Surah Al-Anaam Verse 91 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamوَمَا قَدَرُواْ ٱللَّهَ حَقَّ قَدۡرِهِۦٓ إِذۡ قَالُواْ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ عَلَىٰ بَشَرٖ مِّن شَيۡءٖۗ قُلۡ مَنۡ أَنزَلَ ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِي جَآءَ بِهِۦ مُوسَىٰ نُورٗا وَهُدٗى لِّلنَّاسِۖ تَجۡعَلُونَهُۥ قَرَاطِيسَ تُبۡدُونَهَا وَتُخۡفُونَ كَثِيرٗاۖ وَعُلِّمۡتُم مَّا لَمۡ تَعۡلَمُوٓاْ أَنتُمۡ وَلَآ ءَابَآؤُكُمۡۖ قُلِ ٱللَّهُۖ ثُمَّ ذَرۡهُمۡ فِي خَوۡضِهِمۡ يَلۡعَبُونَ
Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye