Surah Al-Anaam Verse 158 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّآ أَن تَأۡتِيَهُمُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ أَوۡ يَأۡتِيَ رَبُّكَ أَوۡ يَأۡتِيَ بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَۗ يَوۡمَ يَأۡتِي بَعۡضُ ءَايَٰتِ رَبِّكَ لَا يَنفَعُ نَفۡسًا إِيمَٰنُهَا لَمۡ تَكُنۡ ءَامَنَتۡ مِن قَبۡلُ أَوۡ كَسَبَتۡ فِيٓ إِيمَٰنِهَا خَيۡرٗاۗ قُلِ ٱنتَظِرُوٓاْ إِنَّا مُنتَظِرُونَ
kya ye log sirf us amr ke muntazir hai ke un ke paas farishte aaye ya un ke paas aap ka rab aaye ya aap ke rab ki koyi (badi) nishaani aaye? jis roz aap ke rab ki koyi badi nishaani aa pahonchegi kisi aise shaqs ka imaan us ke kaam na ayega jo pehle se imaan nahi rakhta, ya us ne apne imaan mein koyi nek amal na kiya ho, aap farma di jiye ke tum muntazir raho, hum bhi muntazir hai