Surah Al-Anaam Verse 93 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamوَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ قَالَ أُوحِيَ إِلَيَّ وَلَمۡ يُوحَ إِلَيۡهِ شَيۡءٞ وَمَن قَالَ سَأُنزِلُ مِثۡلَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي غَمَرَٰتِ ٱلۡمَوۡتِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ بَاسِطُوٓاْ أَيۡدِيهِمۡ أَخۡرِجُوٓاْ أَنفُسَكُمُۖ ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَكُنتُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِهِۦ تَسۡتَكۡبِرُونَ
Aur uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per jhoot tohmar lagaye ya yun kahey kay mujh per wahee aati hai halankay uss kay pass kissi baat ki bhi wahee nahi aaee aur jo shaks yun kahey kay jaisa kalaam Allah ney nazil kiya hai ussi tarah ka mein bhi laata hun aur agar aap uss waqt dekhen jabkay yeh zalim log maut ko sakhtiyon mein hongay aur farishtay apney haath barha rahey hongay kay haan apni jaanen nikal lo. Aaj tum ko zillat ki saza di jaye gi iss sabab say kay tum Allah Taalaa kay zimmay jhooti baaten lagatay thay aur tum Allah Taalaa ki aayaat say takabbur kertay thay