Surah Al-Anaam Verse 94 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَلَقَدۡ جِئۡتُمُونَا فُرَٰدَىٰ كَمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَتَرَكۡتُم مَّا خَوَّلۡنَٰكُمۡ وَرَآءَ ظُهُورِكُمۡۖ وَمَا نَرَىٰ مَعَكُمۡ شُفَعَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُمۡ أَنَّهُمۡ فِيكُمۡ شُرَكَـٰٓؤُاْۚ لَقَد تَّقَطَّعَ بَيۡنَكُمۡ وَضَلَّ عَنكُم مَّا كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
(Aur Allah farmayega) “ lo ab tum waise hi tan-e- tanha (alone) hamare saamne hazir ho gaye jaisa humne tumhein pehli martaba akela paida kiya tha, jo kuch humne tumhein duniya mein diya tha woh sab tum pichey chodh aaye ho, aur ab hum tumhare saath tumhare un sifarishiyon ko bhi nahin dekhte jinke mutaaliq tum samajhte thay ke tumhare kaam banane mein unka bhi kuch hissa hai, tumhare aapas ke sab raabte (contacts) toot gaye aur woh sab tumse ghum ho gaye jinka tum zaam (imagination) rakhte thay”