Surah Al-Anaam Verse 71 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamقُلۡ أَنَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُنَا وَلَا يَضُرُّنَا وَنُرَدُّ عَلَىٰٓ أَعۡقَابِنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُ كَٱلَّذِي ٱسۡتَهۡوَتۡهُ ٱلشَّيَٰطِينُ فِي ٱلۡأَرۡضِ حَيۡرَانَ لَهُۥٓ أَصۡحَٰبٞ يَدۡعُونَهُۥٓ إِلَى ٱلۡهُدَى ٱئۡتِنَاۗ قُلۡ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلۡهُدَىٰۖ وَأُمِرۡنَا لِنُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen