Surah Al-Anaam Verse 30 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ وُقِفُواْ عَلَىٰ رَبِّهِمۡۚ قَالَ أَلَيۡسَ هَٰذَا بِٱلۡحَقِّۚ قَالُواْ بَلَىٰ وَرَبِّنَاۚ قَالَ فَذُوقُواْ ٱلۡعَذَابَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Kaash woh manzar tum dekh sako jab yeh apne Rubb ke samne khade kiye jayenge us waqt inka Rubb insey puchega “kya yeh haqeeqat nahin hai?” Yeh kahenge “haan aey hamare Rubb! Yeh haqeeqat hi hai”, woh farmayega “accha! to ab apne inkar e haqeeqat ki padash mein azaab ka maza chakho”