Surah Al-Anaam Verse 70 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَذَرِ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَهُمۡ لَعِبٗا وَلَهۡوٗا وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَاۚ وَذَكِّرۡ بِهِۦٓ أَن تُبۡسَلَ نَفۡسُۢ بِمَا كَسَبَتۡ لَيۡسَ لَهَا مِن دُونِ ٱللَّهِ وَلِيّٞ وَلَا شَفِيعٞ وَإِن تَعۡدِلۡ كُلَّ عَدۡلٖ لَّا يُؤۡخَذۡ مِنۡهَآۗ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ أُبۡسِلُواْ بِمَا كَسَبُواْۖ لَهُمۡ شَرَابٞ مِّنۡ حَمِيمٖ وَعَذَابٌ أَلِيمُۢ بِمَا كَانُواْ يَكۡفُرُونَ
aur aise logo se bil-kul kinaara kash rahe jinhone apne deen ko khel tamaasha bana rakha hai aur dunyaawi zindagi ne unhe dhoke mein daal rakha hai aur is Qur’aan ke zariye se nasihath bhi karte rahe ta ke koyi shaqs apne kirdaar ke sabab (us tarah) na phus jaaye, ke koyi ghairullah us ka na madadgaar ho aur na sifaarshi aur ye kaifiyath ho ke agar dunya bhar ka mu-aawza bhi de daale, tabh bhi us se na liya jaaye, aise hee hai ke apne kirdaar ke sabab phas gaye, un ke liye nihaayath tez garam paani peene ke liye hoga aur dard-naak saza hogi apne kufr ke sabab