Surah Al-Anaam - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ وَجَعَلَ ٱلظُّلُمَٰتِ وَٱلنُّورَۖ ثُمَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ بِرَبِّهِمۡ يَعۡدِلُونَ
Tareef Allah ke liye hai jisne zameen aur aasmaan banaye, roshni aur tareekiyan (darkness) paida ki, phir bhi woh log jinhon ne dawat e haqq ko maanne se inkar kardiya hai durson ko apne Rubb ka humsar thehra rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 1
هُوَ ٱلَّذِي خَلَقَكُم مِّن طِينٖ ثُمَّ قَضَىٰٓ أَجَلٗاۖ وَأَجَلٞ مُّسَمًّى عِندَهُۥۖ ثُمَّ أَنتُمۡ تَمۡتَرُونَ
Wahi hai jisne tumko mitti se paida kiya, phir tumhare liye zindagi ki ek muddat muqarrar kardi, aur ek dusri muddat aur bhi hai jo uske haan tai shuda hai magar tum log ho ke shakk mein padey huey ho
Surah Al-Anaam, Verse 2
وَهُوَ ٱللَّهُ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَفِي ٱلۡأَرۡضِ يَعۡلَمُ سِرَّكُمۡ وَجَهۡرَكُمۡ وَيَعۡلَمُ مَا تَكۡسِبُونَ
Wahi ek khuda aasmano mein bhi hai aur zameen mein bhi. Tumhare khule aur chupe sab haal jaanta hai aur jo burayi ya bhalayi tum kamate ho ussey khoob waqif hai
Surah Al-Anaam, Verse 3
وَمَا تَأۡتِيهِم مِّنۡ ءَايَةٖ مِّنۡ ءَايَٰتِ رَبِّهِمۡ إِلَّا كَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ
Logon ka haal yeh hai ke unke Rubb ki nishaniyon mein se koi nishani aisi nahin jo unke saamne aayi ho aur unhon ne ussey mooh na moad liya ho
Surah Al-Anaam, Verse 4
فَقَدۡ كَذَّبُواْ بِٱلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ فَسَوۡفَ يَأۡتِيهِمۡ أَنۢبَـٰٓؤُاْ مَا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Chunanchey ab jo haqq unke paas aaya to usey bhi unhon ne jhutla diya. Accha, jis cheez ka woh ab tak mazaaq udate rahey hain anqareeb uske mutaaliq kuch khabrein unhein pahunchengi
Surah Al-Anaam, Verse 5
أَلَمۡ يَرَوۡاْ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا مِن قَبۡلِهِم مِّن قَرۡنٖ مَّكَّنَّـٰهُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ مَا لَمۡ نُمَكِّن لَّكُمۡ وَأَرۡسَلۡنَا ٱلسَّمَآءَ عَلَيۡهِم مِّدۡرَارٗا وَجَعَلۡنَا ٱلۡأَنۡهَٰرَ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهِمۡ فَأَهۡلَكۡنَٰهُم بِذُنُوبِهِمۡ وَأَنشَأۡنَا مِنۢ بَعۡدِهِمۡ قَرۡنًا ءَاخَرِينَ
Kya unhon ne dekha nahin ke unse pehle kitni aisi qaumom ko hum halaak kar chuke hain jinka apne apne zamane mein doar dora raha hai? Unko humne zameen mein woh iqtedar baksha tha jo tumhein nahin baksha hai. Unpar humne aasman se khoob baarishein barsayi aur unke nichey nehrein baha di, (magar jab unhon ne kufraan e niyamat kiya to) aakhir e kaar humne unke gunahon ki padash mein unhein tabaah kardiya aur unki jagah dusre daur ki qaumon ko uthaya
Surah Al-Anaam, Verse 6
وَلَوۡ نَزَّلۡنَا عَلَيۡكَ كِتَٰبٗا فِي قِرۡطَاسٖ فَلَمَسُوهُ بِأَيۡدِيهِمۡ لَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
(Aey paigambar)! Agar hum tumhare upar koi kagaz mein likhi likhayi kitab bhi utaar dete aur log usey apne haathon se choo kar bhi dekh lete tab bhi jihon ne haqq ka inkar kiya hai woh yahi kehte ke yeh to sareeh jaadu hai
Surah Al-Anaam, Verse 7
وَقَالُواْ لَوۡلَآ أُنزِلَ عَلَيۡهِ مَلَكٞۖ وَلَوۡ أَنزَلۡنَا مَلَكٗا لَّقُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ ثُمَّ لَا يُنظَرُونَ
Kehte hain ke is Nabi par koi Farishta kyun nahin utara gaya? Agar kahin humne Farishta utaar diya hota, to abtak kabhi ka faisla ho chuka hota, phir inhein koi mohlat na di jati
Surah Al-Anaam, Verse 8
وَلَوۡ جَعَلۡنَٰهُ مَلَكٗا لَّجَعَلۡنَٰهُ رَجُلٗا وَلَلَبَسۡنَا عَلَيۡهِم مَّا يَلۡبِسُونَ
Aur agar hum Farishte ko utaarte tab bhi usey Insani shakal hi mein utaarte aur is tarah inhein usi shubhey mein mubtala kardete jismein ab yeh mubtala hain
Surah Al-Anaam, Verse 9
وَلَقَدِ ٱسۡتُهۡزِئَ بِرُسُلٖ مِّن قَبۡلِكَ فَحَاقَ بِٱلَّذِينَ سَخِرُواْ مِنۡهُم مَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
(Aey Muhammad)! Tumse pehle bhi bahut se Rasoolon ka mazaak udaya jaa chuka hai, magar in mazaak udane walon par aakhir e kaar wahi haqeeqat musallat hokar rahi jiska woh mazaak udate thay
Surah Al-Anaam, Verse 10
قُلۡ سِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ ثُمَّ ٱنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلۡمُكَذِّبِينَ
Inse kaho, zara zameen mein chal phir kar dekho jhutlane walon ka kya anjaam hua hai
Surah Al-Anaam, Verse 11
قُل لِّمَن مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قُل لِّلَّهِۚ كَتَبَ عَلَىٰ نَفۡسِهِ ٱلرَّحۡمَةَۚ لَيَجۡمَعَنَّكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِۚ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Inse pucho, aasmaano aur zameen mein jo kuch hai woh kiska hai? Kaho sab kuch Allah hi ka hai, usne reham o karam ka shaiwa apne upar lazim karliya hai (isi liye woh nafarmaniyon aur sarkashiyon par tumhein jadli se nahin pakad leta), Qayamat ke roz woh tum sab ko zaroor jamaa karega, yeh bilkul ek gair mushtaba haqeeqat hai, magar jin logon ne apne aap ko khud tabahi ke khatray mein mubtila karliya hai woh usey nahin maante
Surah Al-Anaam, Verse 12
۞وَلَهُۥ مَا سَكَنَ فِي ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Raat ke andhere aur din ke ujale mein jo kuch thehra hua hai sab Allah ka hai, aur woh sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah Al-Anaam, Verse 13
قُلۡ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَتَّخِذُ وَلِيّٗا فَاطِرِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَهُوَ يُطۡعِمُ وَلَا يُطۡعَمُۗ قُلۡ إِنِّيٓ أُمِرۡتُ أَنۡ أَكُونَ أَوَّلَ مَنۡ أَسۡلَمَۖ وَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Kaho, Allah ko chodh kar kya main kisi aur ko apna sarparast bana loon? Us khuda ko chodh kar jo zameen o aasmaan ka khaliq hai aur jo rozi deta hai rozi leta nahin hai (one who feeds but doesn’t need to be fed) ? Kaho, mujhey to yahi hukum diya gaya hai ke sabse pehle main uske aagey sar tasleem kham karoon (aur takeed ki gayi hai ke koi shirk karta hai to karey) tu bahar-haal mushrikon mein shamil na ho
Surah Al-Anaam, Verse 14
قُلۡ إِنِّيٓ أَخَافُ إِنۡ عَصَيۡتُ رَبِّي عَذَابَ يَوۡمٍ عَظِيمٖ
Kaho, agar main apne Rubb ki nafarmani karoon to darta hoon ke ek badey (khaufnaak) din mujhey saza bhugatni padegi
Surah Al-Anaam, Verse 15
مَّن يُصۡرَفۡ عَنۡهُ يَوۡمَئِذٖ فَقَدۡ رَحِمَهُۥۚ وَذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡمُبِينُ
Us din jo saza se bach gaya uspar Allah ne bada hi reham kiya aur yahi numayan kamiyabi hai
Surah Al-Anaam, Verse 16
وَإِن يَمۡسَسۡكَ ٱللَّهُ بِضُرّٖ فَلَا كَاشِفَ لَهُۥٓ إِلَّا هُوَۖ وَإِن يَمۡسَسۡكَ بِخَيۡرٖ فَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Agar Allah tumhein kisi qisam ka nuqsan pahunchaye to uske siwa koi nahin jo tumhein is nuksaan se bacha sakey, aur agar woh tumhein kisi bhlayi se behramand karey to woh har cheez par qadir hai
Surah Al-Anaam, Verse 17
وَهُوَ ٱلۡقَاهِرُ فَوۡقَ عِبَادِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
Woh apne bandon par kaamil ikhtiyarat rakhta hai aur dana aur ba-khabar hai
Surah Al-Anaam, Verse 18
قُلۡ أَيُّ شَيۡءٍ أَكۡبَرُ شَهَٰدَةٗۖ قُلِ ٱللَّهُۖ شَهِيدُۢ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۚ وَأُوحِيَ إِلَيَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ لِأُنذِرَكُم بِهِۦ وَمَنۢ بَلَغَۚ أَئِنَّكُمۡ لَتَشۡهَدُونَ أَنَّ مَعَ ٱللَّهِ ءَالِهَةً أُخۡرَىٰۚ قُل لَّآ أَشۡهَدُۚ قُلۡ إِنَّمَا هُوَ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ وَإِنَّنِي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تُشۡرِكُونَ
Inse pucho, kiski gawahi sabse badhkar hai? Kaho, mere aur tumhare darmiyan Allah gawah hai, aur yeh Quran meri taraf bazariye wahee bheja gaya hai taa-ke tumhein aur jis jis ko yeh pahunchey, sabko mutanabbey(warn) kardoon. Kya waqayi tum log yeh shahadat de sakte ho ke Allah ke saath dusre khuda bhi hain? Kaho, main to iski shahadat hargiz nahin de sakta. Kaho, khuda to wahi ek hai aur main us shirk se qatai bezar hoon jismein tum mubtala ho
Surah Al-Anaam, Verse 19
ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَعۡرِفُونَهُۥ كَمَا يَعۡرِفُونَ أَبۡنَآءَهُمُۘ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Jin logon ko humne kitab di hai woh is baat ko is tarah gair mushtaba taur par pehchante hain jaise unko apne beton ke pehnchanne mein koi ishtibaah pesh nahin aata, magar jinhon ne apne aap ko khud khasare mein daal diya hai woh isey nahin maante
Surah Al-Anaam, Verse 20
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aur us shaks se badhkar zalim kaun hoga jo Allah par jhoota bohtan lagaye, ya Allah ki nishaniyon ko jhutlaye? Yaqeenan aise zalim kabhi falaah nahin paa sakte
Surah Al-Anaam, Verse 21
وَيَوۡمَ نَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا ثُمَّ نَقُولُ لِلَّذِينَ أَشۡرَكُوٓاْ أَيۡنَ شُرَكَآؤُكُمُ ٱلَّذِينَ كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
Jis roz hum in sabko ikattha karenge aur mushrikon se puchenge ke ab woh tumhare thehraye huey shareek kahan hain jinko tum apna khuda samajhte thay
Surah Al-Anaam, Verse 22
ثُمَّ لَمۡ تَكُن فِتۡنَتُهُمۡ إِلَّآ أَن قَالُواْ وَٱللَّهِ رَبِّنَا مَا كُنَّا مُشۡرِكِينَ
To woh iske siwa koi fitna na utha sakenge ke (yeh jhoota bayan dein ke) aey hamare aaqa! Teri qasam hum hargiz mushrik na thay
Surah Al-Anaam, Verse 23
ٱنظُرۡ كَيۡفَ كَذَبُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡۚ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Dekho, us waqt yeh kis tarah apne upar aap jhoot ghadenge, aur wahan unke sarey banawati mabood ghum ho jayenge
Surah Al-Anaam, Verse 24
وَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَۖ وَجَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۚ وَإِن يَرَوۡاْ كُلَّ ءَايَةٖ لَّا يُؤۡمِنُواْ بِهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوكَ يُجَٰدِلُونَكَ يَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
In mein se baaz log aise hain jo kaan laga kar tumhari baat sunte hain magar haal yeh hai ke humne unke dilon par purdey daal rakkhey hain jinki wajah se woh isko kuch nahin samajhte aur inke kaano mein girani daal di hai (ke sab kuch sunne par bhi kuch nahin suntey).Woh khwa koi nishani dekh lein, uspar iman laa kar na denge , hadd yeh hai ke jab woh tumhare paas aa kar tumse jahgadte hain to inmein se jin logon ne inkar ka faisla karliya hai woh (saari baatein sunne ke baad) yahi kehte hain ke yeh ek dastaan e paarina (ancient tales) ke siwa kuch nahin
Surah Al-Anaam, Verse 25
وَهُمۡ يَنۡهَوۡنَ عَنۡهُ وَيَنۡـَٔوۡنَ عَنۡهُۖ وَإِن يُهۡلِكُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ
Woh is amr e haqq ko qabool karne se logon ko roakte hain aur khud bhi issey door bhaagte hain (woh samajte hain ke is harakat se woh tumhara kuch bigaad rahey hain) halanke dar asal woh khud apni hi tabahi ka samaan kar rahey hain magar unhein iska shahoor nahin hai
Surah Al-Anaam, Verse 26
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ وُقِفُواْ عَلَى ٱلنَّارِ فَقَالُواْ يَٰلَيۡتَنَا نُرَدُّ وَلَا نُكَذِّبَ بِـَٔايَٰتِ رَبِّنَا وَنَكُونَ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Kaash tum us waqt ki halat dekh sakte jab woh dozakh ke kinarey khade kiye jayenge, us waqt woh kahenge ke kaash koi surat aisi ho ke hum duniya mein phir wapas bheje jayein aur apne Rubb ki nishaniyon ko na jhutlayein aur iman laney walon mein shamil hon
Surah Al-Anaam, Verse 27
بَلۡ بَدَا لَهُم مَّا كَانُواْ يُخۡفُونَ مِن قَبۡلُۖ وَلَوۡ رُدُّواْ لَعَادُواْ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Dar-haqeeqat yeh baat woh mehaz is wajah se kahenge ke jis haqeeqat par unhon ne purda daal rakkha tha woh us waqt be-naqaab hokar unke saamne aa chuki hogi, warna agar unhein sabiq zindagi ki taraf wapas bheja jaye to phir wahi sab kuch karein jissey unhein mana kiya gaya hai. Woh to hain hi jhoote ( isliye apni is khwahish ke izhar mein bhi jhoot hi se kaam lenge)
Surah Al-Anaam, Verse 28
وَقَالُوٓاْ إِنۡ هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا ٱلدُّنۡيَا وَمَا نَحۡنُ بِمَبۡعُوثِينَ
Aaj yeh log kehte hain ke zindagi mein jo kuch bhi hai bas yahi duniya ki zindagi hai aur hum marne ke baad hargiz dobara na uthaye jayenge
Surah Al-Anaam, Verse 29
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ وُقِفُواْ عَلَىٰ رَبِّهِمۡۚ قَالَ أَلَيۡسَ هَٰذَا بِٱلۡحَقِّۚ قَالُواْ بَلَىٰ وَرَبِّنَاۚ قَالَ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Kaash woh manzar tum dekh sako jab yeh apne Rubb ke samne khade kiye jayenge us waqt inka Rubb insey puchega “kya yeh haqeeqat nahin hai?” Yeh kahenge “haan aey hamare Rubb! Yeh haqeeqat hi hai”, woh farmayega “accha! to ab apne inkar e haqeeqat ki padash mein azaab ka maza chakho”
Surah Al-Anaam, Verse 30
قَدۡ خَسِرَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِلِقَآءِ ٱللَّهِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَتۡهُمُ ٱلسَّاعَةُ بَغۡتَةٗ قَالُواْ يَٰحَسۡرَتَنَا عَلَىٰ مَا فَرَّطۡنَا فِيهَا وَهُمۡ يَحۡمِلُونَ أَوۡزَارَهُمۡ عَلَىٰ ظُهُورِهِمۡۚ أَلَا سَآءَ مَا يَزِرُونَ
Nuqsan mein pad gaye woh log jinhon ne Allah se apni mulaqaat ki ittila ko jhoot qarar diya, jab achanak woh ghadi aa jayegi to yahi log kahenge “afsos! Humse is maamle mein kaisi takseer hui ” aur inka haal yeh hoga ke apni peethon (backs) par apne gunaahon ka bojh laadhey huey hongey. Dekho! Kaisa bura bojh hai jo yeh utha rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 31
وَمَا ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَآ إِلَّا لَعِبٞ وَلَهۡوٞۖ وَلَلدَّارُ ٱلۡأٓخِرَةُ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ يَتَّقُونَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
Duniya ki zindagi to ek khel aur ek tamasha hai, haqeeqat mein aakhirat hi ka muqaam un logon ke liye behtar hai jo ziyan kaari se bachna chahte hain (seek to ward off their ruin), phir kya tumlog aqal se kaam na logey
Surah Al-Anaam, Verse 32
قَدۡ نَعۡلَمُ إِنَّهُۥ لَيَحۡزُنُكَ ٱلَّذِي يَقُولُونَۖ فَإِنَّهُمۡ لَا يُكَذِّبُونَكَ وَلَٰكِنَّ ٱلظَّـٰلِمِينَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ يَجۡحَدُونَ
(Aey Muhammad)! Humein maloom hai ke jo baatein yeh log banate hain insey tumhein ranjj hota hai, lekin yeh log tumhein nahin jhutlatey balke yeh zalim dar asal Allah ki aayat ka inkar kar rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 33
وَلَقَدۡ كُذِّبَتۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَ فَصَبَرُواْ عَلَىٰ مَا كُذِّبُواْ وَأُوذُواْ حَتَّىٰٓ أَتَىٰهُمۡ نَصۡرُنَاۚ وَلَا مُبَدِّلَ لِكَلِمَٰتِ ٱللَّهِۚ وَلَقَدۡ جَآءَكَ مِن نَّبَإِيْ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Tumse pehle bhi bahut se Rasool jhutlaye ja chuke hain, magar us takzeeb par aur un aziyaton (persecution) par jo unhein pahunchayi gayi unhon ne sabr kiya, yahan tak ke unhein hamari madad pahunch gayi. Allah ki baaton ko badalne ki taaqat kisi mein nahin hai, aur pichle Rasoolon ke saath jo kuch pesh aaya uski khabrein tumhein pahunch hi chuki hain
Surah Al-Anaam, Verse 34
وَإِن كَانَ كَبُرَ عَلَيۡكَ إِعۡرَاضُهُمۡ فَإِنِ ٱسۡتَطَعۡتَ أَن تَبۡتَغِيَ نَفَقٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ أَوۡ سُلَّمٗا فِي ٱلسَّمَآءِ فَتَأۡتِيَهُم بِـَٔايَةٖۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَمَعَهُمۡ عَلَى ٱلۡهُدَىٰۚ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡجَٰهِلِينَ
Taaham agar in logon ki be-rukhi tumse bardasht nahin hoti to agar tum mein kuch zoar hain to zameen mein koi surang dhundo ya Aasmaan mein seedi (ladder) lagao aur inke paas koi nishani laney ki koshish karo. Agar Allah chahta to in sabko hidayat par jamaa kar sakta tha, lihaza nadaan mat bano
Surah Al-Anaam, Verse 35
۞إِنَّمَا يَسۡتَجِيبُ ٱلَّذِينَ يَسۡمَعُونَۘ وَٱلۡمَوۡتَىٰ يَبۡعَثُهُمُ ٱللَّهُ ثُمَّ إِلَيۡهِ يُرۡجَعُونَ
Dawat e haqq par labbaik wahi log kehte hain jo sunne waley hain. Rahey murde, to unhein to Allah bas qabaron hi se uthayega aur phir woh (uski adalat mein pesh honay keliye) wapas laye jayenge
Surah Al-Anaam, Verse 36
وَقَالُواْ لَوۡلَا نُزِّلَ عَلَيۡهِ ءَايَةٞ مِّن رَّبِّهِۦۚ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ قَادِرٌ عَلَىٰٓ أَن يُنَزِّلَ ءَايَةٗ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ
Yeh log kehte hain ke is Nabi par uske Rubb ki taraf se koi nishani kyun nahin utri? Kaho, Allah nishani utaarne ki puri qudrat rakhta hai, magar in mein se aksar log naadani mein mubtila hain
Surah Al-Anaam, Verse 37
وَمَا مِن دَآبَّةٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا طَـٰٓئِرٖ يَطِيرُ بِجَنَاحَيۡهِ إِلَّآ أُمَمٌ أَمۡثَالُكُمۚ مَّا فَرَّطۡنَا فِي ٱلۡكِتَٰبِ مِن شَيۡءٖۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ يُحۡشَرُونَ
Zameen mein chalne waley kisi jaanwar aur hawa mein paron (wings) se udne waley kisi parinde ko dekh lo, yeh sab tumhari hi tarah ki anwaa(communities) hain. Humne inki taqdeer ke nawishte(record) mein koi kasar nahin chodi hai, phir yeh sab apne Rubb ki taraf samete jatey hain
Surah Al-Anaam, Verse 38
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا صُمّٞ وَبُكۡمٞ فِي ٱلظُّلُمَٰتِۗ مَن يَشَإِ ٱللَّهُ يُضۡلِلۡهُ وَمَن يَشَأۡ يَجۡعَلۡهُ عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Magar jo log hamari nishaniyon ko jhutlate hain woh behre (dumb) aur gungay hain, tareekiyon (darkness) mein padey huey hain, Allah jisey chahta hai bhatka deta hai aur jisey chahta hai seedhe raaste par laga deta hai
Surah Al-Anaam, Verse 39
قُلۡ أَرَءَيۡتَكُمۡ إِنۡ أَتَىٰكُمۡ عَذَابُ ٱللَّهِ أَوۡ أَتَتۡكُمُ ٱلسَّاعَةُ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ تَدۡعُونَ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Inse kaho, zara gaur karke batao, agar kabhi tumpar Allah ki taraf se koi badi museebat aa jati hai ya aakhri gahdi aa pahunchti hai to kya us waqt tum Allah ke siwa kisi aur ko pukrate ho? Bolo agar tum sacchey ho
Surah Al-Anaam, Verse 40
بَلۡ إِيَّاهُ تَدۡعُونَ فَيَكۡشِفُ مَا تَدۡعُونَ إِلَيۡهِ إِن شَآءَ وَتَنسَوۡنَ مَا تُشۡرِكُونَ
Us waqt tum Allah hi ko pukarte ho, phir agar woh chahta hai to is museebat ko tumpar se taal deta hai, aisey mauqon par tum apne thehraye huey shareekon ko bhool jatey ho
Surah Al-Anaam, Verse 41
وَلَقَدۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَىٰٓ أُمَمٖ مِّن قَبۡلِكَ فَأَخَذۡنَٰهُم بِٱلۡبَأۡسَآءِ وَٱلضَّرَّآءِ لَعَلَّهُمۡ يَتَضَرَّعُونَ
Tumse pehle bahut si qaumon ki taraf humne Rasool bheje aur un qaumon ko masaib o alaam (with misfortune and hardship) mein mubtila kiya taa-ke woh aajizi (humbleness) ke saath hamare saamne jhuk jayein
Surah Al-Anaam, Verse 42
فَلَوۡلَآ إِذۡ جَآءَهُم بَأۡسُنَا تَضَرَّعُواْ وَلَٰكِن قَسَتۡ قُلُوبُهُمۡ وَزَيَّنَ لَهُمُ ٱلشَّيۡطَٰنُ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Pas jab hamari taraf se unpar sakhti aayi to kyun na unhon ne aajizi ikhtiyar(humbleness) ki? Magar unke dil to aur sakht ho gaye aur Shaytan ne unko itminaan dilaya ke jo kuch tum kar rahey ho khoob kar rahey ho
Surah Al-Anaam, Verse 43
فَلَمَّا نَسُواْ مَا ذُكِّرُواْ بِهِۦ فَتَحۡنَا عَلَيۡهِمۡ أَبۡوَٰبَ كُلِّ شَيۡءٍ حَتَّىٰٓ إِذَا فَرِحُواْ بِمَآ أُوتُوٓاْ أَخَذۡنَٰهُم بَغۡتَةٗ فَإِذَا هُم مُّبۡلِسُونَ
Phir jab unhon ne us naseehat ko, jo unhein ki gayi thi, bhula diya to humne har tarah ki khush-haaliyon ke darwaze unke liye khol diye, yahan tak ke jab woh un bakshihon mein jo unhein ata ki gayi thi khoob magan ho gaye to achanak humne unhein pakad liya aur ab haal yeh tha ke woh har khair se mayous thay
Surah Al-Anaam, Verse 44
فَقُطِعَ دَابِرُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ ظَلَمُواْۚ وَٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Is tarah un logon ki jadh(root) kaat kar rakh di gayi jinhon ne zulm kiya tha aur tareef hai Allah Rabbul aalameen ke liye ( ke usne unki jadh kaat di)
Surah Al-Anaam, Verse 45
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَخَذَ ٱللَّهُ سَمۡعَكُمۡ وَأَبۡصَٰرَكُمۡ وَخَتَمَ عَلَىٰ قُلُوبِكُم مَّنۡ إِلَٰهٌ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَأۡتِيكُم بِهِۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ ثُمَّ هُمۡ يَصۡدِفُونَ
(Aey Muhammad)! Inse kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar Allah tumhari binayi (eye-sight) aur samaat (hearing) tumse cheen le aur tumhare dilon par mohar karde to Allah ke siwa aur kaun sa khuda hai jo yeh quwwatein tumhein wapas dila sakta ho? Dekho, kis tarah hum baar baar apni naishaniyan unke samne pesh karte hain aur phir yeh kis tarah unse nazar chura jatey hain
Surah Al-Anaam, Verse 46
قُلۡ أَرَءَيۡتَكُمۡ إِنۡ أَتَىٰكُمۡ عَذَابُ ٱللَّهِ بَغۡتَةً أَوۡ جَهۡرَةً هَلۡ يُهۡلَكُ إِلَّا ٱلۡقَوۡمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Kaho, kabhi tumne socha ke agar Allah ki taraf se achanak ya elaniya tumpar azaab aa jaye to kya zalim logon ke siwa koi aur halaak hoga
Surah Al-Anaam, Verse 47
وَمَا نُرۡسِلُ ٱلۡمُرۡسَلِينَ إِلَّا مُبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَۖ فَمَنۡ ءَامَنَ وَأَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Hum jo Rasool bhejte hain isi liye to bhejte hain ke woh neik kirdaar logon ke liye khush-khabri dene waley aur badh kirdaron ke liye darane waley hon. Phir jo log unki baat maan lein aur apne tarz e amal ki islah karlein unke liye kisi khauf aur ranjj ka mauqa nahin hai
Surah Al-Anaam, Verse 48
وَٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا يَمَسُّهُمُ ٱلۡعَذَابُ بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Aur jo hamari aayat ko jhutlayein woh apni nafarmaniyon ki padash mein saza bhugat kar rahenge
Surah Al-Anaam, Verse 49
قُل لَّآ أَقُولُ لَكُمۡ عِندِي خَزَآئِنُ ٱللَّهِ وَلَآ أَعۡلَمُ ٱلۡغَيۡبَ وَلَآ أَقُولُ لَكُمۡ إِنِّي مَلَكٌۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّۚ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُۚ أَفَلَا تَتَفَكَّرُونَ
(Aey Muhammad)! Inse kaho, “main tumse yeh nahin kehta ke mere paas Allah ke khazane hain, na main gaib ka ilm rakhta hoon, aur na yeh kehta hoon ke main Farishta hoon. Main to sirf us wahee ki pairwi karta hoon jo mujhpar nazil ki jati hai”. Phir inse pucho kya andha aur aankhon wala dono barabar ho sakte hain? Kya tum gaur nahin karte
Surah Al-Anaam, Verse 50
وَأَنذِرۡ بِهِ ٱلَّذِينَ يَخَافُونَ أَن يُحۡشَرُوٓاْ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ لَيۡسَ لَهُم مِّن دُونِهِۦ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ لَّعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
(Aey Muhammad)! Tum is (ilm e wahee) ke zariye se un logon ko naseehat karo jo is baat ka khauf rakhte hain ke apne Rubb ke samne kabhi is haal mein pesh kiye jayenge ke uske siwa wahan koi (aisa zi iqteqar) na hoga jo unka haami o madadgaar ho, ya unki sifarish karey, Shayad ke (is nasihat se mutanabbeh hokar) woh khuda-tarsi ki rawish ikhtiyar karlein
Surah Al-Anaam, Verse 51
وَلَا تَطۡرُدِ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ رَبَّهُم بِٱلۡغَدَوٰةِ وَٱلۡعَشِيِّ يُرِيدُونَ وَجۡهَهُۥۖ مَا عَلَيۡكَ مِنۡ حِسَابِهِم مِّن شَيۡءٖ وَمَا مِنۡ حِسَابِكَ عَلَيۡهِم مِّن شَيۡءٖ فَتَطۡرُدَهُمۡ فَتَكُونَ مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jo log apne Rubb ko raat din pukarte rehte hain aur uski khushnudi ki talab mein lagey huey hain unhein apne se door na phenko, unke hisaab mein se kisi cheez ka baar tumpar nahin hai aur tumhare hisab mein se kisi cheez ka baar unpar nahin. Ispar bhi agar tum unhein door phenko ge to zalimon mein shumar hogey
Surah Al-Anaam, Verse 52
وَكَذَٰلِكَ فَتَنَّا بَعۡضَهُم بِبَعۡضٖ لِّيَقُولُوٓاْ أَهَـٰٓؤُلَآءِ مَنَّ ٱللَّهُ عَلَيۡهِم مِّنۢ بَيۡنِنَآۗ أَلَيۡسَ ٱللَّهُ بِأَعۡلَمَ بِٱلشَّـٰكِرِينَ
Dar-asal humne is tarah in logon mein se baaz ko baaz ke zariye se aazmaish mein dala hai taa-ke woh inhein dekh kar kahein “ kya yeh hain woh log jinpar hamare darmiyan Allah ka fazal o karam hua hai?” Haan ! kya khuda apne shukar guzar bandon ko inse zyada nahin jaanta hai
Surah Al-Anaam, Verse 53
وَإِذَا جَآءَكَ ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِـَٔايَٰتِنَا فَقُلۡ سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡۖ كَتَبَ رَبُّكُمۡ عَلَىٰ نَفۡسِهِ ٱلرَّحۡمَةَ أَنَّهُۥ مَنۡ عَمِلَ مِنكُمۡ سُوٓءَۢا بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ تَابَ مِنۢ بَعۡدِهِۦ وَأَصۡلَحَ فَأَنَّهُۥ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Jab tumhare paas woh log aayein jo hamari aayat par iman latey hain to unse kaho “tumpar salamati hai tumhare Rubb ne reham o karam ka shewa apne upar lazim karliya hai. Yeh uska reham o karam hi hai ke agar tum mein se koi nadaani ke saath kisi burayi ka irtikaab kar baitha ho phir uske baad tawba karey aur islah karle to woh usey maaf kardeta hai aur narmi se kaam leta hai”
Surah Al-Anaam, Verse 54
وَكَذَٰلِكَ نُفَصِّلُ ٱلۡأٓيَٰتِ وَلِتَسۡتَبِينَ سَبِيلُ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Aur is tarah hum apni nishaniyan khol khol kar pesh karte hain taa-ke mujreemon ki raah bilkul numayan ho jaye
Surah Al-Anaam, Verse 55
قُلۡ إِنِّي نُهِيتُ أَنۡ أَعۡبُدَ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِۚ قُل لَّآ أَتَّبِعُ أَهۡوَآءَكُمۡ قَدۡ ضَلَلۡتُ إِذٗا وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُهۡتَدِينَ
(Aey Muhammad)! Inse kaho ke tum log Allah ke siwa jin dusron ko pukarte ho unki bandagi karne se mujhey manah kiya gaya hai. Kaho, main tumhari khwahishat ki pairwi nahin karunga, agar maine aisa kiya to gumraah ho gaya, raah e raast paney walon mein se na raha
Surah Al-Anaam, Verse 56
قُلۡ إِنِّي عَلَىٰ بَيِّنَةٖ مِّن رَّبِّي وَكَذَّبۡتُم بِهِۦۚ مَا عِندِي مَا تَسۡتَعۡجِلُونَ بِهِۦٓۚ إِنِ ٱلۡحُكۡمُ إِلَّا لِلَّهِۖ يَقُصُّ ٱلۡحَقَّۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلۡفَٰصِلِينَ
Kaho, main apne Rubb ki taraf se ek daleel e roshan par qayam hoon aur tumne usey jhutla diya hai, ab mere ikhtiyar mein woh cheez hai nahin jiske liye tum jaldi macha rahey ho. Faisley ka sara ikhtiyar Allah ko hai, wahi amr e haqq bayan karta hai aur wahi behtareen faisla karne wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 57
قُل لَّوۡ أَنَّ عِندِي مَا تَسۡتَعۡجِلُونَ بِهِۦ لَقُضِيَ ٱلۡأَمۡرُ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۗ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِٱلظَّـٰلِمِينَ
Kaho, agar kahin woh cheez mere ikhtiyar mein hoti jiski tum jaldi macha rahey ho to mere aur tumhare darmiyan kabhi ka faisla ho chuka hota, magar Allah zyada behtar jaanta hai ke zalimon ke saath kya maamla kiya jana chahiye
Surah Al-Anaam, Verse 58
۞وَعِندَهُۥ مَفَاتِحُ ٱلۡغَيۡبِ لَا يَعۡلَمُهَآ إِلَّا هُوَۚ وَيَعۡلَمُ مَا فِي ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِۚ وَمَا تَسۡقُطُ مِن وَرَقَةٍ إِلَّا يَعۡلَمُهَا وَلَا حَبَّةٖ فِي ظُلُمَٰتِ ٱلۡأَرۡضِ وَلَا رَطۡبٖ وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٖ
Usi ke paas gaib ki kunjiyan hain jinhein uske siwa koi nahin jaanta, bahr o barr (land and in the sea) mein jo kuch hai sabse woh waqif hai, darakht se girne wala koi patta aisa nahin jiska usey ilm na ho, zameen ke tareek (dark) pardon mein koi dana (grain) aisa nahin jissey woh bakhabar na ho, khusk o tarr (green or dry) sab kuch ek khuli kitab mein likha hua hai
Surah Al-Anaam, Verse 59
وَهُوَ ٱلَّذِي يَتَوَفَّىٰكُم بِٱلَّيۡلِ وَيَعۡلَمُ مَا جَرَحۡتُم بِٱلنَّهَارِ ثُمَّ يَبۡعَثُكُمۡ فِيهِ لِيُقۡضَىٰٓ أَجَلٞ مُّسَمّٗىۖ ثُمَّ إِلَيۡهِ مَرۡجِعُكُمۡ ثُمَّ يُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Wahi hai jo raat ko tumhari roohein (souls) qabz karta hai aur din ko jo kuch tum karte ho usey jaanta hai, phir dusre roz woh tumhein isi karobaar ke aalam mein wapas bhej deta hai taa-ke zindagi ki muqarrar muddat puri ho. Aakhir e kaar usi ki taraf tumhari wapsi hai, phir woh tumhein bata dega ke tum kya karte rahey ho
Surah Al-Anaam, Verse 60
وَهُوَ ٱلۡقَاهِرُ فَوۡقَ عِبَادِهِۦۖ وَيُرۡسِلُ عَلَيۡكُمۡ حَفَظَةً حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ تَوَفَّتۡهُ رُسُلُنَا وَهُمۡ لَا يُفَرِّطُونَ
Apne bandon par woh puri qudrat rakhta hai aur tumpar nigrani karne waley muqarrar karke bhejta hai, yahan tak ke jab tum mein se kisi ki maut ka waqt aa jata hai to uske bheje huey Farishtey iski jaan nikal lete hain aur apna farz e anjaam dene mein zara kotahi(neglect) nahin karte
Surah Al-Anaam, Verse 61
ثُمَّ رُدُّوٓاْ إِلَى ٱللَّهِ مَوۡلَىٰهُمُ ٱلۡحَقِّۚ أَلَا لَهُ ٱلۡحُكۡمُ وَهُوَ أَسۡرَعُ ٱلۡحَٰسِبِينَ
Phir sabke sab Allah , apne haqiqi aaqa ki taraf wapas laye jatey hain. Khabardar ho jao, faisle ke sarey ikhtiyarat usi ko haasil hain aur woh hisab lene mein bahut tez hai
Surah Al-Anaam, Verse 62
قُلۡ مَن يُنَجِّيكُم مِّن ظُلُمَٰتِ ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِ تَدۡعُونَهُۥ تَضَرُّعٗا وَخُفۡيَةٗ لَّئِنۡ أَنجَىٰنَا مِنۡ هَٰذِهِۦ لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلشَّـٰكِرِينَ
(Aey Muhammad)! Insey pucho, sehra aur samandar ki tareekiyon (darkness) mein kaun tumhein khatraat se bachata hai? Kaun hai jissey tum (museebat ke waqt) gidhgida, gidhgida kar aur chupke chupke duaein maangte ho? Kissey kehte ho ke agar is balaa se tu nay humko bacha liya to hum zaroor shukar-guazar honge
Surah Al-Anaam, Verse 63
قُلِ ٱللَّهُ يُنَجِّيكُم مِّنۡهَا وَمِن كُلِّ كَرۡبٖ ثُمَّ أَنتُمۡ تُشۡرِكُونَ
Kaho, Allah tumhein ussey aur har takleef se nijaat deta hai phir tum dusron ko uska shareek thehrate ho
Surah Al-Anaam, Verse 64
قُلۡ هُوَ ٱلۡقَادِرُ عَلَىٰٓ أَن يَبۡعَثَ عَلَيۡكُمۡ عَذَابٗا مِّن فَوۡقِكُمۡ أَوۡ مِن تَحۡتِ أَرۡجُلِكُمۡ أَوۡ يَلۡبِسَكُمۡ شِيَعٗا وَيُذِيقَ بَعۡضَكُم بَأۡسَ بَعۡضٍۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَفۡقَهُونَ
Kaho, woh ispar qadir hai ke tumpar koi azaab upar se nazil karde, ya tumhare qadamon ke nichey se barpa karde, ya tumhein girohon mein taqseem karke ek giroh ko dusre giroh ki taqat ka maza chakhwa de. Dekho, hum kis tarah baar baar mukhtalif tareeqon se apni nishaniyan inke saamne pesh kar rahey hain shayad ke yeh haqeeqat ko samajh lein
Surah Al-Anaam, Verse 65
وَكَذَّبَ بِهِۦ قَوۡمُكَ وَهُوَ ٱلۡحَقُّۚ قُل لَّسۡتُ عَلَيۡكُم بِوَكِيلٖ
Tumhari qaum uska inkar kar rahi hai halaanke woh haqeeqat hai. Insey kehdo ke main tumpar hawaladaar nahin banaya gaya hoon
Surah Al-Anaam, Verse 66
لِّكُلِّ نَبَإٖ مُّسۡتَقَرّٞۚ وَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ
Har khabar ke zahoor mein aane ka ek waqt muqarrar hai, anqareeb tumko khud anjaam maloom ho jayega
Surah Al-Anaam, Verse 67
وَإِذَا رَأَيۡتَ ٱلَّذِينَ يَخُوضُونَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا فَأَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ حَتَّىٰ يَخُوضُواْ فِي حَدِيثٍ غَيۡرِهِۦۚ وَإِمَّا يُنسِيَنَّكَ ٱلشَّيۡطَٰنُ فَلَا تَقۡعُدۡ بَعۡدَ ٱلذِّكۡرَىٰ مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur (aey Muhammad)! Jab tum dekho ke log hamari aayat par nukhta chiniyan (engaged in blasphemy) kar rahey hain to unke paas se hat jao yahan tak ke woh is guftagu ko chodh kar dusri baaton mein lag jayein aur agar kabhi shaytan tumhein bhulawe mein daal de to jis waqt tumhein is galati ka ehsaas ho jaye uske baad phir aisey zalim logon ke paas na baitho
Surah Al-Anaam, Verse 68
وَمَا عَلَى ٱلَّذِينَ يَتَّقُونَ مِنۡ حِسَابِهِم مِّن شَيۡءٖ وَلَٰكِن ذِكۡرَىٰ لَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Unke hisaab mein se kisi cheez ki zimmedari parheizgaar logon par nahin hai, albatta naseehat karna unka farz hai shayad ke woh galat rawi se bach jayein
Surah Al-Anaam, Verse 69
وَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَعِبٗا وَلَهۡوٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ وَذَكِّرۡ بِهِۦٓ أَن تُبۡسَلَ نَفۡسُۢ بِمَا كَسَبَتۡ لَيۡسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ وَإِن تَعۡدِلۡ كُلَّ عَدۡلٖ لَّا يُؤۡخَذۡ مِنۡهَآۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبۡسِلُواْ بِمَا كَسَبُواْۖ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
Chodo un logon ko jinhon ne apne deen ko khel aur tamasha bana rakkha hai aur jinhein duniya ki zindagi fareb mein mubtila kiye huey hai. Haan magar yeh Quran suna kar naseehat aur tambeeh (warn) karte raho ke kahin koi shaks apne kiye kartooton ke wabal mein giraftar na ho jaye, aut giraftar bhi is haal mein ho ke Allah se bachane wala koi haami o madadgaar aur koi sifarishi iske liye na ho, aur agar woh har mumkin cheez fidiye mein dekar chootna chahe to woh bhi ussey qabool na ki jaye, kyunke aisey log to khud apni kamayi ke nateeje mein pakde jayenge, inko to apne inkar e haqq ke muawaze mein khaulta(boiling) hua pani peenay ko aur dardnaak azaab bhugatne ko milega
Surah Al-Anaam, Verse 70
قُلۡ أَنَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُنَا وَلَا يَضُرُّنَا وَنُرَدُّ عَلَىٰٓ أَعۡقَابِنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُ كَٱلَّذِي ٱسۡتَهۡوَتۡهُ ٱلشَّيَٰطِينُ فِي ٱلۡأَرۡضِ حَيۡرَانَ لَهُۥٓ أَصۡحَٰبٞ يَدۡعُونَهُۥٓ إِلَى ٱلۡهُدَى ٱئۡتِنَاۗ قُلۡ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلۡهُدَىٰۖ وَأُمِرۡنَا لِنُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
(Aey Muhammad)! Insey pucho, kya hum Allah ko chodh kar unko pukarein jo na humein nafa de sakte hain na nuksaan? Aur jabke Allah humein seedha raasta dikha chuka hai to kya ab hum ultey paon phir jayein? Kya hum apna haal us shaks ka sa karlein jisey Shaytaano ne sehra mein bhatka diya ho aur woh hairan o sargardan phir raha ho, daran haal yeh ke uske saathi usey pukar rahey hon ke idhar aa yeh seedhi raah maujood hai? Kaho, haqeeqat mein saheeh rehnumayi to sirf Allah hi ki rehnumayi hai aur uski taraf se humein yeh hukum mila hai ke maalik e qayinaat ke aagey sar e itaat kham kardo
Surah Al-Anaam, Verse 71
وَأَنۡ أَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَٱتَّقُوهُۚ وَهُوَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Namaz qayam karo aur uski nafarmani se bacho, usi ki taraf tum samete jaogey
Surah Al-Anaam, Verse 72
وَهُوَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِٱلۡحَقِّۖ وَيَوۡمَ يَقُولُ كُن فَيَكُونُۚ قَوۡلُهُ ٱلۡحَقُّۚ وَلَهُ ٱلۡمُلۡكُ يَوۡمَ يُنفَخُ فِي ٱلصُّورِۚ عَٰلِمُ ٱلۡغَيۡبِ وَٱلشَّهَٰدَةِۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
Wahi hai jisne aasman o zameen ko barhaqq paida kiya hai aur jis din woh kahega ke hashar (resurrection) ho jaye usi din woh ho jayega. Uska irshad ain-e-haqq hai aur jis roz soor phoonka jayega us roz baadshahi usi ki hogi, woh gaib aur shahadat (visible) har cheez ka aleem hai aur dana aur bakhabar hai
Surah Al-Anaam, Verse 73
۞وَإِذۡ قَالَ إِبۡرَٰهِيمُ لِأَبِيهِ ءَازَرَ أَتَتَّخِذُ أَصۡنَامًا ءَالِهَةً إِنِّيٓ أَرَىٰكَ وَقَوۡمَكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Ibrahim ka waqia yaad karo jabke usne apne baap aazar se kaha tha, “kya tu buthon (idols) ko khuda banata hai? Main to tujhey aur teri qaum ko khuli gumraahi mein paata hoon”
Surah Al-Anaam, Verse 74
وَكَذَٰلِكَ نُرِيٓ إِبۡرَٰهِيمَ مَلَكُوتَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَلِيَكُونَ مِنَ ٱلۡمُوقِنِينَ
Ibrahim ko hum isi tarah zameen aur aasmano ka nizam e sultanat dikhate thay aur is liye dikhte thay ke woh yaqeen karne walon mein se ho jaye
Surah Al-Anaam, Verse 75
فَلَمَّا جَنَّ عَلَيۡهِ ٱلَّيۡلُ رَءَا كَوۡكَبٗاۖ قَالَ هَٰذَا رَبِّيۖ فَلَمَّآ أَفَلَ قَالَ لَآ أُحِبُّ ٱلۡأٓفِلِينَ
Chunanchey jab raat uspar taari hui to usne ek tara dekha, kaha yeh mera Rubb hai, magar jab woh doob gaya to bola doob janey walon ka to main girwida nahin hoon
Surah Al-Anaam, Verse 76
فَلَمَّا رَءَا ٱلۡقَمَرَ بَازِغٗا قَالَ هَٰذَا رَبِّيۖ فَلَمَّآ أَفَلَ قَالَ لَئِن لَّمۡ يَهۡدِنِي رَبِّي لَأَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلضَّآلِّينَ
Phir jab chand chamakta nazar aaya to kaha yeh hai mera Rubb, magar jab woh bhi doob gaya to kaha agar mere Rubb ne meri rehnumayi na ki hoti to main bhi gumraah logon mein shamil ho gaya hota
Surah Al-Anaam, Verse 77
فَلَمَّا رَءَا ٱلشَّمۡسَ بَازِغَةٗ قَالَ هَٰذَا رَبِّي هَٰذَآ أَكۡبَرُۖ فَلَمَّآ أَفَلَتۡ قَالَ يَٰقَوۡمِ إِنِّي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تُشۡرِكُونَ
Phir jab Suraj ko roshan dekha to kaha yeh hai mera Rubb, yeh sabse bada hai, magar jab woh bhi dooba to Ibrahim pukar uttha” Aey biradraan e qaum! Main un sab se bezaar hoon jinhein tum khuda ka shareek thehrate ho
Surah Al-Anaam, Verse 78
إِنِّي وَجَّهۡتُ وَجۡهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ حَنِيفٗاۖ وَمَآ أَنَا۠ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
Maine to yaksu hokar apna rukh us hasti ki taraf karliya jisne zameen aur aasmaano ko paida kiya hai aur main hargiz shirk karne walon mein se nahin hoon”
Surah Al-Anaam, Verse 79
وَحَآجَّهُۥ قَوۡمُهُۥۚ قَالَ أَتُحَـٰٓجُّوٓنِّي فِي ٱللَّهِ وَقَدۡ هَدَىٰنِۚ وَلَآ أَخَافُ مَا تُشۡرِكُونَ بِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَشَآءَ رَبِّي شَيۡـٔٗاۚ وَسِعَ رَبِّي كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمًاۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
Uski qaum issey jhagadne lagi to usne qaum se kaha “kya tumlog Allah ke maamle mein mujhse jhagadte ho? Halaanke usne mujhey raah e raast dikha di hai aur main tumhare thehraye huey shareekon se nahin darta. Haan agar mera Rubb kuch chahe to woh zaroor ho sakta hai. Mere Rubb ka ilm har cheez par chaya hua hai, phir kya tum hosh mein na aaogey
Surah Al-Anaam, Verse 80
وَكَيۡفَ أَخَافُ مَآ أَشۡرَكۡتُمۡ وَلَا تَخَافُونَ أَنَّكُمۡ أَشۡرَكۡتُم بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ عَلَيۡكُمۡ سُلۡطَٰنٗاۚ فَأَيُّ ٱلۡفَرِيقَيۡنِ أَحَقُّ بِٱلۡأَمۡنِۖ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ
Aur aakhir main tumhare thehraye huey shareekon se kaise daroon jabke tum Allah ke saath un cheezon ko khudayi mein shareek banate huey nahin darte jinke liye usne tumpar koi sanad nazil nahin ki hai? Hum dono fareeqon mein se kaun zyada be-khaufi o itminaan ka mustahiq hai? Batao agar tum kuch ilm rakhte ho
Surah Al-Anaam, Verse 81
ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَلَمۡ يَلۡبِسُوٓاْ إِيمَٰنَهُم بِظُلۡمٍ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمُ ٱلۡأَمۡنُ وَهُم مُّهۡتَدُونَ
Haqeeqat mein to aman unhi ke liye hai aur raah e raast par wahi hain jo iman laye aur jinhon ne apne iman ko zulm ke saath aluda (tarnish) nahin kya”
Surah Al-Anaam, Verse 82
وَتِلۡكَ حُجَّتُنَآ ءَاتَيۡنَٰهَآ إِبۡرَٰهِيمَ عَلَىٰ قَوۡمِهِۦۚ نَرۡفَعُ دَرَجَٰتٖ مَّن نَّشَآءُۗ إِنَّ رَبَّكَ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Yeh thi hamari woh hujjat jo humne Ibrahim ko uski qaum ke muqable mein ata ki. Hum jisey chahte hain buland martabe ata karte hain. Haqq yeh hai ke tumhara Rubb nihayat dana(wise) aur aleem hai
Surah Al-Anaam, Verse 83
وَوَهَبۡنَا لَهُۥٓ إِسۡحَٰقَ وَيَعۡقُوبَۚ كُلًّا هَدَيۡنَاۚ وَنُوحًا هَدَيۡنَا مِن قَبۡلُۖ وَمِن ذُرِّيَّتِهِۦ دَاوُۥدَ وَسُلَيۡمَٰنَ وَأَيُّوبَ وَيُوسُفَ وَمُوسَىٰ وَهَٰرُونَۚ وَكَذَٰلِكَ نَجۡزِي ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Phir humne Ibrahim ko Ishaq aur yakub jaisi aulad di aur har ek ko raah e raast dikhayi (wahi raah e raast jo) isse pehle Nooh ko dikhayi thi aur usi ki nasal se humne Dawood , Sulaiman, Ayub, Yusuf , Moosa aur Haroon ko (hidayat bakshi) is tarah hum neikukaron (righteous) ko unki neki ka badla dete hain
Surah Al-Anaam, Verse 84
وَزَكَرِيَّا وَيَحۡيَىٰ وَعِيسَىٰ وَإِلۡيَاسَۖ كُلّٞ مِّنَ ٱلصَّـٰلِحِينَ
(Usi ki aulad se) Zakariya, Yahya, Isa aur Ilyas ko (raah-yaab kiya) har ek unmein se saleh tha
Surah Al-Anaam, Verse 85
وَإِسۡمَٰعِيلَ وَٱلۡيَسَعَ وَيُونُسَ وَلُوطٗاۚ وَكُلّٗا فَضَّلۡنَا عَلَى ٱلۡعَٰلَمِينَ
(Usi ke khandaan se) Ismail , Al-yasa(Elisha) , aur Yunus aur Lut ko ( raasta dikhaya). In mein se har ek ko humne tamaam duniya walon par fazilat ata ki
Surah Al-Anaam, Verse 86
وَمِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَذُرِّيَّـٰتِهِمۡ وَإِخۡوَٰنِهِمۡۖ وَٱجۡتَبَيۡنَٰهُمۡ وَهَدَيۡنَٰهُمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Neez inke aaba o ajdaad aur inki aulad aur unke bhai bandon mein se bahuton ko humne nawaza, unhein apni khidmat ke liye chun liya aur seedhey rastey ki taraf unki rehnumayi ki
Surah Al-Anaam, Verse 87
ذَٰلِكَ هُدَى ٱللَّهِ يَهۡدِي بِهِۦ مَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦۚ وَلَوۡ أَشۡرَكُواْ لَحَبِطَ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Yeh Allah ki hidayat hai jiske saath woh apne bandon mein se jiski chahta hai rehnumayi karta hai lekin agar kahin in logon ne shirk kiya hota to inka sab kiya karaya ghaarat ho jata
Surah Al-Anaam, Verse 88
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحُكۡمَ وَٱلنُّبُوَّةَۚ فَإِن يَكۡفُرۡ بِهَا هَـٰٓؤُلَآءِ فَقَدۡ وَكَّلۡنَا بِهَا قَوۡمٗا لَّيۡسُواْ بِهَا بِكَٰفِرِينَ
Woh log thay jinko humne kitab aur hukum aur nabuwat ata ki thi. Ab agar yeh log isko maanne se inkar karte hain to (parwa nahin) humne kuch aur logon ko yeh niyamat somp di hai jo issey munkir nahin hain
Surah Al-Anaam, Verse 89
أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ هَدَى ٱللَّهُۖ فَبِهُدَىٰهُمُ ٱقۡتَدِهۡۗ قُل لَّآ أَسۡـَٔلُكُمۡ عَلَيۡهِ أَجۡرًاۖ إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرَىٰ لِلۡعَٰلَمِينَ
(Aey Muhammad)! wahi log Allah ki taraf se hidayat-yafta thay, unhi ke raaste par tum chalo, aur kehdo ke main (is tableeg o hidayat ke) kaam par tumse kisi ajar ka taalib nahin hoon. Yeh to ek aam naseehat hai tamaam duniya walon ke liye
Surah Al-Anaam, Verse 90
وَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓ إِذۡ قَالُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَىٰ بَشَرٖ مِّن شَيۡءٖۗ قُلۡ مَنۡ أَنزَلَ ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِي جَآءَ بِهِۦ مُوسَىٰ نُورٗا وَهُدٗى لِّلنَّاسِۖ تَجۡعَلُونَهُۥ قَرَاطِيسَ تُبۡدُونَهَا وَتُخۡفُونَ كَثِيرٗاۖ وَعُلِّمۡتُم مَّا لَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنتُمۡ وَلَآ ءَابَآؤُكُمۡۖ قُلِ ٱللَّهُۖ ثُمَّ ذَرۡهُمۡ فِي خَوۡضِهِمۡ يَلۡعَبُونَ
In logon ne Allah ka bahut galat andaza lagaya jab kaha ke Allah ne kisi bashar par kuch nazil nahin kiya hai. Inse pucho, phir woh kitab jisey Moosa laya tha, jo tamaam Insano ke liye roshni aur hidayat thi, jisey tum para para karke rakhte ho, kuch dikhate ho aur bahut kuch chupa jatey ho, aur jiske zariye se tumko woh ilm diya gaya jo na tumhein haasil tha aur na tumhare baap dada ko, aakhir uska nazil karne wala kaun tha? Bas itna kehdo ke Allah, phir unhein apni daleel baaziyon se khelne ke liye chodh do
Surah Al-Anaam, Verse 91
وَهَٰذَا كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ مُبَارَكٞ مُّصَدِّقُ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَلِتُنذِرَ أُمَّ ٱلۡقُرَىٰ وَمَنۡ حَوۡلَهَاۚ وَٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ يُؤۡمِنُونَ بِهِۦۖ وَهُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
(Usi kitab ki tarah) yeh ek kitab hai jisey humne nazil kiya hai badi khair o barakat wali hai, us cheez ki tasdeeq karti hai jo issey pehle aayi thi aur is liye nazil ki gayi hai ke iske zariye se tum bastiyon ke is markaz (yaani Makkah) aur iske atraaf mein rehne walon ko mutanabbeh (warn) karo. Jo log aakhirat ko maante hain woh is kitab par iman latey hain aur unka haal yeh hai ke apni namazon ki pabandi karte hain
Surah Al-Anaam, Verse 92
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ قَالَ أُوحِيَ إِلَيَّ وَلَمۡ يُوحَ إِلَيۡهِ شَيۡءٞ وَمَن قَالَ سَأُنزِلُ مِثۡلَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِي غَمَرَٰتِ ٱلۡمَوۡتِ وَٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ بَاسِطُوٓاْ أَيۡدِيهِمۡ أَخۡرِجُوٓاْ أَنفُسَكُمُۖ ٱلۡيَوۡمَ تُجۡزَوۡنَ عَذَابَ ٱلۡهُونِ بِمَا كُنتُمۡ تَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَكُنتُمۡ عَنۡ ءَايَٰتِهِۦ تَسۡتَكۡبِرُونَ
Aur us shaks se bada zalim aur kaun hoga jo Allah par jhoota bohtan ghadey, ya kahey ke mujpar wahee aayi hai daraan haal yeh ke uspar koi wahee nazil na ki gayi ho, ya jo Allah ki nazil karda cheez ke muqable mein kahey ke main bhi aisi cheez nazil karke dikha dunga? Kaash tum zalimon ko is haalat mein dekh sako jabke woh sakarat-e-maut mein dubkiyan kha rahey hotey hain aur farishtey haath badha badha kar keh rahey hote hain ke “ lao , nikalo apni jaan, aaj tumhein un baaton ki padash mein zillat ka azaab diya jayega jo tum Allah par tohmat rakh kar na-haqq baka (spoke) karte thay aur uski aayat ke muqable mein sarkashi dikhate thay”
Surah Al-Anaam, Verse 93
وَلَقَدۡ جِئۡتُمُونَا فُرَٰدَىٰ كَمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَتَرَكۡتُم مَّا خَوَّلۡنَٰكُمۡ وَرَآءَ ظُهُورِكُمۡۖ وَمَا نَرَىٰ مَعَكُمۡ شُفَعَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُمۡ أَنَّهُمۡ فِيكُمۡ شُرَكَـٰٓؤُاْۚ لَقَد تَّقَطَّعَ بَيۡنَكُمۡ وَضَلَّ عَنكُم مَّا كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
(Aur Allah farmayega) “ lo ab tum waise hi tan-e- tanha (alone) hamare saamne hazir ho gaye jaisa humne tumhein pehli martaba akela paida kiya tha, jo kuch humne tumhein duniya mein diya tha woh sab tum pichey chodh aaye ho, aur ab hum tumhare saath tumhare un sifarishiyon ko bhi nahin dekhte jinke mutaaliq tum samajhte thay ke tumhare kaam banane mein unka bhi kuch hissa hai, tumhare aapas ke sab raabte (contacts) toot gaye aur woh sab tumse ghum ho gaye jinka tum zaam (imagination) rakhte thay”
Surah Al-Anaam, Verse 94
۞إِنَّ ٱللَّهَ فَالِقُ ٱلۡحَبِّ وَٱلنَّوَىٰۖ يُخۡرِجُ ٱلۡحَيَّ مِنَ ٱلۡمَيِّتِ وَمُخۡرِجُ ٱلۡمَيِّتِ مِنَ ٱلۡحَيِّۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
Daney (grain) aur guthli ko phadne (sprout) wala Allah hai, wahi zinda ko murda se nikalta hai aur wahi murde ko zinda se kharij karta hai, yeh sarey kaam karne wala to Allah hai, phir tum kidhar behke chale jaa rahey ho
Surah Al-Anaam, Verse 95
فَالِقُ ٱلۡإِصۡبَاحِ وَجَعَلَ ٱلَّيۡلَ سَكَنٗا وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ حُسۡبَانٗاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
Purda e shab (night) ko chaak karke wahi subah nikalta hai, usi ne raat ko sukoon ka waqt banaya hai usi ne Chand aur Suraj ke tulu-o-guroob ka hisaab muqarrar kiya hai. Yeh sab usi zabardast qudrat aur ilm rakhne waley ke thehraye huey andaze hain
Surah Al-Anaam, Verse 96
وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُمُ ٱلنُّجُومَ لِتَهۡتَدُواْ بِهَا فِي ظُلُمَٰتِ ٱلۡبَرِّ وَٱلۡبَحۡرِۗ قَدۡ فَصَّلۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Aur wahi hai jisne tumhare liye taaron ko sehra aur samandar ki tareekiyon mein raasta maloom karne ka zariya banaya. Dekho humne nishaniyan khol kar bayan kardi hain un logon ke liye jo ilm rakhte hain
Surah Al-Anaam, Verse 97
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَكُم مِّن نَّفۡسٖ وَٰحِدَةٖ فَمُسۡتَقَرّٞ وَمُسۡتَوۡدَعٞۗ قَدۡ فَصَّلۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَفۡقَهُونَ
Aur wahi hai jisne ek mutanaffis se tumko paida kiya phir har ek ke liye ek jaaye qaraar(time-limit) hai aur ek uske sompey janey ki jagah(resting place). Yeh nishaniyan humne wazeh kardi hain un logon ke liye jo samajh boojh rakhte hain
Surah Al-Anaam, Verse 98
وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ نَبَاتَ كُلِّ شَيۡءٖ فَأَخۡرَجۡنَا مِنۡهُ خَضِرٗا نُّخۡرِجُ مِنۡهُ حَبّٗا مُّتَرَاكِبٗا وَمِنَ ٱلنَّخۡلِ مِن طَلۡعِهَا قِنۡوَانٞ دَانِيَةٞ وَجَنَّـٰتٖ مِّنۡ أَعۡنَابٖ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُشۡتَبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٍۗ ٱنظُرُوٓاْ إِلَىٰ ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَيَنۡعِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكُمۡ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur wahi hai jisne aasman se pani barsaya, phir uske zariye se har qisam ki nabataat ugayi, phir ussey harey harey khet aur darakht paida kiye, phir unse tai ba tai chadey huey daaney(grains) nikale aur khajoor ke shagufon se phalon (fruits) ke gucchey ke gucchey paida kiye jo bojh ke maarey jhuke padte hain, aur angoor, zaitoon aur anaar ke baagh lagaye jinke phal ek dusre se milte julte bhi hain aur phir har ek ki khususiyat juda juda bhi hai. Yeh darakht jab phalte hain to inmein phal aane aur phir unke pakne ki kaifiyat zara gaur ki nazar se dekho, in cheezon mein nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain
Surah Al-Anaam, Verse 99
وَجَعَلُواْ لِلَّهِ شُرَكَآءَ ٱلۡجِنَّ وَخَلَقَهُمۡۖ وَخَرَقُواْ لَهُۥ بَنِينَ وَبَنَٰتِۭ بِغَيۡرِ عِلۡمٖۚ سُبۡحَٰنَهُۥ وَتَعَٰلَىٰ عَمَّا يَصِفُونَ
Ispar bhi logon ne Jinno ko Allah ka shareek thehra diya, halaanke woh unka khaliq hai,aur bay-janey boojhey uske liye bete aur betiyan tasneef kardi, halaanke woh paak aur baala –tar hai un baaton se jo yeh log kehte hain
Surah Al-Anaam, Verse 100
بَدِيعُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ أَنَّىٰ يَكُونُ لَهُۥ وَلَدٞ وَلَمۡ تَكُن لَّهُۥ صَٰحِبَةٞۖ وَخَلَقَ كُلَّ شَيۡءٖۖ وَهُوَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٞ
Woh to aasmano aur zameen ka mujid (originator) hai. Uska koi beta kaise ho sakta hai jabke koi uski shareek e zindagi hi nahin hai. Usne har cheez ko paida kiya hai aur woh har cheez ka ilm rakhta hai
Surah Al-Anaam, Verse 101
ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ خَٰلِقُ كُلِّ شَيۡءٖ فَٱعۡبُدُوهُۚ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ وَكِيلٞ
Yeh hai Allah tumhara Rubb, koi khuda uske siwa nahin hai, har cheez ka khaliq, lihaza tum usi ki bandagi karo aur woh har cheez ka kafeel hai
Surah Al-Anaam, Verse 102
لَّا تُدۡرِكُهُ ٱلۡأَبۡصَٰرُ وَهُوَ يُدۡرِكُ ٱلۡأَبۡصَٰرَۖ وَهُوَ ٱللَّطِيفُ ٱلۡخَبِيرُ
Nigahein usko nahin paa sakti aur woh nigaahon ko paa leta hai, woh nihayat bareek been aur ba-khabar hai
Surah Al-Anaam, Verse 103
قَدۡ جَآءَكُم بَصَآئِرُ مِن رَّبِّكُمۡۖ فَمَنۡ أَبۡصَرَ فَلِنَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ عَمِيَ فَعَلَيۡهَاۚ وَمَآ أَنَا۠ عَلَيۡكُم بِحَفِيظٖ
Dekho, tumhare paas tumhare Rubb ki taraf se baseerat ki roshniyan aa gayi hain, ab jo beenayi se kaam lega apna hi bhala karega aur jo andha banega khud nuqsan uthayega, main tumpar koi paasbaan(keeper) nahin hoon
Surah Al-Anaam, Verse 104
وَكَذَٰلِكَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ وَلِيَقُولُواْ دَرَسۡتَ وَلِنُبَيِّنَهُۥ لِقَوۡمٖ يَعۡلَمُونَ
Is tarah hum apni aayat ko baar baar mukhtalif tareeqon se bayan karte hain aur is liye karte hain ke yeh log kahein tum kisi se padh aaye ho, aur jo log ilm rakhte hain unpar hum haqeeqat ko roshan kardein
Surah Al-Anaam, Verse 105
ٱتَّبِعۡ مَآ أُوحِيَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۖ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ وَأَعۡرِضۡ عَنِ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
(Aey Muhammad)! Us wahee ki pairwi kiye jao jo tumpar tumhare Rubb ki taraf se nazil hui hai, kyunke us ek Rubb ke siwa koi aur khuda nahin hai. Aur in mushrikeen ke peechey na pado
Surah Al-Anaam, Verse 106
وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَآ أَشۡرَكُواْۗ وَمَا جَعَلۡنَٰكَ عَلَيۡهِمۡ حَفِيظٗاۖ وَمَآ أَنتَ عَلَيۡهِم بِوَكِيلٖ
Agar Allah ki mashiyat hoti to (woh khud aisa bandobast kar sakta tha ke) yeh log shirk na karte, tumko humne inpar pasbaan (guardian) muqarrar nahin kiya hai aur na tum inpar hawaladaar ho
Surah Al-Anaam, Verse 107
وَلَا تَسُبُّواْ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَسُبُّواْ ٱللَّهَ عَدۡوَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖۗ كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِم مَّرۡجِعُهُمۡ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur (Aey iman laney walon!) yeh log Allah ke siwa jinko pukarte hain unhein gaaliyan na do, kahin aisa na ho ke yeh shirk se aagey badhkar jahalat ki bina par Allah ko gaaliyan dene lagein. Humne to isi tarah har giroh ke liye uske amal ko khushnumna bana diya hai, phir unhein apne Rubb hi ki taraf palat kar aana hai, us waqt woh unhein bata dega ke woh kya karte rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 108
وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِن جَآءَتۡهُمۡ ءَايَةٞ لَّيُؤۡمِنُنَّ بِهَاۚ قُلۡ إِنَّمَا ٱلۡأٓيَٰتُ عِندَ ٱللَّهِۖ وَمَا يُشۡعِرُكُمۡ أَنَّهَآ إِذَا جَآءَتۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Yeh log kadi kadi kasamein kha kha kar kehte hain ke agar koi nishani hamare saamne aa jaye to hum uspar iman le aayenge. Aey Muhammad! Inse kaho, ke “nishaniyan to Allah ke paas hain” aur tumhein kaise samajhaya jaye ke agar nishaniyan aa bhi jayein to yeh iman laney waley nahin
Surah Al-Anaam, Verse 109
وَنُقَلِّبُ أَفۡـِٔدَتَهُمۡ وَأَبۡصَٰرَهُمۡ كَمَا لَمۡ يُؤۡمِنُواْ بِهِۦٓ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَنَذَرُهُمۡ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ
Hum usi tarah inke dilon aur nigaahon ko pher rahey hain jis tarah yeh pehli martaba uspar iman nahin laye thay, hum inhein inki sarkashi hi mein bhatakne ke liye chodhe dete hain
Surah Al-Anaam, Verse 110
۞وَلَوۡ أَنَّنَا نَزَّلۡنَآ إِلَيۡهِمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةَ وَكَلَّمَهُمُ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَحَشَرۡنَا عَلَيۡهِمۡ كُلَّ شَيۡءٖ قُبُلٗا مَّا كَانُواْ لِيُؤۡمِنُوٓاْ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَهُمۡ يَجۡهَلُونَ
Agar hum Farishtey bhi inpar nazil kardete aur murde inse baatein karte aur duniya bhar ki cheezon ko hum unki aankhon ke saamne jamaa kardete tab bhi yeh iman laney walay na thay, illa yeh ke mashiyat e ilahi yahi ho ke woh iman layein , magar aksar log nadaani ki baatein karte hain
Surah Al-Anaam, Verse 111
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا لِكُلِّ نَبِيٍّ عَدُوّٗا شَيَٰطِينَ ٱلۡإِنسِ وَٱلۡجِنِّ يُوحِي بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٖ زُخۡرُفَ ٱلۡقَوۡلِ غُرُورٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ رَبُّكَ مَا فَعَلُوهُۖ فَذَرۡهُمۡ وَمَا يَفۡتَرُونَ
Aur humne to isi tarah hamesha shaytan Insano aur shaytan Jinno ko har Nabi ka dushman banaya hai jo ek dusre par khushaind baatein dhoke aur fareb ke taur par ilqa karte rahey hain. Agar tumhare Rubb ki mashiyat yeh hoti ke woh aisa na karein to woh kabhi na karte. Pas tum unhein unke haal par chodh do ke apni iftara pardaziyan karte rahein
Surah Al-Anaam, Verse 112
وَلِتَصۡغَىٰٓ إِلَيۡهِ أَفۡـِٔدَةُ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ وَلِيَرۡضَوۡهُ وَلِيَقۡتَرِفُواْ مَا هُم مُّقۡتَرِفُونَ
(Yeh sab kuch hum inhein isi liye karne de rahey hain ke) jo log aakhirat par iman nahin rakhte unke dil is (khushnuma dhoke) ki taraf mayil hon aur woh issey razi ho jayein aur un buraiyon ka iktisab karein jinka iktisab woh karna chahte hain
Surah Al-Anaam, Verse 113
أَفَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَبۡتَغِي حَكَمٗا وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ إِلَيۡكُمُ ٱلۡكِتَٰبَ مُفَصَّلٗاۚ وَٱلَّذِينَ ءَاتَيۡنَٰهُمُ ٱلۡكِتَٰبَ يَعۡلَمُونَ أَنَّهُۥ مُنَزَّلٞ مِّن رَّبِّكَ بِٱلۡحَقِّۖ فَلَا تَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡمُمۡتَرِينَ
Phir jab haal yeh hai to kya main Allah ke siwa koi aur faisla karne wala talash karoon, halaanke usne poori tafseel ke saath tumhari taraf kitab nazil kardi hai? Aur jin logon ko humne (tumse pehle) kitab di thi woh jantey hain ke yeh kitab tumhare Rubb hi ki taraf se haqq ke saath nazil hui hai, lihaza tum shakk karne walon mein shamil na ho
Surah Al-Anaam, Verse 114
وَتَمَّتۡ كَلِمَتُ رَبِّكَ صِدۡقٗا وَعَدۡلٗاۚ لَّا مُبَدِّلَ لِكَلِمَٰتِهِۦۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Tumhare Rubb ki baat sacchayi aur insaf ke aitebar se kamil hai, koi uske farameen ko tabdeel karne wala nahin hai aur woh sab kuch sunta aur jaanta hai
Surah Al-Anaam, Verse 115
وَإِن تُطِعۡ أَكۡثَرَ مَن فِي ٱلۡأَرۡضِ يُضِلُّوكَ عَن سَبِيلِ ٱللَّهِۚ إِن يَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ هُمۡ إِلَّا يَخۡرُصُونَ
Aur (aey Muhammad) ! agar tum un logon ki aksariyat ke kehne par chalo jo zameen mein baste hain to woh tumhein Allah ke raaste se bhatka denge, woh to mehaz gumaan par chalte aur qayaas-aaraiyan karte hain
Surah Al-Anaam, Verse 116
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ مَن يَضِلُّ عَن سَبِيلِهِۦۖ وَهُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُهۡتَدِينَ
Dar haqeeqat tumhara Rubb zyada behtar jaanta hai ke kaun uske raaste se hata hua hai aur kaun seedhi raah par hai
Surah Al-Anaam, Verse 117
فَكُلُواْ مِمَّا ذُكِرَ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ إِن كُنتُم بِـَٔايَٰتِهِۦ مُؤۡمِنِينَ
Phir agar tumlog Allah ki aayat par iman rakhte ho to jis jaanwar par Allah ka naam liya gaya ho uska gosht khao
Surah Al-Anaam, Verse 118
وَمَا لَكُمۡ أَلَّا تَأۡكُلُواْ مِمَّا ذُكِرَ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ وَقَدۡ فَصَّلَ لَكُم مَّا حَرَّمَ عَلَيۡكُمۡ إِلَّا مَا ٱضۡطُرِرۡتُمۡ إِلَيۡهِۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا لَّيُضِلُّونَ بِأَهۡوَآئِهِم بِغَيۡرِ عِلۡمٍۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعۡلَمُ بِٱلۡمُعۡتَدِينَ
Aakhir kya wajah hai ke tum woh cheez na khao jispar Allah ka naam liya gaya ho, halaanke jin cheezon ka istemal halat e iztarar (forbidden you unless you are constrained to) ke siwa dusri tamaam haalaton mein Allah ne haraam kardiya hai unki tafseel woh tumhein bata chuka hai, bakasrat logon ka haal yeh hai ke ilm ke bagair mehaz apni khwahishat ki bina par gumraah-kun baatein karte hain, in hadd se guzarne walon ko tumhara Rubb khoob jaanta hai
Surah Al-Anaam, Verse 119
وَذَرُواْ ظَٰهِرَ ٱلۡإِثۡمِ وَبَاطِنَهُۥٓۚ إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكۡسِبُونَ ٱلۡإِثۡمَ سَيُجۡزَوۡنَ بِمَا كَانُواْ يَقۡتَرِفُونَ
Tum khule gunaahon se bhi bacho aur chupe gunaahon se bhi, jo log gunnah ka iktisaab karte hain woh apni is kamayi ka badla paa kar rahenge
Surah Al-Anaam, Verse 120
وَلَا تَأۡكُلُواْ مِمَّا لَمۡ يُذۡكَرِ ٱسۡمُ ٱللَّهِ عَلَيۡهِ وَإِنَّهُۥ لَفِسۡقٞۗ وَإِنَّ ٱلشَّيَٰطِينَ لَيُوحُونَ إِلَىٰٓ أَوۡلِيَآئِهِمۡ لِيُجَٰدِلُوكُمۡۖ وَإِنۡ أَطَعۡتُمُوهُمۡ إِنَّكُمۡ لَمُشۡرِكُونَ
Aur jis jaanwar ko Allah ka naam lekar zubah na kiya gaya ho uska gosht na khao, aisa karna fisq hai, shayateen apne saathiyon ke dilon mein shukook (doubts) aur aiterazaat ilqa karte hain taa-ke woh tumse jhagda karein, lekin agar tumne unki itaat qabool karli to yaqeenan tum mushrik ho
Surah Al-Anaam, Verse 121
أَوَمَن كَانَ مَيۡتٗا فَأَحۡيَيۡنَٰهُ وَجَعَلۡنَا لَهُۥ نُورٗا يَمۡشِي بِهِۦ فِي ٱلنَّاسِ كَمَن مَّثَلُهُۥ فِي ٱلظُّلُمَٰتِ لَيۡسَ بِخَارِجٖ مِّنۡهَاۚ كَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِلۡكَٰفِرِينَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Kya woh shaks jo pehle murda tha phir humne usey zindagi bakhsi aur usko woh roshni ata ki jiske ujale mein woh logon ke darmiyan zindagi ki raah tai karta hai, us shaks ki tarah ho sakta hai jo tareekiyon (darkness) mein pada hua ho aur kisi tarah unsey na nikalta ho? Kaafiron ke liye to isi tarah unke aamal khushnuma bana diye gaye hain
Surah Al-Anaam, Verse 122
وَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَا فِي كُلِّ قَرۡيَةٍ أَكَٰبِرَ مُجۡرِمِيهَا لِيَمۡكُرُواْ فِيهَاۖ وَمَا يَمۡكُرُونَ إِلَّا بِأَنفُسِهِمۡ وَمَا يَشۡعُرُونَ
Aur isi tarah humne har basti mein uske badey badey mujreemon ko laga diya hai ke wahan apne makar o fareb ka jaal phailayein, darasal woh apne fareb ke jaal mein aap phanste hain, magar unhein iska shaoor nahin hai
Surah Al-Anaam, Verse 123
وَإِذَا جَآءَتۡهُمۡ ءَايَةٞ قَالُواْ لَن نُّؤۡمِنَ حَتَّىٰ نُؤۡتَىٰ مِثۡلَ مَآ أُوتِيَ رُسُلُ ٱللَّهِۘ ٱللَّهُ أَعۡلَمُ حَيۡثُ يَجۡعَلُ رِسَالَتَهُۥۗ سَيُصِيبُ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْ صَغَارٌ عِندَ ٱللَّهِ وَعَذَابٞ شَدِيدُۢ بِمَا كَانُواْ يَمۡكُرُونَ
Jab unke samne koi ayat aati hai to woh kehte hain “hum na manenge jab tak ke woh cheez khud humko na di jaye jo Allah ke Rasoolon ko di gayi hai”. Allah zyada behtar jaanta hai ke apni paighambari ka kaam kissey ley aur kis tarah ley. kareeb hai woh waqt jab yeh mujreem apni makkariyon ki padash mein Allah ke haan zillat aur sakht azaab se do-char honge
Surah Al-Anaam, Verse 124
فَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يَهۡدِيَهُۥ يَشۡرَحۡ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِۖ وَمَن يُرِدۡ أَن يُضِلَّهُۥ يَجۡعَلۡ صَدۡرَهُۥ ضَيِّقًا حَرَجٗا كَأَنَّمَا يَصَّعَّدُ فِي ٱلسَّمَآءِۚ كَذَٰلِكَ يَجۡعَلُ ٱللَّهُ ٱلرِّجۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ
Pas (yeh haqeeqat hai ke) jisye Allah hidayat bakshne ka irada karta hai uska seena Islam ke liye khol deta hai aur jisey gumraahi mein daalne ka irada karta hai uske seene ko tangg kardeta hai aur aisa bhinchta hai ke (Islam ka tasavvur karte hi) usey yun maloom honay lagta hai ke goya uski rooh aasman ki taraf parwaz kar rahi hai. Is tarah Allah (haqq se faraar aur nafrat ki) napaaki un logon par musallat kardeta hai jo iman nahin latey
Surah Al-Anaam, Verse 125
وَهَٰذَا صِرَٰطُ رَبِّكَ مُسۡتَقِيمٗاۗ قَدۡ فَصَّلۡنَا ٱلۡأٓيَٰتِ لِقَوۡمٖ يَذَّكَّرُونَ
Halaanke yeh raasta tumhare Rubb ka seedha raasta hai aur iske nishanaat un logon ke liye wazeh kardiye gaye hain jo naseehat qabool karte hain
Surah Al-Anaam, Verse 126
۞لَهُمۡ دَارُ ٱلسَّلَٰمِ عِندَ رَبِّهِمۡۖ وَهُوَ وَلِيُّهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Unke liye unke Rubb ke paas salamati ka ghar hai aur woh unka sarparast hai us saheeh tarz-e-amal ki wajah se jo unhon ne ikhtiyar kiya
Surah Al-Anaam, Verse 127
وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا يَٰمَعۡشَرَ ٱلۡجِنِّ قَدِ ٱسۡتَكۡثَرۡتُم مِّنَ ٱلۡإِنسِۖ وَقَالَ أَوۡلِيَآؤُهُم مِّنَ ٱلۡإِنسِ رَبَّنَا ٱسۡتَمۡتَعَ بَعۡضُنَا بِبَعۡضٖ وَبَلَغۡنَآ أَجَلَنَا ٱلَّذِيٓ أَجَّلۡتَ لَنَاۚ قَالَ ٱلنَّارُ مَثۡوَىٰكُمۡ خَٰلِدِينَ فِيهَآ إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّ رَبَّكَ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Jis roz Allah in sab logon ko gher kar jama karega, us roz woh Jinno se khitab karke famayega ke “aey giroh e Jinn! Tumne to naw-e-Insani par khoob haath saaf kiya” Insano mein se jo unke rafeeq thay woh arz karenge “parwardigar! Hum mein se har ek ne dusre ko khoob istemal kiya hai, aur ab hum us waqt par aa pahunchey hain jo tu nay hamare liye muqarrar kardiya tha”. Allah farmayega “accha ab aag tumhara thinkana hai, ismein tum hamesha rahogey”.Ussey bachenge sirf wahi jinhein Allah bachana chahega, beshak tumhara Rubb dana aur aleem hai
Surah Al-Anaam, Verse 128
وَكَذَٰلِكَ نُوَلِّي بَعۡضَ ٱلظَّـٰلِمِينَ بَعۡضَۢا بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Dekho, is tarha hum (aakhirat mein) zalimon ko ek dusre ka saathi banayenge us kamayi ki wajah se jo woh (duniya mein ek dusre ke saath milkar) karte thay
Surah Al-Anaam, Verse 129
يَٰمَعۡشَرَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَقُصُّونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِي وَيُنذِرُونَكُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَاۚ قَالُواْ شَهِدۡنَا عَلَىٰٓ أَنفُسِنَاۖ وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَشَهِدُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰفِرِينَ
(Is mauqe par Allah unse puchega ke) “Aey giroh e Jinn o Ins, kya tumhare paas khud tumhi mein se woh paigambar nahi aaye thay jo tumko meri aayat sunate aur is din ke anjaam se darate thay?” Woh kahenge “haan, hum apne khilaf khud gawahi dete hain”. Aaj duniya ki zindagi ne in logon ko dhoke mein daal raakha hai, magar us waqt woh khud apne khilaf gawahi denge ke woh kafir thay
Surah Al-Anaam, Verse 130
ذَٰلِكَ أَن لَّمۡ يَكُن رَّبُّكَ مُهۡلِكَ ٱلۡقُرَىٰ بِظُلۡمٖ وَأَهۡلُهَا غَٰفِلُونَ
(Yeh shahadat unse isliye li jaayegi ke yeh saabit ho jaye ke) tumhara Rubb bastiyon ko zulm ke saath tabaah karne wala nahin tha jabke unke bashindey haqeeqat se na-waqif hon
Surah Al-Anaam, Verse 131
وَلِكُلّٖ دَرَجَٰتٞ مِّمَّا عَمِلُواْۚ وَمَا رَبُّكَ بِغَٰفِلٍ عَمَّا يَعۡمَلُونَ
Har shaks ka darja uske amal ke lihaz se hai aur tumhara Rubb logon ke aamal se be khabar nahin hai
Surah Al-Anaam, Verse 132
وَرَبُّكَ ٱلۡغَنِيُّ ذُو ٱلرَّحۡمَةِۚ إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ وَيَسۡتَخۡلِفۡ مِنۢ بَعۡدِكُم مَّا يَشَآءُ كَمَآ أَنشَأَكُم مِّن ذُرِّيَّةِ قَوۡمٍ ءَاخَرِينَ
Tumhara Rubb be-niyaz hai aur meharbani uska shewa hai. Agar woh chahey to tum logon ko le jaye aur tumhari jagah dusre jin logon ko chahe le aaye jis tarah usne tumhein kuch aur logon ki nasal se uthaya hai
Surah Al-Anaam, Verse 133
إِنَّ مَا تُوعَدُونَ لَأٓتٖۖ وَمَآ أَنتُم بِمُعۡجِزِينَ
Tumse jis cheez ka wada kiya jaa raha hai woh yaqeenan aane wali hai aur tum khuda ko aajiz (frustrate) kardene ki taqat nahin rakhte
Surah Al-Anaam, Verse 134
قُلۡ يَٰقَوۡمِ ٱعۡمَلُواْ عَلَىٰ مَكَانَتِكُمۡ إِنِّي عَامِلٞۖ فَسَوۡفَ تَعۡلَمُونَ مَن تَكُونُ لَهُۥ عَٰقِبَةُ ٱلدَّارِۚ إِنَّهُۥ لَا يُفۡلِحُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
(Aey Muhammad)! Kehdo ke logon! Tum apni jagah amal karte raho aur main bhi apni jagah amal kar raha hoon. Anqareeb tumhein maloom ho jayega ke anjaam e kaar kiske haqq mein behtar hota hai. Bahar-haal yeh haqeeqat hai ke zalim kabhi falaah nahin paa sakte
Surah Al-Anaam, Verse 135
وَجَعَلُواْ لِلَّهِ مِمَّا ذَرَأَ مِنَ ٱلۡحَرۡثِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ نَصِيبٗا فَقَالُواْ هَٰذَا لِلَّهِ بِزَعۡمِهِمۡ وَهَٰذَا لِشُرَكَآئِنَاۖ فَمَا كَانَ لِشُرَكَآئِهِمۡ فَلَا يَصِلُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَمَا كَانَ لِلَّهِ فَهُوَ يَصِلُ إِلَىٰ شُرَكَآئِهِمۡۗ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
In logon ne Allah ke liye khud usi ki paida ki hui khetiyon aur maweshiyon mein se ek hissa muqarrar kiya hai aur kehte hain yeh Allah ke liye hai, bazaam e khud, aur yeh hamare thehraye huey shareekon ke liye. Phir jo hissa inke thehraye huey shareekon ke liye hai woh to Allah ko nahin pahunchta magar jo Allah ke liye hai woh inke shareekon ko pahunch jata hai. Kaise burey faisle karte hain yeh log
Surah Al-Anaam, Verse 136
وَكَذَٰلِكَ زَيَّنَ لِكَثِيرٖ مِّنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ قَتۡلَ أَوۡلَٰدِهِمۡ شُرَكَآؤُهُمۡ لِيُرۡدُوهُمۡ وَلِيَلۡبِسُواْ عَلَيۡهِمۡ دِينَهُمۡۖ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَا فَعَلُوهُۖ فَذَرۡهُمۡ وَمَا يَفۡتَرُونَ
Aur isi tarah bahut se mushreekon ke liye unke shareekon ne apni aulad ke qatal ko khushnuma bana diya hai taa-ke unko halakat mein mubtila karein aur unpar unke deen ko mushtaba(confusion) bana dein. Agar Allah chahta to yeh aisa na karte, lihaza inhein chodh do ke apni iftara pardaziyon mein lagey rahein
Surah Al-Anaam, Verse 137
وَقَالُواْ هَٰذِهِۦٓ أَنۡعَٰمٞ وَحَرۡثٌ حِجۡرٞ لَّا يَطۡعَمُهَآ إِلَّا مَن نَّشَآءُ بِزَعۡمِهِمۡ وَأَنۡعَٰمٌ حُرِّمَتۡ ظُهُورُهَا وَأَنۡعَٰمٞ لَّا يَذۡكُرُونَ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَا ٱفۡتِرَآءً عَلَيۡهِۚ سَيَجۡزِيهِم بِمَا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Kehte hain yeh jaanwar aur yeh khet mehfooz hain, inhein sirf wahi log kha sakte hain jinhein hum khilana chahein, halaanke yeh paabandi inki khud saaqta hai(by their claim). Phir kuch jaanwar hain jinpar sawari aur baar bardari (burden the backs) haraam kardi gayi hai aur kuch jaanwar hain jinpar Allah ka naam nahin letey. Aur yeh sab kuch inhon ne Allah par iftara (false fabrications) kiya hai, ankareeb Allah inhein in iftara pardaziyon ka badla dega
Surah Al-Anaam, Verse 138
وَقَالُواْ مَا فِي بُطُونِ هَٰذِهِ ٱلۡأَنۡعَٰمِ خَالِصَةٞ لِّذُكُورِنَا وَمُحَرَّمٌ عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِنَاۖ وَإِن يَكُن مَّيۡتَةٗ فَهُمۡ فِيهِ شُرَكَآءُۚ سَيَجۡزِيهِمۡ وَصۡفَهُمۡۚ إِنَّهُۥ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Aur kehte hain ke jo kuch in jaanwaron ke pait (bellies) mein hain yeh hamare mardon ke liye makhsoos hai aur hamari auraton par haraam, lekin agar woh murda ho (born dead) to dono iske khane mein shareek ho sakte hain. Yeh baatein jo inhon ne ghadh li hain inka badla Allah inhein dekar rahega. Yaqeenan woh hakeem hai aur sab baaton ki usey khabar hai
Surah Al-Anaam, Verse 139
قَدۡ خَسِرَ ٱلَّذِينَ قَتَلُوٓاْ أَوۡلَٰدَهُمۡ سَفَهَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖ وَحَرَّمُواْ مَا رَزَقَهُمُ ٱللَّهُ ٱفۡتِرَآءً عَلَى ٱللَّهِۚ قَدۡ ضَلُّواْ وَمَا كَانُواْ مُهۡتَدِينَ
Yaqeenan khasare(nuksan) mein padh gaye woh log jinhon ne apni aulad ko jihalat (ignorance) o nadaani ki bina par qatal kiya aur Allah ke diye huye rizq ko Allah par iftara pardazi karke haraam thehra liya, yaqeenan woh bhatak gaye aur hargiz woh raah e raast paney walon mein se na thay
Surah Al-Anaam, Verse 140
۞وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ جَنَّـٰتٖ مَّعۡرُوشَٰتٖ وَغَيۡرَ مَعۡرُوشَٰتٖ وَٱلنَّخۡلَ وَٱلزَّرۡعَ مُخۡتَلِفًا أُكُلُهُۥ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُتَشَٰبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٖۚ كُلُواْ مِن ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَءَاتُواْ حَقَّهُۥ يَوۡمَ حَصَادِهِۦۖ وَلَا تُسۡرِفُوٓاْۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
Woh Allah hi hai jisne tarah tarah ke baagh aur taakistaan aur nakhlastan (the trellised and untrellised) paida kiye, khetiyan ugayi jinse qisam qisam ke makulaat haasil hotey hain (palm trees, and crops, all varying in taste) , zaitoon aur anaar ke darakht paida kiye jinke phal surat mein mushabeh (similar) aur mazey (taste) mein mukhtalif hotey hain. Khao unki paidawaar jabke yeh phalein, aur Allah ka haqq ada karo jab iski fasal kaato, aur hadd se na guzro ke Allah hadd se guzarne walon ko pasand nahin karta
Surah Al-Anaam, Verse 141
وَمِنَ ٱلۡأَنۡعَٰمِ حَمُولَةٗ وَفَرۡشٗاۚ كُلُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ وَلَا تَتَّبِعُواْ خُطُوَٰتِ ٱلشَّيۡطَٰنِۚ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
Phri wahi hai jisne maweshiyon mein se woh jaanwar bhi paida kiye jinse sawari o baar-bardaari (burden) ka kaam liya jata hai aur woh bhi jo khane aur bichane ke kaam aate hain. Khao un cheezon mein se jo Allah ne tumhein bakshi hain aur shaytan ki pairwi na karo ke woh tumhara khula dushman hai
Surah Al-Anaam, Verse 142
ثَمَٰنِيَةَ أَزۡوَٰجٖۖ مِّنَ ٱلضَّأۡنِ ٱثۡنَيۡنِ وَمِنَ ٱلۡمَعۡزِ ٱثۡنَيۡنِۗ قُلۡ ءَآلذَّكَرَيۡنِ حَرَّمَ أَمِ ٱلۡأُنثَيَيۡنِ أَمَّا ٱشۡتَمَلَتۡ عَلَيۡهِ أَرۡحَامُ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۖ نَبِّـُٔونِي بِعِلۡمٍ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh aath (eight) narr o mada (couples) hain, do bhedh (sheep) ki qisam se aur do bakri ki qisam se. (Aey Muhammad)! Insey pucho ke Allah ne unke narr haraam kiye hain ya maada, ya woh bacchey jo bhedon (sheeps) aur bakriyon ke pait mein hon? Theek theek ilm ke saath mujhey batao agar tum sacchey ho
Surah Al-Anaam, Verse 143
وَمِنَ ٱلۡإِبِلِ ٱثۡنَيۡنِ وَمِنَ ٱلۡبَقَرِ ٱثۡنَيۡنِۗ قُلۡ ءَآلذَّكَرَيۡنِ حَرَّمَ أَمِ ٱلۡأُنثَيَيۡنِ أَمَّا ٱشۡتَمَلَتۡ عَلَيۡهِ أَرۡحَامُ ٱلۡأُنثَيَيۡنِۖ أَمۡ كُنتُمۡ شُهَدَآءَ إِذۡ وَصَّىٰكُمُ ٱللَّهُ بِهَٰذَاۚ فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبٗا لِّيُضِلَّ ٱلنَّاسَ بِغَيۡرِ عِلۡمٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur isi tarah do ount ki qisam se hain aur do gai (cow) ki qisam se. Pucho, inke narr Allah ne haraam kiye hain ya maada, ya woh bacchey jo ountni (she-camel) aur gai ke pait mein hon? Kya tum us waqt haazir thay jab Allah ne inke haraam honay ka hukum tumhein diya tha? Phir us shaks se badh kar zalim aur kaun hoga jo Allah ki taraf mansoob karke jhooti baat kahey taa-ke ilm ke bagair logon ki galat rehnumayi karey. Yaqeenan Allah aisey zalimon ko raah e raast nahin dikhata
Surah Al-Anaam, Verse 144
قُل لَّآ أَجِدُ فِي مَآ أُوحِيَ إِلَيَّ مُحَرَّمًا عَلَىٰ طَاعِمٖ يَطۡعَمُهُۥٓ إِلَّآ أَن يَكُونَ مَيۡتَةً أَوۡ دَمٗا مَّسۡفُوحًا أَوۡ لَحۡمَ خِنزِيرٖ فَإِنَّهُۥ رِجۡسٌ أَوۡ فِسۡقًا أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ غَيۡرَ بَاغٖ وَلَا عَادٖ فَإِنَّ رَبَّكَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
(Aey Muhammad)! Insey kaho ke jo wahee mere paas aayi hai usmein to main koi cheez aisi nahin paata jo kisi khane waley par haraam ho, illa yeh ke woh murdar (dead) ho, ya bahaya (out poured) hua khoon, ya suwwar ka gosht ho ke woh napaak hai, ya fisq (unclean) ho ke Allah ke siwa kisi aur ke naam par zubah kiya gaya ho, phir jo shaks majboori ki haalat mein ( koi cheez inmein se kha le) bagair iske ke woh nafarmani ka irada rakhta ho aur bagair iske ke woh hadd e zaroorat se tajawuz karey, to yaqeenan tumhara Rubb darguzar se kaam lene wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Anaam, Verse 145
وَعَلَى ٱلَّذِينَ هَادُواْ حَرَّمۡنَا كُلَّ ذِي ظُفُرٖۖ وَمِنَ ٱلۡبَقَرِ وَٱلۡغَنَمِ حَرَّمۡنَا عَلَيۡهِمۡ شُحُومَهُمَآ إِلَّا مَا حَمَلَتۡ ظُهُورُهُمَآ أَوِ ٱلۡحَوَايَآ أَوۡ مَا ٱخۡتَلَطَ بِعَظۡمٖۚ ذَٰلِكَ جَزَيۡنَٰهُم بِبَغۡيِهِمۡۖ وَإِنَّا لَصَٰدِقُونَ
Aur jin logon ne yahudiyat ikhtiyar ki unpar humne sab nakhoon(nails) waley jaanwar haraam kardiye thay, aur gai aur bakri ki charbi (fat) bhi, bajuz uske jo unki peeth (back) ya unki anthon (entrails) se lagi hui ho ya haddi se lagi reh jaye. Yeh humne unki sarkashi ki saza unhein di thi aur yeh jo kuch hum keh rahey hain bilkul sach keh rahey hain
Surah Al-Anaam, Verse 146
فَإِن كَذَّبُوكَ فَقُل رَّبُّكُمۡ ذُو رَحۡمَةٖ وَٰسِعَةٖ وَلَا يُرَدُّ بَأۡسُهُۥ عَنِ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡمُجۡرِمِينَ
Ab agar woh tumhein jhutlayein to unse kehdo ke tumhare Rubb ka daaman e rehmat waseeh hai aur mujreemon se uske azaab ko phera nahin jaa sakta
Surah Al-Anaam, Verse 147
سَيَقُولُ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ لَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَآ أَشۡرَكۡنَا وَلَآ ءَابَآؤُنَا وَلَا حَرَّمۡنَا مِن شَيۡءٖۚ كَذَٰلِكَ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ حَتَّىٰ ذَاقُواْ بَأۡسَنَاۗ قُلۡ هَلۡ عِندَكُم مِّنۡ عِلۡمٖ فَتُخۡرِجُوهُ لَنَآۖ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا تَخۡرُصُونَ
Yeh mushrik log (tumhari in baaton ke jawab mein) zaroor kahenge ke “agar Allah chahta to na hum shirk karte aur na hamare baap dada, aur na hum kisi cheez ko haraam thehrate”. Aisi hi baatein bana bana kar inse pehle ke logon ne bhi haqq ko jhutlaya tha, yahaan tak ke aakhir e kaar hamare azaab ka maza unhon ne chakh liya. Inse kaho “kya tumhare paas koi ilm hai jisey hamare saamne pesh kar sako? Tum to mehaz gumaan par chal rahey ho aur neri qayas aaraiyan karte ho”
Surah Al-Anaam, Verse 148
قُلۡ فَلِلَّهِ ٱلۡحُجَّةُ ٱلۡبَٰلِغَةُۖ فَلَوۡ شَآءَ لَهَدَىٰكُمۡ أَجۡمَعِينَ
Phir kaho (tumhari is hujjat ke muqable mein) “haqeeqat ras hujjat to Allah ke paas hai, beshak agar Allah chahta to tum sabko hidayat de deta”
Surah Al-Anaam, Verse 149
قُلۡ هَلُمَّ شُهَدَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ يَشۡهَدُونَ أَنَّ ٱللَّهَ حَرَّمَ هَٰذَاۖ فَإِن شَهِدُواْ فَلَا تَشۡهَدۡ مَعَهُمۡۚ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ وَهُم بِرَبِّهِمۡ يَعۡدِلُونَ
Inse kaho ke “lao apne woh gawah jo is baat ki shahadat dein ke Allah hi ne in cheezon ko haraam kiya hai”. Phir agar woh shahadat de dein to tum unke saath shahadat na dena, aur hargiz un logon ki khwahishat ke pichey na chalna jinhon ne hamari aayat ko jhutlaya hai, aur jo aakhirat ke munkir hain, aur jo dusron ko apne Rubb ka humsar banate hain
Surah Al-Anaam, Verse 150
۞قُلۡ تَعَالَوۡاْ أَتۡلُ مَا حَرَّمَ رَبُّكُمۡ عَلَيۡكُمۡۖ أَلَّا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗاۖ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُم مِّنۡ إِمۡلَٰقٖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُكُمۡ وَإِيَّاهُمۡۖ وَلَا تَقۡرَبُواْ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَۖ وَلَا تَقۡتُلُواْ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
(Aey Muhammad)!Inse kaho ke aao main tumhein sunaoon tumhare Rubb ne tumpar kya pabandiyan aayad ki hain : yeh ke uske saath kisi ko shareek na karo, aur walidain (Maa Baap) ke saath neik sulook karo, aur apni aulad ko muflisi ke darr se qatal na karo, hum tumhein bhi rizq dete hain aur unko bhi denge, aur besharmi ki baaton ke qareeb bhi na jao, khwah woh khuli hon ya chupi. Aur kisi jaan ko jisey Allah ne mohtaram thehraya hai halaak na karo magar haqq ke saath. Yeh baatein hain jinki hidayat usne tumhein ki hai, shayad ke tum samajh boojh se kaam lo
Surah Al-Anaam, Verse 151
وَلَا تَقۡرَبُواْ مَالَ ٱلۡيَتِيمِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ أَشُدَّهُۥۚ وَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ بِٱلۡقِسۡطِۖ لَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۖ وَإِذَا قُلۡتُمۡ فَٱعۡدِلُواْ وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰۖ وَبِعَهۡدِ ٱللَّهِ أَوۡفُواْۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
Aur yeh ke yateem ke maal ke qareeb na jao magar aisey tareeqe se jo behtareen ho, yahan tak ke woh apne seene-rushd (maturity) ko pahunch jaye, aur naap toal mein pura insaf karo. Hum har shaks par zimmedari ka utna hi baar (burden) rakhte hain jitna uske imkan mein (it can bear) hai, aur jab baat kaho insaf ki kaho khwa maamla apne rishtedar hi ka kyun na ho, aur Allah ke ahad(covenant) ko pura karo. In baaton ki hidayat Allah ne tumhein ki hai shayad ke tum naseehat qabool karo
Surah Al-Anaam, Verse 152
وَأَنَّ هَٰذَا صِرَٰطِي مُسۡتَقِيمٗا فَٱتَّبِعُوهُۖ وَلَا تَتَّبِعُواْ ٱلسُّبُلَ فَتَفَرَّقَ بِكُمۡ عَن سَبِيلِهِۦۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُونَ
Neiz uski hidayat yeh hai ke yahi mera seedha raasta hai, lihaza tum isi par chalo aur dusre raaston par na chalo ke woh uske raaste se hata kar tumhein paraganda(scatter) kardenge. Yeh hai woh hidayat jo tumhare Rubb ne tumhein ki hai, shayad ke tum kajhrawi se bacho
Surah Al-Anaam, Verse 153
ثُمَّ ءَاتَيۡنَا مُوسَى ٱلۡكِتَٰبَ تَمَامًا عَلَى ٱلَّذِيٓ أَحۡسَنَ وَتَفۡصِيلٗا لِّكُلِّ شَيۡءٖ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ لَّعَلَّهُم بِلِقَآءِ رَبِّهِمۡ يُؤۡمِنُونَ
Phir humne Moosa ko kitab ata ki thi jo bhalayi ki rawish ikhtiyar karne waley Insan par niyamat ki takmeel aur har zaroori cheez ki tafseel aur sarasar hidayat aur rehmat thi (aur isliye bani israel ko di gayi thi ke) shayad log apne Rubb ki mulaqat par iman layein
Surah Al-Anaam, Verse 154
وَهَٰذَا كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ مُبَارَكٞ فَٱتَّبِعُوهُ وَٱتَّقُواْ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
Aur isi tarah yeh kitab humne nazil ki hai, ek barakat wali kitab, pas tum iski pairwi karo aur taqwa ki rawish ikhtiyar karo, baeed nahin ke tumpar reham kiya jaye
Surah Al-Anaam, Verse 155
أَن تَقُولُوٓاْ إِنَّمَآ أُنزِلَ ٱلۡكِتَٰبُ عَلَىٰ طَآئِفَتَيۡنِ مِن قَبۡلِنَا وَإِن كُنَّا عَن دِرَاسَتِهِمۡ لَغَٰفِلِينَ
Ab tum yeh nahin keh sakte ke kitab to humse pehle ke do girohon ko di gayi thi, aur humko kuch khabar na thi ke woh kya padhte padhaate thay
Surah Al-Anaam, Verse 156
أَوۡ تَقُولُواْ لَوۡ أَنَّآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا ٱلۡكِتَٰبُ لَكُنَّآ أَهۡدَىٰ مِنۡهُمۡۚ فَقَدۡ جَآءَكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞۚ فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَصَدَفَ عَنۡهَاۗ سَنَجۡزِي ٱلَّذِينَ يَصۡدِفُونَ عَنۡ ءَايَٰتِنَا سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ بِمَا كَانُواْ يَصۡدِفُونَ
Aur ab tum yeh bahana bhi nahin kar sakte ke agar humpar kitab nazil ki gayi hoti to hum unse zyada raast-raw saabit hotey. Tumhare paas tumhare Rubb ki taraf se ek daleel e roshan aur hidayat aur rehmat aa gayi hai, ab issey badhkar zalim kaun hoga jo Allah ki aayat ko jhutlaye aur unse mooh moadey. Jo log hamari aayat se mooh moadte hain unhein is ruhgardani ki padash mein hum badhtareen saza de kar rahenge
Surah Al-Anaam, Verse 157
هَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن تَأۡتِيَهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَوۡ يَأۡتِيَ رَبُّكَ أَوۡ يَأۡتِيَ بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَۗ يَوۡمَ يَأۡتِي بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَ لَا يَنفَعُ نَفۡسًا إِيمَٰنُهَا لَمۡ تَكُنۡ ءَامَنَتۡ مِن قَبۡلُ أَوۡ كَسَبَتۡ فِيٓ إِيمَٰنِهَا خَيۡرٗاۗ قُلِ ٱنتَظِرُوٓاْ إِنَّا مُنتَظِرُونَ
Kya ab log iske muntazir hain ke unke saamne Farishte aa khadey hon, ya tumhara Rubb khud aa jaye, ya tumhare Rubb ki baaz sareeh nishaniyan namudaar ho jayein? Jis roz tumhare Rubb ki baaz makhsoos nishaniyan namudaar ho jayengi phir kisi aisey shaks ko uska iman kuch faiyda na dega jo pehle iman na laya ho ya jisne apne iman mein koi bhalayi na kamayi ho. (Aey Muhammad)! Insey kehdo ke accha, tum intezar karo, hum bhi intezar karte hain
Surah Al-Anaam, Verse 158
إِنَّ ٱلَّذِينَ فَرَّقُواْ دِينَهُمۡ وَكَانُواْ شِيَعٗا لَّسۡتَ مِنۡهُمۡ فِي شَيۡءٍۚ إِنَّمَآ أَمۡرُهُمۡ إِلَى ٱللَّهِ ثُمَّ يُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
Jin logon ne apne deen ko tukde tukde kardiya aur giroh giroh ban gaye yaqeenan unse tumhara kuch waasta nahin. Unka maamla to Allah ke supurd hai, wahi unko batayega ke unhon ne kya kuch kiya hai
Surah Al-Anaam, Verse 159
مَن جَآءَ بِٱلۡحَسَنَةِ فَلَهُۥ عَشۡرُ أَمۡثَالِهَاۖ وَمَن جَآءَ بِٱلسَّيِّئَةِ فَلَا يُجۡزَىٰٓ إِلَّا مِثۡلَهَا وَهُمۡ لَا يُظۡلَمُونَ
Jo Allah ke huzoor neki lekar aayega uske liye dus guna (ten times) ajar hai, aur jo badhi (evil deed) lekar aayega usko unta hi balda diya jayega jitna usne kasoor kiya hai, aur kisi par zulm na kiya jayega
Surah Al-Anaam, Verse 160
قُلۡ إِنَّنِي هَدَىٰنِي رَبِّيٓ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ دِينٗا قِيَمٗا مِّلَّةَ إِبۡرَٰهِيمَ حَنِيفٗاۚ وَمَا كَانَ مِنَ ٱلۡمُشۡرِكِينَ
(Aey Muhammad)! Kaho mere Rubb ne bil-yaqeen mujhey seedha raasta dikha diya hai , bilkul theek deen jis mein koi tedh (crookedness) nahin, Ibrahim ka tareeqa jisey yaksu hokar usne ikhtiyar kiya tha aur woh mushrikon mein se na tha
Surah Al-Anaam, Verse 161
قُلۡ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحۡيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Kaho, meri namaz, mere tamaam marasim ubudiyat (all my acts of worship) , mera jeena aur mera marna, sab kuch Allah Rabbul Aalameen ke liye hai
Surah Al-Anaam, Verse 162
لَا شَرِيكَ لَهُۥۖ وَبِذَٰلِكَ أُمِرۡتُ وَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡمُسۡلِمِينَ
Jiska koi shareek nahin, isi ka mujhey hukum diya gaya hai aur sabse pehle sar e itaat jhukane wala main hoon
Surah Al-Anaam, Verse 163
قُلۡ أَغَيۡرَ ٱللَّهِ أَبۡغِي رَبّٗا وَهُوَ رَبُّ كُلِّ شَيۡءٖۚ وَلَا تَكۡسِبُ كُلُّ نَفۡسٍ إِلَّا عَلَيۡهَاۚ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُم مَّرۡجِعُكُمۡ فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Kaho, kya main Allah ke siwa koi aur Rubb talash karoon, halaanke wahi har cheez ka Rubb hai? Har shaks jo kuch kamaata hai uska zimmedar woh khud hai, koi bojh uthane wala dusre ka bojh nahin uthata. Phir tum sabko apne Rubb ki taraf palatna hai, us waqt woh tumhare ikhtilafat (differnces/disputes) ki haqeeat tumpar khol dega
Surah Al-Anaam, Verse 164
وَهُوَ ٱلَّذِي جَعَلَكُمۡ خَلَـٰٓئِفَ ٱلۡأَرۡضِ وَرَفَعَ بَعۡضَكُمۡ فَوۡقَ بَعۡضٖ دَرَجَٰتٖ لِّيَبۡلُوَكُمۡ فِي مَآ ءَاتَىٰكُمۡۗ إِنَّ رَبَّكَ سَرِيعُ ٱلۡعِقَابِ وَإِنَّهُۥ لَغَفُورٞ رَّحِيمُۢ
Wahi hai jisne tumko zameen ka khalifa banaya, aur tum mein se baaz ko baaz ke muqable mein zyada buland darje diya, taa-ke jo kuch tumko diya hai usi mein tumhari aazmaish karey. Behsak tumhara Rubb saza dene mein bhi bahut tez hai aur bahut darguzar karne aur reham farmane wala bhi hai
Surah Al-Anaam, Verse 165