Surah Al-Anaam Verse 70 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَعِبٗا وَلَهۡوٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ وَذَكِّرۡ بِهِۦٓ أَن تُبۡسَلَ نَفۡسُۢ بِمَا كَسَبَتۡ لَيۡسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ وَإِن تَعۡدِلۡ كُلَّ عَدۡلٖ لَّا يُؤۡخَذۡ مِنۡهَآۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبۡسِلُواْ بِمَا كَسَبُواْۖ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
Chodo un logon ko jinhon ne apne deen ko khel aur tamasha bana rakkha hai aur jinhein duniya ki zindagi fareb mein mubtila kiye huey hai. Haan magar yeh Quran suna kar naseehat aur tambeeh (warn) karte raho ke kahin koi shaks apne kiye kartooton ke wabal mein giraftar na ho jaye, aut giraftar bhi is haal mein ho ke Allah se bachane wala koi haami o madadgaar aur koi sifarishi iske liye na ho, aur agar woh har mumkin cheez fidiye mein dekar chootna chahe to woh bhi ussey qabool na ki jaye, kyunke aisey log to khud apni kamayi ke nateeje mein pakde jayenge, inko to apne inkar e haqq ke muawaze mein khaulta(boiling) hua pani peenay ko aur dardnaak azaab bhugatne ko milega