Surah Al-Araf Verse 150 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafوَلَمَّا رَجَعَ مُوسَىٰٓ إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ غَضۡبَٰنَ أَسِفٗا قَالَ بِئۡسَمَا خَلَفۡتُمُونِي مِنۢ بَعۡدِيٓۖ أَعَجِلۡتُمۡ أَمۡرَ رَبِّكُمۡۖ وَأَلۡقَى ٱلۡأَلۡوَاحَ وَأَخَذَ بِرَأۡسِ أَخِيهِ يَجُرُّهُۥٓ إِلَيۡهِۚ قَالَ ٱبۡنَ أُمَّ إِنَّ ٱلۡقَوۡمَ ٱسۡتَضۡعَفُونِي وَكَادُواْ يَقۡتُلُونَنِي فَلَا تُشۡمِتۡ بِيَ ٱلۡأَعۡدَآءَ وَلَا تَجۡعَلۡنِي مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jab musa (alh-e-salam) apni qom ki taraf wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay. Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye! Inn logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar kero