Surah Al-Maeda Verse 95 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡتُلُواْ ٱلصَّيۡدَ وَأَنتُمۡ حُرُمٞۚ وَمَن قَتَلَهُۥ مِنكُم مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآءٞ مِّثۡلُ مَا قَتَلَ مِنَ ٱلنَّعَمِ يَحۡكُمُ بِهِۦ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ هَدۡيَۢا بَٰلِغَ ٱلۡكَعۡبَةِ أَوۡ كَفَّـٰرَةٞ طَعَامُ مَسَٰكِينَ أَوۡ عَدۡلُ ذَٰلِكَ صِيَامٗا لِّيَذُوقَ وَبَالَ أَمۡرِهِۦۗ عَفَا ٱللَّهُ عَمَّا سَلَفَۚ وَمَنۡ عَادَ فَيَنتَقِمُ ٱللَّهُ مِنۡهُۚ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
aye imaan waalo! (wehshi) shikaar ko qatl math karo jab ke tum haalath ehraam mein ho, aur jo shaqs tum se us ko jaan bojh kar qatl karega ta us par fidya waajib hoga jo ke masaawi hoga us jaanwar ke, jis ko us ne qatl kiya hai, jis ka faisla tum mein se do mutebar shaqs karde qaah wo fidya qaas chaupaayo mein se ho, jo niyaaz ke taur par kaabe tak pahochaaya jaaye aur qaah kaffaara masaakeen ko de diya jaaye aur qaah us ke baraabar roze rakh liye jaaye ta ke apne kiye ki shaamath ka maza chake, Allah ta’ala ne guzishta ko maaf kar diya aur jo shaqs phir aisi hee harkath karega to Allah ta’ala inteqaam lega aur Allah zabardast hai inteqaam lene waala