Surah Al-Maeda Verse 95 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡتُلُواْ ٱلصَّيۡدَ وَأَنتُمۡ حُرُمٞۚ وَمَن قَتَلَهُۥ مِنكُم مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآءٞ مِّثۡلُ مَا قَتَلَ مِنَ ٱلنَّعَمِ يَحۡكُمُ بِهِۦ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ هَدۡيَۢا بَٰلِغَ ٱلۡكَعۡبَةِ أَوۡ كَفَّـٰرَةٞ طَعَامُ مَسَٰكِينَ أَوۡ عَدۡلُ ذَٰلِكَ صِيَامٗا لِّيَذُوقَ وَبَالَ أَمۡرِهِۦۗ عَفَا ٱللَّهُ عَمَّا سَلَفَۚ وَمَنۡ عَادَ فَيَنتَقِمُ ٱللَّهُ مِنۡهُۚ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
Aey logon jo iman laye ho! Ehram ki halat mein shikar na maaro, aur agar tum mein se koi jaan boojh kar aisa kar guzre to jo jaanwar usne maara ho usi ke hum pala (similar) ek jaanwar usi maweshiyon mein se nazar dena hoga, jiska faisla tum mein se do aadil (just) aadmi karenge, aur yeh nazarana Kaaba pahunchaya jayega, ya nahin to is gunaah ke kaffare mein chandh miskeeno ko khana khilana hoga, ya iske ba-qadr roze rakhne honge, taa-ke woh apne kiye ka maza chakkhey, pehle jo kuch ho chukka usey Allah ne maaf kardiya, lekin ab agar kisi ne is harkat ka iaada kiya to ussey Allah badla lega, Allah sab par gaalib hai aur badla lene ki taaqat rakhta hai