Surah Al-Anaam Verse 48 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَمَا نُرۡسِلُ ٱلۡمُرۡسَلِينَ إِلَّا مُبَشِّرِينَ وَمُنذِرِينَۖ فَمَنۡ ءَامَنَ وَأَصۡلَحَ فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Hum jo Rasool bhejte hain isi liye to bhejte hain ke woh neik kirdaar logon ke liye khush-khabri dene waley aur badh kirdaron ke liye darane waley hon. Phir jo log unki baat maan lein aur apne tarz e amal ki islah karlein unke liye kisi khauf aur ranjj ka mauqa nahin hai