Surah Al-Anaam Verse 92 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَهَٰذَا كِتَٰبٌ أَنزَلۡنَٰهُ مُبَارَكٞ مُّصَدِّقُ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَلِتُنذِرَ أُمَّ ٱلۡقُرَىٰ وَمَنۡ حَوۡلَهَاۚ وَٱلَّذِينَ يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ يُؤۡمِنُونَ بِهِۦۖ وَهُمۡ عَلَىٰ صَلَاتِهِمۡ يُحَافِظُونَ
(Usi kitab ki tarah) yeh ek kitab hai jisey humne nazil kiya hai badi khair o barakat wali hai, us cheez ki tasdeeq karti hai jo issey pehle aayi thi aur is liye nazil ki gayi hai ke iske zariye se tum bastiyon ke is markaz (yaani Makkah) aur iske atraaf mein rehne walon ko mutanabbeh (warn) karo. Jo log aakhirat ko maante hain woh is kitab par iman latey hain aur unka haal yeh hai ke apni namazon ki pabandi karte hain