Surah Al-Anaam Verse 65 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُلۡ هُوَ ٱلۡقَادِرُ عَلَىٰٓ أَن يَبۡعَثَ عَلَيۡكُمۡ عَذَابٗا مِّن فَوۡقِكُمۡ أَوۡ مِن تَحۡتِ أَرۡجُلِكُمۡ أَوۡ يَلۡبِسَكُمۡ شِيَعٗا وَيُذِيقَ بَعۡضَكُم بَأۡسَ بَعۡضٍۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَفۡقَهُونَ
Kaho, woh ispar qadir hai ke tumpar koi azaab upar se nazil karde, ya tumhare qadamon ke nichey se barpa karde, ya tumhein girohon mein taqseem karke ek giroh ko dusre giroh ki taqat ka maza chakhwa de. Dekho, hum kis tarah baar baar mukhtalif tareeqon se apni nishaniyan inke saamne pesh kar rahey hain shayad ke yeh haqeeqat ko samajh lein