Surah Al-Anaam Verse 52 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَلَا تَطۡرُدِ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ رَبَّهُم بِٱلۡغَدَوٰةِ وَٱلۡعَشِيِّ يُرِيدُونَ وَجۡهَهُۥۖ مَا عَلَيۡكَ مِنۡ حِسَابِهِم مِّن شَيۡءٖ وَمَا مِنۡ حِسَابِكَ عَلَيۡهِم مِّن شَيۡءٖ فَتَطۡرُدَهُمۡ فَتَكُونَ مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aur jo log apne Rubb ko raat din pukarte rehte hain aur uski khushnudi ki talab mein lagey huey hain unhein apne se door na phenko, unke hisaab mein se kisi cheez ka baar tumpar nahin hai aur tumhare hisab mein se kisi cheez ka baar unpar nahin. Ispar bhi agar tum unhein door phenko ge to zalimon mein shumar hogey