Surah Al-Anaam Verse 54 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَإِذَا جَآءَكَ ٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِـَٔايَٰتِنَا فَقُلۡ سَلَٰمٌ عَلَيۡكُمۡۖ كَتَبَ رَبُّكُمۡ عَلَىٰ نَفۡسِهِ ٱلرَّحۡمَةَ أَنَّهُۥ مَنۡ عَمِلَ مِنكُمۡ سُوٓءَۢا بِجَهَٰلَةٖ ثُمَّ تَابَ مِنۢ بَعۡدِهِۦ وَأَصۡلَحَ فَأَنَّهُۥ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Jab tumhare paas woh log aayein jo hamari aayat par iman latey hain to unse kaho “tumpar salamati hai tumhare Rubb ne reham o karam ka shewa apne upar lazim karliya hai. Yeh uska reham o karam hi hai ke agar tum mein se koi nadaani ke saath kisi burayi ka irtikaab kar baitha ho phir uske baad tawba karey aur islah karle to woh usey maaf kardeta hai aur narmi se kaam leta hai”