Surah Al-Anaam Verse 130 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamيَٰمَعۡشَرَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ أَلَمۡ يَأۡتِكُمۡ رُسُلٞ مِّنكُمۡ يَقُصُّونَ عَلَيۡكُمۡ ءَايَٰتِي وَيُنذِرُونَكُمۡ لِقَآءَ يَوۡمِكُمۡ هَٰذَاۚ قَالُواْ شَهِدۡنَا عَلَىٰٓ أَنفُسِنَاۖ وَغَرَّتۡهُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَشَهِدُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰفِرِينَ
(Is mauqe par Allah unse puchega ke) “Aey giroh e Jinn o Ins, kya tumhare paas khud tumhi mein se woh paigambar nahi aaye thay jo tumko meri aayat sunate aur is din ke anjaam se darate thay?” Woh kahenge “haan, hum apne khilaf khud gawahi dete hain”. Aaj duniya ki zindagi ne in logon ko dhoke mein daal raakha hai, magar us waqt woh khud apne khilaf gawahi denge ke woh kafir thay