Surah Al-Maeda - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَوۡفُواْ بِٱلۡعُقُودِۚ أُحِلَّتۡ لَكُم بَهِيمَةُ ٱلۡأَنۡعَٰمِ إِلَّا مَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ غَيۡرَ مُحِلِّي ٱلصَّيۡدِ وَأَنتُمۡ حُرُمٌۗ إِنَّ ٱللَّهَ يَحۡكُمُ مَا يُرِيدُ
Aey logon jo iman laye ho, bandishon ki puri pabandi karo, tumhare liye maweshi ki qisam ke sab jaanwar halaal kiye gaye, siwaye unke jo aagey chalkar tumko bataye jayenge, lekin ehram ki halat mein shikar ko apne liye halal na karlo. Beshak Allah jo chahta hai hukum deta hai
Surah Al-Maeda, Verse 1
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحِلُّواْ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ وَلَا ٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَلَا ٱلۡهَدۡيَ وَلَا ٱلۡقَلَـٰٓئِدَ وَلَآ ءَآمِّينَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّهِمۡ وَرِضۡوَٰنٗاۚ وَإِذَا حَلَلۡتُمۡ فَٱصۡطَادُواْۚ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ أَن صَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ أَن تَعۡتَدُواْۘ وَتَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَلَا تَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Aey logon jo iman laye ho, khuda parasti ki nishaniyon ko be-hurmat na karo, na haram mahino(months) mein se kisi ko halal karlo, na qurbaani ke jaanwaron par dast darazi karo, na un jaanwaron par haath daalo jinki gardano mein nazar e khuda-wandi ki alamat ke taur par pattey padey (wearing collars) huey hon, na un logon ko chedo jo apne Rubb ke fazal aur uski khushnudi ki talash mein makaan-e-mohtaram (kaaba) ki taraf jaa rahey hon. Haan jab ehram ki halat khatam ho jaye to shikar tum kar sakte ho aur dekho ek giroh ne jo tumhare liye masjid e haraam ka rasta bandh kardiya hai to ispar tumhara gussa tumhein itna mushtail na karde ke tum bhi unke muqable mein narawa zyadatiyan karne lago. Nahin! Jo kaam neki aur khuda tarsi ke hain un sab mein taawun (help one another) karo aur jo gunaah aur zyadati ke kaam hain unmein kisi se taawun (help one another) na karo. Allah se daro, uski saza bahut sakht hai
Surah Al-Maeda, Verse 2
حُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةُ وَٱلدَّمُ وَلَحۡمُ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦ وَٱلۡمُنۡخَنِقَةُ وَٱلۡمَوۡقُوذَةُ وَٱلۡمُتَرَدِّيَةُ وَٱلنَّطِيحَةُ وَمَآ أَكَلَ ٱلسَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّيۡتُمۡ وَمَا ذُبِحَ عَلَى ٱلنُّصُبِ وَأَن تَسۡتَقۡسِمُواْ بِٱلۡأَزۡلَٰمِۚ ذَٰلِكُمۡ فِسۡقٌۗ ٱلۡيَوۡمَ يَئِسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن دِينِكُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِۚ ٱلۡيَوۡمَ أَكۡمَلۡتُ لَكُمۡ دِينَكُمۡ وَأَتۡمَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ نِعۡمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلۡإِسۡلَٰمَ دِينٗاۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ فِي مَخۡمَصَةٍ غَيۡرَ مُتَجَانِفٖ لِّإِثۡمٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Tumpar haram kiya gaya murdar(carrion/dead meat), khoon, suwar ka gosht, woh jaanwar jo khuda ke siwa kisi aur ke naam par zibah kiya gaya ho, woh jo gala ghunt(strangulate) kar , ya chot (wound) kha kar, ya bulandi se gir kar, ya takkar kha kar mara ho, ya jisey kisi darinde ne phada ho siwaye uske jisey tumne zinda paa kar zibah karliya, aur woh jo kisi aastaane(altars) par zibah kiya gaya ho, neiz yeh bhi tumhare liye najayiz hai ke paanson ke zariye se apni kismat maloom karo(your fate by divining arrows). Yeh sab afaal fisq (sinful acts) hain. Aaj kaafrion ko tumhare deen ki taraf se poori mayousi ho chuki hai lihaza tum unsey na daro balke mujhse daro. Aaj maine tumhare deen ko tumhare liye mukammal kardiya hai aur apni niyamat tumpar tamaam kardi hai aur tumhare liye Islam ko tumhare deen ki haisiyat se qabool karliya hai. (Lihaza haram o halal ki jo quyood tumpar aayad kardi gayi hain unki pabandi karo) albatta jo shaks bhook se majboor hokar unmein se koi cheez kha le , bagair iske ke gunaah ki taraf uska mailan(wilfully inclined) ho to beshak Allah maaf karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 3
يَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَآ أُحِلَّ لَهُمۡۖ قُلۡ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُ وَمَا عَلَّمۡتُم مِّنَ ٱلۡجَوَارِحِ مُكَلِّبِينَ تُعَلِّمُونَهُنَّ مِمَّا عَلَّمَكُمُ ٱللَّهُۖ فَكُلُواْ مِمَّآ أَمۡسَكۡنَ عَلَيۡكُمۡ وَٱذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهِۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Log puchte hain ke unke liye kya halal kiya gaya hai, kaho tumhare liye sari paak cheezein halal kardi gayi hain aur jin shikari jaanwaron ko tumne sadhaya ho (teach, training them to hunt) jinko khuda ke diye huey ilam ki bina par tum shikar ki taleem diya karte ho, woh jis jaanwar ko tumhare liye pakad rakkhein usko bhi tum kha sakte ho, albatta uspar Allah ka naam lelo aur Allah ka kanoon todne se daro.Allah ko hisaab lete kuch dair nahin lagti
Surah Al-Maeda, Verse 4
ٱلۡيَوۡمَ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُۖ وَطَعَامُ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ حِلّٞ لَّكُمۡ وَطَعَامُكُمۡ حِلّٞ لَّهُمۡۖ وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ مُحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَ وَلَا مُتَّخِذِيٓ أَخۡدَانٖۗ وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱلۡإِيمَٰنِ فَقَدۡ حَبِطَ عَمَلُهُۥ وَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Aaj tumhare liye sari paak cheezein halal kardi gayi hain, ehle kitab ka khana tumhare liye halal hai aur tumhara khana unke liye aur mehfooz auratein bhi tumhare liye halal hain khwa woh ehle iman ke giroh se hon ya un qaumon mein se jinko tumse pehle kitaab di gayi thi, bashart-ye-ke tum unke mehar ada karke nikah mein unke muhafiz (protectors) bano, na yeh ke azad shehwat (lust) rani karne lago ya chori chupe ashnaiyan karo. Aur jo kisi ne iman ki rawish par chalne se inkar kiya to uska sara karnama e zindagi zaye ho jayega aur woh aakhirat mein diwaliya (among the utter losers) hoga
Surah Al-Maeda, Verse 5
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قُمۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ فَٱغۡسِلُواْ وُجُوهَكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ إِلَى ٱلۡمَرَافِقِ وَٱمۡسَحُواْ بِرُءُوسِكُمۡ وَأَرۡجُلَكُمۡ إِلَى ٱلۡكَعۡبَيۡنِۚ وَإِن كُنتُمۡ جُنُبٗا فَٱطَّهَّرُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُم مِّنۡهُۚ مَا يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيَجۡعَلَ عَلَيۡكُم مِّنۡ حَرَجٖ وَلَٰكِن يُرِيدُ لِيُطَهِّرَكُمۡ وَلِيُتِمَّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Aey logon jo iman laye ho, jab tum namaz ke liye utho to chahiye ke apne mooh aur haath kohniyon tak dho lo, siron(heads) par haath pher lo aur paon takno tak dho liya karo, agar janabat ki halat mein ho to naha kar paak ho jao , agar bimaar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein se koi shaks rafe hajat(reliving himself) karke aaye ya tumne auraton ko haath lagaya ho, aur pani na miley, to paak mitti se kaam lo, bas uspar haath maar kar apne mooh aur haathon par pher liya karo. Allah tumpar zindagi ko tangg nahin karna chahta, magar woh chahta hai ke tumhein paak karey aur apni niyamat tumpar tamaam karde, shayad ke tum shukarguzar bano
Surah Al-Maeda, Verse 6
وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَمِيثَٰقَهُ ٱلَّذِي وَاثَقَكُم بِهِۦٓ إِذۡ قُلۡتُمۡ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Allah ne tumko jo niyamat ata ki hai uska khayal rakkho aur us pukhta ahad ko na bhoolo jo usne tumse liya hai, yani tumhara yeh qaul ke , “humne suna aur itaat qabool ki” Allah se daro , Allah dilon ke raaz jaanta hai
Surah Al-Maeda, Verse 7
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُواْ قَوَّـٰمِينَ لِلَّهِ شُهَدَآءَ بِٱلۡقِسۡطِۖ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ عَلَىٰٓ أَلَّا تَعۡدِلُواْۚ ٱعۡدِلُواْ هُوَ أَقۡرَبُ لِلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Aey logon jo iman laye ho! Allah ki khatir raasti (upright) par qayam rehne waley aur insaf ki gawahi dene waley bano, kisi giroh ki dushmani tumko itna mushtail (move) na karde ke insaf se phir jao. Adal (insaf) karo, yeh khuda tarsi se zyada munasibat rakhta hai, Allah se darr kar kaam karte raho, jo kuch tum karte ho Allah ussey puri tarah ba-khabar hai
Surah Al-Maeda, Verse 8
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٌ عَظِيمٞ
Jo log iman layein aur neik amal karein, Allah ne unsey wada kiya hai ke unki khataon se darguzar kiya jayega aur unhein bada ajar milega
Surah Al-Maeda, Verse 9
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Rahey woh log jo kufr karein aur Allah ki aayat ko jhutlayein , to woh dozakh mein janey waley hain
Surah Al-Maeda, Verse 10
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ هَمَّ قَوۡمٌ أَن يَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ فَكَفَّ أَيۡدِيَهُمۡ عَنكُمۡۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Aey logon jo iman laye ho, Allah ke us ehsan ko yaad karo jo usne (abhi haal mein) tumpar kiya hai, jabke ek giroh ne tumpar dast darazi (stretch their hands against you) ka irada karliya tha, magar Allah ne unke haath tumpar uthne se roak diye, Allah se darr kar kaam karte raho, iman rakhne walon ko Allah hi par bharosa karna chahiye
Surah Al-Maeda, Verse 11
۞وَلَقَدۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَبَعَثۡنَا مِنۡهُمُ ٱثۡنَيۡ عَشَرَ نَقِيبٗاۖ وَقَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مَعَكُمۡۖ لَئِنۡ أَقَمۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَيۡتُمُ ٱلزَّكَوٰةَ وَءَامَنتُم بِرُسُلِي وَعَزَّرۡتُمُوهُمۡ وَأَقۡرَضۡتُمُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا لَّأُكَفِّرَنَّ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ فَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
Allah ne bani Israel se pukhta ahad liya tha aur in mein barah (twelve) naqeeb(leaders) muqarrar kiye thay aur unse kaha tha ke “main tumhare saath hoon, agar tumne namaz qayam rakkhi aur zakaat di aur mere Rasoolon ko maana ar unki madad ki aur apne khuda ko accha qarz dete rahey to yaqeen rakkho ke main tumhari buraiyan tumse zayal (wipe out) kardunga aur tumko aisey baaghon (gardens) mein dakhil karunga jinke nichey nehrein behti hongi, magar iske baad jisne tum mein se kufr ki rawish ikhtiyar ki to dar haqeeqat usne swa-sabeel gum kardi (gone astray from the right way)”
Surah Al-Maeda, Verse 12
فَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ لَعَنَّـٰهُمۡ وَجَعَلۡنَا قُلُوبَهُمۡ قَٰسِيَةٗۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦۚ وَلَا تَزَالُ تَطَّلِعُ عَلَىٰ خَآئِنَةٖ مِّنۡهُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱصۡفَحۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Phir yeh unka apne ahad ko toad daalna tha jiski wajah se humne unko apni rehmat se door phenk diya aur unke dil sakht kardiye. Ab unka haal yeh hai ke alfaz ka ulat pher karke baat ko kahin se kahin le jatey hain, jo taleem inhein di gayi thi uska bada hissa bhool chuke hain, aur aaye din tumhein unki kisi na kisi khayanat ka pata chalta rehta hai. Inmein se bahut kam log is aib(burayi) se bachey huey hain, [pas jab yeh is haal ko pahunch chuke hain to jo shararatein bhi yeh karein woh inse ain mutwaqqe (expected) hain, lihaza inhein maaf karo aur inki harakat se chasm-poshi (overlook) karte raho. Allah un logon ko pasand karta hai jo ehsan ki rawish rakhte hain
Surah Al-Maeda, Verse 13
وَمِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّا نَصَٰرَىٰٓ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَهُمۡ فَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦ فَأَغۡرَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَاوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَسَوۡفَ يُنَبِّئُهُمُ ٱللَّهُ بِمَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
Isi tarah humne un logon se bhi pukhta ahad liya tha jinhon ne kaha tha ke “hum nasara (christians) hain” magar unko bhi jo sabaq yaad karaya gaya tha uska ek bada hissa unhon ne faramosh kardiya. Aakhir e kaar humne unke darmiyan qayamat tak ke liye dushmani aur aapas ke bugz o inaad (spite) ka beej bo (seed sow) diya, aur zaroor ek waqt aayega jab Allah unhein batayega ke woh duniya mein kya banate rahey hain
Surah Al-Maeda, Verse 14
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ كَثِيرٗا مِّمَّا كُنتُمۡ تُخۡفُونَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَعۡفُواْ عَن كَثِيرٖۚ قَدۡ جَآءَكُم مِّنَ ٱللَّهِ نُورٞ وَكِتَٰبٞ مُّبِينٞ
Aey ehle kitaab! Hamara Rasool tumhare paas aa gaya hai jo kitab e ilahi ki bahut si un baaton ko tumhare saamne khol raha hai jinpar tum purda dala karte thay, aur bahut si baaton se darguzar bhi kar jata hai. Tumhare paas Allah ki taraf se roshni aa gayi hai aur ek aisi haqq numa kitab
Surah Al-Maeda, Verse 15
يَهۡدِي بِهِ ٱللَّهُ مَنِ ٱتَّبَعَ رِضۡوَٰنَهُۥ سُبُلَ ٱلسَّلَٰمِ وَيُخۡرِجُهُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِ بِإِذۡنِهِۦ وَيَهۡدِيهِمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Jiske zariye se Allah taala un logon ko jo uski raza ke taalib hain salamati ke tareeqe batata hai aur apne izan se unko andheron se nikal kar ujale ki taraf lata hai aur raah e raast ki taraf unki rehnumayi karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 16
لَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ أَن يُهۡلِكَ ٱلۡمَسِيحَ ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗاۗ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Yaqeenan kufr kiya un logon ne jinhon ne kaha Maseeh ibn Mariyam khuda hai. (Aey Muhammad)! Inse kaho ke agar khuda Maseeh Ibn Mariyam ko aur uski Maa aur tamaam zameen walon ko halaak kardena chahe to kiski majaal hai ke usko is irade se baaz rakh sakey? Allah to zameen aur aasmano ka aur un sab cheezon ka malik hai jo zameen aur aasmano ke darmiyan payi jati hain, jo kuch chahta hai paida karta hai aur uski qudrat har cheez par haawi hai
Surah Al-Maeda, Verse 17
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ وَٱلنَّصَٰرَىٰ نَحۡنُ أَبۡنَـٰٓؤُاْ ٱللَّهِ وَأَحِبَّـٰٓؤُهُۥۚ قُلۡ فَلِمَ يُعَذِّبُكُم بِذُنُوبِكُمۖ بَلۡ أَنتُم بَشَرٞ مِّمَّنۡ خَلَقَۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Yahud aur nasara kehte hain ke hum Allah ke bete aur uske chahite (beloved) hain, inse pucho, phir woh tumhare gunaahon par tumhein saza kyun deta hai? Dar haqeeqat tum bhi wasie hi Insaan ho jaise aur Insaan khuda ne paida kiye hain. Woh jisey chahta hai maaf karta hai aur jisey chahta hai saza deta hai. Zameen aur aasman aur inki saari maujudaat uski milk( milkiyat) hain. Aur usi ki taraf sabko jana hai
Surah Al-Maeda, Verse 18
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ عَلَىٰ فَتۡرَةٖ مِّنَ ٱلرُّسُلِ أَن تَقُولُواْ مَا جَآءَنَا مِنۢ بَشِيرٖ وَلَا نَذِيرٖۖ فَقَدۡ جَآءَكُم بَشِيرٞ وَنَذِيرٞۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aey ehle kitab! Hamara yeh Rasool aise waqt tumhare paas aaya hai aur deen ki wazeh taleem tumhein de raha hai jabke Rasoolon ki aamad ka silsila ek muddat se bandh tha, taa-ke tum yeh na keh sako ke hamare paas koi basharat dene wala aur darane wala nahin aaya. So dekho! Ab woh basharat dene wala aur darane wala aa gaya aur Allah har cheez par qadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 19
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ جَعَلَ فِيكُمۡ أَنۢبِيَآءَ وَجَعَلَكُم مُّلُوكٗا وَءَاتَىٰكُم مَّا لَمۡ يُؤۡتِ أَحَدٗا مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Yaad karo jab Moosa ne apni qaum se kaha tha ke “ Aey meri qaum ke logon! Allah ki us niyamat ka khayal karo jo usne tumhein ata ki thi, usne tum mein Nabi paida kiye, tumko farma rawa banaya, aur tumko woh kuch diya jo duniya mein kisi ko na diya tha
Surah Al-Maeda, Verse 20
يَٰقَوۡمِ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡأَرۡضَ ٱلۡمُقَدَّسَةَ ٱلَّتِي كَتَبَ ٱللَّهُ لَكُمۡ وَلَا تَرۡتَدُّواْ عَلَىٰٓ أَدۡبَارِكُمۡ فَتَنقَلِبُواْ خَٰسِرِينَ
Aey biradraan e qaum! us muqaddas sar-zameen mein dakhil ho jao jo Allah ne tumhare liye likh di hai, pichey na hato warna nakaam o na-murad paltogey”
Surah Al-Maeda, Verse 21
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّ فِيهَا قَوۡمٗا جَبَّارِينَ وَإِنَّا لَن نَّدۡخُلَهَا حَتَّىٰ يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا فَإِن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا فَإِنَّا دَٰخِلُونَ
Unhone jawab diya “Aey Moosa! Wahan to badey zabardast log rehte hain, hum wahan hargiz na jayenge jab tak woh wahan se nikal na jayein, haan agar woh nikal gaye to hum dakhil honay ke liye tayyar hain”
Surah Al-Maeda, Verse 22
قَالَ رَجُلَانِ مِنَ ٱلَّذِينَ يَخَافُونَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمَا ٱدۡخُلُواْ عَلَيۡهِمُ ٱلۡبَابَ فَإِذَا دَخَلۡتُمُوهُ فَإِنَّكُمۡ غَٰلِبُونَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَتَوَكَّلُوٓاْ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Un darne walon mein do shaks aisey bhi thay jinko Allah ne apni niyamat se nawaza tha, unhon ne kaha ke “ in jabbaron ke muqable mein darwaze ke andar ghus jao, jab tum andar pahunch jaogey to tum hi gaalib (victors) rahogey. Allah par bharosa rakkho agar tum momin ho”
Surah Al-Maeda, Verse 23
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّا لَن نَّدۡخُلَهَآ أَبَدٗا مَّا دَامُواْ فِيهَا فَٱذۡهَبۡ أَنتَ وَرَبُّكَ فَقَٰتِلَآ إِنَّا هَٰهُنَا قَٰعِدُونَ
Lekin unhon ne phir yahi kaha ke “ Aey Moosa! Hum to wahan kabhi na jayenge jab tak woh wahan maujood hain, bas tum aur tumhara Rubb, dono jao aur lado, hum yahan baithey hain
Surah Al-Maeda, Verse 24
قَالَ رَبِّ إِنِّي لَآ أَمۡلِكُ إِلَّا نَفۡسِي وَأَخِيۖ فَٱفۡرُقۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Ispar Moosa ne kaha “Aey mere Rubb, mere ikhtiyar mein koi nahin magar ya meri apni zaat ya mera bhai, pas tu humein in nafarmaan logon se alag karde.”
Surah Al-Maeda, Verse 25
قَالَ فَإِنَّهَا مُحَرَّمَةٌ عَلَيۡهِمۡۛ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗۛ يَتِيهُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Allah ne jawab diya ‘ accha to woh mulk chalis (forty) saal tak inpar haram hai, yeh zameen mein maarey maarey phirenge. In nafarmaano ki halat par hargiz taras na khao”
Surah Al-Maeda, Verse 26
۞وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ ٱبۡنَيۡ ءَادَمَ بِٱلۡحَقِّ إِذۡ قَرَّبَا قُرۡبَانٗا فَتُقُبِّلَ مِنۡ أَحَدِهِمَا وَلَمۡ يُتَقَبَّلۡ مِنَ ٱلۡأٓخَرِ قَالَ لَأَقۡتُلَنَّكَۖ قَالَ إِنَّمَا يَتَقَبَّلُ ٱللَّهُ مِنَ ٱلۡمُتَّقِينَ
Aur zara inhein Adam ke do beton ka qissa bhi be kam-o-kaasht suna do jab un dono ne qurbani ki, to un mein se ek ki qurbani qabool ki gayi aur dusre ki na ki gayi , usne kaha “ main tujhey maar dalunga” Usne jawab diya “Allah to muttaqiyon hi ki nazarein(offerings) qabool karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 27
لَئِنۢ بَسَطتَ إِلَيَّ يَدَكَ لِتَقۡتُلَنِي مَآ أَنَا۠ بِبَاسِطٖ يَدِيَ إِلَيۡكَ لِأَقۡتُلَكَۖ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَ رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Agar tu mujhey qatal karne ke liye haath uthayega to main tujhey qatal karne ke liye haath na uthaunga. Main Allah Rabbul aalameen se darta hoon
Surah Al-Maeda, Verse 28
إِنِّيٓ أُرِيدُ أَن تَبُوٓأَ بِإِثۡمِي وَإِثۡمِكَ فَتَكُونَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِۚ وَذَٰلِكَ جَزَـٰٓؤُاْ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Main chahta hoon ke mera aur apna gunaah tu hi sameit le aur dozakhi bankar rahey. Zalimon ke zulm ka yahi theek badla hai.”
Surah Al-Maeda, Verse 29
فَطَوَّعَتۡ لَهُۥ نَفۡسُهُۥ قَتۡلَ أَخِيهِ فَقَتَلَهُۥ فَأَصۡبَحَ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Aakhir e kaar uske nafs ne apne bhai ka qatal uske liye aasaan kardiya aur woh usey maar kar un logon mein shamil ho gaya jo nuqsan uthane waley hain
Surah Al-Maeda, Verse 30
فَبَعَثَ ٱللَّهُ غُرَابٗا يَبۡحَثُ فِي ٱلۡأَرۡضِ لِيُرِيَهُۥ كَيۡفَ يُوَٰرِي سَوۡءَةَ أَخِيهِۚ قَالَ يَٰوَيۡلَتَىٰٓ أَعَجَزۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِثۡلَ هَٰذَا ٱلۡغُرَابِ فَأُوَٰرِيَ سَوۡءَةَ أَخِيۖ فَأَصۡبَحَ مِنَ ٱلنَّـٰدِمِينَ
Phir Allah ne ek kawwa (crow) bheja jo zameen khodne laga taa-ke usey bataye ke apne bhai ki laash kaise chupaye. Yeh dekh kar woh bola afsos mujhpar ! main is kawwe jaisa bhi na ho saka ke apne bhai ki laash chupane ki tadbeer nikal leta, iske baad woh apne kiye par bahut pachtaya
Surah Al-Maeda, Verse 31
مِنۡ أَجۡلِ ذَٰلِكَ كَتَبۡنَا عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَنَّهُۥ مَن قَتَلَ نَفۡسَۢا بِغَيۡرِ نَفۡسٍ أَوۡ فَسَادٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ ٱلنَّاسَ جَمِيعٗا وَمَنۡ أَحۡيَاهَا فَكَأَنَّمَآ أَحۡيَا ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۚ وَلَقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا بِٱلۡبَيِّنَٰتِ ثُمَّ إِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡأَرۡضِ لَمُسۡرِفُونَ
Isi wajah se bani Israel par humne yeh farmaan likh diya tha ke “ jisne kisi Insan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad phaylane ke siwa kisi aur wajah se qatal kiya usne goya tamaam Insaano ko qatal kardiya aur jisne kisi ki jaan bachayi usne goya tamaam Insaano ko zindagi baksh di”. Magar unka haal yeh hai ke hamare Rasool pai dar pai unke paas khuli khuli hidayat lekar aaye phir bhi unmein bakasrat log zameen mein zyadatiyan(commit excesses ) karne waley hain
Surah Al-Maeda, Verse 32
إِنَّمَا جَزَـٰٓؤُاْ ٱلَّذِينَ يُحَارِبُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادًا أَن يُقَتَّلُوٓاْ أَوۡ يُصَلَّبُوٓاْ أَوۡ تُقَطَّعَ أَيۡدِيهِمۡ وَأَرۡجُلُهُم مِّنۡ خِلَٰفٍ أَوۡ يُنفَوۡاْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِۚ ذَٰلِكَ لَهُمۡ خِزۡيٞ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ
Jo log Allah aur uske Rasool se ladte hain aur zameen mein is liye tag-o-dou karte phirte hain ke fasaad(mischeif) barpa karein unki saza yeh hai ke qatal kiye jayein , ya suli par chadhaye jayein, ya unke haath aur paaon mukhalif simton se kaat daley jayein, ya woh jila watan(banished from the land) kardiye jayein. Yeh zillat o ruswayi to unke liye duniya mein hai aur aakhirat mein unke liye issey badi saza hai
Surah Al-Maeda, Verse 33
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِن قَبۡلِ أَن تَقۡدِرُواْ عَلَيۡهِمۡۖ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Magar jo log tawba karlein qabl iske ke tum unpar qaabu pao. Tumhein maloom hona chahiye ke Allah maaf karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 34
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱبۡتَغُوٓاْ إِلَيۡهِ ٱلۡوَسِيلَةَ وَجَٰهِدُواْ فِي سَبِيلِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro aur uski janaab mein baaryabi (closeness) ka zariya talash karo, aur uski raah mein jidd o jahad karo, shayad ke tumhein kamiyabi naseeb ho jaye
Surah Al-Maeda, Verse 35
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ أَنَّ لَهُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لِيَفۡتَدُواْ بِهِۦ مِنۡ عَذَابِ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَا تُقُبِّلَ مِنۡهُمۡۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Khoob jaan lo ke jin logon ne kufr ka rawayya ikhtiyar kiya hai, agar unke qabze mein saari zameen ki daulat ho aur itni hi aur iske saath aur woh chahein ke isey fidiye(badlay/expiation) mein de kar roz e qayamat ke azaab se bach jayein, tab bhi woh unse qabool na ki jayegi aur unhein dardnaak saza milkar rahegi
Surah Al-Maeda, Verse 36
يُرِيدُونَ أَن يَخۡرُجُواْ مِنَ ٱلنَّارِ وَمَا هُم بِخَٰرِجِينَ مِنۡهَاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّقِيمٞ
Woh chahenge ke dozakh ki aag se nikal bhaagein magar na nikal sakenge aur unhein qayam (hamesha) rehne wala azaab diya jayega
Surah Al-Maeda, Verse 37
وَٱلسَّارِقُ وَٱلسَّارِقَةُ فَٱقۡطَعُوٓاْ أَيۡدِيَهُمَا جَزَآءَۢ بِمَا كَسَبَا نَكَٰلٗا مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Aur chor, khwa aurat ho ya mard, dono ke haath kaat do, yeh unki kamayi ka badla hai aur Allah ki taraf se ibratnaak saza. Allah ki qudrat sab par galib hai aur woh dana o beena hai
Surah Al-Maeda, Verse 38
فَمَن تَابَ مِنۢ بَعۡدِ ظُلۡمِهِۦ وَأَصۡلَحَ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَتُوبُ عَلَيۡهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Phir jo zulm karne ke baad tawba karey aur apni islah karle to Allah ki nazar e inayat phir uspar mayil ho jayegi, Allah bahut darguzar karne wala aur reham farmane wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 39
أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ يُعَذِّبُ مَن يَشَآءُ وَيَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Kya tum jaante nahin ho ke Allah zameen aur aasmano ki sultanat ka malik hai? Jisey chahe saza de aur jisey chahe maaf karde, woh har cheez ka ikhtiyar rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 40
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ لَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِ مِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَلَمۡ تُؤۡمِن قُلُوبُهُمۡۛ وَمِنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْۛ سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ سَمَّـٰعُونَ لِقَوۡمٍ ءَاخَرِينَ لَمۡ يَأۡتُوكَۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ مِنۢ بَعۡدِ مَوَاضِعِهِۦۖ يَقُولُونَ إِنۡ أُوتِيتُمۡ هَٰذَا فَخُذُوهُ وَإِن لَّمۡ تُؤۡتَوۡهُ فَٱحۡذَرُواْۚ وَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ فِتۡنَتَهُۥ فَلَن تَمۡلِكَ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يُطَهِّرَ قُلُوبَهُمۡۚ لَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Aey paigambar! Tumhare liye baais-e-ranjh (grieve) na hon woh log jo kufr ki raah mein badi teiz gaami dikha rahey hain khwa woh unmein se hon jo mooh se kehte hain hum iman laye magar dil unke iman nahin laye , ya unmein se hon jo yahudi ban gaye hain, jinka haal yeh hai ke jhoot ke liye kaan lagate hain, aur dusre logon ki khatir jo tumhare paas kabhi nahin aaye, sun gun lete phirte hain, kitab-Allah ke alfaz ko unka saheeh mahal mutayin honay ke bawajood asal maani se pherte hain. Aur logon se kehte hain ke agar tumhein yeh hukum diya jaye to maano nahin to na maano, jisey Allah hi ne fitne mein daalne ka irada karliya ho to usko Allah ki giraft se bachane keliye tum kuch nahin kar sakte. Yeh woh log hain jinke dilon ko Allah ne paak karna na chaha. Inke liye duniya mein ruswayi hai aur aakhirat mein sakht saza
Surah Al-Maeda, Verse 41
سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ أَكَّـٰلُونَ لِلسُّحۡتِۚ فَإِن جَآءُوكَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُمۡ أَوۡ أَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡۖ وَإِن تُعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ فَلَن يَضُرُّوكَ شَيۡـٔٗاۖ وَإِنۡ حَكَمۡتَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Yeh jhoot sunne waley aur haram ke maal khane waley hain, lihaza agar yeh tumhare paas (apne muqaddamaat lekar) aayein to tumhein ikhtiyar diya jata hai ke chaho inka faisla karo warna inkar kardo. Inkar kardo to yeh tumhara kuch bigaad nahin sakte, aur faisla karo to phir theek theek insaf ke saath karo ke Allah insaf karne walon ko pasand karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 42
وَكَيۡفَ يُحَكِّمُونَكَ وَعِندَهُمُ ٱلتَّوۡرَىٰةُ فِيهَا حُكۡمُ ٱللَّهِ ثُمَّ يَتَوَلَّوۡنَ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَۚ وَمَآ أُوْلَـٰٓئِكَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Aur yeh tumhein kaise hakam (Judge) banate hain jabke inke paas taurat (torah) maujood hai jismein Allah ka hukum likha hua hai aur phir yeh ussey mooh moad rahey hain? Asal baat yeh hai ke yeh log iman hi nahin rakhte
Surah Al-Maeda, Verse 43
إِنَّآ أَنزَلۡنَا ٱلتَّوۡرَىٰةَ فِيهَا هُدٗى وَنُورٞۚ يَحۡكُمُ بِهَا ٱلنَّبِيُّونَ ٱلَّذِينَ أَسۡلَمُواْ لِلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ بِمَا ٱسۡتُحۡفِظُواْ مِن كِتَٰبِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ عَلَيۡهِ شُهَدَآءَۚ فَلَا تَخۡشَوُاْ ٱلنَّاسَ وَٱخۡشَوۡنِ وَلَا تَشۡتَرُواْ بِـَٔايَٰتِي ثَمَنٗا قَلِيلٗاۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Humne Taurat nazil ki jismein hidayat aur roshni thi. Sarey Nabi jo muslim thay, usi ke mutaaliq in yahudi ban janey walon ke maamlaat ka faisla karte thay, aur isi tarah Rabbani aur ehbar (scholars and jurists) bhi (isi par faisley ka madaar rakhte thay). Kyunke unhein kitab Allah ki hifazat ka zimmedar banaya gaya tha aur woh ispar gawaah they. Pas (aey giroh e yahud!) tum logon se na daro balke mujhse daro, aur meri aayat ko zara zara se mawize (trivial gain/keemat) lekar bechna chodh do. Jo log Allah ke nazil karda kanoon ke mutabiq faisla na karein wahi kafir hain
Surah Al-Maeda, Verse 44
وَكَتَبۡنَا عَلَيۡهِمۡ فِيهَآ أَنَّ ٱلنَّفۡسَ بِٱلنَّفۡسِ وَٱلۡعَيۡنَ بِٱلۡعَيۡنِ وَٱلۡأَنفَ بِٱلۡأَنفِ وَٱلۡأُذُنَ بِٱلۡأُذُنِ وَٱلسِّنَّ بِٱلسِّنِّ وَٱلۡجُرُوحَ قِصَاصٞۚ فَمَن تَصَدَّقَ بِهِۦ فَهُوَ كَفَّارَةٞ لَّهُۥۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Taurat mein humne yahudiyon par yeh hukum likh diya tha ke jaan ke badle jaan, aankh ke badle aankh, naak ke badle naak, kaan ke badle kaan, daant ke badle daant, aur tamaam zakhmon ke liye barabar ka badla, phir jo qisas ka sadaqa karde to woh uske liye kaffara hai aur jo log Allah ke nazil karda kanoon ke mutabiq faisla na karein wahi zalim hain
Surah Al-Maeda, Verse 45
وَقَفَّيۡنَا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم بِعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡإِنجِيلَ فِيهِ هُدٗى وَنُورٞ وَمُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَهُدٗى وَمَوۡعِظَةٗ لِّلۡمُتَّقِينَ
Phir humne in paigambaron ke baad Maryam ke bete Isa ko bheja , Taurat mein se jo kuch uske samne maujood tha woh uski tasdeeq karne wala tha aur humne usko Injeel ata ki jismein rehnumayi aur roshni thi aur woh bhi Taurat mein se jo kuch us waqt maujood tha uski tasdeeq karne wali thi aur khuda tars logon keliye sarasar hidayat aur naseehat thi
Surah Al-Maeda, Verse 46
وَلۡيَحۡكُمۡ أَهۡلُ ٱلۡإِنجِيلِ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فِيهِۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Hamara hukum tha ke ehle Injeel us kanoon ke mutabiq faisla karein jo Allah ne ismein nazil kiya hai aur jo log Allah ke nazil karda kanoon ke mutaabiq faisla na karein wahi fasiq hain
Surah Al-Maeda, Verse 47
وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمُهَيۡمِنًا عَلَيۡهِۖ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۖ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ عَمَّا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡحَقِّۚ لِكُلّٖ جَعَلۡنَا مِنكُمۡ شِرۡعَةٗ وَمِنۡهَاجٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَعَلَكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَكُمۡ فِي مَآ ءَاتَىٰكُمۡۖ فَٱسۡتَبِقُواْ ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Phir (aey Muhammad!) humne tumhari taraf yeh kitab bheji jo haqq lekar aayi hai aur al-kitab mein se jo kuch iske aagey maujood hai uski tasdeeq karne wali aur iski muhafiz o nigehban hai. Lihaza tum khuda ke nazil karda kanoon ke mutabiq logon ke maamlaat ka faisla karo aur jo haqq tumhare paas aaya hai ussey mooh moad kar inki khwahishat ki pairwi na karo. Humne tum mein se har ek keliye ek shariyat aur ek raah e amal muqarrar ki , agarche tumhara khuda chahta to tum sabko ek ummat bhi bana sakta tha, lekin usne yeh isliye kiya ke jo kuch usne tum logon ko diya hai usmein tumhari aazmaish karey, lihaza bhalaiyon mein ek dusre se sabaqat le janey ki koshish karo. Aakhir e kaar tum sab ko khuda ki taraf palat kar jana hai, phir woh tumhein asal haqeeqat bata dega jis mein tum ikhtilaf karte rahey ho
Surah Al-Maeda, Verse 48
وَأَنِ ٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ وَٱحۡذَرۡهُمۡ أَن يَفۡتِنُوكَ عَنۢ بَعۡضِ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ إِلَيۡكَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَٱعۡلَمۡ أَنَّمَا يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُصِيبَهُم بِبَعۡضِ ذُنُوبِهِمۡۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ لَفَٰسِقُونَ
Pas (aey Muhammad)! Tum Allah ke nazil karda kanoon ke mutabiq in logon ke maamlaat ka faisla karo aur inki khwahishat ki pairwi na karo. Hoshiyar raho ke yeh log tumko fitne mein daal kar us hidayat se zarra barabar munharif na karne paye jo khuda ne tumhari taraf nazil ki hai.Phir agar yeh issey mooh moadein to jaan lo ke Allah ne inke baaz gunaahon ki padash mein inko mubtala e museebat karne ka irada hi karliya hai, aur yeh haqeeqat hai ke in logon mein se aksar faasiq hain
Surah Al-Maeda, Verse 49
أَفَحُكۡمَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ يَبۡغُونَۚ وَمَنۡ أَحۡسَنُ مِنَ ٱللَّهِ حُكۡمٗا لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ
(agar yeh khuda ke kanoon se mooh moadte hain) to kya phir jahiliyat ka faisla chahte hain? Halanke jo log Allah par yaqeen rakhte hain unke nazdeek Allah se behtar faisla karne wala koi nahin hai
Surah Al-Maeda, Verse 50
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلۡيَهُودَ وَٱلنَّصَٰرَىٰٓ أَوۡلِيَآءَۘ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَمَن يَتَوَلَّهُم مِّنكُمۡ فَإِنَّهُۥ مِنۡهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aey logon jo iman laye ho! Yahudiyon(Jews) aur Isaiyon (Christians) ko apna rafeeq (dost) na banao. Yeh aapas hi mein ek dusre ke rafeeq hain. Aur agar tum mein se koi inko apna rafeeq banata hai to uska shumar bhi phir inhi mein hai.Yaqeenan Allah zaalimon ko apni rehnumayi se mehroom kar deta hai
Surah Al-Maeda, Verse 51
فَتَرَى ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يُسَٰرِعُونَ فِيهِمۡ يَقُولُونَ نَخۡشَىٰٓ أَن تُصِيبَنَا دَآئِرَةٞۚ فَعَسَى ٱللَّهُ أَن يَأۡتِيَ بِٱلۡفَتۡحِ أَوۡ أَمۡرٖ مِّنۡ عِندِهِۦ فَيُصۡبِحُواْ عَلَىٰ مَآ أَسَرُّواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ نَٰدِمِينَ
Tum dekhte ho ke jinke dilon mein nifaq ki bimari hai woh unhi mein daud-dhoop karte phirte hain, kehte hain “humein darr lagta hai ke kahin hum kisi museebat ke chakkar mein na phans jayein” magar baeed nahin ke Allah jab tumhein faisla-kun fatah (decisive victory) bakshega ya apni taraf se koi aur baat zaahir karega to yeh log apne is nifaaq (hypocrisy) par jisey yeh dilon mein chupaye huey hain naadim honge
Surah Al-Maeda, Verse 52
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَهَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ إِنَّهُمۡ لَمَعَكُمۡۚ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فَأَصۡبَحُواْ خَٰسِرِينَ
Aur us waqt ehle iman kahenge “kya yeh wahi log hain jo Allah ke naam se kadi kadi kasmein kha kar yaqeen dilate thay ke hum tumhare saath hain?” Unke sab aamal zaaya hogaye aur aakhir e kaar yeh nakaam o na-murad hokar rahey
Surah Al-Maeda, Verse 53
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَن يَرۡتَدَّ مِنكُمۡ عَن دِينِهِۦ فَسَوۡفَ يَأۡتِي ٱللَّهُ بِقَوۡمٖ يُحِبُّهُمۡ وَيُحِبُّونَهُۥٓ أَذِلَّةٍ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَعِزَّةٍ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ يُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلَا يَخَافُونَ لَوۡمَةَ لَآئِمٖۚ ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٌ
Aey logon jo iman laye ho, agar tum mein se koi apne deen se phirta hai (to phir jaye) Allah aur bhut se log aisey paida kardega jo Allah ko mehboob honge aur Allah unko mehboob hoga, jo momino par narm aur kuffar par sakht honge, jo Allah ki raah mein jidd o jahad karenge aur kisi malamat karne waley ki malamat se na darenge. Yeh Allah ka fazal hai, jisey chahta hai ata karta hai. Allah waseeh zaraye ka malik hai aur sab kuch jaanta hai
Surah Al-Maeda, Verse 54
إِنَّمَا وَلِيُّكُمُ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُمۡ رَٰكِعُونَ
Tumhare rafeeq to haqeeqat mein sirf Allah aur Allah ka Rasool aur woh ehle iman hain jo namaz qayam karte hain, zakat dete hain aur Allah ke aagey jhukne waley hain
Surah Al-Maeda, Verse 55
وَمَن يَتَوَلَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فَإِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡغَٰلِبُونَ
Aur jo Allah aur uske Rasool aur ehle iman ko apna rafeeq bana lein usey maloom ho ke Allah ki jamaat hi gaalib rehne wali hai
Surah Al-Maeda, Verse 56
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَكُمۡ هُزُوٗا وَلَعِبٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَٱلۡكُفَّارَ أَوۡلِيَآءَۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Aey logon jo iman laye ho, tumhare peshraw ehle kitab mein se jin logon ne tumhare deen ko mazaq aur tafreeh ka samaan bana liya hai, unhein aur dusre kaafiron ko apna dost aur rafeeq na banao. Allah se daro agar tum momin ho
Surah Al-Maeda, Verse 57
وَإِذَا نَادَيۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ ٱتَّخَذُوهَا هُزُوٗا وَلَعِبٗاۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَعۡقِلُونَ
Jab tum namaz keliye munadi (call) karte ho to woh iska mazaaq udate aur issey khelte hain. Iski wajah yeh hai ke woh aqal nahin rakhte
Surah Al-Maeda, Verse 58
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ هَلۡ تَنقِمُونَ مِنَّآ إِلَّآ أَنۡ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلُ وَأَنَّ أَكۡثَرَكُمۡ فَٰسِقُونَ
Insey kaho “Aey ehle kitaab! Tum jis baat par humse bigde ho (hate us) woh iske siwa aur kya hai ke hum Allah par aur deen ki us taleem par iman le aaye hain jo hamari taraf nazil hui hai aur humse pehle bhi nazil hui thi? Aur tum mein se aksar log fasiq hain.”
Surah Al-Maeda, Verse 59
قُلۡ هَلۡ أُنَبِّئُكُم بِشَرّٖ مِّن ذَٰلِكَ مَثُوبَةً عِندَ ٱللَّهِۚ مَن لَّعَنَهُ ٱللَّهُ وَغَضِبَ عَلَيۡهِ وَجَعَلَ مِنۡهُمُ ٱلۡقِرَدَةَ وَٱلۡخَنَازِيرَ وَعَبَدَ ٱلطَّـٰغُوتَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضَلُّ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
Phir kaho “kya main un logon ki nishandahi karoon jinka anjaam khuda ke haan fasiqon ke anjam se bhi badhtar hai? Woh jinpar khuda ne lanat ki, jinpar uska gazab toota, jinmein se bandar aur suwar banaye gaye, jinhon ne taghut ki bandagi ki unka darja aur bhi zyada bura hai aur woh sawa-e-sabeel (right path) se bahut zyada bhatke huye hain”
Surah Al-Maeda, Verse 60
وَإِذَا جَآءُوكُمۡ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَقَد دَّخَلُواْ بِٱلۡكُفۡرِ وَهُمۡ قَدۡ خَرَجُواْ بِهِۦۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا كَانُواْ يَكۡتُمُونَ
Jab yeh tum logon ke paas aate hain to kehte hain ke hum iman laye, halanke kufr liye huey aaye thay aur kufr hi liye huye wapas gaye, aur Allah khoob jaanta hai jo kuch yeh dilon mein chupaye huey hain
Surah Al-Maeda, Verse 61
وَتَرَىٰ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَأَكۡلِهِمُ ٱلسُّحۡتَۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Tum dekhte ho ke inmein se bakasrat log gunaah aur zulm o zyadati ke kaamon mein daud-dhoop karte phirte hain, aur haraam ke maal khate hain, bahut buri harakaat hain jo yeh kar rahey hain
Surah Al-Maeda, Verse 62
لَوۡلَا يَنۡهَىٰهُمُ ٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ عَن قَوۡلِهِمُ ٱلۡإِثۡمَ وَأَكۡلِهِمُ ٱلسُّحۡتَۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
Kyun inke ulema, aur mashahik (jursits) inhein gunaah par zubaan kholne aur haraam khane se nahin roakte? Yaqeenan bahut hi bura kaarnama e zindagi hai jo woh tayyar kar rahey hain
Surah Al-Maeda, Verse 63
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ يَدُ ٱللَّهِ مَغۡلُولَةٌۚ غُلَّتۡ أَيۡدِيهِمۡ وَلُعِنُواْ بِمَا قَالُواْۘ بَلۡ يَدَاهُ مَبۡسُوطَتَانِ يُنفِقُ كَيۡفَ يَشَآءُۚ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۚ وَأَلۡقَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ كُلَّمَآ أَوۡقَدُواْ نَارٗا لِّلۡحَرۡبِ أَطۡفَأَهَا ٱللَّهُۚ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادٗاۚ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Yahudi kehte hain Allah ke haath bandhey huey hain. Baandhey gaye inke haath, aur laanat padi inpar us bakwas ki badaulat jo yeh karte hain. Allah ke haath to kushada hain, jis tarah chahta hai kharch karta hai. Haqeeqat yeh hai ke jo kalaam tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil hua hai woh inmein se aksar logon ki sarkashi o baatil parasti mein ultey izafey ka mujeeb ban gaya hai, aur (iski padash mein) humne inke darmiyan qayamat tak ke liye adawat aur dushmani daal di hai. Jab kabhi yeh jung ki aag bhadkate hain Allah usko thanda kardeta hai. Yeh zameen mein fasaad phaylane ki sai(try) kar rahey hain, magar Allah fasaad barpa karne walon ko hargiz pasand nahin karta
Surah Al-Maeda, Verse 64
وَلَوۡ أَنَّ أَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ ءَامَنُواْ وَٱتَّقَوۡاْ لَكَفَّرۡنَا عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَأَدۡخَلۡنَٰهُمۡ جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
Agar (is sarkashi ke bajaye) yeh ehle kitab iman le aate aur khuda tarsi ki rawish ikhtiyar karte to hum inki buraiyan insey door kardete aur inko niyamat bhari jannaton mein pahunchate
Surah Al-Maeda, Verse 65
وَلَوۡ أَنَّهُمۡ أَقَامُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِم مِّن رَّبِّهِمۡ لَأَكَلُواْ مِن فَوۡقِهِمۡ وَمِن تَحۡتِ أَرۡجُلِهِمۚ مِّنۡهُمۡ أُمَّةٞ مُّقۡتَصِدَةٞۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ سَآءَ مَا يَعۡمَلُونَ
Kaash inhon ne Taurat aur Injeel aur un dusri kitaabon ko qayam kiya hota jo inke Rubb ki taraf se inke paas bheji gayi thi. Aisa karte to inke liye upar se rizq barasta aur nichey se ubalta ,agarche inmein kuch log raast-ro bhi hain lekin inki aksariyat sakht badh-amal hai
Surah Al-Maeda, Verse 66
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ بَلِّغۡ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۖ وَإِن لَّمۡ تَفۡعَلۡ فَمَا بَلَّغۡتَ رِسَالَتَهُۥۚ وَٱللَّهُ يَعۡصِمُكَ مِنَ ٱلنَّاسِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aey Paigambar! Jo kuch tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil kiya gaya hai woh logon tak pahuncha do , agar tumne aisa na kiya to uski paigambari ka haqq ada na kiya. Allah tumko logon ke sharr se bachaane wala hai. Yaqeen rakkho ke woh kafiron ko (tumhare muqable mein) kamiyabi ki raah hargiz na dikhayega
Surah Al-Maeda, Verse 67
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَسۡتُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍ حَتَّىٰ تُقِيمُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡۗ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۖ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Saaf kehdo ke “ Aey ehle kitaab! Tum hargiz kisi asal par nahin ho jab tak ke Taurat aur Injeel aur un dusri kitabon ko qayam na karo jo tumhare Rubb ki taraf se nazil ki gayi hain”. Zaroor hai ke yeh farmaan jo tumpar nazil kiya gaya hai inmein se aksar ki sarkashi aur inkar ko aur zyada badha dega, magar inkar karne walon ke haal par kuch afsos na karo
Surah Al-Maeda, Verse 68
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلصَّـٰبِـُٔونَ وَٱلنَّصَٰرَىٰ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
yaqeen jaano ke yahan ijara (exclusive claim to the truth) kisi ka bhi nahin hai) musalman ho ya yahudi, sabiy (sabiyans) hon ya Isayi (Christians), jo bhi Allah aur roz e aakhir par iman layega aur neik amal karega, beshak uske liye na kisi khauf ka muqaam hai na ranjj ka
Surah Al-Maeda, Verse 69
لَقَدۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَأَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمۡ رُسُلٗاۖ كُلَّمَا جَآءَهُمۡ رَسُولُۢ بِمَا لَا تَهۡوَىٰٓ أَنفُسُهُمۡ فَرِيقٗا كَذَّبُواْ وَفَرِيقٗا يَقۡتُلُونَ
Humne bani Israel se pukhta ahad liya aur unki taraf bahut se Rasool bheje, magar jab kabhi unke paas koi Rasool unki khwahishat e nafs ke khilaf kuch lekar aaya to kisi ko unhon ne jhutlaya aur kisi ko qatal kardiya
Surah Al-Maeda, Verse 70
وَحَسِبُوٓاْ أَلَّا تَكُونَ فِتۡنَةٞ فَعَمُواْ وَصَمُّواْ ثُمَّ تَابَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ ثُمَّ عَمُواْ وَصَمُّواْ كَثِيرٞ مِّنۡهُمۡۚ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
Aur apne nazdeek yeh samajhe ke koi fitna runama na hoga, isliye andhey aur behre ban gaye, phir Allah ne unhein maaf kiya to unmein se aksar log aur zyada andhey aur behre bantey chale gaye. Allah unki yeh sab harakaat dekhta raha hai
Surah Al-Maeda, Verse 71
لَقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۖ وَقَالَ ٱلۡمَسِيحُ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۖ إِنَّهُۥ مَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ ٱلۡجَنَّةَ وَمَأۡوَىٰهُ ٱلنَّارُۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٖ
Yaqeenan kufr kiya un logon ne jinhon ne kaha ke Allah Maseeh ibne Mariyam hi hai, halanke Maseeh ne kaha tha ke “ aey bani Israel! Allah ki bandagi karo jo mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi”. Jisne Allah ke saath kisi ko shareek thehraya uspar Allah ne Jannat haraam kardi aur uska thikana jahannum hai aur aisey zaalimon ka koi madadgaar nahin
Surah Al-Maeda, Verse 72
لَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ ثَالِثُ ثَلَٰثَةٖۘ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّآ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۚ وَإِن لَّمۡ يَنتَهُواْ عَمَّا يَقُولُونَ لَيَمَسَّنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Yaqeenan kufr kiya un logon ne jinhon ne kaha ke Allah teen (trinity)mein ka ek hai, halaanke ek khuda ke siwa koi khuda nahin hai. Agar yeh log apni in baaton se baaz na aaye to inmein se jis jisne kufr kiya hai usko dardnaak saza di jayegi
Surah Al-Maeda, Verse 73
أَفَلَا يَتُوبُونَ إِلَى ٱللَّهِ وَيَسۡتَغۡفِرُونَهُۥۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Phir kya yeh Allah se tauba na karenge aur ussey maafi na maangenge? Allah bahut darguzar farmane wala aur reham karne wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 74
مَّا ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَ إِلَّا رَسُولٞ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِ ٱلرُّسُلُ وَأُمُّهُۥ صِدِّيقَةٞۖ كَانَا يَأۡكُلَانِ ٱلطَّعَامَۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُبَيِّنُ لَهُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ ثُمَّ ٱنظُرۡ أَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Maseeh ibne Mariyam iske siwa kuch nahin ke bas ek Rasool tha, ussey pehle aur bhi bahut se Rasool guzar chuke thay, uski Maa ek raast-baaz(righteous) aurat thi, aur woh dono khana khate thay, dekho hum kis tarah inke saamne haqeeqat ki nishaniyan wazeh karte hain, phir dekho yeh kidhar ulte phire jatey hain
Surah Al-Maeda, Verse 75
قُلۡ أَتَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَمۡلِكُ لَكُمۡ ضَرّٗا وَلَا نَفۡعٗاۚ وَٱللَّهُ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Insey kaho, kya tum Allah ko chodh kar uski parastish karte ho jo na tumhare liye nuqsaan ka ikhtiyar rakhta hai na nafey ka? Halanke sabki sunney wala aur sabkuch jaanne wala to Allah hi hai
Surah Al-Maeda, Verse 76
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَلَا تَتَّبِعُوٓاْ أَهۡوَآءَ قَوۡمٖ قَدۡ ضَلُّواْ مِن قَبۡلُ وَأَضَلُّواْ كَثِيرٗا وَضَلُّواْ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
Kaho, aey ehle kitab! Apne deen mein na-haqq ghulu (go beyond bounds/ commit excess) na karo aur un logon ke taqelaat (inclinations/khwahishat) ki pairwi na karo jo tumse pehle khud gumraah huey aur bahuton ko gumrah kiya, aur “ sawa e sabeel (right path)” se bhatak gaye
Surah Al-Maeda, Verse 77
لُعِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَلَىٰ لِسَانِ دَاوُۥدَ وَعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ
Bani Israel mein se jin logon ne kufr ki raah ikhtiyar ki unpar Dawood aur Isa Ibn Mariyam ki zubaan se lanat ki gayi, kyunke woh sarkash ho gaye thay aur zyadatiyan karne lagey thay
Surah Al-Maeda, Verse 78
كَانُواْ لَا يَتَنَاهَوۡنَ عَن مُّنكَرٖ فَعَلُوهُۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
Unhon ne ek dusre ko burey afaal ke irteqab se roakna chodh diya tha, bura tarz e amal tha jo unhon ne ikhtiyar kiya
Surah Al-Maeda, Verse 79
تَرَىٰ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ يَتَوَلَّوۡنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ لَبِئۡسَ مَا قَدَّمَتۡ لَهُمۡ أَنفُسُهُمۡ أَن سَخِطَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَفِي ٱلۡعَذَابِ هُمۡ خَٰلِدُونَ
Aaj tum unmein ba-kasrat aisey log dekhte ho jo (ehle iman ke muqable mein) kuffar ki himayat o rafaqat karte hain, yaqeenan bahut bura anjaam hai jiski tayyari unke nafson ne unke liye ki hai. Allah unpar gazab-naak ho gaya hai aur woh daimi azaab mein mubtila honay waley hain
Surah Al-Maeda, Verse 80
وَلَوۡ كَانُواْ يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلنَّبِيِّ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مَا ٱتَّخَذُوهُمۡ أَوۡلِيَآءَ وَلَٰكِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ
Agar fil-waqayi yeh log Allah aur paigambar aur us cheez ke maanne waley hotay jo paigmbar par nazil hui thi to kabhi (ehle iman ke muqable mein) kafiron ko apna rafeeq na banate, magar inmein se to beshtar log khuda ki itaat se nikal chuke hain
Surah Al-Maeda, Verse 81
۞لَتَجِدَنَّ أَشَدَّ ٱلنَّاسِ عَدَٰوَةٗ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلۡيَهُودَ وَٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْۖ وَلَتَجِدَنَّ أَقۡرَبَهُم مَّوَدَّةٗ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّا نَصَٰرَىٰۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّ مِنۡهُمۡ قِسِّيسِينَ وَرُهۡبَانٗا وَأَنَّهُمۡ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ
Tum ehle iman ki adawat (dushmani) mein sabse zyada sakht yahud aur mushrikeen ko paogey, aur iman laney walon ke liye dosti mein qareeb-tar un logon ko paogey jinhon ne kaha tha ke hum nasara (Christians) hain, is wajah se ke unmein ibadat-guzaar aalim aur tareek ud duniya fakeer (monks) paye jatey hain aur unmein guroor e nafs (arrogant) nahin hai
Surah Al-Maeda, Verse 82
وَإِذَا سَمِعُواْ مَآ أُنزِلَ إِلَى ٱلرَّسُولِ تَرَىٰٓ أَعۡيُنَهُمۡ تَفِيضُ مِنَ ٱلدَّمۡعِ مِمَّا عَرَفُواْ مِنَ ٱلۡحَقِّۖ يَقُولُونَ رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱكۡتُبۡنَا مَعَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
Jab woh us kalaam ko sunte hain jo Rasool par utara hai to tum dekhte ho ke haqq shanasi(recognize truth) ke asar se unki aankhein aansuon (tears) se tarr ho jati hain, woh bol uthte hain ke “ parwardigar! Hum iman laye, hamara naam gawahi dene walon mein likh le”
Surah Al-Maeda, Verse 83
وَمَا لَنَا لَا نُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَمَا جَآءَنَا مِنَ ٱلۡحَقِّ وَنَطۡمَعُ أَن يُدۡخِلَنَا رَبُّنَا مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Aur woh kehte hain ke “ aakhir kyun na hum Allah par iman layein aur jo haqq hamare paas aaya hai usey kyun na maan lein, jabke hum is baat ki khwahish rakhte hain ke hamara Rubb humein saleh logon mein shamil karey?”
Surah Al-Maeda, Verse 84
فَأَثَٰبَهُمُ ٱللَّهُ بِمَا قَالُواْ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Unke is qaul ki wajah se Allah ne unko aisi jannatein ata ki jinke nichey nehrein behti hain aur woh unmein hamesha rahenge. Yeh jaza hai neik rawayya ikhtiyar karne walon ke liye
Surah Al-Maeda, Verse 85
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Rahey woh log jinhon ne hamari aayat ko maanne se inkar kiya aur unhein jhutlaya, to woh jahannum ke mustahiq hain
Surah Al-Maeda, Verse 86
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحَرِّمُواْ طَيِّبَٰتِ مَآ أَحَلَّ ٱللَّهُ لَكُمۡ وَلَا تَعۡتَدُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
Aey logon jo iman laye ho, jo paak cheezein Allah ne tumhare liye halal ki hain unhein haram na karlo aur hadd se tajawuz na karo, Allah ko zyadati karne waley sakht napasand hain
Surah Al-Maeda, Verse 87
وَكُلُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ حَلَٰلٗا طَيِّبٗاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
Jo kuch halaal o tayyab rizq Allah ne tumko diya hai usey khao peo aur us khuda ki nafarmani se bachte raho jispar tum iman laye ho
Surah Al-Maeda, Verse 88
لَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَٰنَۖ فَكَفَّـٰرَتُهُۥٓ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖۚ ذَٰلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Tum log jo mohmal (utter vainly) kasamein kha lete ho unpar Allah giraft nahin karta, magar jo kasamein tum jaan boojh kar khate ho unpar woh tumse zaroor mawaqeza (take you to task) karega. (Aisi kasam toadne ka) kaffara yeh hai ke dus miskeeno ko woh awsat (average) darje ka khana khilao jo tum apne baal bacchon ko khilate ho, ya unhein kapde pehnao, ya ek gulaam azad karo, aur jo iski istitaat (capability) na rakhta ho woh teen din ke roze rakkhe. Yeh tumhari kasamon ka kaffara hai jabke tum kasam kha kar toad do. Apni kasamon ki hifazat kiya karo, is tarah Allah apne ehkaam tumhare liye wazeh karta hai shayad ke tum shukar ada karo
Surah Al-Maeda, Verse 89
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّمَا ٱلۡخَمۡرُ وَٱلۡمَيۡسِرُ وَٱلۡأَنصَابُ وَٱلۡأَزۡلَٰمُ رِجۡسٞ مِّنۡ عَمَلِ ٱلشَّيۡطَٰنِ فَٱجۡتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aey logon jo iman laye ho , yeh sharab(intoxication) aur juwa (gambling) aur yeh aastaane[(dedication of) stones] aur paasein [(divination by) arrows], yeh sab gandey shaytaani kaam hain, insey parheiz karo, umeed hain ke tumhein falaah naseeb hogi
Surah Al-Maeda, Verse 90
إِنَّمَا يُرِيدُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَن يُوقِعَ بَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ فِي ٱلۡخَمۡرِ وَٱلۡمَيۡسِرِ وَيَصُدَّكُمۡ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَعَنِ ٱلصَّلَوٰةِۖ فَهَلۡ أَنتُم مُّنتَهُونَ
Shaytan to yeh chahta hai ke sharab aur juwey ke zariye se tumhare darmiyan adawat aur bugz (enmity and hatred) daal de aur tumhein khuda ki yaad se aur namaz se roak de, phir kya tum in cheezon se baaz rahogey
Surah Al-Maeda, Verse 91
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَٱحۡذَرُواْۚ فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Allah aur uske Rasool ki baat maano aur baaz aa jao, lekin agar tumne hukum adauli ki (if you turn back) to jaan lo ke hamare Rasool par bas saaf saaf hukum panhuncha dene ki zimmedari thi
Surah Al-Maeda, Verse 92
لَيۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جُنَاحٞ فِيمَا طَعِمُوٓاْ إِذَا مَا ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّأَحۡسَنُواْۚ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Jo log iman le aaye aur neik amal karne lagey unhon ne pehle jo kuch khaya piya tha uspar koi giraft na hogi, bashart-e-ke woh aainda un cheezon se bachey rahein jo haraam ki gayi hain aur iman par sabit qadam rahein aur acchey kaam karein. Phir jis jis cheez se roka jaye ussey rukein aur jo farmaan e ilahi ho usey maanein, phir khuda tarsi ke saath neik rawayya rakkhein, Allah neik kirdar logon ko pasand karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 93
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَيَبۡلُوَنَّكُمُ ٱللَّهُ بِشَيۡءٖ مِّنَ ٱلصَّيۡدِ تَنَالُهُۥٓ أَيۡدِيكُمۡ وَرِمَاحُكُمۡ لِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ مَن يَخَافُهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ فَمَنِ ٱعۡتَدَىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَلَهُۥ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, Allah tumhein us shikar ke zariye se sakht aazmaish mein daalega jo bilkul tumhare haathon aur neizon(lances) ki zadh mein hoga, yeh dekhne ke liye ke tum mein se kaun ussey gayibana darta hai, phir jisne is tambeeh (warning) ke baad Allah ki muqarrar ki hui hadh se tajawuz kiya uske liye dardnaak saza hai
Surah Al-Maeda, Verse 94
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡتُلُواْ ٱلصَّيۡدَ وَأَنتُمۡ حُرُمٞۚ وَمَن قَتَلَهُۥ مِنكُم مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآءٞ مِّثۡلُ مَا قَتَلَ مِنَ ٱلنَّعَمِ يَحۡكُمُ بِهِۦ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ هَدۡيَۢا بَٰلِغَ ٱلۡكَعۡبَةِ أَوۡ كَفَّـٰرَةٞ طَعَامُ مَسَٰكِينَ أَوۡ عَدۡلُ ذَٰلِكَ صِيَامٗا لِّيَذُوقَ وَبَالَ أَمۡرِهِۦۗ عَفَا ٱللَّهُ عَمَّا سَلَفَۚ وَمَنۡ عَادَ فَيَنتَقِمُ ٱللَّهُ مِنۡهُۚ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
Aey logon jo iman laye ho! Ehram ki halat mein shikar na maaro, aur agar tum mein se koi jaan boojh kar aisa kar guzre to jo jaanwar usne maara ho usi ke hum pala (similar) ek jaanwar usi maweshiyon mein se nazar dena hoga, jiska faisla tum mein se do aadil (just) aadmi karenge, aur yeh nazarana Kaaba pahunchaya jayega, ya nahin to is gunaah ke kaffare mein chandh miskeeno ko khana khilana hoga, ya iske ba-qadr roze rakhne honge, taa-ke woh apne kiye ka maza chakkhey, pehle jo kuch ho chukka usey Allah ne maaf kardiya, lekin ab agar kisi ne is harkat ka iaada kiya to ussey Allah badla lega, Allah sab par gaalib hai aur badla lene ki taaqat rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 95
أُحِلَّ لَكُمۡ صَيۡدُ ٱلۡبَحۡرِ وَطَعَامُهُۥ مَتَٰعٗا لَّكُمۡ وَلِلسَّيَّارَةِۖ وَحُرِّمَ عَلَيۡكُمۡ صَيۡدُ ٱلۡبَرِّ مَا دُمۡتُمۡ حُرُمٗاۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Tumhare liye samandar ka shikar aur uska khana halaal kardiya gaya, jahan tum thehro wahan bhi usey kha sakte ho aur kafilay(travellers) ke liye zaad-e-raah bhi bana sakte ho. Albatta khushki(land) ka shikar jab tak tum ehram ki halat mein ho tumpar haraam kiya gaya hai. Pas bacho us khuda ki nafarmani se jiski peshi mein tum sabko gher kar haazir kiya jayega
Surah Al-Maeda, Verse 96
۞جَعَلَ ٱللَّهُ ٱلۡكَعۡبَةَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ قِيَٰمٗا لِّلنَّاسِ وَٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَٱلۡهَدۡيَ وَٱلۡقَلَـٰٓئِدَۚ ذَٰلِكَ لِتَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَأَنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Allah ne makaan e mohtaram, Kaaba ko logon ke liye (ijtimayi zindagi ke) qayam ka zariya banaya aur maah e haraam aur qurbani ke jaanwaron aur qaladon[garlands (by which they are identified)] ko bhi (is kaam mein muawin bana diya) taa-ke tumhein maloom ho jaye ke Allah aasmaano aur zameen ke sab haalaat se bakhabar hai aur usey har cheez ka ilam hai
Surah Al-Maeda, Verse 97
ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ وَأَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Khabardar ho jao!Allah saza dene mein bhi sakht hai aur iske saath bahut darguzar aur reham bhi karne wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 98
مَّا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا تَكۡتُمُونَ
Rasool par to sirf paigam pahuncha dene ki zimmedari hai, aagey tumhare khule aur chupe sab halaat ka jaanne wala Allah hai
Surah Al-Maeda, Verse 99
قُل لَّا يَسۡتَوِي ٱلۡخَبِيثُ وَٱلطَّيِّبُ وَلَوۡ أَعۡجَبَكَ كَثۡرَةُ ٱلۡخَبِيثِۚ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
(Aey paigambar!) insey kehdo ke paak aur napaak bahar haal yaksan nahin hain, khwa napaak ki bohtaat (abundance) tumhein kitni hi farifta (pleased) karne wali ho. Pas aey logon jo aqal rakhte ho! Allah ki nafarmani se bachte raho, umeed hai ke tumhein falaah naseeb hogi
Surah Al-Maeda, Verse 100
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَسۡـَٔلُواْ عَنۡ أَشۡيَآءَ إِن تُبۡدَ لَكُمۡ تَسُؤۡكُمۡ وَإِن تَسۡـَٔلُواْ عَنۡهَا حِينَ يُنَزَّلُ ٱلۡقُرۡءَانُ تُبۡدَ لَكُمۡ عَفَا ٱللَّهُ عَنۡهَاۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌ حَلِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, aisi baatein na pucha karo jo tumpar zaahir kardi jayein to tumhein nagawaar hon, lekin agar tum unhein aise waqt puchoge jab ke Quran nazil ho raha ho to woh tumpar khol di jayengi, ab tak jo kuch tumne kiya usey Allah ne maaf kardiya, woh darguzar karne wala aur burdbaar(All-Forbearing) hai
Surah Al-Maeda, Verse 101
قَدۡ سَأَلَهَا قَوۡمٞ مِّن قَبۡلِكُمۡ ثُمَّ أَصۡبَحُواْ بِهَا كَٰفِرِينَ
Tumse pehle ek giroh ne isi qism ke sawalaat kiye thay, phir woh log inhi baaton ki wajah se kufr mein mubtala ho gaye
Surah Al-Maeda, Verse 102
مَا جَعَلَ ٱللَّهُ مِنۢ بَحِيرَةٖ وَلَا سَآئِبَةٖ وَلَا وَصِيلَةٖ وَلَا حَامٖ وَلَٰكِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۖ وَأَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ
Allah ne koi Bahirah (cattle devoted to idols) muqarrar kiya hai na Saiba(a she-camel let loose for free pasture for their false gods, e.g. idols, etc) aur na wasilah (a she-camel set free for idols because it has given birth to a she-camel at its first delivery) aur na Ham (a stallion-camel freed from work for their idols, after it had finished a number of copulations assigned for it) magar yeh kafir Allah par jhooti tohmat lagate hain aur inmein se aksar be-aqal hain (kahan aisey wahamiyat ko maan rahey hain)
Surah Al-Maeda, Verse 103
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ قَالُواْ حَسۡبُنَا مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ءَابَآؤُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَهۡتَدُونَ
Aur jab inse kaha jata hai ke aao us kanoon ki taraf jo Allah ne nazil kiya hai aur aao paigambar ki taraf, to woh jawab dete hain ke hamare liye to bas wahi tareeqa kaafi hai jispar humne apne baap dada ko paya hai. Kya yeh baap dada hi ki taqleed kiye chale jayenge khwa woh kuch na jaante hon aur saheeh raaste ki unhein khabar hi na ho
Surah Al-Maeda, Verse 104
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَيۡكُمۡ أَنفُسَكُمۡۖ لَا يَضُرُّكُم مَّن ضَلَّ إِذَا ٱهۡتَدَيۡتُمۡۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aey logon jo iman laye ho, apni fikr karo, kisi dusre ki gumraahi se tumhara kuch nahin bigadta agar tum khud raah e raast par ho, Allah ki taraf tum sab ko palat kar jana hai, phir woh tumhein bata dega ke tum kya karte rahey ho
Surah Al-Maeda, Verse 105
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ شَهَٰدَةُ بَيۡنِكُمۡ إِذَا حَضَرَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ حِينَ ٱلۡوَصِيَّةِ ٱثۡنَانِ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ أَوۡ ءَاخَرَانِ مِنۡ غَيۡرِكُمۡ إِنۡ أَنتُمۡ ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَأَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةُ ٱلۡمَوۡتِۚ تَحۡبِسُونَهُمَا مِنۢ بَعۡدِ ٱلصَّلَوٰةِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ لَا نَشۡتَرِي بِهِۦ ثَمَنٗا وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰ وَلَا نَكۡتُمُ شَهَٰدَةَ ٱللَّهِ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلۡأٓثِمِينَ
Aey logon jo iman laye ho, jab tum mein se kisi ki maut ka waqt aa jaye aur woh wasiyat kar raha ho to uske liye shahadat ka nisab yeh hai ke tumhari jamaat mein se do (two) sahib-e-adal aadmi gawah banaye jayein, ya agar tum safar ki halat mein ho aur wahan maut ki museebat pesh aa jaye to gair muslimon hi mein se do gawah le liye jaye. Phir agar koi shakk padh jaye to namaz ke baad dono gawahon ko (masjid mein) roak liya jaye aur woh khuda ki kasam kha kar kahein ke “hum kisi zaati faiyde ke evaz shahadat bechne waley nahin hain, aur khwa koi hamara rishtedaar hi kyun na ho ( hum uski riayat karne waley nahin) aur na khuda waste ki gawahi ko hum chupane waley hain, agar humne aisa kiya to gunaah-gaaron mein shumar hongey”
Surah Al-Maeda, Verse 106
فَإِنۡ عُثِرَ عَلَىٰٓ أَنَّهُمَا ٱسۡتَحَقَّآ إِثۡمٗا فَـَٔاخَرَانِ يَقُومَانِ مَقَامَهُمَا مِنَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَوۡلَيَٰنِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ لَشَهَٰدَتُنَآ أَحَقُّ مِن شَهَٰدَتِهِمَا وَمَا ٱعۡتَدَيۡنَآ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Lekin agar pata chal jaye ke in dono ne apne aap ko gunaah mein mubtila kiya hai to phir inki jagah do aur shaks jo inki ba-nisbat shahadat dene ke liye ehal-tar hon un logon mein se khade hon jinki haqq talfi hui ho, aur who khuda ki qasam kha kar kahen ke “hamari shahadat unki shahadat se zyada bar-haqq hai aur humne apni gawahi mein koi zyadati nahin ki hai, agar hum aisa karein to zalimon mein se hongey”
Surah Al-Maeda, Verse 107
ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَن يَأۡتُواْ بِٱلشَّهَٰدَةِ عَلَىٰ وَجۡهِهَآ أَوۡ يَخَافُوٓاْ أَن تُرَدَّ أَيۡمَٰنُۢ بَعۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱسۡمَعُواْۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Is tareeqe se zyada tawaqqu ki ja sakti hai ke log theek theek shahadat denge, ya kam az kam is baat hi ka khauff karenge ke unki kasamon ke baad dusri kasamon se kahin unki tardeed na ho jaye. Allah se daro aur suno, Allah nafarmani karne walon ko apni rehnumayi se mehroom kar deta nahin hai
Surah Al-Maeda, Verse 108
۞يَوۡمَ يَجۡمَعُ ٱللَّهُ ٱلرُّسُلَ فَيَقُولُ مَاذَآ أُجِبۡتُمۡۖ قَالُواْ لَا عِلۡمَ لَنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Jis roz Allah sab Rasoolon ko jamaa karke puchega ke tumhein kya jawab diya gaya hai, to woh arz karenge ke humein kuch ilm nahin, aap hi tamaam posheeda(hidden) haqeeqaton ko jaante hain
Surah Al-Maeda, Verse 109
إِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱذۡكُرۡ نِعۡمَتِي عَلَيۡكَ وَعَلَىٰ وَٰلِدَتِكَ إِذۡ أَيَّدتُّكَ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِ تُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗاۖ وَإِذۡ عَلَّمۡتُكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَۖ وَإِذۡ تَخۡلُقُ مِنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ بِإِذۡنِي فَتَنفُخُ فِيهَا فَتَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِيۖ وَتُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ تُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ كَفَفۡتُ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَنكَ إِذۡ جِئۡتَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Phir tasawwur karo us mauqe ka jab Allah farmayega ke “Aey Maryam ke bete Isa! Yaad kar meri us niyamat ko jo maine tujhey aur teri Maa ko ata ki thi, maine rooh-e-paak se teri madad ki, tu gehware (cradle) mein bhi logon se baat karta tha aur badi umar ko pahunch kar bhi. Maine tujhko kitaab aur hikmat aur Taurat aur injil ki taleem di, tu mere hukum se mitti ka putla parinde ki shakal ka banata aur us mein phoonkta tha aur woh mere hukum se parinda ban jata tha, tu madar-zaad (by birth) andhey(blind) aur kodhi (leper) ko mere hukum se accha karta tha, tu murdon ko mere hukum se nikalta tha. Phir jab tu bani Israel ke paas sareeh nishaniyan lekar pahunhca aur jo log un mein se munkir e haqq thay unhon ne kaha ke yeh nishaniyan jaadugari ke siwa aur kuch nahin hain, to maine hi tujhey unsey bachaya
Surah Al-Maeda, Verse 110
وَإِذۡ أَوۡحَيۡتُ إِلَى ٱلۡحَوَارِيِّـۧنَ أَنۡ ءَامِنُواْ بِي وَبِرَسُولِي قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَٱشۡهَدۡ بِأَنَّنَا مُسۡلِمُونَ
Aur jab maine hawariyon (disciples) ko ishara kiya ke mujhpar aur mere Rasool par iman lao, tab unhon ne kaha ke “ hum iman laye aur gawah raho ke hum muslim hain”
Surah Al-Maeda, Verse 111
إِذۡ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ هَلۡ يَسۡتَطِيعُ رَبُّكَ أَن يُنَزِّلَ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِۖ قَالَ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
(Hawariyon ke silsile mein) yeh waqia bhi yaad rahey ke jab hawariyon ne kaha, Aey Isa ibne Mariyam! Kya aap ka Rubb humpar aasmaan se khane ka ek khwan (table spread) utar sakta hai? To Isa ne kaha Allah se daro agar tum momin ho
Surah Al-Maeda, Verse 112
قَالُواْ نُرِيدُ أَن نَّأۡكُلَ مِنۡهَا وَتَطۡمَئِنَّ قُلُوبُنَا وَنَعۡلَمَ أَن قَدۡ صَدَقۡتَنَا وَنَكُونَ عَلَيۡهَا مِنَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
Unhon ne kaha hum bas yeh chahte hain ke is khwan se khana khayein aur hamare dil mutmaeen (staisfied) hon aur humein maloom ho jaye ke aap ne jo kuch humse kaha hai woh sach hai aur hum ispar gawah hon
Surah Al-Maeda, Verse 113
قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ ٱللَّهُمَّ رَبَّنَآ أَنزِلۡ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ تَكُونُ لَنَا عِيدٗا لِّأَوَّلِنَا وَءَاخِرِنَا وَءَايَةٗ مِّنكَۖ وَٱرۡزُقۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
Ispar Isa ibn-e-Mariyam ne dua ki “ khudaya ! hamare Rubb! Humpar aasman se ek khwan nazil kar jo hamare liye aur hamare aglon pichlon ke liye khushi ka mauqa qaraar paye aur teri taraf se ek nishani ho, humko rizq de aur tu behtareen raziq hai”
Surah Al-Maeda, Verse 114
قَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مُنَزِّلُهَا عَلَيۡكُمۡۖ فَمَن يَكۡفُرۡ بَعۡدُ مِنكُمۡ فَإِنِّيٓ أُعَذِّبُهُۥ عَذَابٗا لَّآ أُعَذِّبُهُۥٓ أَحَدٗا مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Allah ne jawab dia “ main usko tumpar nazil karne wala hoon , magar uske baad jo tum mein se kufr karega usey main aisi saza dunga jo duniya mein kisi ko na di hogi”
Surah Al-Maeda, Verse 115
وَإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ءَأَنتَ قُلۡتَ لِلنَّاسِ ٱتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَٰهَيۡنِ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أَقُولَ مَا لَيۡسَ لِي بِحَقٍّۚ إِن كُنتُ قُلۡتُهُۥ فَقَدۡ عَلِمۡتَهُۥۚ تَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِي وَلَآ أَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِكَۚ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Garz jab ( yeh ehsanaat yaad dilakar) Allah farmayega ke “aey Isa ibn-e-Mariyam kya tu nay logon se kaha tha ke khuda ke siwa mujhey aur meri Maa ko bhi khuda bana lo?” To woh jawab mein arz karega ke “ Suban Allah! Mera yeh kaam na tha ke woh baat kehta jiske kehne ka mujhey haqq na tha, agar maine aisi baat kahi hoti, to aapko zaroor ilm hota, aap jaante hain jo kuch mere dil mein hai aur main nahin jaanta jo kuch aapke dil mein hai, aap to saari poshida haqeeqaton ke aalim hain
Surah Al-Maeda, Verse 116
مَا قُلۡتُ لَهُمۡ إِلَّا مَآ أَمَرۡتَنِي بِهِۦٓ أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۚ وَكُنتُ عَلَيۡهِمۡ شَهِيدٗا مَّا دُمۡتُ فِيهِمۡۖ فَلَمَّا تَوَفَّيۡتَنِي كُنتَ أَنتَ ٱلرَّقِيبَ عَلَيۡهِمۡۚ وَأَنتَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Maine unse uske siwa kuch nahin kaha jiska aapne hukum diya tha, yeh ke Allah ki bandagi karo jo mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi, main usi waqt tak unka nigraan tha jab tak ke main unke darmiyan tha, jab aapne mujhey wapas bula liya to aap unpar nigraan thay aur aap to saari hi cheezon par nigraan hain
Surah Al-Maeda, Verse 117
إِن تُعَذِّبۡهُمۡ فَإِنَّهُمۡ عِبَادُكَۖ وَإِن تَغۡفِرۡ لَهُمۡ فَإِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Ab agar aap unhein saza dein to woh aapke banday hain aur agar maaf kardein to aap galib aur dana hain”
Surah Al-Maeda, Verse 118
قَالَ ٱللَّهُ هَٰذَا يَوۡمُ يَنفَعُ ٱلصَّـٰدِقِينَ صِدۡقُهُمۡۚ لَهُمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ رَّضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Tab Allah farmayega “ yeh woh din hai jismein sacchon ko unki sachhayi nafa deti hai, unke liye aisey baagh hain jinke nichey nehrein beh rahi hain, yahan woh hamesha rahenge, Allah unse razi hua aur woh Allah se, yahi badi kamiyabi hai”
Surah Al-Maeda, Verse 119
لِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا فِيهِنَّۚ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرُۢ
Zameeen aur aasmano aur tamaam maujoodaat ki baadshahi Allah hi ke liye hai aur woh har cheez par qudrat rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 120