Surah Al-Anaam - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَجَعَلَ ٱلظُّلُمَٰتِ وَٱلنُّورَۖ ثُمَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡ يَعۡدِلُونَ
Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir log (ghair Allah ko) apney rab kay barabar qarar detay hain
Surah Al-Anaam, Verse 1
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن طِينٖ ثُمَّ قَضَىٰٓ أَجَلٗاۖ وَأَجَلٞ مُّسَمًّى عِندَهُۥۖ ثُمَّ أَنتُمۡ تَمۡتَرُونَ
Woh aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik waqt moyyen kiya aur (doosra) moyyen waqt khaas Allah hi kay nazdeek hai phir bhi tum shak rakhtay
Surah Al-Anaam, Verse 2
وَهُوَ ٱللَّهُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَفِي ٱلۡأَرۡضِ يَعۡلَمُ سِرَّكُمۡ وَجَهۡرَكُمۡ وَيَعۡلَمُ مَا تَكۡسِبُونَ
Aur wohi hai mabood-e-bar haq aasmanon mein bhi aur zamin mein bhi woh tumharay posheeda ehwaal ko bhi aur tumharay zahir ehwaal ko bhi janta hai aur tum jo kuch amal kertay ho uss ko bhi janta hai
Surah Al-Anaam, Verse 3
وَمَا تَأۡتِيهِم مِّنۡ ءَايَةٖ مِّنۡ ءَايَٰتِ رَبِّهِمۡ إِلَّا كَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ
Aur inn kay pass koi nishani bhi unn kay rab ki nishaniyon mein say nahi aati magar woh iss say aeyraaz hi kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 4
فَقَدۡ كَذَّبُواْ بِٱلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ فَسَوۡفَ يَأۡتِيهِمۡ أَنۢبَـٰٓؤُاْ مَا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Enhon ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn kay pass phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi uss cheez ki jiss kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay
Surah Al-Anaam, Verse 5
أَلَمۡ يَرَوۡاْ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَبۡلِهِم مِّن قَرۡنٖ مَّكَّنَّـٰهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَا لَمۡ نُمَكِّن لَّكُمۡ وَأَرۡسَلۡنَا ٱلسَّمَآءَ عَلَيۡهِم مِّدۡرَارٗا وَجَعَلۡنَا ٱلۡأَنۡهَٰرَ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمۡ فَأَهۡلَكۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡ وَأَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قَرۡنًا ءَاخَرِينَ
Kiya enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni jamaton ko halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya mein aisi qooat di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur hum ney unn per khoob barishen barsaeen aur hum ney unn kay neechay say nehren jari kin. Phir hum ney unn ko unn kay gunahon kay sabab halak ker daala aur unn kay baad doosri jamaton ko peda ker diya
Surah Al-Anaam, Verse 6
وَلَوۡ نَزَّلۡنَا عَلَيۡكَ كِتَٰبٗا فِي قِرۡطَاسٖ فَلَمَسُوهُ بِأَيۡدِيهِمۡ لَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Aur agar hum kaghaz per likha hua koi navishta aap per nazil farmatay phir uss ko yeh log apney haathon say chu bhi letay tab bhi yeh kafir log yeh kehtay kay yeh kuch bhi nahi magar sareeh jadoo hai
Surah Al-Anaam, Verse 7
وَقَالُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ مَلَكٞۖ وَلَوۡ أَنزَلۡنَا مَلَكٗا لَّقُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ ثُمَّ لَا يُنظَرُونَ
Aur yeh log yun kehtay hain kay inn kay pass koi farishta kiyon nahi utara gaya aur agar hum koi farishat bhej detay to sara qissa hi khatam ho jata. Phir inn ko zara mohlat na di jati
Surah Al-Anaam, Verse 8
وَلَوۡ جَعَلۡنَٰهُ مَلَكٗا لَّجَعَلۡنَٰهُ رَجُلٗا وَلَلَبَسۡنَا عَلَيۡهِم مَّا يَلۡبِسُونَ
Aur agar hum iss ko farishta tajveez kertay to hum uss ko aadmi hi banatay aur huamray iss fail say phir inn per wohi ashkaal hota jo abb ashkaal ker rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 9
وَلَقَدِ ٱسۡتُهۡزِئَ بِرُسُلٖ مِّن قَبۡلِكَ فَحَاقَ بِٱلَّذِينَ سَخِرُواْ مِنۡهُم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Aur waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn kay sath bhi istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney unn say mazaq kiya tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss kay tamaskhur uratay thay
Surah Al-Anaam, Verse 10
قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ ٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ
Aap farma dijiye kay zara zamin mein chalo phiro phir dekh lo kay takzeeb kerney walon ka kiya anjam hua
Surah Al-Anaam, Verse 11
قُل لِّمَن مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قُل لِّلَّهِۚ كَتَبَ عَلَىٰ نَفۡسِهِ ٱلرَّحۡمَةَۚ لَيَجۡمَعَنَّكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِۚ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay
Surah Al-Anaam, Verse 12
۞وَلَهُۥ مَا سَكَنَ فِي ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 13
قُلۡ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَتَّخِذُ وَلِيّٗا فَاطِرِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَهُوَ يُطۡعِمُ وَلَا يُطۡعَمُۗ قُلۡ إِنِّيٓ أُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ أَوَّلَ مَنۡ أَسۡلَمَۖ وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona
Surah Al-Anaam, Verse 14
قُلۡ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Aap keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna na manon to mein aik baray din kay azab say darta hun
Surah Al-Anaam, Verse 15
مَّن يُصۡرَفۡ عَنۡهُ يَوۡمَئِذٖ فَقَدۡ رَحِمَهُۥۚ وَذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡمُبِينُ
Jiss shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss per Allah ney bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi hai
Surah Al-Anaam, Verse 16
وَإِن يَمۡسَسۡكَ ٱللَّهُ بِضُرّٖ فَلَا كَاشِفَ لَهُۥٓ إِلَّا هُوَۖ وَإِن يَمۡسَسۡكَ بِخَيۡرٖ فَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 17
وَهُوَ ٱلۡقَاهِرُ فَوۡقَ عِبَادِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 18
قُلۡ أَيُّ شَيۡءٍ أَكۡبَرُ شَهَٰدَةٗۖ قُلِ ٱللَّهُۖ شَهِيدُۢ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۚ وَأُوحِيَ إِلَيَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ لِأُنذِرَكُم بِهِۦ وَمَنۢ بَلَغَۚ أَئِنَّكُمۡ لَتَشۡهَدُونَ أَنَّ مَعَ ٱللَّهِ ءَالِهَةً أُخۡرَىٰۚ قُل لَّآ أَشۡهَدُۚ قُلۡ إِنَّمَا هُوَ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ وَإِنَّنِي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تُشۡرِكُونَ
Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun
Surah Al-Anaam, Verse 19
ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَعۡرِفُونَهُۥ كَمَا يَعۡرِفُونَ أَبۡنَآءَهُمُۘ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Jin logon ko hum ney kitab di hai woh log rasoolon ko pehchantay hain jiss tarah apney beton ko pehchantay hain. Jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay
Surah Al-Anaam, Verse 20
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aur uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye aisay bey insafon ko kaamyabi na hogi
Surah Al-Anaam, Verse 21
وَيَوۡمَ نَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا ثُمَّ نَقُولُ لِلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ أَيۡنَ شُرَكَآؤُكُمُ ٱلَّذِينَ كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jiss roz hum unn tamam khaleeq ko jama keren gay phir hum mushrikeen say kahen gay kay tumharay woh shurka jin kay mabood honey ka tum dawa kertay thay kahan gaye
Surah Al-Anaam, Verse 22
ثُمَّ لَمۡ تَكُن فِتۡنَتُهُمۡ إِلَّآ أَن قَالُواْ وَٱللَّهِ رَبِّنَا مَا كُنَّا مُشۡرِكِينَ
Phir unn kay shirk ka anjam iss kay siwa aur kuch bhi na hoga kay woh yun kahen gay kay qasam Allah ki apney perwerdigar ki hum mushrik na thay
Surah Al-Anaam, Verse 23
ٱنظُرۡ كَيۡفَ كَذَبُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡۚ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Zara dekho to enhon ney kiss tarah jhoot bola apni janon per aur jin cheezon ko woh jhoot moot tarasha kertay thay woh sab ghaeeb hogaye
Surah Al-Anaam, Verse 24
وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَۖ وَجَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۚ وَإِن يَرَوۡاْ كُلَّ ءَايَةٖ لَّا يُؤۡمِنُواْ بِهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوكَ يُجَٰدِلُونَكَ يَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Aur inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf kaan lagatay hain aur hum ney inn kay dilon per parda daal rakha hai iss say kay woh iss ko samjhen aur inn kay kanon mein daat dey rakhi hai aur agar woh log tamam dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi eman na layen yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain to aap say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say chali aarahi hain
Surah Al-Anaam, Verse 25
وَهُمۡ يَنۡهَوۡنَ عَنۡهُ وَيَنۡـَٔوۡنَ عَنۡهُۖ وَإِن يُهۡلِكُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ
Aur yeh log iss say doosron ko bhi roktay hain aur khud bhi iss say door door rehtay hain aur yeh log apney hi ko tabah ker rahey hain aur kuch khabar nahi raktay
Surah Al-Anaam, Verse 26
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ وُقِفُواْ عَلَى ٱلنَّارِ فَقَالُواْ يَٰلَيۡتَنَا نُرَدُّ وَلَا نُكَذِّبَ بِـَٔايَٰتِ رَبِّنَا وَنَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh dozakh kay pass kharay kiye jayen to kahen gay haaye kiya achi baat ho kay hum phir wapis bhej diye jayen aur agar aisa hojaye to hum apney rab ki aayaat ko jhoota na batlayen aur hum eman walon mein say hojayen
Surah Al-Anaam, Verse 27
بَلۡ بَدَا لَهُم مَّا كَانُواْ يُخۡفُونَ مِن قَبۡلُۖ وَلَوۡ رُدُّواْ لَعَادُواْ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Bulkay jiss cheez ko iss say qabal chupaya kertay thay woh inn kay samney aagaee hai aur gar yeh log phir wapis bhej diye jayen tab bhi yeh wohi kaam keren gay jiss say inn ko mana kiya gaya tha aur yaqeenan yeh bilkul jhootay hain
Surah Al-Anaam, Verse 28
وَقَالُوٓاْ إِنۡ هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا وَمَا نَحۡنُ بِمَبۡعُوثِينَ
Aur yeh kehtay hain kay sirf yeh dunyawi zindagi humari zindagi hai aur hum zinda na kiye jayen gay
Surah Al-Anaam, Verse 29
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ وُقِفُواْ عَلَىٰ رَبِّهِمۡۚ قَالَ أَلَيۡسَ هَٰذَا بِٱلۡحَقِّۚ قَالُواْ بَلَىٰ وَرَبِّنَاۚ قَالَ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh apeny rab kay samey kharay kiye jayen gay. Allah farmaye ga kay kiya yeh amar waqaee nahi hai? Woh kahen gay be-shak qasam apney rab ki. Allah Taalaa farmaye ga to abb apney kufur kay ewaz azab chakho
Surah Al-Anaam, Verse 30
قَدۡ خَسِرَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱللَّهِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَتۡهُمُ ٱلسَّاعَةُ بَغۡتَةٗ قَالُواْ يَٰحَسۡرَتَنَا عَلَىٰ مَا فَرَّطۡنَا فِيهَا وَهُمۡ يَحۡمِلُونَ أَوۡزَارَهُمۡ عَلَىٰ ظُهُورِهِمۡۚ أَلَا سَآءَ مَا يَزِرُونَ
Be-shak khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah say milney ki takzeeb ki yahan tak kay jab woh moyyen waqt unn per dafatan aa phonchay ga kahen gay kay haaye afsos humari kotahi per jo iss kay baray mein hui aur halat inn ki yeh hogi kay woh apney baar apni peethon per laaday hongay khoob sunn lo kay buri hogi woh cheez jiss ko woh laaden gay
Surah Al-Anaam, Verse 31
وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا لَعِبٞ وَلَهۡوٞۖ وَلَلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يَتَّقُونَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai. Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho
Surah Al-Anaam, Verse 32
قَدۡ نَعۡلَمُ إِنَّهُۥ لَيَحۡزُنُكَ ٱلَّذِي يَقُولُونَۖ فَإِنَّهُمۡ لَا يُكَذِّبُونَكَ وَلَٰكِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ يَجۡحَدُونَ
Hum khoob jantay hain kay aap ko inn kay aqwaal maghmoom kertay hain so yeh log aap ko jhoota nahi kehtay lekin yeh zalim to Allah ki aayaton ka inkar kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 33
وَلَقَدۡ كُذِّبَتۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَ فَصَبَرُواْ عَلَىٰ مَا كُذِّبُواْ وَأُوذُواْ حَتَّىٰٓ أَتَىٰهُمۡ نَصۡرُنَاۚ وَلَا مُبَدِّلَ لِكَلِمَٰتِ ٱللَّهِۚ وَلَقَدۡ جَآءَكَ مِن نَّبَإِيْ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Aur boht say payghumbar jo aap say pehlay huye hain unn ki bhi takzeeb ki jaa chuki hai so unhon ney iss per sabar hi kiya unn ki takzeeb ki gaee unn ko ezza phonchaee gaeen yahan tak kay humari imdad unn ko phonchi aur Allah ki baaton ka koi badalney wala nahi aur aap kay pass baaz payghumbaron ki baaz khabren phonch chuki hain
Surah Al-Anaam, Verse 34
وَإِن كَانَ كَبُرَ عَلَيۡكَ إِعۡرَاضُهُمۡ فَإِنِ ٱسۡتَطَعۡتَ أَن تَبۡتَغِيَ نَفَقٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ أَوۡ سُلَّمٗا فِي ٱلسَّمَآءِ فَتَأۡتِيَهُم بِـَٔايَةٖۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَمَعَهُمۡ عَلَى ٱلۡهُدَىٰۚ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡجَٰهِلِينَ
Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein say na ho jaiye
Surah Al-Anaam, Verse 35
۞إِنَّمَا يَسۡتَجِيبُ ٱلَّذِينَ يَسۡمَعُونَۘ وَٱلۡمَوۡتَىٰ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ ثُمَّ إِلَيۡهِ يُرۡجَعُونَ
Wohi log qabool kertay hain jo suntay hain. Murdon ko Allah zinda ker kay uthaye ga phir sab Allah hi ki taraf laye jayen gay
Surah Al-Anaam, Verse 36
وَقَالُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ قَادِرٌ عَلَىٰٓ أَن يُنَزِّلَ ءَايَةٗ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Aur yeh log kehtay hain kay inn per koi moajza kiyon nahi nazil kiya gaya inn kay rab ki taraf say aap farma dijiye kay Allah Taalaa ko bey shak poori qudrat hai iss per kay woh moajza nazil farma dey lekin inn mein aksar bey khabar hain
Surah Al-Anaam, Verse 37
وَمَا مِن دَآبَّةٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا طَـٰٓئِرٖ يَطِيرُ بِجَنَاحَيۡهِ إِلَّآ أُمَمٌ أَمۡثَالُكُمۚ مَّا فَرَّطۡنَا فِي ٱلۡكِتَٰبِ مِن شَيۡءٖۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ يُحۡشَرُونَ
Aur jitney qisam kay jaandaar zamin per chalney walay hain aur jitney qisam kay parind janwar hain kay apnay dono baazoo’on per urtay hain inn mein koi qisam aisi nahi kay jo kay tumhari tarah kay giroh na hon hum ney daftar mein koi cheez nahi chori phir sab apney perwerdigar kay pass jama kiye jayen gay
Surah Al-Anaam, Verse 38
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا صُمّٞ وَبُكۡمٞ فِي ٱلظُّلُمَٰتِۗ مَن يَشَإِ ٱللَّهُ يُضۡلِلۡهُ وَمَن يَشَأۡ يَجۡعَلۡهُ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko chahaye seedhi raah laga dey
Surah Al-Anaam, Verse 39
قُلۡ أَرَءَيۡتَكُمۡ إِنۡ أَتَىٰكُمۡ عَذَابُ ٱللَّهِ أَوۡ أَتَتۡكُمُ ٱلسَّاعَةُ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ تَدۡعُونَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Aap kahiye kay apney haal to batlao kay agar tum per Allah ka koi azab aa paray ya tum per qayamat hi aa phonchay to kiya Allah kay siwa kissi aur ko pukaro gay. Agar tum sachay ho
Surah Al-Anaam, Verse 40
بَلۡ إِيَّاهُ تَدۡعُونَ فَيَكۡشِفُ مَا تَدۡعُونَ إِلَيۡهِ إِن شَآءَ وَتَنسَوۡنَ مَا تُشۡرِكُونَ
Bulkay khaas ussi ko pukaro gay phir jiss kay liye tum pukaro gay agar woh chahaye to uss ko hata bhi dey aur jin ko tum shareek thehratay ho unn sab ko bhool bhaal jao gay
Surah Al-Anaam, Verse 41
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰٓ أُمَمٖ مِّن قَبۡلِكَ فَأَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡبَأۡسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ لَعَلَّهُمۡ يَتَضَرَّعُونَ
Aur hum ney aur ummaton ki taraf bhi jo kay aap say pehlay guzar chuki hain payghumbar bhejay thay so hum ney unn ko tangdasti aur beemari say pakra takay woh izhar-e-ijz ker saken
Surah Al-Anaam, Verse 42
فَلَوۡلَآ إِذۡ جَآءَهُم بَأۡسُنَا تَضَرَّعُواْ وَلَٰكِن قَسَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
So jab unn ko humari saza phonchi thi to unhon ney aajzi kiyon nahi ikhtiyar ki? Lekin unn kay quloob sakht hogaye aur shetan ney unn kay aemaal ko unn kay khayal mein aaraasta ker diya
Surah Al-Anaam, Verse 43
فَلَمَّا نَسُواْ مَا ذُكِّرُواْ بِهِۦ فَتَحۡنَا عَلَيۡهِمۡ أَبۡوَٰبَ كُلِّ شَيۡءٍ حَتَّىٰٓ إِذَا فَرِحُواْ بِمَآ أُوتُوٓاْ أَخَذۡنَٰهُم بَغۡتَةٗ فَإِذَا هُم مُّبۡلِسُونَ
Phir jab woh log unn cheezon ko bhoolay rahey jin ki unn ko naseehat ki jati thi to hum ney unn per her cheez kay darwazay kushada ker diye yahan tak kay jab unn cheezon per jo kay unn ko mili thin woh khoob itra gaye hum ney unn ko dafatan pakar liya phir to woh bilkul mayyus hogaye
Surah Al-Anaam, Verse 44
فَقُطِعَ دَابِرُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْۚ وَٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Phir zalim logon ki jarr kat gaee aur Allah Taalaa ka shukar hai jo tamam aalam ka perwerdigar hai
Surah Al-Anaam, Verse 45
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَخَذَ ٱللَّهُ سَمۡعَكُمۡ وَأَبۡصَٰرَكُمۡ وَخَتَمَ عَلَىٰ قُلُوبِكُم مَّنۡ إِلَٰهٌ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَأۡتِيكُم بِهِۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ ثُمَّ هُمۡ يَصۡدِفُونَ
Aap kahiye kay yeh batlao agar Allah Taalaa tumhari sama’at aur basarat biluk ley ley aur tumhary dilon per mohar ker dey to Allah Taalaa kay siwa aur koi mabood hai kay yeh tum ko phir dey dey. Aap dekhiye to hum kiss tarah dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say paish ker rahey hain phir bhi yeh aeyraaz kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 46
قُلۡ أَرَءَيۡتَكُمۡ إِنۡ أَتَىٰكُمۡ عَذَابُ ٱللَّهِ بَغۡتَةً أَوۡ جَهۡرَةً هَلۡ يُهۡلَكُ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aap kahiye kay yeh batlao agar tum per Allah Taalaa ka azab aa paray khuwa achanak ya aelaaniya to kiya ba-juz zalim logon kay aur bhi koi halak kiya jaye ga
Surah Al-Anaam, Verse 47
وَمَا نُرۡسِلُ ٱلۡمُرۡسَلِينَ إِلَّا مُبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَۖ فَمَنۡ ءَامَنَ وَأَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Aur hum payghumbaron ko sirf iss wastay bheja kertay hain kay woh bisharat den aur darayen phir jo eman ley aaye aur durusti ker ley so unn logon per koi andesha nahi aur na woh maghmoom hongay
Surah Al-Anaam, Verse 48
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَمَسُّهُمُ ٱلۡعَذَابُ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 49
قُل لَّآ أَقُولُ لَكُمۡ عِندِي خَزَآئِنُ ٱللَّهِ وَلَآ أَعۡلَمُ ٱلۡغَيۡبَ وَلَآ أَقُولُ لَكُمۡ إِنِّي مَلَكٌۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّۚ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُۚ أَفَلَا تَتَفَكَّرُونَ
Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay
Surah Al-Anaam, Verse 50
وَأَنذِرۡ بِهِ ٱلَّذِينَ يَخَافُونَ أَن يُحۡشَرُوٓاْ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ لَيۡسَ لَهُم مِّن دُونِهِۦ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ لَّعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Aur aisay logon ko daraiye jo iss baat say andesha rakhtay hain kay apney rab kay pass aisi halat mein jama kiye jayen gay kay jitney ghair Allah hain na koi unn ka madadgar hoga aur na koi shafi hoga iss umeed per kay woh darr jayen
Surah Al-Anaam, Verse 51
وَلَا تَطۡرُدِ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ رَبَّهُم بِٱلۡغَدَوٰةِ وَٱلۡعَشِيِّ يُرِيدُونَ وَجۡهَهُۥۖ مَا عَلَيۡكَ مِنۡ حِسَابِهِم مِّن شَيۡءٖ وَمَا مِنۡ حِسَابِكَ عَلَيۡهِم مِّن شَيۡءٖ فَتَطۡرُدَهُمۡ فَتَكُونَ مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur unn logon ko na nikaliye jo subha-o-shaam apney perwerdigar ki ibadat kertay hain khaas ussi ki raza ka qasad rakhtay hain. Unn ka hisab zara bhi aap kay mutalliq nahi aur aap ka hisab zara bhi unn kay mutalliq nahi kay aap unn ko nikal den. Werna aap zulm kerney walon mein say hojayen gay
Surah Al-Anaam, Verse 52
وَكَذَٰلِكَ فَتَنَّا بَعۡضَهُم بِبَعۡضٖ لِّيَقُولُوٓاْ أَهَـٰٓؤُلَآءِ مَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنۢ بَيۡنِنَآۗ أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِأَعۡلَمَ بِٱلشَّـٰكِرِينَ
Aur issi tarah say hum ney baaz ko baaz kay zariye say aazmaeesh mein daal rakha hai takay yeh log kaha keren kiya yeh log hain kay hum sab mein say inn per Allah Taalaa ney fazal kiya hai. Kiya yeh baat nahi hai kay Allah Taalaa shukar guzaron ko khoob janta hai
Surah Al-Anaam, Verse 53
وَإِذَا جَآءَكَ ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِـَٔايَٰتِنَا فَقُلۡ سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡۖ كَتَبَ رَبُّكُمۡ عَلَىٰ نَفۡسِهِ ٱلرَّحۡمَةَ أَنَّهُۥ مَنۡ عَمِلَ مِنكُمۡ سُوٓءَۢا بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ تَابَ مِنۢ بَعۡدِهِۦ وَأَصۡلَحَ فَأَنَّهُۥ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to (yun) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah (ki shaan hai kay woh) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 54
وَكَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ وَلِتَسۡتَبِينَ سَبِيلُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Issi tarah hum aayaat ki tafseel kertay rehtay hain aur takay mujrimeen ka tareeqa zahir hojaye
Surah Al-Anaam, Verse 55
قُلۡ إِنِّي نُهِيتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِۚ قُل لَّآ أَتَّبِعُ أَهۡوَآءَكُمۡ قَدۡ ضَلَلۡتُ إِذٗا وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُهۡتَدِينَ
Aap keh dijiye kay mujh ko iss say moomaniyat ki gaee hai kay unn ki ibadat keroon jin ko tum log Allah Taalaa ko chor ker pukartay ho. Aap keh dijiye kay mein tumhari khuwaishaat ki ittabaa na keroon kiyon kay iss halat mein to mein bey raah hojaoon ga aur raah-e-raast per chalney walon mei na rahoon ga
Surah Al-Anaam, Verse 56
قُلۡ إِنِّي عَلَىٰ بَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّي وَكَذَّبۡتُم بِهِۦۚ مَا عِندِي مَا تَسۡتَعۡجِلُونَ بِهِۦٓۚ إِنِ ٱلۡحُكۡمُ إِلَّا لِلَّهِۖ يَقُصُّ ٱلۡحَقَّۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡفَٰصِلِينَ
Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha faisla kerney wala wohi hai
Surah Al-Anaam, Verse 57
قُل لَّوۡ أَنَّ عِندِي مَا تَسۡتَعۡجِلُونَ بِهِۦ لَقُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۗ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Aap keh dijiye kay agar meray pass woh cheez hoti jiss ka tum taqaza ker rahey ho to mera aur tumhara bahumi qissa-e-faisal ho chuka hota aur zalimon ko Allah Taalaa khoob janta hai
Surah Al-Anaam, Verse 58
۞وَعِندَهُۥ مَفَاتِحُ ٱلۡغَيۡبِ لَا يَعۡلَمُهَآ إِلَّا هُوَۚ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِۚ وَمَا تَسۡقُطُ مِن وَرَقَةٍ إِلَّا يَعۡلَمُهَا وَلَا حَبَّةٖ فِي ظُلُمَٰتِ ٱلۡأَرۡضِ وَلَا رَطۡبٖ وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٖ
Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan (khazaney) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain
Surah Al-Anaam, Verse 59
وَهُوَ ٱلَّذِي يَتَوَفَّىٰكُم بِٱلَّيۡلِ وَيَعۡلَمُ مَا جَرَحۡتُم بِٱلنَّهَارِ ثُمَّ يَبۡعَثُكُمۡ فِيهِ لِيُقۡضَىٰٓ أَجَلٞ مُّسَمّٗىۖ ثُمَّ إِلَيۡهِ مَرۡجِعُكُمۡ ثُمَّ يُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aur woh aisa hai kay raat mein tumhari rooh ko (aik gona) qabz ker deta hai aur jo kuch tum din mein kertay ho uss ko janta hai phir tum ko jaga uthata hai takay miyaad-e-moyyen tamam ker di jaye phir ussi ki taraf tum ko jana hai phir tum ko batlaye ga jo kuch tum kiya kertay thay
Surah Al-Anaam, Verse 60
وَهُوَ ٱلۡقَاهِرُ فَوۡقَ عِبَادِهِۦۖ وَيُرۡسِلُ عَلَيۡكُمۡ حَفَظَةً حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ تَوَفَّتۡهُ رُسُلُنَا وَهُمۡ لَا يُفَرِّطُونَ
Aur wohi apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur tum per nigehdaasht rakhney wala bhejta hai yahan tak kay jab tum mein say kissi ko maut aa phonchti hai uss ki rooh humaray bhejay huye farishtay qabz ker letay hain aur woh zara kotahi nahi kertay
Surah Al-Anaam, Verse 61
ثُمَّ رُدُّوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ مَوۡلَىٰهُمُ ٱلۡحَقِّۚ أَلَا لَهُ ٱلۡحُكۡمُ وَهُوَ أَسۡرَعُ ٱلۡحَٰسِبِينَ
Phir sab apney maalik-e-haqeeqi kay pass laye jayen gay. Khoob sunn lo faisla Allah hi ka hoga aur woh boht jald hisab ley ga
Surah Al-Anaam, Verse 62
قُلۡ مَن يُنَجِّيكُم مِّن ظُلُمَٰتِ ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ تَدۡعُونَهُۥ تَضَرُّعٗا وَخُفۡيَةٗ لَّئِنۡ أَنجَىٰنَا مِنۡ هَٰذِهِۦ لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko khushki aur darya ki zulmat say nijat deta hai. Tum uss ko pukartay ho girr girra ker aur chupkay chupkay kay agar tu hum ko inn say nijat dey dey to hum zaroor shukar kerney walon mein say ho jayen gay
Surah Al-Anaam, Verse 63
قُلِ ٱللَّهُ يُنَجِّيكُم مِّنۡهَا وَمِن كُلِّ كَرۡبٖ ثُمَّ أَنتُمۡ تُشۡرِكُونَ
Aap keh dijiye kay Allah hi tum ko inn say nijat deta hai aur her ghum say tum phir bhi shirk kerney lagtay ho
Surah Al-Anaam, Verse 64
قُلۡ هُوَ ٱلۡقَادِرُ عَلَىٰٓ أَن يَبۡعَثَ عَلَيۡكُمۡ عَذَابٗا مِّن فَوۡقِكُمۡ أَوۡ مِن تَحۡتِ أَرۡجُلِكُمۡ أَوۡ يَلۡبِسَكُمۡ شِيَعٗا وَيُذِيقَ بَعۡضَكُم بَأۡسَ بَعۡضٍۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَفۡقَهُونَ
Aap kahiye kay iss per bhi wohi qadir hai kay tum per koi azab tumharay upper say bhej dey ya tumharay paon talay say ya kay tum ko giroh giroh ker kay sab ko bhira dey aur tumharay aik doosray ki laraee chakha dey. Aap dekhiye to sahi hum kiss tarah dalaeel mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain shayad woh samajh jayen
Surah Al-Anaam, Verse 65
وَكَذَّبَ بِهِۦ قَوۡمُكَ وَهُوَ ٱلۡحَقُّۚ قُل لَّسۡتُ عَلَيۡكُم بِوَكِيلٖ
Aur aap ki qom iss ki takzeeb kerti hai halankay woh yaqeeni hai. Aap keh dijiye kay mein tum per taaeenaat nahi kiya gaya hun
Surah Al-Anaam, Verse 66
لِّكُلِّ نَبَإٖ مُّسۡتَقَرّٞۚ وَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
Her khabar (kay waqoo) ka aik waqt hai aur jald hi tum ko maloom hojaye ga
Surah Al-Anaam, Verse 67
وَإِذَا رَأَيۡتَ ٱلَّذِينَ يَخُوضُونَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ حَتَّىٰ يَخُوضُواْ فِي حَدِيثٍ غَيۡرِهِۦۚ وَإِمَّا يُنسِيَنَّكَ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَلَا تَقۡعُدۡ بَعۡدَ ٱلذِّكۡرَىٰ مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jab aap unn logon ko dekhen jo humari aayaat mein aib joee ker rahey hain to inn logon say kinara kash hojayen yahan tak kay woh kissi aur baat mein lagg jayen aur agar aap ko shetan bhula dey to yaad aaney kay baad phir aisay zalim logon kay sath mat bethen
Surah Al-Anaam, Verse 68
وَمَا عَلَى ٱلَّذِينَ يَتَّقُونَ مِنۡ حِسَابِهِم مِّن شَيۡءٖ وَلَٰكِن ذِكۡرَىٰ لَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Aur jo log perhezgar hain unn per inn ki baaz purs ka koi asar na phonchay ga aur lekin inn kay zimmay naseehat ker dena hai shayad woh bhi taqwa ikhtiyar keren
Surah Al-Anaam, Verse 69
وَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَعِبٗا وَلَهۡوٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ وَذَكِّرۡ بِهِۦٓ أَن تُبۡسَلَ نَفۡسُۢ بِمَا كَسَبَتۡ لَيۡسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ وَإِن تَعۡدِلۡ كُلَّ عَدۡلٖ لَّا يُؤۡخَذۡ مِنۡهَآۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبۡسِلُواْ بِمَا كَسَبُواْۖ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks apney kirdaar kay sabab (iss tarah) na phans jaye kay koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza hogi apney kufur kay sabab
Surah Al-Anaam, Verse 70
قُلۡ أَنَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُنَا وَلَا يَضُرُّنَا وَنُرَدُّ عَلَىٰٓ أَعۡقَابِنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُ كَٱلَّذِي ٱسۡتَهۡوَتۡهُ ٱلشَّيَٰطِينُ فِي ٱلۡأَرۡضِ حَيۡرَانَ لَهُۥٓ أَصۡحَٰبٞ يَدۡعُونَهُۥٓ إِلَى ٱلۡهُدَى ٱئۡتِنَاۗ قُلۡ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلۡهُدَىٰۖ وَأُمِرۡنَا لِنُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen
Surah Al-Anaam, Verse 71
وَأَنۡ أَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَٱتَّقُوهُۚ وَهُوَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Aur yeh kay namaz ki pabandi kero aur iss say daro aur wohi hai jiss kay pass tum jama kiye jao gay
Surah Al-Anaam, Verse 72
وَهُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۖ وَيَوۡمَ يَقُولُ كُن فَيَكُونُۚ قَوۡلُهُ ٱلۡحَقُّۚ وَلَهُ ٱلۡمُلۡكُ يَوۡمَ يُنفَخُ فِي ٱلصُّورِۚ عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala
Surah Al-Anaam, Verse 73
۞وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِيمُ لِأَبِيهِ ءَازَرَ أَتَتَّخِذُ أَصۡنَامًا ءَالِهَةً إِنِّيٓ أَرَىٰكَ وَقَوۡمَكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jab ibrahim (alh-e-salam) ney apney baap aazar say farmaya kay kiya tu button ko mabood qarar deta hai? Be-shak mein tujh ko aur teri sari qom ko sareeh gumrahi mein dekhta hun
Surah Al-Anaam, Verse 74
وَكَذَٰلِكَ نُرِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ مَلَكُوتَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلِيَكُونَ مِنَ ٱلۡمُوقِنِينَ
Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim (alh-e-salam) ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay kaamil yaqeen kerney walon say hojayen
Surah Al-Anaam, Verse 75
فَلَمَّا جَنَّ عَلَيۡهِ ٱلَّيۡلُ رَءَا كَوۡكَبٗاۖ قَالَ هَٰذَا رَبِّيۖ فَلَمَّآ أَفَلَ قَالَ لَآ أُحِبُّ ٱلۡأٓفِلِينَ
Phir jab raat ki tareeki unn per cha gaee to unhon ney aik sitara dekha aap ney farmaya kay yeh mera rab hai magar jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay mein ghuroob ho janey walon say mohabbat nahi rakhta
Surah Al-Anaam, Verse 76
فَلَمَّا رَءَا ٱلۡقَمَرَ بَازِغٗا قَالَ هَٰذَا رَبِّيۖ فَلَمَّآ أَفَلَ قَالَ لَئِن لَّمۡ يَهۡدِنِي رَبِّي لَأَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلضَّآلِّينَ
Phir jab chand ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai lekin jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay agar mujh ko meray rab ney hidayat na ki to mein gumrah logon mein shamil ho jaon ga
Surah Al-Anaam, Verse 77
فَلَمَّا رَءَا ٱلشَّمۡسَ بَازِغَةٗ قَالَ هَٰذَا رَبِّي هَٰذَآ أَكۡبَرُۖ فَلَمَّآ أَفَلَتۡ قَالَ يَٰقَوۡمِ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تُشۡرِكُونَ
Phir jab aftab ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai yeh to sab say bara hai phir jab woh bhi ghuroob hogaya to aap ney farmaya be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun
Surah Al-Anaam, Verse 78
إِنِّي وَجَّهۡتُ وَجۡهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ حَنِيفٗاۖ وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Mein apna rukh uss ki taraf kerta hun jiss ney aasman-o-zamin ko peda kiya yaksoo hoker aur mein shirk kerney walon mein say nahi hun
Surah Al-Anaam, Verse 79
وَحَآجَّهُۥ قَوۡمُهُۥۚ قَالَ أَتُحَـٰٓجُّوٓنِّي فِي ٱللَّهِ وَقَدۡ هَدَىٰنِۚ وَلَآ أَخَافُ مَا تُشۡرِكُونَ بِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَشَآءَ رَبِّي شَيۡـٔٗاۚ وَسِعَ رَبِّي كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمًاۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
Aur unn say unn ki qom ney hujjat kerna shuroo kiya aap ney farmaya kiya tum Allah kay moamlay mein mujh say hujjat kertay ho halankay uss ney mujhay tareeqa batla diya hai aur mein unn cheezon say jin ko tum Allah kay sath shareek banatay ho nahi darta haan agar mera perwerdigar hi koi amar chahaye mera perwerdigar her cheez ko apney ilm mein gheray huye hai kiya tum phir bhi khayal nahi kertay
Surah Al-Anaam, Verse 80
وَكَيۡفَ أَخَافُ مَآ أَشۡرَكۡتُمۡ وَلَا تَخَافُونَ أَنَّكُمۡ أَشۡرَكۡتُم بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ عَلَيۡكُمۡ سُلۡطَٰنٗاۚ فَأَيُّ ٱلۡفَرِيقَيۡنِ أَحَقُّ بِٱلۡأَمۡنِۖ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aur mein inn cheezon say kaisay darron jin ko tum ney shareek banaya hai halankay tum iss baat say nahi dartay kay tum ney Allah kay sath aisi cheezon ko shareek thehraya hai jin per Allah Taalaa ney koi daleel nazil nahi farmaee so inn do jamaton mein say aman ka ziyada mustahiq kaun hai agar tum khabar rakhtay ho
Surah Al-Anaam, Verse 81
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَمۡ يَلۡبِسُوٓاْ إِيمَٰنَهُم بِظُلۡمٍ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمُ ٱلۡأَمۡنُ وَهُم مُّهۡتَدُونَ
Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi raah-e-raast per chal rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 82
وَتِلۡكَ حُجَّتُنَآ ءَاتَيۡنَٰهَآ إِبۡرَٰهِيمَ عَلَىٰ قَوۡمِهِۦۚ نَرۡفَعُ دَرَجَٰتٖ مَّن نَّشَآءُۗ إِنَّ رَبَّكَ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 83
وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَۚ كُلًّا هَدَيۡنَاۚ وَنُوحًا هَدَيۡنَا مِن قَبۡلُۖ وَمِن ذُرِّيَّتِهِۦ دَاوُۥدَ وَسُلَيۡمَٰنَ وَأَيُّوبَ وَيُوسُفَ وَمُوسَىٰ وَهَٰرُونَۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko hodayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 84
وَزَكَرِيَّا وَيَحۡيَىٰ وَعِيسَىٰ وَإِلۡيَاسَۖ كُلّٞ مِّنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Aur (naiz) zakriya ko aur yahya ko aur essa ko aur ilyas ko sab nek logon mein say thay
Surah Al-Anaam, Verse 85
وَإِسۡمَٰعِيلَ وَٱلۡيَسَعَ وَيُونُسَ وَلُوطٗاۚ وَكُلّٗا فَضَّلۡنَا عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat di
Surah Al-Anaam, Verse 86
وَمِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَذُرِّيَّـٰتِهِمۡ وَإِخۡوَٰنِهِمۡۖ وَٱجۡتَبَيۡنَٰهُمۡ وَهَدَيۡنَٰهُمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Aur naiz inn kay kuch baap dadon ko aur kuch aulad ko aur kuch bhaiyon ko aur hum ney unn ko maqbool banaya aur hum ney unn ko raah-e-raast ki hidayat ki
Surah Al-Anaam, Verse 87
ذَٰلِكَ هُدَى ٱللَّهِ يَهۡدِي بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۚ وَلَوۡ أَشۡرَكُواْ لَحَبِطَ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay
Surah Al-Anaam, Verse 88
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحُكۡمَ وَٱلنُّبُوَّةَۚ فَإِن يَكۡفُرۡ بِهَا هَـٰٓؤُلَآءِ فَقَدۡ وَكَّلۡنَا بِهَا قَوۡمٗا لَّيۡسُواْ بِهَا بِكَٰفِرِينَ
Yeh log aisay thay kay hum ney unn ko kitab aur hikmat aur naboowat ata ki thi so agar yeh log naboowat ka inkar keren to hum ney iss kay liye aisay boht say log muqarrar ker diye hain jo iss kay munkir nahi hain
Surah Al-Anaam, Verse 89
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ هَدَى ٱللَّهُۖ فَبِهُدَىٰهُمُ ٱقۡتَدِهۡۗ قُل لَّآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ أَجۡرًاۖ إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرَىٰ لِلۡعَٰلَمِينَ
Yehi log aisay thay jin ko Allah Taalaa ney hidayat ki thi so aap bhi inn hi kay tareeq per chaliye aap keh dijiye kay mein tum say iss per koi maawza nahi chahata yeh to sirf tamam jahaan walon kay wastay aik naseehat hai
Surah Al-Anaam, Verse 90
وَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓ إِذۡ قَالُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَىٰ بَشَرٖ مِّن شَيۡءٖۗ قُلۡ مَنۡ أَنزَلَ ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِي جَآءَ بِهِۦ مُوسَىٰ نُورٗا وَهُدٗى لِّلنَّاسِۖ تَجۡعَلُونَهُۥ قَرَاطِيسَ تُبۡدُونَهَا وَتُخۡفُونَ كَثِيرٗاۖ وَعُلِّمۡتُم مَّا لَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنتُمۡ وَلَآ ءَابَآؤُكُمۡۖ قُلِ ٱللَّهُۖ ثُمَّ ذَرۡهُمۡ فِي خَوۡضِهِمۡ يَلۡعَبُونَ
Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye
Surah Al-Anaam, Verse 91
وَهَٰذَا كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ مُبَارَكٞ مُّصَدِّقُ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَلِتُنذِرَ أُمَّ ٱلۡقُرَىٰ وَمَنۡ حَوۡلَهَاۚ وَٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ يُؤۡمِنُونَ بِهِۦۖ وَهُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain
Surah Al-Anaam, Verse 92
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ قَالَ أُوحِيَ إِلَيَّ وَلَمۡ يُوحَ إِلَيۡهِ شَيۡءٞ وَمَن قَالَ سَأُنزِلُ مِثۡلَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي غَمَرَٰتِ ٱلۡمَوۡتِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ بَاسِطُوٓاْ أَيۡدِيهِمۡ أَخۡرِجُوٓاْ أَنفُسَكُمُۖ ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَكُنتُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِهِۦ تَسۡتَكۡبِرُونَ
Aur uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per jhoot tohmar lagaye ya yun kahey kay mujh per wahee aati hai halankay uss kay pass kissi baat ki bhi wahee nahi aaee aur jo shaks yun kahey kay jaisa kalaam Allah ney nazil kiya hai ussi tarah ka mein bhi laata hun aur agar aap uss waqt dekhen jabkay yeh zalim log maut ko sakhtiyon mein hongay aur farishtay apney haath barha rahey hongay kay haan apni jaanen nikal lo. Aaj tum ko zillat ki saza di jaye gi iss sabab say kay tum Allah Taalaa kay zimmay jhooti baaten lagatay thay aur tum Allah Taalaa ki aayaat say takabbur kertay thay
Surah Al-Anaam, Verse 93
وَلَقَدۡ جِئۡتُمُونَا فُرَٰدَىٰ كَمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَتَرَكۡتُم مَّا خَوَّلۡنَٰكُمۡ وَرَآءَ ظُهُورِكُمۡۖ وَمَا نَرَىٰ مَعَكُمۡ شُفَعَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُمۡ أَنَّهُمۡ فِيكُمۡ شُرَكَـٰٓؤُاْۚ لَقَد تَّقَطَّعَ بَيۡنَكُمۡ وَضَلَّ عَنكُم مَّا كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
Aur tum humaray pass tanha tanha aagaye jiss tarah hum ney awwal baar tum ko peda kiya tha aur jo kuch hum ney tum ko diya tha uss ko apney peechay hi chor aaye aur hum to tumharay humrah tumharay inn shafaat kerney walon ko nahi dekhtay jin ki nisbat tum dawa rakhtay thay kay woh tumharay moamlay mein shareek hain. Waqaee tumharay aapas mein to qata talluq hogaya aur woh tumhara sab tum say gaya guzra hua
Surah Al-Anaam, Verse 94
۞إِنَّ ٱللَّهَ فَالِقُ ٱلۡحَبِّ وَٱلنَّوَىٰۖ يُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَمُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتِ مِنَ ٱلۡحَيِّۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho
Surah Al-Anaam, Verse 95
فَالِقُ ٱلۡإِصۡبَاحِ وَجَعَلَ ٱلَّيۡلَ سَكَنٗا وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ حُسۡبَانٗاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 96
وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلنُّجُومَ لِتَهۡتَدُواْ بِهَا فِي ظُلُمَٰتِ ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِۗ قَدۡ فَصَّلۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon kay liye jo khabar rakhtay hain
Surah Al-Anaam, Verse 97
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ فَمُسۡتَقَرّٞ وَمُسۡتَوۡدَعٞۗ قَدۡ فَصَّلۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَفۡقَهُونَ
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko aik shaks say peda kiya phir aik jagah ziyada rehney ki hai aur aik jagah chanday rehney ki be-shak hum ney dalaeel khoob khoob khol khol ker biyan ker diye unn logon kay liye jo samajh boojh rakhtay hain
Surah Al-Anaam, Verse 98
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ نَبَاتَ كُلِّ شَيۡءٖ فَأَخۡرَجۡنَا مِنۡهُ خَضِرٗا نُّخۡرِجُ مِنۡهُ حَبّٗا مُّتَرَاكِبٗا وَمِنَ ٱلنَّخۡلِ مِن طَلۡعِهَا قِنۡوَانٞ دَانِيَةٞ وَجَنَّـٰتٖ مِّنۡ أَعۡنَابٖ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُشۡتَبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٍۗ ٱنظُرُوٓاْ إِلَىٰ ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَيَنۡعِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكُمۡ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain
Surah Al-Anaam, Verse 99
وَجَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ ٱلۡجِنَّ وَخَلَقَهُمۡۖ وَخَرَقُواْ لَهُۥ بَنِينَ وَبَنَٰتِۭ بِغَيۡرِ عِلۡمٖۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يَصِفُونَ
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 100
بَدِيعُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ أَنَّىٰ يَكُونُ لَهُۥ وَلَدٞ وَلَمۡ تَكُن لَّهُۥ صَٰحِبَةٞۖ وَخَلَقَ كُلَّ شَيۡءٖۖ وَهُوَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai
Surah Al-Anaam, Verse 101
ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ فَٱعۡبُدُوهُۚ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ وَكِيلٞ
Yeh hai Allah Taalaa tumhara rab! Uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi her cheez ka peda kerney wala hai to tum uss ki ibadat kero aur woh her cheez ka kaar saaz hai
Surah Al-Anaam, Verse 102
لَّا تُدۡرِكُهُ ٱلۡأَبۡصَٰرُ وَهُوَ يُدۡرِكُ ٱلۡأَبۡصَٰرَۖ وَهُوَ ٱللَّطِيفُ ٱلۡخَبِيرُ
Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek been ba khabar hai
Surah Al-Anaam, Verse 103
قَدۡ جَآءَكُم بَصَآئِرُ مِن رَّبِّكُمۡۖ فَمَنۡ أَبۡصَرَ فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ عَمِيَ فَعَلَيۡهَاۚ وَمَآ أَنَا۠ عَلَيۡكُم بِحَفِيظٖ
Abb bila shuba tumharay pass tumharay rab ki janib say haq beeni kay zaraye phonch chukay hain so jo shaks dekh ley ga woh apna faeeda keray ga aur jo shaks andha rahey ga woh apna nuksan keray ga aur mein tumhara nigaraan nahi hun
Surah Al-Anaam, Verse 104
وَكَذَٰلِكَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ وَلِيَقُولُواْ دَرَسۡتَ وَلِنُبَيِّنَهُۥ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Aur hum iss tor per dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain takay yeh yun kahen kay aap ney kissi say parh liya hai aur takay hum iss ko danish mandon kay liye khoob zahir ker den
Surah Al-Anaam, Verse 105
ٱتَّبِعۡ مَآ أُوحِيَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Aap khud iss tareeq per chaltay rahiye jiss ki wahee aap kay rab ki taraf say aap kay pass aaee hai Allah Taalaa kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi aur mushrikeen ki taraf khayal na kijiye
Surah Al-Anaam, Verse 106
وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَآ أَشۡرَكُواْۗ وَمَا جَعَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ حَفِيظٗاۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِوَكِيلٖ
Aur agar Allah Taalaa ko manzoor hota to yeh shirk na kertay aur hum ney aap ko inn ka nigraan nahi banaya. Aur na aap inn per mukhtaar hain
Surah Al-Anaam, Verse 107
وَلَا تَسُبُّواْ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَسُبُّواْ ٱللَّهَ عَدۡوَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖۗ كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِم مَّرۡجِعُهُمۡ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch bhi woh kiya kertay thay
Surah Al-Anaam, Verse 108
وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِن جَآءَتۡهُمۡ ءَايَةٞ لَّيُؤۡمِنُنَّ بِهَاۚ قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡأٓيَٰتُ عِندَ ٱللَّهِۖ وَمَا يُشۡعِرُكُمۡ أَنَّهَآ إِذَا جَآءَتۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay
Surah Al-Anaam, Verse 109
وَنُقَلِّبُ أَفۡـِٔدَتَهُمۡ وَأَبۡصَٰرَهُمۡ كَمَا لَمۡ يُؤۡمِنُواْ بِهِۦٓ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَنَذَرُهُمۡ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Aur hum bhi inn kay dilon ko aur inn ki nigahon ko pher den gay jaisa kay yeh log iss per pehli dafa eman na laye aur hum inn ko inn ki sirkashi mein heyraan rehney den gay
Surah Al-Anaam, Verse 110
۞وَلَوۡ أَنَّنَا نَزَّلۡنَآ إِلَيۡهِمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ وَكَلَّمَهُمُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَحَشَرۡنَا عَلَيۡهِمۡ كُلَّ شَيۡءٖ قُبُلٗا مَّا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُوٓاْ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ يَجۡهَلُونَ
Aur agar hum inn kay pass farishton ko bhej detay aur inn say murday baaten kerney lagtay aur hum tamam mojodaat inn kay pass inn ki aankhon kay roo baroo laa ker jama ker detay hain tab bhi yeh log hergiz eman na latay haan agar Allah hi chahaye to aur baat hai lekin inn mein ziyada logo jahalat ki baaten kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 111
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوّٗا شَيَٰطِينَ ٱلۡإِنسِ وَٱلۡجِنِّ يُوحِي بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ زُخۡرُفَ ٱلۡقَوۡلِ غُرُورٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ رَبُّكَ مَا فَعَلُوهُۖ فَذَرۡهُمۡ وَمَا يَفۡتَرُونَ
Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye
Surah Al-Anaam, Verse 112
وَلِتَصۡغَىٰٓ إِلَيۡهِ أَفۡـِٔدَةُ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ وَلِيَرۡضَوۡهُ وَلِيَقۡتَرِفُواْ مَا هُم مُّقۡتَرِفُونَ
Aur takay uss ki taraf unn logon kay quloob maeel hojayen jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aur takay uss ko pasand kerlen aur takay murtakib hojayen unn umoor kay jin kay woh murtakib hotay thay
Surah Al-Anaam, Verse 113
أَفَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَبۡتَغِي حَكَمٗا وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ إِلَيۡكُمُ ٱلۡكِتَٰبَ مُفَصَّلٗاۚ وَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَعۡلَمُونَ أَنَّهُۥ مُنَزَّلٞ مِّن رَّبِّكَ بِٱلۡحَقِّۖ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ
To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon
Surah Al-Anaam, Verse 114
وَتَمَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ صِدۡقٗا وَعَدۡلٗاۚ لَّا مُبَدِّلَ لِكَلِمَٰتِهِۦۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Aap kay rab ka kalaam sachaee aur insaf kay aetabaar say kaamil hai iss kay kalaam ko koi badalney wala nahi aur woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 115
وَإِن تُطِعۡ أَكۡثَرَ مَن فِي ٱلۡأَرۡضِ يُضِلُّوكَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ إِن يَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ هُمۡ إِلَّا يَخۡرُصُونَ
Aur duniya mein ziyada log aisay hain kay agar aap unn ka kehna mannay lagen to woh aap ko Allah ki raah say bey raah ker den woh mehaz bey asal khayalaat per chaltay hain aur bilkul qayassi baaten kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 116
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ مَن يَضِلُّ عَن سَبِيلِهِۦۖ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ
Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain
Surah Al-Anaam, Verse 117
فَكُلُواْ مِمَّا ذُكِرَ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ إِن كُنتُم بِـَٔايَٰتِهِۦ مُؤۡمِنِينَ
So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho
Surah Al-Anaam, Verse 118
وَمَا لَكُمۡ أَلَّا تَأۡكُلُواْ مِمَّا ذُكِرَ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ وَقَدۡ فَصَّلَ لَكُم مَّا حَرَّمَ عَلَيۡكُمۡ إِلَّا مَا ٱضۡطُرِرۡتُمۡ إِلَيۡهِۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا لَّيُضِلُّونَ بِأَهۡوَآئِهِم بِغَيۡرِ عِلۡمٍۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُعۡتَدِينَ
Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai magar woh bhi jab tum ko sakht zaroorat parr jaye to halal hai aur yeh yaqeeni baat hai kay boht say aadmi apney khayalaat per bila kissi sanad kay gumrah kertay hain. Iss mein koi shuba nahi kay Allah Taalaa hadd say nikal janey walon ko khoob janta hai
Surah Al-Anaam, Verse 119
وَذَرُواْ ظَٰهِرَ ٱلۡإِثۡمِ وَبَاطِنَهُۥٓۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡسِبُونَ ٱلۡإِثۡمَ سَيُجۡزَوۡنَ بِمَا كَانُواْ يَقۡتَرِفُونَ
Aur tum zahiri gunah ko bhi chor do aur baatini gunah ko chor do. Bila shuba jo log gunah ker rahey hain unn ko unn kay kiye ki un-qarib saza milay gi
Surah Al-Anaam, Verse 120
وَلَا تَأۡكُلُواْ مِمَّا لَمۡ يُذۡكَرِ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ وَإِنَّهُۥ لَفِسۡقٞۗ وَإِنَّ ٱلشَّيَٰطِينَ لَيُوحُونَ إِلَىٰٓ أَوۡلِيَآئِهِمۡ لِيُجَٰدِلُوكُمۡۖ وَإِنۡ أَطَعۡتُمُوهُمۡ إِنَّكُمۡ لَمُشۡرِكُونَ
Aur aisay janwaron mein say mat khao jin per Allah ka naam na liya gaya ho aur yeh kaam na farmani ka hai aur yaqeenan shayateen apney doston kay dilon mein daaltay hain takay yeh tum say jidal keren aur agar tum inn logon ki ita’at kerney lago to yaqeenan tum mushrik hojao
Surah Al-Anaam, Verse 121
أَوَمَن كَانَ مَيۡتٗا فَأَحۡيَيۡنَٰهُ وَجَعَلۡنَا لَهُۥ نُورٗا يَمۡشِي بِهِۦ فِي ٱلنَّاسِ كَمَن مَّثَلُهُۥ فِي ٱلظُّلُمَٰتِ لَيۡسَ بِخَارِجٖ مِّنۡهَاۚ كَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِلۡكَٰفِرِينَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 122
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا فِي كُلِّ قَرۡيَةٍ أَكَٰبِرَ مُجۡرِمِيهَا لِيَمۡكُرُواْ فِيهَاۖ وَمَا يَمۡكُرُونَ إِلَّا بِأَنفُسِهِمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ
Aur issi tarah hum ney her basti mein wahan kay raeeson hi ko jaraeem ka murtakib banaya takay woh log wahan fareb keren. Aure woh log apney hi sath fareb ker rahey hian aur inn ko zara khabar nahi
Surah Al-Anaam, Verse 123
وَإِذَا جَآءَتۡهُمۡ ءَايَةٞ قَالُواْ لَن نُّؤۡمِنَ حَتَّىٰ نُؤۡتَىٰ مِثۡلَ مَآ أُوتِيَ رُسُلُ ٱللَّهِۘ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ حَيۡثُ يَجۡعَلُ رِسَالَتَهُۥۗ سَيُصِيبُ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْ صَغَارٌ عِندَ ٱللَّهِ وَعَذَابٞ شَدِيدُۢ بِمَا كَانُواْ يَمۡكُرُونَ
Aur jab inn ko koi aayat phonchti hai to yun kehtay hain kay hum hergiz eman na layen gay jab tak kay hum ko bhi aisi hi cheez na di jaye jo Allah kay rasoolon ko di jati hai iss moqay ko to Allah hi khoob janta hai kay kahan woh apni payghumbari rakhay? Un-qarib inn logon ko jinhon ney jurm kiya hai Allah kay pass phonch ker zillat phonchay gi aur inn ki shararaton kay muqablay mein sazay-e-sakht
Surah Al-Anaam, Verse 124
فَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يَهۡدِيَهُۥ يَشۡرَحۡ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِۖ وَمَن يُرِدۡ أَن يُضِلَّهُۥ يَجۡعَلۡ صَدۡرَهُۥ ضَيِّقًا حَرَجٗا كَأَنَّمَا يَصَّعَّدُ فِي ٱلسَّمَآءِۚ كَذَٰلِكَ يَجۡعَلُ ٱللَّهُ ٱلرِّجۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ
So jiss shaks ko Allah Taalaa raastay per daalna chahaye uss key seenay ko islam kay liye kushada ker deta hai aur jiss ko bey raah rakhna chahaye uss kay seenay ko boht tang ker deta hai jaisay koi aasman mein charhta hai issi tarah Allah Taalaa eman na laney walo per na paki musallat ker deta hai
Surah Al-Anaam, Verse 125
وَهَٰذَا صِرَٰطُ رَبِّكَ مُسۡتَقِيمٗاۗ قَدۡ فَصَّلۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَذَّكَّرُونَ
Aur yehi teray rab kay seedha raasta hai. Hum ney naseehat hasil kerney walon kay wastay inn aayaton ko saaf saaf biyan ker diya
Surah Al-Anaam, Verse 126
۞لَهُمۡ دَارُ ٱلسَّلَٰمِ عِندَ رَبِّهِمۡۖ وَهُوَ وَلِيُّهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Inn logon kay wastay inn kay rab kay pass salamti ka ghar hai aur Allah Taalaa inn say mohabbat rakhta hai inn kay aemaal kay waja say
Surah Al-Anaam, Verse 127
وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا يَٰمَعۡشَرَ ٱلۡجِنِّ قَدِ ٱسۡتَكۡثَرۡتُم مِّنَ ٱلۡإِنسِۖ وَقَالَ أَوۡلِيَآؤُهُم مِّنَ ٱلۡإِنسِ رَبَّنَا ٱسۡتَمۡتَعَ بَعۡضُنَا بِبَعۡضٖ وَبَلَغۡنَآ أَجَلَنَا ٱلَّذِيٓ أَجَّلۡتَ لَنَاۚ قَالَ ٱلنَّارُ مَثۡوَىٰكُمۡ خَٰلِدِينَ فِيهَآ إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّ رَبَّكَ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga (kahey ga) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 128
وَكَذَٰلِكَ نُوَلِّي بَعۡضَ ٱلظَّـٰلِمِينَ بَعۡضَۢا بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Aur issi tarah hum baaz kuffaar ko baaz kay qarib rakhen gay unn kay aemaal kay sabab
Surah Al-Anaam, Verse 129
يَٰمَعۡشَرَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَقُصُّونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِي وَيُنذِرُونَكُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَاۚ قَالُواْ شَهِدۡنَا عَلَىٰٓ أَنفُسِنَاۖ وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَشَهِدُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰفِرِينَ
Aey jinnaat aur insanon ki jamat! Kiya tumharay pass tum mein say hi payghumbar nahi aaye thay jo tum say meray ehkaam biyan kertay aur tum ko iss aaj kay din ki khabar detay? Woh sab arz keren gay kay hum apney upper iqrar kertay hain aur inn ko dunyawi zindagi ney bhool mein dalay rakha aur yeh log iqrar kerney walay hongay kay woh kafir thay
Surah Al-Anaam, Verse 130
ذَٰلِكَ أَن لَّمۡ يَكُن رَّبُّكَ مُهۡلِكَ ٱلۡقُرَىٰ بِظُلۡمٖ وَأَهۡلُهَا غَٰفِلُونَ
Yeh iss waja say hai kay aap ka rab kissi basti walon ko kufur kay sabab aisi halat mein halak nahi kerta kay uss basti kay rehney walay bey khabar hon
Surah Al-Anaam, Verse 131
وَلِكُلّٖ دَرَجَٰتٞ مِّمَّا عَمِلُواْۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَٰفِلٍ عَمَّا يَعۡمَلُونَ
Aur her aik kay liye unn kay aemaal kay sabab darjay milen gay aur aap ka rab inn kay aemaal say bey khabar nahi hai
Surah Al-Anaam, Verse 132
وَرَبُّكَ ٱلۡغَنِيُّ ذُو ٱلرَّحۡمَةِۚ إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ وَيَسۡتَخۡلِفۡ مِنۢ بَعۡدِكُم مَّا يَشَآءُ كَمَآ أَنشَأَكُم مِّن ذُرِّيَّةِ قَوۡمٍ ءَاخَرِينَ
Aur aap ka rab bilkul ghani hai rehmat wala hai agar woh chahaye to tum sab ko utha ley aur tumharay baad jiss ko chahaye tumhari jagah aabad keray jaisa kay tum ko aik doosri qom ki nasal say peda kiya hai
Surah Al-Anaam, Verse 133
إِنَّ مَا تُوعَدُونَ لَأٓتٖۖ وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ
Jiss cheez ka tum say wada kiya jata hai woh be-shak aaney wali cheez hai aur tum aajiz nahi ker saktay
Surah Al-Anaam, Verse 134
قُلۡ يَٰقَوۡمِ ٱعۡمَلُواْ عَلَىٰ مَكَانَتِكُمۡ إِنِّي عَامِلٞۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ مَن تَكُونُ لَهُۥ عَٰقِبَةُ ٱلدَّارِۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aap yeh farma dijiye kay aey meri qom ! Tum apni halat per amal kertay raho mein bhi amal ker raha hun so abb jald hi tum ko maloom hua jata hai kay iss aalam ka anjam kaar kiss kay liye naafay hoga. Yeh yaqeeni baat hai kay haq talfi kerney walon ko kabhi falah na hogi
Surah Al-Anaam, Verse 135
وَجَعَلُواْ لِلَّهِ مِمَّا ذَرَأَ مِنَ ٱلۡحَرۡثِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ نَصِيبٗا فَقَالُواْ هَٰذَا لِلَّهِ بِزَعۡمِهِمۡ وَهَٰذَا لِشُرَكَآئِنَاۖ فَمَا كَانَ لِشُرَكَآئِهِمۡ فَلَا يَصِلُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَمَا كَانَ لِلَّهِ فَهُوَ يَصِلُ إِلَىٰ شُرَكَآئِهِمۡۗ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
Aur Allah Taalaa ney jo kheti aur mawashi peda kiye hain inn logon ney inn mein say kuch hissa Allah ka muqarrar kiya aur ba-zom khud kehtay hain kay yeh to Allah ka hai aur yeh humaray maboodon ka hai phir jo cheez inn kay maboodon ki hoti hai woh to Allah ki taraf nahi phonchti aur jo cheez Allah ki hoti hai woh inn kay maboodon ki taraf phonch jati hai kiya bura faisla woh kertay hain
Surah Al-Anaam, Verse 136
وَكَذَٰلِكَ زَيَّنَ لِكَثِيرٖ مِّنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ قَتۡلَ أَوۡلَٰدِهِمۡ شُرَكَآؤُهُمۡ لِيُرۡدُوهُمۡ وَلِيَلۡبِسُواْ عَلَيۡهِمۡ دِينَهُمۡۖ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا فَعَلُوهُۖ فَذَرۡهُمۡ وَمَا يَفۡتَرُونَ
Aur issi tarah boht say mushrikeen kay khayal mein unn kay maboodon ney unn ki aulad kay qatal kerney ko mustehsan bana rakha hai takay woh inn ko barbad keren aur takay inn kay deen ko inn per mushtaba ker den aur agar Allah ko manzoor hota to yeh aisa kaam na kertay to aap inn ko aur jo kuch ghalat baaten yeh bana rahey hain yun hi rehney dijiye
Surah Al-Anaam, Verse 137
وَقَالُواْ هَٰذِهِۦٓ أَنۡعَٰمٞ وَحَرۡثٌ حِجۡرٞ لَّا يَطۡعَمُهَآ إِلَّا مَن نَّشَآءُ بِزَعۡمِهِمۡ وَأَنۡعَٰمٌ حُرِّمَتۡ ظُهُورُهَا وَأَنۡعَٰمٞ لَّا يَذۡكُرُونَ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَا ٱفۡتِرَآءً عَلَيۡهِۚ سَيَجۡزِيهِم بِمَا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai
Surah Al-Anaam, Verse 138
وَقَالُواْ مَا فِي بُطُونِ هَٰذِهِ ٱلۡأَنۡعَٰمِ خَالِصَةٞ لِّذُكُورِنَا وَمُحَرَّمٌ عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِنَاۖ وَإِن يَكُن مَّيۡتَةٗ فَهُمۡ فِيهِ شُرَكَآءُۚ سَيَجۡزِيهِمۡ وَصۡفَهُمۡۚ إِنَّهُۥ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Aur woh kehtay hain kay jo cheez inn mawashi kay pet mein hai woh khalis humaray mardon kay liye hai aur humari aurton per haram hai. Aur agar woh murda hai to iss mein sab barabar hain abhi Allah inn ko inn ki ghalat biyani ki saza diye deta hai bila shuba woh hikmat wala hai aur woh bara ilm wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 139
قَدۡ خَسِرَ ٱلَّذِينَ قَتَلُوٓاْ أَوۡلَٰدَهُمۡ سَفَهَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَحَرَّمُواْ مَا رَزَقَهُمُ ٱللَّهُ ٱفۡتِرَآءً عَلَى ٱللَّهِۚ قَدۡ ضَلُّواْ وَمَا كَانُواْ مُهۡتَدِينَ
Waqaee kharabi mein parr gaye woh log jinhon ney apni aulad ko mehaz barah-e-himaqat bila kiss sanad kay qatal ker dala aur jo cheez inn ko Allah ney khaney peeney ko di thin unn ko haram ker liya mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Be-shak yeh log gumrahi mein parr gaye aur kabhi raah-e-raast per chalney walay nahi huye
Surah Al-Anaam, Verse 140
۞وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ جَنَّـٰتٖ مَّعۡرُوشَٰتٖ وَغَيۡرَ مَعۡرُوشَٰتٖ وَٱلنَّخۡلَ وَٱلزَّرۡعَ مُخۡتَلِفًا أُكُلُهُۥ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُتَشَٰبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٖۚ كُلُواْ مِن ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَءَاتُواْ حَقَّهُۥ يَوۡمَ حَصَادِهِۦۖ وَلَا تُسۡرِفُوٓاْۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
Aur wohi hai jiss ney baghaat peda kiye woh bhi jo tattiyon per charhaye jatay hain aur woh bhi jo tattiyon per nahi charhaye jatay aur khujoor kay adrakht aur kheti jin mein khaney ki cheezen mukhatalif tor ki hoti hain aur zaitoon aur anaar jo bahum aik doosray kay mushabay bhi hotay hain aur aik doosray kay mushabay nahi bhi hotay inn sab kay phalon mein say khao jab woh nikal aaye aue iss mein jo haq wajib hai woh iss kay kaatney kay din diya kero aur hadd say mat guzro yaqeenan woh hadd say guzarney walon ko na pasand kerta hai
Surah Al-Anaam, Verse 141
وَمِنَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ حَمُولَةٗ وَفَرۡشٗاۚ كُلُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ وَلَا تَتَّبِعُواْ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
Aur mawashi mein oonchay qad kay aur chotay qad kay (peda kiye) jo kuch Allah ney tum ko diya hai khao aur shetan kay qadam ba qadam mat chalo bila shak woh tumhara sareeh dushman hai
Surah Al-Anaam, Verse 142
ثَمَٰنِيَةَ أَزۡوَٰجٖۖ مِّنَ ٱلضَّأۡنِ ٱثۡنَيۡنِ وَمِنَ ٱلۡمَعۡزِ ٱثۡنَيۡنِۗ قُلۡ ءَآلذَّكَرَيۡنِ حَرَّمَ أَمِ ٱلۡأُنثَيَيۡنِ أَمَّا ٱشۡتَمَلَتۡ عَلَيۡهِ أَرۡحَامُ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۖ نَبِّـُٔونِي بِعِلۡمٍ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
(peda kiye) aath narr-o-maada yani bhair mein do qisam aur bakri mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Tum mujh ko kissi daleel say to batao agar sachay ho
Surah Al-Anaam, Verse 143
وَمِنَ ٱلۡإِبِلِ ٱثۡنَيۡنِ وَمِنَ ٱلۡبَقَرِ ٱثۡنَيۡنِۗ قُلۡ ءَآلذَّكَرَيۡنِ حَرَّمَ أَمِ ٱلۡأُنثَيَيۡنِ أَمَّا ٱشۡتَمَلَتۡ عَلَيۡهِ أَرۡحَامُ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۖ أَمۡ كُنتُمۡ شُهَدَآءَ إِذۡ وَصَّىٰكُمُ ٱللَّهُ بِهَٰذَاۚ فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا لِّيُضِلَّ ٱلنَّاسَ بِغَيۡرِ عِلۡمٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur oont mein do qisam aur gaye mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah Taalaa ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Kiya tum hazir thay jiss waqt Allah Taalaa ney tum ko iss ka hukum diya? To uss say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per bila daleel jhooti tohmat lagaye takay logon ko gumrah keray yaqeenan Allah Taalaa zalim logon ko raasta nahi dikhlata
Surah Al-Anaam, Verse 144
قُل لَّآ أَجِدُ فِي مَآ أُوحِيَ إِلَيَّ مُحَرَّمًا عَلَىٰ طَاعِمٖ يَطۡعَمُهُۥٓ إِلَّآ أَن يَكُونَ مَيۡتَةً أَوۡ دَمٗا مَّسۡفُوحًا أَوۡ لَحۡمَ خِنزِيرٖ فَإِنَّهُۥ رِجۡسٌ أَوۡ فِسۡقًا أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ غَيۡرَ بَاغٖ وَلَا عَادٖ فَإِنَّ رَبَّكَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai
Surah Al-Anaam, Verse 145
وَعَلَى ٱلَّذِينَ هَادُواْ حَرَّمۡنَا كُلَّ ذِي ظُفُرٖۖ وَمِنَ ٱلۡبَقَرِ وَٱلۡغَنَمِ حَرَّمۡنَا عَلَيۡهِمۡ شُحُومَهُمَآ إِلَّا مَا حَمَلَتۡ ظُهُورُهُمَآ أَوِ ٱلۡحَوَايَآ أَوۡ مَا ٱخۡتَلَطَ بِعَظۡمٖۚ ذَٰلِكَ جَزَيۡنَٰهُم بِبَغۡيِهِمۡۖ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ
Aur yahun per hum ney tamam nakhun walay janwar haram ker diye thay aur gaye aur bakri mein say inn dono ki charbiyan unn per hum ney haram ker di thin magar woh jo unn ki pusht per ya antriyon mein lagi ho ya jo haddi say milli ho. Unn ki shararat kay sabab hum ney unn ko yeh saza di aur hum yaqeenan sachay hain
Surah Al-Anaam, Verse 146
فَإِن كَذَّبُوكَ فَقُل رَّبُّكُمۡ ذُو رَحۡمَةٖ وَٰسِعَةٖ وَلَا يُرَدُّ بَأۡسُهُۥ عَنِ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Phir agar yeh aap ko kaazib kahen to aap farma dijiye kay tumhara rab bara wasee rehmat wala hai aur iss ka azab mujrim logon say na talay ga
Surah Al-Anaam, Verse 147
سَيَقُولُ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ لَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَآ أَشۡرَكۡنَا وَلَآ ءَابَآؤُنَا وَلَا حَرَّمۡنَا مِن شَيۡءٖۚ كَذَٰلِكَ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ حَتَّىٰ ذَاقُواْ بَأۡسَنَاۗ قُلۡ هَلۡ عِندَكُم مِّنۡ عِلۡمٖ فَتُخۡرِجُوهُ لَنَآۖ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا تَخۡرُصُونَ
Yeh mushrikeen (yun) kahen gay kay agar Allah Taalaa ko manzoor hota to na hum shirk kertay aur na humaray baap dada aur na hum kissi cheez ko haram keh saktay. Issi tarah jo log inn say pehlay ho chukay hain unhon ney bhi takzeeb ki thi yahan tak kay unhon ney humaray azab ka maza chakha. Aap kahiye kay kiya tumharay pass koi daleel hai to iss ko humaray roo baroo zahir kero. Tum log mehaz khayali baaton per chaltay ho aur tum bilkul atkal say baaten banatay ho
Surah Al-Anaam, Verse 148
قُلۡ فَلِلَّهِ ٱلۡحُجَّةُ ٱلۡبَٰلِغَةُۖ فَلَوۡ شَآءَ لَهَدَىٰكُمۡ أَجۡمَعِينَ
Aap kahiye kay bus poori hujjat Allah hi ki rahi. Phir agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per ley aata
Surah Al-Anaam, Verse 149
قُلۡ هَلُمَّ شُهَدَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ يَشۡهَدُونَ أَنَّ ٱللَّهَ حَرَّمَ هَٰذَاۖ فَإِن شَهِدُواْ فَلَا تَشۡهَدۡ مَعَهُمۡۚ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ وَهُم بِرَبِّهِمۡ يَعۡدِلُونَ
Aap kahiye kay apney gawahon ko lao jo iss baat per shahadat den kay Allah ney inn cheezon ko haram ker diya hai phir agar woh gawahi dey den to aap iss ki shahadat na dijiye aur aisay logon kay baatil khayalaat ka ittabaa mat kijiye! Jo humari aayaton ki takzeeb kertay hain aur woh jo aakhirat per eman nahi rakhtay aur woh apney rab kay barabar doosron ko thehratay hain
Surah Al-Anaam, Verse 150
۞قُلۡ تَعَالَوۡاْ أَتۡلُ مَا حَرَّمَ رَبُّكُمۡ عَلَيۡكُمۡۖ أَلَّا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗاۖ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُم مِّنۡ إِمۡلَٰقٖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُكُمۡ وَإِيَّاهُمۡۖ وَلَا تَقۡرَبُواْ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَۖ وَلَا تَقۡتُلُواْ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho
Surah Al-Anaam, Verse 151
وَلَا تَقۡرَبُواْ مَالَ ٱلۡيَتِيمِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ أَشُدَّهُۥۚ وَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ بِٱلۡقِسۡطِۖ لَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۖ وَإِذَا قُلۡتُمۡ فَٱعۡدِلُواْ وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰۖ وَبِعَهۡدِ ٱللَّهِ أَوۡفُواْۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Aur yateem kay maal kay pass na jao magar aisay tareeqay say jo kay mustehsan hai yahan tak kay woh apney sann rashd ko phonch jaye aur naap tol poori poori kero insaf kay sath hum kissi shaks ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay. Aur jab tum baat kero to insaf kero go woh shaks qarabat daar hi ho aur Allah Taalaa say jo ehad kiya uss ko poora kero inn ka Allah Taalaa ney tum ko takeedi hukum diya hai takay tum yaad rakho
Surah Al-Anaam, Verse 152
وَأَنَّ هَٰذَا صِرَٰطِي مُسۡتَقِيمٗا فَٱتَّبِعُوهُۖ وَلَا تَتَّبِعُواْ ٱلسُّبُلَ فَتَفَرَّقَ بِكُمۡ عَن سَبِيلِهِۦۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Aur yeh kay yeh deen mera raasta hai jo mustaqeem hai so iss raah per chalo aur doosri raahon per mat chalo kay woh raahen tum ko Allah ki raah say juda ker den gi. Iss ka tum ko Allah ney takeedi hukum diya hai takay tum perhezgari ikhtiyar kero
Surah Al-Anaam, Verse 153
ثُمَّ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ تَمَامًا عَلَى ٱلَّذِيٓ أَحۡسَنَ وَتَفۡصِيلٗا لِّكُلِّ شَيۡءٖ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ لَّعَلَّهُم بِلِقَآءِ رَبِّهِمۡ يُؤۡمِنُونَ
Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab di thi jiss say achi tarah amal kerney walon per nemat poori ho aur sab ehkaam ki tafseel hojaye aur rehnumaee ho aur rehmat ho takay woh log apney rab kay milney per yaqeen layen
Surah Al-Anaam, Verse 154
وَهَٰذَا كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ مُبَارَكٞ فَٱتَّبِعُوهُ وَٱتَّقُواْ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Aue yeh kay aik kitab hai jiss ko hum ney bheja bari khair-o-barkat wali so iss ka ittabaa kero aur daro takay tum per rahmat ho
Surah Al-Anaam, Verse 155
أَن تَقُولُوٓاْ إِنَّمَآ أُنزِلَ ٱلۡكِتَٰبُ عَلَىٰ طَآئِفَتَيۡنِ مِن قَبۡلِنَا وَإِن كُنَّا عَن دِرَاسَتِهِمۡ لَغَٰفِلِينَ
Kahin tum log yeh na kaho kay kitab to sirf hum say pehlay jo do firqay thay unn per nazil hui thi aur hum unn kay parheny parhaney say bey khabar thay
Surah Al-Anaam, Verse 156
أَوۡ تَقُولُواْ لَوۡ أَنَّآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا ٱلۡكِتَٰبُ لَكُنَّآ أَهۡدَىٰ مِنۡهُمۡۚ فَقَدۡ جَآءَكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞۚ فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَصَدَفَ عَنۡهَاۗ سَنَجۡزِي ٱلَّذِينَ يَصۡدِفُونَ عَنۡ ءَايَٰتِنَا سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ بِمَا كَانُواْ يَصۡدِفُونَ
Ya yun na kaho kay agar hum per koi kitab nazil hoti to hum inn say bhi ziyada raah-e-raast per hotay. So abb tumharay pass tumhara rab kay pass say aik kitab wazeh aur rehnumaee ka zariya aur rehmat aa chuki hai. Abb iss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo humari inn aayaton ko jhoota bataye aur iss say rokay. Hum jald hi inn logon ko jo kay humari aayaton say roktay hain inn kay iss rokney kay sabab sakht saza den gay
Surah Al-Anaam, Verse 157
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن تَأۡتِيَهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَوۡ يَأۡتِيَ رَبُّكَ أَوۡ يَأۡتِيَ بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَۗ يَوۡمَ يَأۡتِي بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَ لَا يَنفَعُ نَفۡسًا إِيمَٰنُهَا لَمۡ تَكُنۡ ءَامَنَتۡ مِن قَبۡلُ أَوۡ كَسَبَتۡ فِيٓ إِيمَٰنِهَا خَيۡرٗاۗ قُلِ ٱنتَظِرُوٓاْ إِنَّا مُنتَظِرُونَ
Kiya yeh log sirf iss amar kay muntazir hain kay inn kay pass farishtay aayen ya inn kay pass aap ka rab aaye ya aap kay rab ki koi (bari) nishani aaye? Jiss roz aap kay rab ki koi bari nishani aa phoncya gi kissi aisay shaks ka eman uss kay kaam na aaye ga jo pehlay say eman nahi rakhta. Ya uss ney apney eman mein koi nek amal na kiya ho. Aap farma dijiye kay tum muntazir raho hum bhi muntazir hain
Surah Al-Anaam, Verse 158
إِنَّ ٱلَّذِينَ فَرَّقُواْ دِينَهُمۡ وَكَانُواْ شِيَعٗا لَّسۡتَ مِنۡهُمۡ فِي شَيۡءٍۚ إِنَّمَآ أَمۡرُهُمۡ إِلَى ٱللَّهِ ثُمَّ يُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
Be-shak jin logon ney apney deen ko juda juda ker diya aur giroh giroh bann gaye aap ka unn say koi talluq nahi bus unn ka moamla Allah Taalaa kay hawalay hai. Phir inn ko inn ka kiya hua jatla den gay
Surah Al-Anaam, Verse 159
مَن جَآءَ بِٱلۡحَسَنَةِ فَلَهُۥ عَشۡرُ أَمۡثَالِهَاۖ وَمَن جَآءَ بِٱلسَّيِّئَةِ فَلَا يُجۡزَىٰٓ إِلَّا مِثۡلَهَا وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Jo shaks nek kaam keray ga uss ko uss kay das gunah milen gay aur jo shaks bura kaam keray ga uss ko iss kay barabar hi saza milay gi aur inn logon per zulm nahi hoga
Surah Al-Anaam, Verse 160
قُلۡ إِنَّنِي هَدَىٰنِي رَبِّيٓ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ دِينٗا قِيَمٗا مِّلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۚ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Aap keh dijiye kay mujh ko meray rab ney aik seedha raasta bata diya hai kay woh aik deen mustehkum hai jo tareeqa hai ibrahim (alh-e-salam) ka jo Allah ki taraf raksoo thay. Aur woh shirk kerney walon mein say na thay
Surah Al-Anaam, Verse 161
قُلۡ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحۡيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aap farma dijiye kay bil yaqeen meri namaz aur meri sari ibadat aur mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ka hai jo saray jahaan ka maalik hai
Surah Al-Anaam, Verse 162
لَا شَرِيكَ لَهُۥۖ وَبِذَٰلِكَ أُمِرۡتُ وَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Uss ka koi shareek nahi aur mujh ko issi ka hukum hua hai aur mein sab mannay walon mein say pehla hun
Surah Al-Anaam, Verse 163
قُلۡ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَبۡغِي رَبّٗا وَهُوَ رَبُّ كُلِّ شَيۡءٖۚ وَلَا تَكۡسِبُ كُلُّ نَفۡسٍ إِلَّا عَلَيۡهَاۚ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُم مَّرۡجِعُكُمۡ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Aap farma dijiya kay kiya mein Allah kay siwa kissi aur ko rab bananey kay liye talash keroon halankay woh maalik hai her cheez ka aur jo shaks bhi koi amal kerta hai woh ussi per rehta hai aur koi kissi doosray ka bojh na uthaye ga. Phir tum sab ko apney rab kay pass jana hoga. Phir woh tum ko jatlaye ga jiss jiss cheez mein tum ikhtilaf kertay thay
Surah Al-Anaam, Verse 164
وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَكُمۡ خَلَـٰٓئِفَ ٱلۡأَرۡضِ وَرَفَعَ بَعۡضَكُمۡ فَوۡقَ بَعۡضٖ دَرَجَٰتٖ لِّيَبۡلُوَكُمۡ فِي مَآ ءَاتَىٰكُمۡۗ إِنَّ رَبَّكَ سَرِيعُ ٱلۡعِقَابِ وَإِنَّهُۥ لَغَفُورٞ رَّحِيمُۢ
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 165