Surah Al-Anaam Verse 70 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamوَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَعِبٗا وَلَهۡوٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ وَذَكِّرۡ بِهِۦٓ أَن تُبۡسَلَ نَفۡسُۢ بِمَا كَسَبَتۡ لَيۡسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ وَإِن تَعۡدِلۡ كُلَّ عَدۡلٖ لَّا يُؤۡخَذۡ مِنۡهَآۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبۡسِلُواْ بِمَا كَسَبُواْۖ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks apney kirdaar kay sabab (iss tarah) na phans jaye kay koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza hogi apney kufur kay sabab