Surah Al-Anaam Verse 12 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُل لِّمَن مَّا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قُل لِّلَّهِۚ كَتَبَ عَلَىٰ نَفۡسِهِ ٱلرَّحۡمَةَۚ لَيَجۡمَعَنَّكُمۡ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ لَا رَيۡبَ فِيهِۚ ٱلَّذِينَ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Inse pucho, aasmaano aur zameen mein jo kuch hai woh kiska hai? Kaho sab kuch Allah hi ka hai, usne reham o karam ka shaiwa apne upar lazim karliya hai (isi liye woh nafarmaniyon aur sarkashiyon par tumhein jadli se nahin pakad leta), Qayamat ke roz woh tum sab ko zaroor jamaa karega, yeh bilkul ek gair mushtaba haqeeqat hai, magar jin logon ne apne aap ko khud tabahi ke khatray mein mubtila karliya hai woh usey nahin maante