Surah Al-Anaam Verse 94 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَلَقَدۡ جِئۡتُمُونَا فُرَٰدَىٰ كَمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَتَرَكۡتُم مَّا خَوَّلۡنَٰكُمۡ وَرَآءَ ظُهُورِكُمۡۖ وَمَا نَرَىٰ مَعَكُمۡ شُفَعَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُمۡ أَنَّهُمۡ فِيكُمۡ شُرَكَـٰٓؤُاْۚ لَقَد تَّقَطَّعَ بَيۡنَكُمۡ وَضَلَّ عَنكُم مَّا كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
aur tum hamaare paas tanha tanha aa gaye jis tarah hum ne awwal baar tum ko paida kiya tha aur jo kuch hum ne tum ko diya tha us ko apne piche hee chohd aaye aur hum to tumhaare hamraah tumhaare un shifa-ath karne waalo ko nahi dekhte jin ki nisbath tum daawah rakhte thein ke wo tumhaare maamle mein shareek hai, waqeyi tumhaare aapas mein to qatayi taalluq ho gaya aur wo tumhaara daawa sab tum se gaya guzra hoa