Surah Al-Anaam Verse 50 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُل لَّآ أَقُولُ لَكُمۡ عِندِي خَزَآئِنُ ٱللَّهِ وَلَآ أَعۡلَمُ ٱلۡغَيۡبَ وَلَآ أَقُولُ لَكُمۡ إِنِّي مَلَكٌۖ إِنۡ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّۚ قُلۡ هَلۡ يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُۚ أَفَلَا تَتَفَكَّرُونَ
(Aey Muhammad)! Inse kaho, “main tumse yeh nahin kehta ke mere paas Allah ke khazane hain, na main gaib ka ilm rakhta hoon, aur na yeh kehta hoon ke main Farishta hoon. Main to sirf us wahee ki pairwi karta hoon jo mujhpar nazil ki jati hai”. Phir inse pucho kya andha aur aankhon wala dono barabar ho sakte hain? Kya tum gaur nahin karte