Surah Al-Anaam Verse 157 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamأَوۡ تَقُولُواْ لَوۡ أَنَّآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا ٱلۡكِتَٰبُ لَكُنَّآ أَهۡدَىٰ مِنۡهُمۡۚ فَقَدۡ جَآءَكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞۚ فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَصَدَفَ عَنۡهَاۗ سَنَجۡزِي ٱلَّذِينَ يَصۡدِفُونَ عَنۡ ءَايَٰتِنَا سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ بِمَا كَانُواْ يَصۡدِفُونَ
Aur ab tum yeh bahana bhi nahin kar sakte ke agar humpar kitab nazil ki gayi hoti to hum unse zyada raast-raw saabit hotey. Tumhare paas tumhare Rubb ki taraf se ek daleel e roshan aur hidayat aur rehmat aa gayi hai, ab issey badhkar zalim kaun hoga jo Allah ki aayat ko jhutlaye aur unse mooh moadey. Jo log hamari aayat se mooh moadte hain unhein is ruhgardani ki padash mein hum badhtareen saza de kar rahenge