Surah Al-Anaam Verse 93 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ قَالَ أُوحِيَ إِلَيَّ وَلَمۡ يُوحَ إِلَيۡهِ شَيۡءٞ وَمَن قَالَ سَأُنزِلُ مِثۡلَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي غَمَرَٰتِ ٱلۡمَوۡتِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ بَاسِطُوٓاْ أَيۡدِيهِمۡ أَخۡرِجُوٓاْ أَنفُسَكُمُۖ ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَكُنتُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِهِۦ تَسۡتَكۡبِرُونَ
Aur us shaks se bada zalim aur kaun hoga jo Allah par jhoota bohtan ghadey, ya kahey ke mujpar wahee aayi hai daraan haal yeh ke uspar koi wahee nazil na ki gayi ho, ya jo Allah ki nazil karda cheez ke muqable mein kahey ke main bhi aisi cheez nazil karke dikha dunga? Kaash tum zalimon ko is haalat mein dekh sako jabke woh sakarat-e-maut mein dubkiyan kha rahey hotey hain aur farishtey haath badha badha kar keh rahey hote hain ke “ lao , nikalo apni jaan, aaj tumhein un baaton ki padash mein zillat ka azaab diya jayega jo tum Allah par tohmat rakh kar na-haqq baka (spoke) karte thay aur uski aayat ke muqable mein sarkashi dikhate thay”