Surah Al-Anaam Verse 93 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ قَالَ أُوحِيَ إِلَيَّ وَلَمۡ يُوحَ إِلَيۡهِ شَيۡءٞ وَمَن قَالَ سَأُنزِلُ مِثۡلَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي غَمَرَٰتِ ٱلۡمَوۡتِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ بَاسِطُوٓاْ أَيۡدِيهِمۡ أَخۡرِجُوٓاْ أَنفُسَكُمُۖ ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَكُنتُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِهِۦ تَسۡتَكۡبِرُونَ
aur us shaqs se zyaada kaun zaalim hoga jo Allah ta’ala par jhoot tuhmath lagaaye ya yo kahe ke mujh par wahi aati hai, halaan ke us ke paas kisi baath ki bhi wahi nahi aayi, aur jo shaqs yo kahe jaisa kalaam Allah ne naazil kiya isi tarah ka main bhi laata hoon aur agar aap us waqth dekhe jab ke ye zaalim log mauth ki saqtiyo mein honge aur farishte apne haath bada rahe honge ke haan apni jaane nikaalo, aaj tum ko zillath ki saza di jayegi, us sabab se ke tum Allah ta’ala ke zimme jhooti baatein lagaate thein aur tum Allah ta’ala ki ayaath se takabbur karte thein