Araf, Verse 157
قُلۡ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡ جَمِيعًا ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ يُحۡيِۦ وَيُمِيتُۖ فَـَٔامِنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِ ٱلنَّبِيِّ ٱلۡأُمِّيِّ ٱلَّذِي يُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَكَلِمَٰتِهِۦ وَٱتَّبِعُوهُ لَعَلَّكُمۡ تَهۡتَدُونَ
Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per aajao
Surah Al-Araf, Verse 158
وَمِن قَوۡمِ مُوسَىٰٓ أُمَّةٞ يَهۡدُونَ بِٱلۡحَقِّ وَبِهِۦ يَعۡدِلُونَ
Aur qom-e-musa mein aik jamat aisi bhi hai jo haq kay mutabiq hidayat kerti hai aur issi kay mutabiq insaf bhi kerti hai
Surah Al-Araf, Verse 159
وَقَطَّعۡنَٰهُمُ ٱثۡنَتَيۡ عَشۡرَةَ أَسۡبَاطًا أُمَمٗاۚ وَأَوۡحَيۡنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ إِذِ ٱسۡتَسۡقَىٰهُ قَوۡمُهُۥٓ أَنِ ٱضۡرِب بِّعَصَاكَ ٱلۡحَجَرَۖ فَٱنۢبَجَسَتۡ مِنۡهُ ٱثۡنَتَا عَشۡرَةَ عَيۡنٗاۖ قَدۡ عَلِمَ كُلُّ أُنَاسٖ مَّشۡرَبَهُمۡۚ وَظَلَّلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلۡغَمَٰمَ وَأَنزَلۡنَا عَلَيۡهِمُ ٱلۡمَنَّ وَٱلسَّلۡوَىٰۖ كُلُواْ مِن طَيِّبَٰتِ مَا رَزَقۡنَٰكُمۡۚ وَمَا ظَلَمُونَا وَلَٰكِن كَانُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ يَظۡلِمُونَ
Aur hum ney unn ko baara khaandanon mein taqseem ker kay sab ki alag alag jamat muqarrar ker di aur hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum diya jabkay unn ki qom ney unn say pani maanga kay apney asa ko falan pathar per maaro pus foran uss say baara chashmay phoot niklay. Her her shaks ney apney pani peenay ka moqa maloom ker liya aur hum ney unn per abar ko saya figan kiya aur unn ko mann-o-salwa (taran jabeen aur bateren) phonchaen khao nafees cheezon say jo hum ney tum ko di hain aur unhon ney humara koi nuksan nahi kiya lekin apna hi nuksan kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 160
وَإِذۡ قِيلَ لَهُمُ ٱسۡكُنُواْ هَٰذِهِ ٱلۡقَرۡيَةَ وَكُلُواْ مِنۡهَا حَيۡثُ شِئۡتُمۡ وَقُولُواْ حِطَّةٞ وَٱدۡخُلُواْ ٱلۡبَابَ سُجَّدٗا نَّغۡفِرۡ لَكُمۡ خَطِيٓـَٰٔتِكُمۡۚ سَنَزِيدُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Aur jab inn ko hukum diya gaya kay tum log iss aabadi mein jaa ker raho aur khao uss say jiss jagah tum raghbat kero aur zaban say yeh kehtay jana kay tauba hai aur jhukay jhukay darwazon mein dakhil hona hum tumhari khatayen moaf ker den gay. Jo log nek kaam keren gay unn ko mazeed baran aur den gay
Surah Al-Araf, Verse 161
فَبَدَّلَ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ مِنۡهُمۡ قَوۡلًا غَيۡرَ ٱلَّذِي قِيلَ لَهُمۡ فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ رِجۡزٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِ بِمَا كَانُواْ يَظۡلِمُونَ
So badal daala inn zalimon ney aik aur kalma jo khilaf tha uss kalmay kay jiss ki inn say farmaeesh ki gaee thi iss per hum ney unn per aik aafat-e-samawi bheji iss waja say kay woh hukum ko zaya kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 162
وَسۡـَٔلۡهُمۡ عَنِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِي كَانَتۡ حَاضِرَةَ ٱلۡبَحۡرِ إِذۡ يَعۡدُونَ فِي ٱلسَّبۡتِ إِذۡ تَأۡتِيهِمۡ حِيتَانُهُمۡ يَوۡمَ سَبۡتِهِمۡ شُرَّعٗا وَيَوۡمَ لَا يَسۡبِتُونَ لَا تَأۡتِيهِمۡۚ كَذَٰلِكَ نَبۡلُوهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay darya-e(-shor) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 163
وَإِذۡ قَالَتۡ أُمَّةٞ مِّنۡهُمۡ لِمَ تَعِظُونَ قَوۡمًا ٱللَّهُ مُهۡلِكُهُمۡ أَوۡ مُعَذِّبُهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗاۖ قَالُواْ مَعۡذِرَةً إِلَىٰ رَبِّكُمۡ وَلَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Aur jab kay unn mein say aik jamat ney yun kaha kay tum aisay logon ko kiyon naseehat kertay ho jin ko Allah bilkul halak kerney wala hai ya unn ko sakht saza denay wala hai? Unhon ney jawab diya kay tumharay rab kay roo baroo uzur kerney kay liye aur iss liye kay shayad yeh darr jayen
Surah Al-Araf, Verse 164
فَلَمَّا نَسُواْ مَا ذُكِّرُواْ بِهِۦٓ أَنجَيۡنَا ٱلَّذِينَ يَنۡهَوۡنَ عَنِ ٱلسُّوٓءِ وَأَخَذۡنَا ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْ بِعَذَابِۭ بَـِٔيسِۭ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
So jab woh iss ko bhool gaye jo inn ko samjhaya jata tha to hum ney unn logon ko to bacha liya jo iss buri aadat say mana kiya kertay thay aur unn logon ko jo kay ziyadti kertay thay aik sakht azab mein pakar liya iss waja say kay woh bey hukmi kiya kertay thay
Surah Al-Araf, Verse 165
فَلَمَّا عَتَوۡاْ عَن مَّا نُهُواْ عَنۡهُ قُلۡنَا لَهُمۡ كُونُواْ قِرَدَةً خَٰسِـِٔينَ
Yani jab woh jiss kaam say unn ko mana kiya gaya tha uss mein hadd say nikal gaye to hum ney unn ko keh diya tum zaleel bandar bann jao
Surah Al-Araf, Verse 166
وَإِذۡ تَأَذَّنَ رَبُّكَ لَيَبۡعَثَنَّ عَلَيۡهِمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَن يَسُومُهُمۡ سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِۗ إِنَّ رَبَّكَ لَسَرِيعُ ٱلۡعِقَابِ وَإِنَّهُۥ لَغَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai
Surah Al-Araf, Verse 167
وَقَطَّعۡنَٰهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ أُمَمٗاۖ مِّنۡهُمُ ٱلصَّـٰلِحُونَ وَمِنۡهُمۡ دُونَ ذَٰلِكَۖ وَبَلَوۡنَٰهُم بِٱلۡحَسَنَٰتِ وَٱلسَّيِّـَٔاتِ لَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen
Surah Al-Araf, Verse 168
فَخَلَفَ مِنۢ بَعۡدِهِمۡ خَلۡفٞ وَرِثُواْ ٱلۡكِتَٰبَ يَأۡخُذُونَ عَرَضَ هَٰذَا ٱلۡأَدۡنَىٰ وَيَقُولُونَ سَيُغۡفَرُ لَنَا وَإِن يَأۡتِهِمۡ عَرَضٞ مِّثۡلُهُۥ يَأۡخُذُوهُۚ أَلَمۡ يُؤۡخَذۡ عَلَيۡهِم مِّيثَٰقُ ٱلۡكِتَٰبِ أَن لَّا يَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ إِلَّا ٱلۡحَقَّ وَدَرَسُواْ مَا فِيهِۗ وَٱلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يَتَّقُونَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay
Surah Al-Araf, Verse 169
وَٱلَّذِينَ يُمَسِّكُونَ بِٱلۡكِتَٰبِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ إِنَّا لَا نُضِيعُ أَجۡرَ ٱلۡمُصۡلِحِينَ
Aur jo log kitab kay paband hain aur namaz ki pabandi kertay hain hum aisay logon ko jo apni islah keren sawab zaya na keren gay
Surah Al-Araf, Verse 170
۞وَإِذۡ نَتَقۡنَا ٱلۡجَبَلَ فَوۡقَهُمۡ كَأَنَّهُۥ ظُلَّةٞ وَظَنُّوٓاْ أَنَّهُۥ وَاقِعُۢ بِهِمۡ خُذُواْ مَآ ءَاتَيۡنَٰكُم بِقُوَّةٖ وَٱذۡكُرُواْ مَا فِيهِ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao
Surah Al-Araf, Verse 171
وَإِذۡ أَخَذَ رَبُّكَ مِنۢ بَنِيٓ ءَادَمَ مِن ظُهُورِهِمۡ ذُرِّيَّتَهُمۡ وَأَشۡهَدَهُمۡ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَلَسۡتُ بِرَبِّكُمۡۖ قَالُواْ بَلَىٰ شَهِدۡنَآۚ أَن تَقُولُواْ يَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ إِنَّا كُنَّا عَنۡ هَٰذَا غَٰفِلِينَ
Aur jab aap kay rab ney aulad-e-aadam ki pusht say unn ki aulad ko nikala aur unn say unn hi kay mutalliq iqrar liya kay kiya mein tumhara rab nahi hun? Sab ney jawab diya kiyon nahi! Hum sab gawah bantay hain. Takay tum log qayamat kay roz yun na kaho kay hum to iss say mehaz bey khabar thay
Surah Al-Araf, Verse 172
أَوۡ تَقُولُوٓاْ إِنَّمَآ أَشۡرَكَ ءَابَآؤُنَا مِن قَبۡلُ وَكُنَّا ذُرِّيَّةٗ مِّنۢ بَعۡدِهِمۡۖ أَفَتُهۡلِكُنَا بِمَا فَعَلَ ٱلۡمُبۡطِلُونَ
Ya yun kaho kay pehlay pehlay shirk to humaray baron ney kiya aur hum unn kay baad unn ki nasal mein huye so kiya inn ghalat raah walon kay fail per tu hum ko halakat mein daal dey ga
Surah Al-Araf, Verse 173
وَكَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ وَلَعَلَّهُمۡ يَرۡجِعُونَ
Hum issi tarah aayaat ko saaf saaf biyan kertay hain aur takay woh baaz ajayen
Surah Al-Araf, Verse 174
وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ ٱلَّذِيٓ ءَاتَيۡنَٰهُ ءَايَٰتِنَا فَٱنسَلَخَ مِنۡهَا فَأَتۡبَعَهُ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَكَانَ مِنَ ٱلۡغَاوِينَ
Aur inn logon ko uss shaks ka haal parh ker sunaiye kay jiss ko hum ney apni aayaten den phir woh inn say bilkul hi nikal gaya phir shetan uss kay peechay lag gaya so woh gumrah logon mein shamil hogaya
Surah Al-Araf, Verse 175
وَلَوۡ شِئۡنَا لَرَفَعۡنَٰهُ بِهَا وَلَٰكِنَّهُۥٓ أَخۡلَدَ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ وَٱتَّبَعَ هَوَىٰهُۚ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ ٱلۡكَلۡبِ إِن تَحۡمِلۡ عَلَيۡهِ يَلۡهَثۡ أَوۡ تَتۡرُكۡهُ يَلۡهَثۚ ذَّـٰلِكَ مَثَلُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۚ فَٱقۡصُصِ ٱلۡقَصَصَ لَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
Aur agar hum chahatay to uss ko inn aayaton ki badolat buland martaba ker detay lekin woh to duniya ki taraf maeel hogaya aur apni nafsaani khuwaish ki pairwi kerney laga so uss ki halat kuttay ki si hogaee kay agar tu iss per hamla keray tab bhi haanpay ya uss ko chor dey tab bhi haanpay yehi halat unn logon ki hai jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya. So aap iss haal ko biyan ker dijiye shayad woh log kuch sochen
Surah Al-Araf, Verse 176
سَآءَ مَثَلًا ٱلۡقَوۡمُ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَأَنفُسَهُمۡ كَانُواْ يَظۡلِمُونَ
Unn logon ki halat bhi buri halat hai jo humari aayaat ko jhutlatay hain aur woh apna nuksan kertay hain
Surah Al-Araf, Verse 177
مَن يَهۡدِ ٱللَّهُ فَهُوَ ٱلۡمُهۡتَدِيۖ وَمَن يُضۡلِلۡ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡخَٰسِرُونَ
Jiss ko Allah hidayat kerta hai so hidayat paney wala wohi hota hai aur jiss ko woh gumrah kerdey so aisay hi log khasaray mein parney walay hain
Surah Al-Araf, Verse 178
وَلَقَدۡ ذَرَأۡنَا لِجَهَنَّمَ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ لَهُمۡ قُلُوبٞ لَّا يَفۡقَهُونَ بِهَا وَلَهُمۡ أَعۡيُنٞ لَّا يُبۡصِرُونَ بِهَا وَلَهُمۡ ءَاذَانٞ لَّا يَسۡمَعُونَ بِهَآۚ أُوْلَـٰٓئِكَ كَٱلۡأَنۡعَٰمِ بَلۡ هُمۡ أَضَلُّۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡغَٰفِلُونَ
Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain
Surah Al-Araf, Verse 179
وَلِلَّهِ ٱلۡأَسۡمَآءُ ٱلۡحُسۡنَىٰ فَٱدۡعُوهُ بِهَاۖ وَذَرُواْ ٱلَّذِينَ يُلۡحِدُونَ فِيٓ أَسۡمَـٰٓئِهِۦۚ سَيُجۡزَوۡنَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur achay achay naam Allah hi kay liye hain so unn naamon say Allah hi ko mossom kiya kero aur aisay logon say talluq bhi na rakho jo uss kay naamon mein kuj ravi kertay hain unn logon ko unn kay kiye ki zaroor saza milay gi
Surah Al-Araf, Verse 180
وَمِمَّنۡ خَلَقۡنَآ أُمَّةٞ يَهۡدُونَ بِٱلۡحَقِّ وَبِهِۦ يَعۡدِلُونَ
Aur humari makhlooq mein aik jamat aisi bhi hai jo haq kay moafiq hidayat kerti hai aur uss kay moafiq insaf bhi kerti hai
Surah Al-Araf, Verse 181
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا سَنَسۡتَدۡرِجُهُم مِّنۡ حَيۡثُ لَا يَعۡلَمُونَ
Aur jo log humari aayaat ko jhutlatay hain hum unn ko ba-tadreej (girift mein) liye jarahey hain iss tor per kay unn ko khabar bhi nahi
Surah Al-Araf, Verse 182
وَأُمۡلِي لَهُمۡۚ إِنَّ كَيۡدِي مَتِينٌ
Aur unn ko mohlat deta hun be-shak meri tadbeer bari mazboot hai
Surah Al-Araf, Verse 183
أَوَلَمۡ يَتَفَكَّرُواْۗ مَا بِصَاحِبِهِم مِّن جِنَّةٍۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا نَذِيرٞ مُّبِينٌ
Kiya inn logon ney iss baat per ghor nahi kiya kay inn kay sathi ko zara bhi junoon nahi woh to sirf aik saaf saaf daraney walay hain
Surah Al-Araf, Verse 184
أَوَلَمۡ يَنظُرُواْ فِي مَلَكُوتِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا خَلَقَ ٱللَّهُ مِن شَيۡءٖ وَأَنۡ عَسَىٰٓ أَن يَكُونَ قَدِ ٱقۡتَرَبَ أَجَلُهُمۡۖ فَبِأَيِّ حَدِيثِۭ بَعۡدَهُۥ يُؤۡمِنُونَ
Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay
Surah Al-Araf, Verse 185
مَن يُضۡلِلِ ٱللَّهُ فَلَا هَادِيَ لَهُۥۚ وَيَذَرُهُمۡ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Jiss ko Allah Taalaa gumrah kerdey uss ko koi raah per nahi laa sakta. Aur Allah Taalaa unn ko unn ki gumrahi mein bhataktay huye chor deta hai
Surah Al-Araf, Verse 186
يَسۡـَٔلُونَكَ عَنِ ٱلسَّاعَةِ أَيَّانَ مُرۡسَىٰهَاۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ رَبِّيۖ لَا يُجَلِّيهَا لِوَقۡتِهَآ إِلَّا هُوَۚ ثَقُلَتۡ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَا تَأۡتِيكُمۡ إِلَّا بَغۡتَةٗۗ يَسۡـَٔلُونَكَ كَأَنَّكَ حَفِيٌّ عَنۡهَاۖ قُلۡ إِنَّمَا عِلۡمُهَا عِندَ ٱللَّهِ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Yeh log aap say qayamat kay mutalliq sawal kertay hain kay iss ka waqoo kabb hoga? Aap farma dijiye kay iss ka ilm sirf meray rab hi kay pass hai uss kay waqt per uss ko siwa Allah kay koi aur zahir na keray ga. Woh aasmanon aur zamin mein bara bhari (haadsa) hoga woh tum per mehaz achanak aa paray gi. Woh aap say iss tarah poochtay hain jaisay goya aap iss ki tehqiqaat ker chukay hain. Aap farma dijiye kay iss ka ilm khaas Allah hi kay pass hai lekin aksar log nahi jantay
Surah Al-Araf, Verse 187
قُل لَّآ أَمۡلِكُ لِنَفۡسِي نَفۡعٗا وَلَا ضَرًّا إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ وَلَوۡ كُنتُ أَعۡلَمُ ٱلۡغَيۡبَ لَٱسۡتَكۡثَرۡتُ مِنَ ٱلۡخَيۡرِ وَمَا مَسَّنِيَ ٱلسُّوٓءُۚ إِنۡ أَنَا۠ إِلَّا نَذِيرٞ وَبَشِيرٞ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aap farma dijiye kay mein khud apni zaat-e-khaas kay liye kissi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kissi zarar ka magar utna hi jitna Allah ney chaha ho aur agar mein ghaib ki baaten janta hota to mein boht say munafay hasil ker leta aur koi nuksan mujh ko na phonchta mein to mehaz daraney wala aur bisharat denay wala hun unn logon ko jo eman rakhtay hain
Surah Al-Araf, Verse 188
۞هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ وَجَعَلَ مِنۡهَا زَوۡجَهَا لِيَسۡكُنَ إِلَيۡهَاۖ فَلَمَّا تَغَشَّىٰهَا حَمَلَتۡ حَمۡلًا خَفِيفٗا فَمَرَّتۡ بِهِۦۖ فَلَمَّآ أَثۡقَلَت دَّعَوَا ٱللَّهَ رَبَّهُمَا لَئِنۡ ءَاتَيۡتَنَا صَٰلِحٗا لَّنَكُونَنَّ مِنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney tum ko aik tan-e-wahid say peda kiya aur iss say uss ka jora banaya takay woh iss apney joray say unss hasil keray phir jab miyan ney biwi say qurbat ki to uss ko hamal reh gaya halka sa. So woh uss ko liye huye phirti rahi phri jab woh bojhal hogaee to dono miyan biwi Allah say jo unn ka maalik hai dua kerney lagay kay agar tu ney hum ko sahih saalim aulad dey di to hum khoob shukar guzari keren gay
Surah Al-Araf, Verse 189
فَلَمَّآ ءَاتَىٰهُمَا صَٰلِحٗا جَعَلَا لَهُۥ شُرَكَآءَ فِيمَآ ءَاتَىٰهُمَاۚ فَتَعَٰلَى ٱللَّهُ عَمَّا يُشۡرِكُونَ
So jab Allah ney dono ko sahih saalim aulad dey di to Allah ki di hui cheez mein woh dono Allah kay shareek qarar denay lagay so Allah pak hai unn kay shirk say
Surah Al-Araf, Verse 190
أَيُشۡرِكُونَ مَا لَا يَخۡلُقُ شَيۡـٔٗا وَهُمۡ يُخۡلَقُونَ
Kiya aison ko shareek thehratay hain jo kissi cheez ko peda na ker saken aur woh khud hi peda kiye gaye hon
Surah Al-Araf, Verse 191
وَلَا يَسۡتَطِيعُونَ لَهُمۡ نَصۡرٗا وَلَآ أَنفُسَهُمۡ يَنصُرُونَ
Aur woh inn ko kissi qisam ki madad nahi dey saktay aur woh khud bhi madad nahi ker saktay
Surah Al-Araf, Verse 192
وَإِن تَدۡعُوهُمۡ إِلَى ٱلۡهُدَىٰ لَا يَتَّبِعُوكُمۡۚ سَوَآءٌ عَلَيۡكُمۡ أَدَعَوۡتُمُوهُمۡ أَمۡ أَنتُمۡ صَٰمِتُونَ
Aur agar tum inn ko koi baat batlaney ko pukaro to tumharay kehney per na chalen tumharay aetbaar say dono amar barabar hain khuwa tum inn ko pukaro ya tum khamosh raho
Surah Al-Araf, Verse 193
إِنَّ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ عِبَادٌ أَمۡثَالُكُمۡۖ فَٱدۡعُوهُمۡ فَلۡيَسۡتَجِيبُواْ لَكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Waqaee tum Allah ko chor ker jin ki ibadat kertay ho woh bhi tum hi jaisay banday hain so tum unn ko pukaro phir unn ko chahaiye kay tumhara kehna ker den agar tum sachay ho
Surah Al-Araf, Verse 194
أَلَهُمۡ أَرۡجُلٞ يَمۡشُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ أَيۡدٖ يَبۡطِشُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ أَعۡيُنٞ يُبۡصِرُونَ بِهَآۖ أَمۡ لَهُمۡ ءَاذَانٞ يَسۡمَعُونَ بِهَاۗ قُلِ ٱدۡعُواْ شُرَكَآءَكُمۡ ثُمَّ كِيدُونِ فَلَا تُنظِرُونِ
Kiya inn kay paon hain jin say woh chaltay hon ya unn kay haath hain jin say woh kissi cheez ko thaam saken ya unn ki aankhen hain jin say woh dekhtay hon ya unn kay kaan hain jin say woh suntay hain aap keh dijiye! Tum apney sab shurka ko bula lo phir meri zarar saani ki tadbeer kero phir mujh ko zara mohlat mat do
Surah Al-Araf, Verse 195
إِنَّ وَلِـِّۧيَ ٱللَّهُ ٱلَّذِي نَزَّلَ ٱلۡكِتَٰبَۖ وَهُوَ يَتَوَلَّى ٱلصَّـٰلِحِينَ
Yaqeenan mera madadgar Allah Taalaa hai jiss ney yeh kitab nazil farmaee aur woh nek bandon ki madad kerta hai
Surah Al-Araf, Verse 196
وَٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ لَا يَسۡتَطِيعُونَ نَصۡرَكُمۡ وَلَآ أَنفُسَهُمۡ يَنصُرُونَ
Aur tum jin logon ki Allah ko chor ker ibadat kertay ho woh tumhari kuch madad nahi ker saktay aur na woh apni madad ker saktay hain
Surah Al-Araf, Verse 197
وَإِن تَدۡعُوهُمۡ إِلَى ٱلۡهُدَىٰ لَا يَسۡمَعُواْۖ وَتَرَىٰهُمۡ يَنظُرُونَ إِلَيۡكَ وَهُمۡ لَا يُبۡصِرُونَ
Aur agar inn ko koi baat batlaney ko pukaro to iss ko na sunen aur inn ko aap dekhtay hain kay goya woh aap ko dekh rahey hain aur woh kuch bhi nahi dekhtay
Surah Al-Araf, Verse 198
خُذِ ٱلۡعَفۡوَ وَأۡمُرۡ بِٱلۡعُرۡفِ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡجَٰهِلِينَ
Aap dar guzar ko ikhtiyar keren nek kaam ki taleem den aur jahilon say aik kinara hojayen
Surah Al-Araf, Verse 199
وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ نَزۡغٞ فَٱسۡتَعِذۡ بِٱللَّهِۚ إِنَّهُۥ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
Aur agar aap ko koi waswasa shetan ki taraf say aaney lagay to Allah ki panah maang liya kijiye bila shuba woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai
Surah Al-Araf, Verse 200
إِنَّ ٱلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْ إِذَا مَسَّهُمۡ طَـٰٓئِفٞ مِّنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ تَذَكَّرُواْ فَإِذَا هُم مُّبۡصِرُونَ
Yaqeenan jo log khud taras hain jab unn ko koi khatra shetan ki taraf say aajata hai to woh yaad mein lag jatay hain so yakayak unn ki aankhen khul jati hain
Surah Al-Araf, Verse 201
وَإِخۡوَٰنُهُمۡ يَمُدُّونَهُمۡ فِي ٱلۡغَيِّ ثُمَّ لَا يُقۡصِرُونَ
Aur jo shetan kay tabey hain woh inn ko gumrahi mein kheenchay ley jatay hain pus woh baaz nahi aatay
Surah Al-Araf, Verse 202
وَإِذَا لَمۡ تَأۡتِهِم بِـَٔايَةٖ قَالُواْ لَوۡلَا ٱجۡتَبَيۡتَهَاۚ قُلۡ إِنَّمَآ أَتَّبِعُ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ مِن رَّبِّيۚ هَٰذَا بَصَآئِرُ مِن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman rakhtay hain
Surah Al-Araf, Verse 203
وَإِذَا قُرِئَ ٱلۡقُرۡءَانُ فَٱسۡتَمِعُواْ لَهُۥ وَأَنصِتُواْ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Aur jab quran parha jaya keray to iss ki taraf kaan laga diya kero aur khamosh raha kero umeed hai kay tum per rehmat ho
Surah Al-Araf, Verse 204
وَٱذۡكُر رَّبَّكَ فِي نَفۡسِكَ تَضَرُّعٗا وَخِيفَةٗ وَدُونَ ٱلۡجَهۡرِ مِنَ ٱلۡقَوۡلِ بِٱلۡغُدُوِّ وَٱلۡأٓصَالِ وَلَا تَكُن مِّنَ ٱلۡغَٰفِلِينَ
Aur aey shaks! Apney rab ki yaad kiya ker apney dil mein aajzi kay sath aur khof kay sath aur zor ki aawaz ki nisbat kum aawaz kay sath subha aur shaam aur ehal-e-ghaflat mein say mat hona
Surah Al-Araf, Verse 205
إِنَّ ٱلَّذِينَ عِندَ رَبِّكَ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ عَنۡ عِبَادَتِهِۦ وَيُسَبِّحُونَهُۥ وَلَهُۥ يَسۡجُدُونَۤ۩
Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain
Surah Al-Araf, Verse 206