Surah Al-Anaam Verse 71 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُلۡ أَنَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُنَا وَلَا يَضُرُّنَا وَنُرَدُّ عَلَىٰٓ أَعۡقَابِنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُ كَٱلَّذِي ٱسۡتَهۡوَتۡهُ ٱلشَّيَٰطِينُ فِي ٱلۡأَرۡضِ حَيۡرَانَ لَهُۥٓ أَصۡحَٰبٞ يَدۡعُونَهُۥٓ إِلَى ٱلۡهُدَى ٱئۡتِنَاۗ قُلۡ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلۡهُدَىٰۖ وَأُمِرۡنَا لِنُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
(Aey Muhammad)! Insey pucho, kya hum Allah ko chodh kar unko pukarein jo na humein nafa de sakte hain na nuksaan? Aur jabke Allah humein seedha raasta dikha chuka hai to kya ab hum ultey paon phir jayein? Kya hum apna haal us shaks ka sa karlein jisey Shaytaano ne sehra mein bhatka diya ho aur woh hairan o sargardan phir raha ho, daran haal yeh ke uske saathi usey pukar rahey hon ke idhar aa yeh seedhi raah maujood hai? Kaho, haqeeqat mein saheeh rehnumayi to sirf Allah hi ki rehnumayi hai aur uski taraf se humein yeh hukum mila hai ke maalik e qayinaat ke aagey sar e itaat kham kardo