Surah Al-Anaam Verse 94 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamوَلَقَدۡ جِئۡتُمُونَا فُرَٰدَىٰ كَمَا خَلَقۡنَٰكُمۡ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَتَرَكۡتُم مَّا خَوَّلۡنَٰكُمۡ وَرَآءَ ظُهُورِكُمۡۖ وَمَا نَرَىٰ مَعَكُمۡ شُفَعَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُمۡ أَنَّهُمۡ فِيكُمۡ شُرَكَـٰٓؤُاْۚ لَقَد تَّقَطَّعَ بَيۡنَكُمۡ وَضَلَّ عَنكُم مَّا كُنتُمۡ تَزۡعُمُونَ
Aur tum humaray pass tanha tanha aagaye jiss tarah hum ney awwal baar tum ko peda kiya tha aur jo kuch hum ney tum ko diya tha uss ko apney peechay hi chor aaye aur hum to tumharay humrah tumharay inn shafaat kerney walon ko nahi dekhtay jin ki nisbat tum dawa rakhtay thay kay woh tumharay moamlay mein shareek hain. Waqaee tumharay aapas mein to qata talluq hogaya aur woh tumhara sab tum say gaya guzra hua