Surah Al-Anaam Verse 91 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓ إِذۡ قَالُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَىٰ بَشَرٖ مِّن شَيۡءٖۗ قُلۡ مَنۡ أَنزَلَ ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِي جَآءَ بِهِۦ مُوسَىٰ نُورٗا وَهُدٗى لِّلنَّاسِۖ تَجۡعَلُونَهُۥ قَرَاطِيسَ تُبۡدُونَهَا وَتُخۡفُونَ كَثِيرٗاۖ وَعُلِّمۡتُم مَّا لَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنتُمۡ وَلَآ ءَابَآؤُكُمۡۖ قُلِ ٱللَّهُۖ ثُمَّ ذَرۡهُمۡ فِي خَوۡضِهِمۡ يَلۡعَبُونَ
aur un logo ne Allah ki jaisi qadar karna waajib thi waisi qadar na ki, jab ke yo keh diya ke Allah ne kisi bashar par koyi cheez nazil nahi ki, aap ye kahiye ke wo kitaab kis ne naazil ki hai jis ko Mosa laaye thein, jis ki kaifiyath ye hai ke wo noor hai aur logo ke liye wo hidaayath hai jis ko tum ne un mutafarriq auraaq mein rakh choda hai, jin ko zaaher karte ho aur bahuth si baatho ko chupaate ho aur tum ko bahuth si aisi baatein bataayi gayi hai jin ko tum na jaante thein aur na tumhaare bade, aap keh di jiye ke Allah ne naazil faramaaya hai, phir un ko un ke qurafaath mein khelte rehne di jiye