Surah Al-Araf Verse 85 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafوَإِلَىٰ مَدۡيَنَ أَخَاهُمۡ شُعَيۡبٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥۖ قَدۡ جَآءَتۡكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡۖ فَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ وَلَا تَبۡخَسُواْ ٱلنَّاسَ أَشۡيَآءَهُمۡ وَلَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بَعۡدَ إِصۡلَٰحِهَاۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aur hum ney madiyan ki taraf unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero iss kay siwa koi tumhara mabood nahi tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say wazeh daleel aa chuki hai. Pus tum naap aur tol poora poora kiya kero aur logon ko unn ki cheezen kum kerkay mat do aur ruy-e-zamin mein iss kay baad kay iss ki durusti ker di gaee fasaad mat phelao yeh tumharay liye naafay hai agar tum tasdeeq kero