Surah Al-Anaam Verse 71 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamقُلۡ أَنَدۡعُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَنفَعُنَا وَلَا يَضُرُّنَا وَنُرَدُّ عَلَىٰٓ أَعۡقَابِنَا بَعۡدَ إِذۡ هَدَىٰنَا ٱللَّهُ كَٱلَّذِي ٱسۡتَهۡوَتۡهُ ٱلشَّيَٰطِينُ فِي ٱلۡأَرۡضِ حَيۡرَانَ لَهُۥٓ أَصۡحَٰبٞ يَدۡعُونَهُۥٓ إِلَى ٱلۡهُدَى ٱئۡتِنَاۗ قُلۡ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلۡهُدَىٰۖ وَأُمِرۡنَا لِنُسۡلِمَ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
aap keh di jiye ke kya hum Allah ta’ala ke siva aisi cheez ko pukaare ke na wo hum ko nafa pahonchaaye aur na hum ko nuqsaan pahonchaaye aur kya hum ulte phir jaaye us ke baadh ke hum ko Allah ta’ala ne hidaayath kardi hai, jaise koyi shaqs ho ke us ko shitaano ne kahi jungle mein be-raah kar diya ho aur wo bhatakta phirta ho, us ke kuch saathi bhi ho ke wo us ko theek raaste ki taraf bola rahe ho ke hamaare paas aa, aap keh di jiye ke yaqini baath hai ke raahe raasth wo qaas Allah hee ki raah hai, aur hum ko ye hukm hoa hai ke hum parvardigaar aalam ke pure muti9 ho jaaye