Surah Al-Araf Verse 85 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَإِلَىٰ مَدۡيَنَ أَخَاهُمۡ شُعَيۡبٗاۚ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مَا لَكُم مِّنۡ إِلَٰهٍ غَيۡرُهُۥۖ قَدۡ جَآءَتۡكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡۖ فَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ وَلَا تَبۡخَسُواْ ٱلنَّاسَ أَشۡيَآءَهُمۡ وَلَا تُفۡسِدُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ بَعۡدَ إِصۡلَٰحِهَاۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aur Madiyan walon ki taraf humne unke bhai Shoaib ko bheja. Usne kaha “ aey biradraan e qaum, Allah ki bandagi karo, uske siwa tumhara koi khuda nahin hai. Tumhare paas tumhare Rubb ki saaf rehnumayi aa gayi hai, lihaza wazan(weight) aur paimane purey karo. Logon ko unki cheezon mein ghaata(loss) na do, aur zameen mein fasaad barpa na karo jabke uski islaah ho chuki hai. Isi mein tumhari bhalayi hai agar tum waqayi momin ho