Surah Al-Anaam Verse 158 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن تَأۡتِيَهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَوۡ يَأۡتِيَ رَبُّكَ أَوۡ يَأۡتِيَ بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَۗ يَوۡمَ يَأۡتِي بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَ لَا يَنفَعُ نَفۡسًا إِيمَٰنُهَا لَمۡ تَكُنۡ ءَامَنَتۡ مِن قَبۡلُ أَوۡ كَسَبَتۡ فِيٓ إِيمَٰنِهَا خَيۡرٗاۗ قُلِ ٱنتَظِرُوٓاْ إِنَّا مُنتَظِرُونَ
Kya ab log iske muntazir hain ke unke saamne Farishte aa khadey hon, ya tumhara Rubb khud aa jaye, ya tumhare Rubb ki baaz sareeh nishaniyan namudaar ho jayein? Jis roz tumhare Rubb ki baaz makhsoos nishaniyan namudaar ho jayengi phir kisi aisey shaks ko uska iman kuch faiyda na dega jo pehle iman na laya ho ya jisne apne iman mein koi bhalayi na kamayi ho. (Aey Muhammad)! Insey kehdo ke accha, tum intezar karo, hum bhi intezar karte hain