Surah Al-Anaam Verse 91 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓ إِذۡ قَالُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَىٰ بَشَرٖ مِّن شَيۡءٖۗ قُلۡ مَنۡ أَنزَلَ ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِي جَآءَ بِهِۦ مُوسَىٰ نُورٗا وَهُدٗى لِّلنَّاسِۖ تَجۡعَلُونَهُۥ قَرَاطِيسَ تُبۡدُونَهَا وَتُخۡفُونَ كَثِيرٗاۖ وَعُلِّمۡتُم مَّا لَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنتُمۡ وَلَآ ءَابَآؤُكُمۡۖ قُلِ ٱللَّهُۖ ثُمَّ ذَرۡهُمۡ فِي خَوۡضِهِمۡ يَلۡعَبُونَ
In logon ne Allah ka bahut galat andaza lagaya jab kaha ke Allah ne kisi bashar par kuch nazil nahin kiya hai. Inse pucho, phir woh kitab jisey Moosa laya tha, jo tamaam Insano ke liye roshni aur hidayat thi, jisey tum para para karke rakhte ho, kuch dikhate ho aur bahut kuch chupa jatey ho, aur jiske zariye se tumko woh ilm diya gaya jo na tumhein haasil tha aur na tumhare baap dada ko, aakhir uska nazil karne wala kaun tha? Bas itna kehdo ke Allah, phir unhein apni daleel baaziyon se khelne ke liye chodh do