Surah Al-Anaam Verse 157 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamأَوۡ تَقُولُواْ لَوۡ أَنَّآ أُنزِلَ عَلَيۡنَا ٱلۡكِتَٰبُ لَكُنَّآ أَهۡدَىٰ مِنۡهُمۡۚ فَقَدۡ جَآءَكُم بَيِّنَةٞ مِّن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞۚ فَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِ ٱللَّهِ وَصَدَفَ عَنۡهَاۗ سَنَجۡزِي ٱلَّذِينَ يَصۡدِفُونَ عَنۡ ءَايَٰتِنَا سُوٓءَ ٱلۡعَذَابِ بِمَا كَانُواْ يَصۡدِفُونَ
Ya yun na kaho kay agar hum per koi kitab nazil hoti to hum inn say bhi ziyada raah-e-raast per hotay. So abb tumharay pass tumhara rab kay pass say aik kitab wazeh aur rehnumaee ka zariya aur rehmat aa chuki hai. Abb iss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo humari inn aayaton ko jhoota bataye aur iss say rokay. Hum jald hi inn logon ko jo kay humari aayaton say roktay hain inn kay iss rokney kay sabab sakht saza den gay