Surah Al-Maeda - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَوۡفُواْ بِٱلۡعُقُودِۚ أُحِلَّتۡ لَكُم بَهِيمَةُ ٱلۡأَنۡعَٰمِ إِلَّا مَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ غَيۡرَ مُحِلِّي ٱلصَّيۡدِ وَأَنتُمۡ حُرُمٌۗ إِنَّ ٱللَّهَ يَحۡكُمُ مَا يُرِيدُ
ae iman walo! ahado paima1 pure karo,tumhare liye maweshi chaupae halal kiye gae hai,bajoz un ke jin ke nam pud kar suna diye jaenge magar haalate ehraam mein shikar ko halal jaanne wale na banna,yaqinan Allah tala jo chahe hukm karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 1
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحِلُّواْ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ وَلَا ٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَلَا ٱلۡهَدۡيَ وَلَا ٱلۡقَلَـٰٓئِدَ وَلَآ ءَآمِّينَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّهِمۡ وَرِضۡوَٰنٗاۚ وَإِذَا حَلَلۡتُمۡ فَٱصۡطَادُواْۚ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ أَن صَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ أَن تَعۡتَدُواْۘ وَتَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَلَا تَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
ae iman walo! Allah tala ke shaayer2 ki be-hurmati na karo na adab wale mahino ki na haram mein qurbani hone wale, aur patte pehnae gae janwaro ki, jo kaba ko jare rahe ho,aur na un logo ki jo baitullah ke qasd se apne rub tala ke fazal aur us ki raza joi ki niyyath se ja rahe ho,haan jab tum ehram utar dalo tuh shikar khel sakte ho,jin logo ne tumhe masjid haraam se ruka tha un ki dushmani tumhe is bath par amada na kare ke tum hudh se guzar jao,neki aur parhezagari mein ek dosre ki imdad karte raho aur gunah aur zulm wa zyadati mein madad na karo,aur Allah tala se darte raho,be’shak Allah tala saqth saza dene wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 2
حُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةُ وَٱلدَّمُ وَلَحۡمُ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦ وَٱلۡمُنۡخَنِقَةُ وَٱلۡمَوۡقُوذَةُ وَٱلۡمُتَرَدِّيَةُ وَٱلنَّطِيحَةُ وَمَآ أَكَلَ ٱلسَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّيۡتُمۡ وَمَا ذُبِحَ عَلَى ٱلنُّصُبِ وَأَن تَسۡتَقۡسِمُواْ بِٱلۡأَزۡلَٰمِۚ ذَٰلِكُمۡ فِسۡقٌۗ ٱلۡيَوۡمَ يَئِسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن دِينِكُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِۚ ٱلۡيَوۡمَ أَكۡمَلۡتُ لَكُمۡ دِينَكُمۡ وَأَتۡمَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ نِعۡمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلۡإِسۡلَٰمَ دِينٗاۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ فِي مَخۡمَصَةٍ غَيۡرَ مُتَجَانِفٖ لِّإِثۡمٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
tum par haraam kiya gaya murdar aur qoon aur qinzir ka gosht aur jis par Allah ke siva dosre ka nam pukara gaya ho,aur jo gala ghutne se mara ho, aur jo kisi zarb se mar gaya ho, aur jo onchi jagah se gir kar mara ho, aur jo kisi ke sing marne se mara ho,aur jise darindo ne phad khaya ho,lekin ose tum zubah kar dalo tuh haraam nahi,aur jo astano par zubah kiya gaya ho,aur ye ke qura ke tiro se faal-geri karo, ye sub budhtarin gunah hai,aaj kuffar tumhare deen se na’ummid ho gae,qabardar!tum un se na darna aur mujh se darte rehna,aaj mein ne tumhare liye deen ko kamil kar diya aur tum par apna in’aam bharpor kar diya aur tumhare liye Islam ke deen hone par raza mand ho gaya,pus jo shaqs shiddath ki bhok mein be-qarar ho jae,basharth ye ke kisi gunah ki taraf us ka mailan na ho,tuh yaqinan Allah tala maaf karne wala aur bahuth bada meherban hai
Surah Al-Maeda, Verse 3
يَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَآ أُحِلَّ لَهُمۡۖ قُلۡ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُ وَمَا عَلَّمۡتُم مِّنَ ٱلۡجَوَارِحِ مُكَلِّبِينَ تُعَلِّمُونَهُنَّ مِمَّا عَلَّمَكُمُ ٱللَّهُۖ فَكُلُواْ مِمَّآ أَمۡسَكۡنَ عَلَيۡكُمۡ وَٱذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهِۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
aap se daryafth karte hai ke un ke liye kya kuch halal hai? aap keh dijiye ke tamam pak chize tumhare liye halal ki gai hai, aur jin shikar khelne wale janwaro ko tum ne sudhaar rakha hai yani jinhe tum thoda bahuth wo sikhate ho jis ki talim Allah tala ne tumhe de rakhi hai,pus jis shikar ko wo tumhare liye pakad kar rok rakhe,tuh tum us se khalo aur us par Allah tala ke nam ka zikr kar liya karo,aur Allah tala se darte raho,yaqinan Allah tala jald hisab lene wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 4
ٱلۡيَوۡمَ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُۖ وَطَعَامُ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ حِلّٞ لَّكُمۡ وَطَعَامُكُمۡ حِلّٞ لَّهُمۡۖ وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ مُحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَ وَلَا مُتَّخِذِيٓ أَخۡدَانٖۗ وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱلۡإِيمَٰنِ فَقَدۡ حَبِطَ عَمَلُهُۥ وَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
kul pakiza chize aaj tumhare liye halal ki gai aur ahle kitab ka zabiha tumhare liye halal hai,aur paak daaman musalman aurte aur jo log tum se pehle kitab diye gae hai un ki paak daaman aurte bhi halal hai,jab ke tum un ka meher ada karo, is tarah ke tum un se ba-qaeda nikah karo,ye nahi ke elaniya zina karo ya poshida budhkari karo,munkirin iman ke amaal zaya aur akarath hai aur aqirath mein wo haarne walo mein se hai
Surah Al-Maeda, Verse 5
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قُمۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ فَٱغۡسِلُواْ وُجُوهَكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ إِلَى ٱلۡمَرَافِقِ وَٱمۡسَحُواْ بِرُءُوسِكُمۡ وَأَرۡجُلَكُمۡ إِلَى ٱلۡكَعۡبَيۡنِۚ وَإِن كُنتُمۡ جُنُبٗا فَٱطَّهَّرُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُم مِّنۡهُۚ مَا يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيَجۡعَلَ عَلَيۡكُم مِّنۡ حَرَجٖ وَلَٰكِن يُرِيدُ لِيُطَهِّرَكُمۡ وَلِيُتِمَّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
ae iman walo! jab tum namaz ke liye uto tuh apne muh ko aur apne hatho ko kuhniyo sameth dhulo,apne saro ka masah karo,aur apne pao ko taqno sameth dhulo aur agar tum janabath ki halath mein ho tuh ghusol karlo,haan agar tum bimar ho ya safar ki halath mein ho ya tum mein se koi haajath zarori se farigh ho kar aya ho,ya tum aurto se mile ho aur tumhe pani na mile tuh tum pak mitthi se temum karlo,ose apne chehro aur hatho par mal lo,Allah tala tum par kisi qism ki tangi dalna nahi chahta, balke us ka irada tumhe paak karne ka aur tumhe apni bharpor nemath dene ka hai,ta ke tum shukar ada karte raho
Surah Al-Maeda, Verse 6
وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَمِيثَٰقَهُ ٱلَّذِي وَاثَقَكُم بِهِۦٓ إِذۡ قُلۡتُمۡ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
tum par Allah tala ki jo nemate nazil hoi hai unhe yad rakho, aur us ke us ahad ko bhi jis ka tum se muaaheda hoa hai,jab ke tum ne kaha ke hum ne suna aur maana, aur Allah tala se darte raho,yaqinan Allah tala dilo ki batho ka jaanne wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 7
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُواْ قَوَّـٰمِينَ لِلَّهِ شُهَدَآءَ بِٱلۡقِسۡطِۖ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ عَلَىٰٓ أَلَّا تَعۡدِلُواْۚ ٱعۡدِلُواْ هُوَ أَقۡرَبُ لِلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
ae iman walo! tum Allah ki qatir haq par qa’em ho jao, raasthi aur insaaf ke saath gawaahi dene waale ban jaao, kisi khaom ki adawath tumhe qilaf adl par amada na karde,adl kiya karo, jo parhezgari ke zyada qarib hai,aur Allah tala se darte raho,yaqin mano ke Allah tala tumhare amaal se baqabar hai
Surah Al-Maeda, Verse 8
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٌ عَظِيمٞ
Allah tala ka wada hai ke jo iman lae aur nek kam kare un ke liye wasi maghfirath aur bahuth bada ajr wa sawab hai
Surah Al-Maeda, Verse 9
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
aur jin logo ne kufr kiya aur hamare ehkam ko jhut-laaya wo, dozakhi hai
Surah Al-Maeda, Verse 10
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ هَمَّ قَوۡمٌ أَن يَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ فَكَفَّ أَيۡدِيَهُمۡ عَنكُمۡۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
ae iman walo! Allah tala ne jo ehsan tum par kiya hai ose yad karo jab ke ek khaom ne tum par dasth-daraazi karni chahi,tuh Allah tala ne un ke hatho ko tum tak pahochne se rok diya,aur Allah tala se darte raho aur momino ko Allah tala hee par bharosa karna chahiye
Surah Al-Maeda, Verse 11
۞وَلَقَدۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَبَعَثۡنَا مِنۡهُمُ ٱثۡنَيۡ عَشَرَ نَقِيبٗاۖ وَقَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مَعَكُمۡۖ لَئِنۡ أَقَمۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَيۡتُمُ ٱلزَّكَوٰةَ وَءَامَنتُم بِرُسُلِي وَعَزَّرۡتُمُوهُمۡ وَأَقۡرَضۡتُمُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا لَّأُكَفِّرَنَّ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ فَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
aur Allah tala ne bani israel se ahad wa paima liya aur unhee mein se baara sardar hum ne muqarrar farmae, aur Allah tala ne farma diya ke yaqinan main tumhare sath hoon, agar tum namaz qayam rakhoge aur zakath dete rahoge aur mere rasulo ko mante rahoge aur un ki madad karte rahoge aur Allah tala ko behtar qarz dete rahoge,tuh yaqinan main tumhari boraiya tum se door rakhonga aur tumhe un jannato mein le jaonga jin ke niche chashme beh rahe hai,ab us ahad wa paima ke badh bhi tum mein se jo inkari ho jae,wo yaqinan rahe rasth se bhatak gaya
Surah Al-Maeda, Verse 12
فَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ لَعَنَّـٰهُمۡ وَجَعَلۡنَا قُلُوبَهُمۡ قَٰسِيَةٗۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦۚ وَلَا تَزَالُ تَطَّلِعُ عَلَىٰ خَآئِنَةٖ مِّنۡهُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱصۡفَحۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
phir un ke ahad shikni ki wajeh se hum ne un par apni lanath nazil farma di aur un ke dil saqth kar diye ke wo kalam ko us ki jageh se badal dalte hai aur jo kuch nasihath unhe ki gai thi us ka bahuth bada hissa bhula baite,un ki ek na ek qayaanath par tujhe ittela milti hee rahegi,haan thode se aise nahi bhi hai,pus tu unhe maf karta ja aur darguzar karta reh, be-shak Allah tala ehsan karne walo ko dosth rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 13
وَمِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّا نَصَٰرَىٰٓ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَهُمۡ فَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦ فَأَغۡرَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَاوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَسَوۡفَ يُنَبِّئُهُمُ ٱللَّهُ بِمَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
aur jo apne aap ko nasrani kehte hai,hum ne un se bhi ahad wa paima liya,unhone bhi us ka bada hissa faramosh kar diya jo unhe nasihath ki gai thi,tuh hum ne bhi un ke aapas mein baghz wa adaawath dal di jo ta qayaamath rahegi, aur jo kuch ye karte thein an-qareeb Allah tala inhe sub bata dega
Surah Al-Maeda, Verse 14
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ كَثِيرٗا مِّمَّا كُنتُمۡ تُخۡفُونَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَعۡفُواْ عَن كَثِيرٖۚ قَدۡ جَآءَكُم مِّنَ ٱللَّهِ نُورٞ وَكِتَٰبٞ مُّبِينٞ
ae ahle kitab! yaqinan tumhare pas hamara rasol (sallallahualaihiwasallam)aa chuka, jo tumhare samne kitaabullah ki ba-kasrath aisi batein zaaher kar raha hai jinhe tum chupa rahe thein aur bahuth si batho se darguzar karta hai,tumhare pas Allah tala ki taraf se noor aur wazeh kitab aa chuki hai
Surah Al-Maeda, Verse 15
يَهۡدِي بِهِ ٱللَّهُ مَنِ ٱتَّبَعَ رِضۡوَٰنَهُۥ سُبُلَ ٱلسَّلَٰمِ وَيُخۡرِجُهُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِ بِإِذۡنِهِۦ وَيَهۡدِيهِمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
jis ke zariye se Allah tala unhe jo raza e rub ke darpe ho salamti ki rahe bat-lata hai aur apni taufiq se andhero se nikal kar noor ki taraf lata hai aur rahe rasth ki taraf un ki rehbari karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 16
لَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ أَن يُهۡلِكَ ٱلۡمَسِيحَ ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗاۗ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
yeqinan wo log kafir ho gae jinhone kaha ke Allah hee masih ibn maryam hai,aap un se keh dijiye ke agar Allah tala masih bin maryam aur us ki waleda aur ro-ye zamin ke sub logo ko halak kar dena chahe tuh kaun hai jo Allah tala par kuch bhi eqtiyar rakhta ho?asman wa zamin aur duno ke darmiyan ka kul mulk Allah tala hee ka hai jo chahta hai paida karta hai aur Allah tala har chiz par qaadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 17
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ وَٱلنَّصَٰرَىٰ نَحۡنُ أَبۡنَـٰٓؤُاْ ٱللَّهِ وَأَحِبَّـٰٓؤُهُۥۚ قُلۡ فَلِمَ يُعَذِّبُكُم بِذُنُوبِكُمۖ بَلۡ أَنتُم بَشَرٞ مِّمَّنۡ خَلَقَۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
yahod wa nasara kehte hai ke hum Allah ke bete aur us ke dosth hai,aap keh dijiye ke phir tumhe tumhare gunaho ke ba’es Allah kyo saza deta hai ?nahi balke tum bhi us ki maqloq mein se ek insan ho, wo jise chahta hai baqsh deta hai aur jise chahta hai azaab karta hai,zamin wa asman aur un ke darmiyan ki har chiz Allah tala ki milkiyath hai aur osi ki taraf lautna hai
Surah Al-Maeda, Verse 18
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ عَلَىٰ فَتۡرَةٖ مِّنَ ٱلرُّسُلِ أَن تَقُولُواْ مَا جَآءَنَا مِنۢ بَشِيرٖ وَلَا نَذِيرٖۖ فَقَدۡ جَآءَكُم بَشِيرٞ وَنَذِيرٞۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
ae ahal kitab! bil-yaqeen4 hamara rasol tumhaare pas rasulo ki aamd ke ek waqfe ke badh aa pahocha hai,jo tumhare liye saaf saaf bayan kar raha hai,ta ke tumhari ye bath na reh jae ke hamaare pas tuh koi bhalai borai sunane wala aya hee nahi,pus ab tuh yaqinan khush qabri sunane wala aur agah karne wala aa pahocha aur Allah tala har chiz par qaadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 19
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ جَعَلَ فِيكُمۡ أَنۢبِيَآءَ وَجَعَلَكُم مُّلُوكٗا وَءَاتَىٰكُم مَّا لَمۡ يُؤۡتِ أَحَدٗا مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
aur yad karo Mosa (alaihissalaam)ne apni khaom se kaha,ae meri khaom ke logo! Allah tala ke us ehsan ka zikr karo ke us ne tum mein se paighambar banae aur tumhe badshah banaya aur tumhe wo diya jo tamam aalam mein kisi ko nahi diya
Surah Al-Maeda, Verse 20
يَٰقَوۡمِ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡأَرۡضَ ٱلۡمُقَدَّسَةَ ٱلَّتِي كَتَبَ ٱللَّهُ لَكُمۡ وَلَا تَرۡتَدُّواْ عَلَىٰٓ أَدۡبَارِكُمۡ فَتَنقَلِبُواْ خَٰسِرِينَ
ae meri khaom walo! us muqaddas zamin mein dakhil ho jao jo Allah tala ne tumhare nam likh di hai, aur apni pusht ke bal ru-gardaani na karo, ke phir nuqsan mein ja pado
Surah Al-Maeda, Verse 21
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّ فِيهَا قَوۡمٗا جَبَّارِينَ وَإِنَّا لَن نَّدۡخُلَهَا حَتَّىٰ يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا فَإِن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا فَإِنَّا دَٰخِلُونَ
unhone jawab diya ke ae Mosa, wahaa tuh zoor-aawar sarkash log hai aur jab tak wo waha se nikal na jae hum tuh hargiz waha na jaenge,haan agar wo waha se nikal jae tuh phir to hum (ba-khushi) chale jaenge
Surah Al-Maeda, Verse 22
قَالَ رَجُلَانِ مِنَ ٱلَّذِينَ يَخَافُونَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمَا ٱدۡخُلُواْ عَلَيۡهِمُ ٱلۡبَابَ فَإِذَا دَخَلۡتُمُوهُ فَإِنَّكُمۡ غَٰلِبُونَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَتَوَكَّلُوٓاْ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
do shaqso ne jo khuda taras logo mein se thein, jin par Allah tala ka fazl tha, kaha ke tum un ke pas darwaze mein tuh pahoch jao,darwaze mein qadam rakhte hee yaqinan tum ghalib aa jaoge aur tum agar momin ho tuh tumhe Allah tala hee par bharosa rakhna chahiye
Surah Al-Maeda, Verse 23
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّا لَن نَّدۡخُلَهَآ أَبَدٗا مَّا دَامُواْ فِيهَا فَٱذۡهَبۡ أَنتَ وَرَبُّكَ فَقَٰتِلَآ إِنَّا هَٰهُنَا قَٰعِدُونَ
khaom ne jawab diya ke ae Mosa(alaihissalaam) jab tak wo waha hai, tabh tak hum har giz waha na jaenge,is liye tum aur tumhara parvardigar ja kar duno hee lad bhad lo,hum yahi baite hoe hai
Surah Al-Maeda, Verse 24
قَالَ رَبِّ إِنِّي لَآ أَمۡلِكُ إِلَّا نَفۡسِي وَأَخِيۖ فَٱفۡرُقۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Mosa (alaihisslaam)kehne lahe il ahi! mujhe tuh bajuz apne aur mere bhai ke kisi aur par koi eqtiyar nahi,pus tu hum mein aur in na-farmqano mein judai karde
Surah Al-Maeda, Verse 25
قَالَ فَإِنَّهَا مُحَرَّمَةٌ عَلَيۡهِمۡۛ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗۛ يَتِيهُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
irshad hoa ke ab zamin un par chalis sal tak haraam kardi gai hai,ye qaana badoosh5 idhar udhar sar garda phirte rahenge,is liye tum un fasiqo ke bare mein ghamgin na hona
Surah Al-Maeda, Verse 26
۞وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ ٱبۡنَيۡ ءَادَمَ بِٱلۡحَقِّ إِذۡ قَرَّبَا قُرۡبَانٗا فَتُقُبِّلَ مِنۡ أَحَدِهِمَا وَلَمۡ يُتَقَبَّلۡ مِنَ ٱلۡأٓخَرِ قَالَ لَأَقۡتُلَنَّكَۖ قَالَ إِنَّمَا يَتَقَبَّلُ ٱللَّهُ مِنَ ٱلۡمُتَّقِينَ
aadam(alaihissalam)ke duno beto ka khara khara haal bhi unhe suna do,un duno ne ek nazraana pesh kiya,un mein se ek ki nazar tuh qubol ho gai aur dosre ki maqbol na hoi,tuh wo kehne laga ke main tujhe maar hee dalonga,us ne kaha Allah tala taqwa walo ka hee amal qubol karta hai
Surah Al-Maeda, Verse 27
لَئِنۢ بَسَطتَ إِلَيَّ يَدَكَ لِتَقۡتُلَنِي مَآ أَنَا۠ بِبَاسِطٖ يَدِيَ إِلَيۡكَ لِأَقۡتُلَكَۖ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَ رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
go tu mere qatl ke liye dast darazi kare,lekin main tere qatl ki taraf hargiz apne hath na badaonga ,main tuh Allah tala parvardigar aalam se khauf khata hoon
Surah Al-Maeda, Verse 28
إِنِّيٓ أُرِيدُ أَن تَبُوٓأَ بِإِثۡمِي وَإِثۡمِكَ فَتَكُونَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِۚ وَذَٰلِكَ جَزَـٰٓؤُاْ ٱلظَّـٰلِمِينَ
main tuh chahta hoon ke tu mera gunah aur apne gunah apne sar par rakh le aur dozakhiyo mein shamil ho jae,zalimo ka yahi badla hai
Surah Al-Maeda, Verse 29
فَطَوَّعَتۡ لَهُۥ نَفۡسُهُۥ قَتۡلَ أَخِيهِ فَقَتَلَهُۥ فَأَصۡبَحَ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
pus ose us ke nafs ne apne bhai ke qatl par amada kar diya aur us ne ose qatl kar dala, jis se nuqsan paane walo mein se ho gaya
Surah Al-Maeda, Verse 30
فَبَعَثَ ٱللَّهُ غُرَابٗا يَبۡحَثُ فِي ٱلۡأَرۡضِ لِيُرِيَهُۥ كَيۡفَ يُوَٰرِي سَوۡءَةَ أَخِيهِۚ قَالَ يَٰوَيۡلَتَىٰٓ أَعَجَزۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِثۡلَ هَٰذَا ٱلۡغُرَابِ فَأُوَٰرِيَ سَوۡءَةَ أَخِيۖ فَأَصۡبَحَ مِنَ ٱلنَّـٰدِمِينَ
phir Allah tala ne ek kawwe ko bheja jo zamin khod raha tha,ta ke ose dikhae ke wo kis tarah apne bhai ki naash ko chupa de,wo kehne laga, hay afsoos! kya main aisa karne se bhi gaya guzra ho gaya ke us kawwe ki tarah apne bhai ki lash ko dafna deta? phir to (bada hee) pasheman aur sharminda ho gaya
Surah Al-Maeda, Verse 31
مِنۡ أَجۡلِ ذَٰلِكَ كَتَبۡنَا عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَنَّهُۥ مَن قَتَلَ نَفۡسَۢا بِغَيۡرِ نَفۡسٍ أَوۡ فَسَادٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ ٱلنَّاسَ جَمِيعٗا وَمَنۡ أَحۡيَاهَا فَكَأَنَّمَآ أَحۡيَا ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۚ وَلَقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا بِٱلۡبَيِّنَٰتِ ثُمَّ إِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡأَرۡضِ لَمُسۡرِفُونَ
isi wajeh se hum ne bani israel par ye likh diya ke jo shaqs kisi ko baghair us ke, ke wo kisi ka qaatil ho, ya zamin mein fasad machane wala ho qatl kar dale,tuh goya us ne tamam logo ka qatl kar diya aur jo shaqs kisi ek ki jan bacha le,us ne goya tamam logo ko zinda kar diya aur un ke pas hamare bahuth se rasol zaaher dalile le kar aae,lekin phir us ke badh bhi un mein ke aksar log zamin mein zulm wa zyadati aur zabardsti karne wale hee rahe
Surah Al-Maeda, Verse 32
إِنَّمَا جَزَـٰٓؤُاْ ٱلَّذِينَ يُحَارِبُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادًا أَن يُقَتَّلُوٓاْ أَوۡ يُصَلَّبُوٓاْ أَوۡ تُقَطَّعَ أَيۡدِيهِمۡ وَأَرۡجُلُهُم مِّنۡ خِلَٰفٍ أَوۡ يُنفَوۡاْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِۚ ذَٰلِكَ لَهُمۡ خِزۡيٞ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ
un ki saza jo Allah tala se aur us ke rasulo se lade aur zamin mein fasad karte phire, yahi hai ke wo qatl kar diye jae ya soli chada diye jae,ya muqalif janib se un ke hath pao kat diye jae,ya unhe jilawatan kar diya jae,ye tuh hoyi un ki dunyawi zillath aur qaari aur aqirath mein un ke liye bada bhari azaab hai
Surah Al-Maeda, Verse 33
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِن قَبۡلِ أَن تَقۡدِرُواْ عَلَيۡهِمۡۖ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
haan jo log us se pehle tauba karle ke tum un par qaabo pa lo,tuh yaqin mano ke Allah tala bahuth badi baqshish aur rahem wa karam wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 34
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱبۡتَغُوٓاْ إِلَيۡهِ ٱلۡوَسِيلَةَ وَجَٰهِدُواْ فِي سَبِيلِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
musalmano Allah tala se darte raho aur us ka qurb talaash karo aur us ki rah mein jihad karo ta ke tumhara bhala ho
Surah Al-Maeda, Verse 35
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ أَنَّ لَهُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لِيَفۡتَدُواْ بِهِۦ مِنۡ عَذَابِ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَا تُقُبِّلَ مِنۡهُمۡۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
yaqin mano ke kafiro ke liye agar wo sub kuch ho, jo sari zamin mein hai balke osi ke misl aur bhi ho aur wo us sub ko qayamath ke din azabo ke badle fidye mein dena chahe tuh bhi na’mumkin hai,ke un ka fidya qubol kar liya jae,un ke liye tuh dardnak azaab hee hai
Surah Al-Maeda, Verse 36
يُرِيدُونَ أَن يَخۡرُجُواْ مِنَ ٱلنَّارِ وَمَا هُم بِخَٰرِجِينَ مِنۡهَاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّقِيمٞ
ye chahenge ke dozakh mein se nikal jae, lekin ye hargiz us mein se na nikal sakenge,un ke liye tuh dayimi azaab hai
Surah Al-Maeda, Verse 37
وَٱلسَّارِقُ وَٱلسَّارِقَةُ فَٱقۡطَعُوٓاْ أَيۡدِيَهُمَا جَزَآءَۢ بِمَا كَسَبَا نَكَٰلٗا مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
chori karne wale mard aur aurath ke hath kat diya karo,ye badla hai us ka jo unhone kiya,azaab Allah ki taraf se, aur Allah tala quwwath wa hikmath wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 38
فَمَن تَابَ مِنۢ بَعۡدِ ظُلۡمِهِۦ وَأَصۡلَحَ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَتُوبُ عَلَيۡهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
jo shaqs apne gunah ke badh tauba karle aur islah karle tuh Allah tala rehmath ke sath us ki taraf lauthta hai,yaqinan Allah tala maf farmane wala meherbani karne wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 39
أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ يُعَذِّبُ مَن يَشَآءُ وَيَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
kya tujhe malom nahi ke Allah tala hee ke liye zamin wa asman ki bad’shahath hai ? jise chahe saza de aur jise chahe maf kar de,Allah tala har chiz par qaadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 40
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ لَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِ مِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَلَمۡ تُؤۡمِن قُلُوبُهُمۡۛ وَمِنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْۛ سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ سَمَّـٰعُونَ لِقَوۡمٍ ءَاخَرِينَ لَمۡ يَأۡتُوكَۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ مِنۢ بَعۡدِ مَوَاضِعِهِۦۖ يَقُولُونَ إِنۡ أُوتِيتُمۡ هَٰذَا فَخُذُوهُ وَإِن لَّمۡ تُؤۡتَوۡهُ فَٱحۡذَرُواْۚ وَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ فِتۡنَتَهُۥ فَلَن تَمۡلِكَ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يُطَهِّرَ قُلُوبَهُمۡۚ لَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٞ
ae rasol! aap un logo ke piche na khadiye, jo kufr mein sabqath kar rahe hai,qaah wo un (munafiqo) mein se ho, jo zabani tuh iman ka dawa karte hai lekin haqiqatan un ke dil ba-imaan nahi, aur yahodiyo mein se kuch log aise hai jo ghalath batein sunne ke aadi hai aur un logo ke jasoos hai jo ab tak aap ke pas nahi aae,wo kalmath ke asli mauqe ko chod kar unhe muta-ghayyar6 kar diya karte hai,kehte hai ke agar tum yahi hukm diye jao tuh qubol kar lena aur agar ye hukm na diye jao tuh alag thalag rehna, aur jis ka qaraab karna Allah ko manzor ho tuh aap us ke liye khudaayi hidaayath mein se kisi chiz ke muqtar nahi,Allah tala ka irada un ke dilo ko pak karne ka nahi,un ke liye dunya mein bhi badi zillath aur roswai hai aur aqirath mein bhi un ke liye badi saqth saza hai
Surah Al-Maeda, Verse 41
سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ أَكَّـٰلُونَ لِلسُّحۡتِۚ فَإِن جَآءُوكَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُمۡ أَوۡ أَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡۖ وَإِن تُعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ فَلَن يَضُرُّوكَ شَيۡـٔٗاۖ وَإِنۡ حَكَمۡتَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
ye kaan laga laga kar jhut ke sunne wale aur ji bhar bhar kar haraam ke khane wale hai, agar ye tumhare pas aae tuh tumhe eqtiyar hai qwah un ke aapas ka faisla karo,qwah un ko taal do,agar tum un se muh bhi pheroge tuh bhi ye tum ko hargiz koi zarar nahi pahocha sakte aur agar tum faisla karo tuh un mein adl wa insaf ke sath faisla karo,yaqinan adl walo ke sath Allah muhabbath rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 42
وَكَيۡفَ يُحَكِّمُونَكَ وَعِندَهُمُ ٱلتَّوۡرَىٰةُ فِيهَا حُكۡمُ ٱللَّهِ ثُمَّ يَتَوَلَّوۡنَ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَۚ وَمَآ أُوْلَـٰٓئِكَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
(tajjub ki bath hai ke) wo kaise apne pas taurath hote hoe jis mein ehkam e ilahi hai tum ko munsif banate hai,phir us ke badh bhi phir jate hai,dar asal ye iman wa yaqin wale hai hee nahi
Surah Al-Maeda, Verse 43
إِنَّآ أَنزَلۡنَا ٱلتَّوۡرَىٰةَ فِيهَا هُدٗى وَنُورٞۚ يَحۡكُمُ بِهَا ٱلنَّبِيُّونَ ٱلَّذِينَ أَسۡلَمُواْ لِلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ بِمَا ٱسۡتُحۡفِظُواْ مِن كِتَٰبِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ عَلَيۡهِ شُهَدَآءَۚ فَلَا تَخۡشَوُاْ ٱلنَّاسَ وَٱخۡشَوۡنِ وَلَا تَشۡتَرُواْ بِـَٔايَٰتِي ثَمَنٗا قَلِيلٗاۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
hum ne taurath nazil faramai hai,jis mein hidayath wa noor hai,yahodiyo mein isi taurath ke sath Allah tala ke manne wale ambiya (alaihissalam)aur ahalullaah aur ulema faisle karte thein, kyo ke unhe Allah ki us kitab ki hifazath ka hukm diya gaya tha aur wo us par eqrari gawah thein,ab tumhe chahiye ke logo se na daro aur sirf mera darr rakho,meri ayato ko thode thode mol par na becho,jo log Allah ki utari hoi wahi ke sath faisle na kare wo (pure aur puqta)kafir hai
Surah Al-Maeda, Verse 44
وَكَتَبۡنَا عَلَيۡهِمۡ فِيهَآ أَنَّ ٱلنَّفۡسَ بِٱلنَّفۡسِ وَٱلۡعَيۡنَ بِٱلۡعَيۡنِ وَٱلۡأَنفَ بِٱلۡأَنفِ وَٱلۡأُذُنَ بِٱلۡأُذُنِ وَٱلسِّنَّ بِٱلسِّنِّ وَٱلۡجُرُوحَ قِصَاصٞۚ فَمَن تَصَدَّقَ بِهِۦ فَهُوَ كَفَّارَةٞ لَّهُۥۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
aur hum ne yahodiyo ke zimme taurath mein ye bath muqarrar kar di thi ke jan ke badle jan aur ankh ke badle ankh aur nak ke badle nak,aur kan ke badle kan,aur daanth ke badle daanth aur qaas zaqmo ka bhi badla hai,phir jo shaqs us ko maaf kar de tuh wo us ke liye kaffara hai aur jo log Allah ke nazil kiye hoe ke mutabiq, hukm7 na kare wahi log zalim hai
Surah Al-Maeda, Verse 45
وَقَفَّيۡنَا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم بِعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡإِنجِيلَ فِيهِ هُدٗى وَنُورٞ وَمُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَهُدٗى وَمَوۡعِظَةٗ لِّلۡمُتَّقِينَ
aur hum ne un ke piche isa bin maryam ko bheja jo apne se pehle ki kitab yani taurath ki tasdiq karne wale thein aur hum ne unhe injeel ata farmai jis mein noor aur hidayath thi aur wo apne se pehle ki kitab taurath ki tasdiq karti thi aur wo sara’sar hidayath wa nasihath thi paarsa8 logo ke liye
Surah Al-Maeda, Verse 46
وَلۡيَحۡكُمۡ أَهۡلُ ٱلۡإِنجِيلِ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فِيهِۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
aur injeel walo ko bhi chahiye ke Allah tala ne jo kuch injeel mein nazil farmaya hai osi ke mutabiq hukm kare aur jo Allah tala ke nazil karda se hee hukm na kare wo (budhkar)fasiq hai
Surah Al-Maeda, Verse 47
وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمُهَيۡمِنًا عَلَيۡهِۖ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۖ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ عَمَّا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡحَقِّۚ لِكُلّٖ جَعَلۡنَا مِنكُمۡ شِرۡعَةٗ وَمِنۡهَاجٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَعَلَكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَكُمۡ فِي مَآ ءَاتَىٰكُمۡۖ فَٱسۡتَبِقُواْ ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
aur hum ne aap ki taraf haq ke sath ye kitab nazil farmai hai jo apne se agli ktabo ki tasdiq karne wali hai aur un ki muhafiz hai,is liye aap un ke aapas ke mamlath mein isi Allah ki utari hoi kitab ke sath hukm ki jiye,is haq se hut kar un ki qwahisho ke piche na jaiye,tum mein se har ek ke liye hum ne ek dastor aur rah muqarrar kar di hai,agar manzor e maula hota tuh tum sub ko ek hee ummath bana deta,lekin us ki chahath hai ke jo tumhe diya hai us mein tumhe azmae,tum nekiyo ki taraf jaldi karo,tum sub ka rujo9 Allah hee ki taraf hai,phir wo tumhe har wo chiz bata dega jis mein tum eqtilaf karte rehte ho
Surah Al-Maeda, Verse 48
وَأَنِ ٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ وَٱحۡذَرۡهُمۡ أَن يَفۡتِنُوكَ عَنۢ بَعۡضِ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ إِلَيۡكَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَٱعۡلَمۡ أَنَّمَا يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُصِيبَهُم بِبَعۡضِ ذُنُوبِهِمۡۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ لَفَٰسِقُونَ
aap un ke mamlath mein khuda ki nazil karda wahi ke mutabiq hee hukm kiya ki jiye,un ki qwahisho ki tabedari na ki jiye aur un se hoshyar rahiye,ke kahi ye aap ko Allah ke utare hoe kisi hukm se idhar udhar na kare,agar ye log muh pher le tuh yaqin kare ke Allah ka irada yahi hai ke unhe unke baz gunaho ki saza de hee daa le aur aksar log na-farmaan hee hote hai
Surah Al-Maeda, Verse 49
أَفَحُكۡمَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ يَبۡغُونَۚ وَمَنۡ أَحۡسَنُ مِنَ ٱللَّهِ حُكۡمٗا لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ
kya ye log phir se jahiliyath ka fasila chahte hai,yaqin rakhne wale logo ke liye Allah tala se behtar faisle aur hukm karne wala kaun ho sakta hai
Surah Al-Maeda, Verse 50
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلۡيَهُودَ وَٱلنَّصَٰرَىٰٓ أَوۡلِيَآءَۘ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَمَن يَتَوَلَّهُم مِّنكُمۡ فَإِنَّهُۥ مِنۡهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
ae iman walo tum yahod wa nasara ko dosth na banao,ye tuh aapas mein hee ek dosre ke dosth hai,tum mein se jo bhi un mein se kisi se dosti kare, wo be-shak unhee mein se hai, zalimo ko Allah tala hargiz rahe rasth nahi dikhata
Surah Al-Maeda, Verse 51
فَتَرَى ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يُسَٰرِعُونَ فِيهِمۡ يَقُولُونَ نَخۡشَىٰٓ أَن تُصِيبَنَا دَآئِرَةٞۚ فَعَسَى ٱللَّهُ أَن يَأۡتِيَ بِٱلۡفَتۡحِ أَوۡ أَمۡرٖ مِّنۡ عِندِهِۦ فَيُصۡبِحُواْ عَلَىٰ مَآ أَسَرُّواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ نَٰدِمِينَ
aap dekhenge ke jin logo ke dilo mein bimari hai,wo daud daud kar un mein ghus rahe hai aur kehte hai ke hamein qatra hai aisa na ho ke koi haadsa hum par pud jae,bahuth mumkin hai ke Allah tala fatah de de,ya apne pas se koi aur chiz lae,phir tuh ye apne dilo mein chupai hoi batho par(be-tarah) naadim hone lagenge
Surah Al-Maeda, Verse 52
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَهَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ إِنَّهُمۡ لَمَعَكُمۡۚ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فَأَصۡبَحُواْ خَٰسِرِينَ
aur imandar kahenge kya yahi wo log hai jo bade mubalegha10 se Allah ki qasme kha kha kar kehte hai ke hum tumhare sath hai,un ke amaal gharath hoe aur ye na-kaam ho ge
Surah Al-Maeda, Verse 53
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَن يَرۡتَدَّ مِنكُمۡ عَن دِينِهِۦ فَسَوۡفَ يَأۡتِي ٱللَّهُ بِقَوۡمٖ يُحِبُّهُمۡ وَيُحِبُّونَهُۥٓ أَذِلَّةٍ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَعِزَّةٍ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ يُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلَا يَخَافُونَ لَوۡمَةَ لَآئِمٖۚ ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٌ
ae iman walo tum mein se jo shaqs apne deen se phir jae,tuh Allah tala bahuth jald aisi khaom ko laega jo Allah ki mehbob hogi aur wo bhi Allah se muhabbath rakhti hogi,wo narm dil honge musalmano par aur saqth aur tez honge kuffar par,Allah ki rah mein jihad karenge aur kisi malamath karne wale ki malamath ki parwah bhi na karenge,ye hai Allah tala ka fazl,jise chahe de,Allah tala badi wus-ath wala aur zabardast ilm wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 54
إِنَّمَا وَلِيُّكُمُ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُمۡ رَٰكِعُونَ
(musalmno) tumhara dosth khud Allah hai aur us ka rasol hai aur iman wale hai jo namazo ki pabandi karte hai aur zakath ada karte hai aur wo ruko (qusho wa quzo) karne wale hai
Surah Al-Maeda, Verse 55
وَمَن يَتَوَلَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فَإِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡغَٰلِبُونَ
aur jo shaqs Allah tala se aur us ke rasol se aur musalmano se dosti kare,wo yaqin mane ke Allah tala ki jamath hee ghalib rahegi
Surah Al-Maeda, Verse 56
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَكُمۡ هُزُوٗا وَلَعِبٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَٱلۡكُفَّارَ أَوۡلِيَآءَۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
musalmano! un logo ko dosth na banao jo tumhare deen ko hasi khel banae hoe hai (qaah)wo un mein se ho jo tum se pehle kitab diye gae ya kuffar ho,agar tum momin ho tuh Allah tala se darte raho
Surah Al-Maeda, Verse 57
وَإِذَا نَادَيۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ ٱتَّخَذُوهَا هُزُوٗا وَلَعِبٗاۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَعۡقِلُونَ
aur jab tum namaz ke liye pukarte ho tuh wo ose hasi khel tehra lete hai,ye is waste ke be’aql hai
Surah Al-Maeda, Verse 58
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ هَلۡ تَنقِمُونَ مِنَّآ إِلَّآ أَنۡ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلُ وَأَنَّ أَكۡثَرَكُمۡ فَٰسِقُونَ
keh dijiye ae yahodiyo aur nasraniyo tum hum se sirf is wajeh se dushmaniya kar rahe ho ke hum Allah tala par aur jo kuch hamari janib nazil kiya gaya hai aur jo kuch is se pehle utara gaya hai us par iman lae hai aur is liye bhi ke tum mein aksar fasiq hai
Surah Al-Maeda, Verse 59
قُلۡ هَلۡ أُنَبِّئُكُم بِشَرّٖ مِّن ذَٰلِكَ مَثُوبَةً عِندَ ٱللَّهِۚ مَن لَّعَنَهُ ٱللَّهُ وَغَضِبَ عَلَيۡهِ وَجَعَلَ مِنۡهُمُ ٱلۡقِرَدَةَ وَٱلۡخَنَازِيرَ وَعَبَدَ ٱلطَّـٰغُوتَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضَلُّ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
keh dijiye ke kya mein tumhe batao?ke is se bhi zyada bore ajr pane wala Allah tala ke nazdik kaun hai ? wo jis par Allah tala ne lanath ki aur us par wo ghussa hoa aur un mein se baz ko bandar aur suwwar bana diya aur jinhone mabodaane batil ki parastish ki yahi log budh’tar darje wale hai aur yahi rahe rasth se bahuth zyada bhatakne wale hai
Surah Al-Maeda, Verse 60
وَإِذَا جَآءُوكُمۡ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَقَد دَّخَلُواْ بِٱلۡكُفۡرِ وَهُمۡ قَدۡ خَرَجُواْ بِهِۦۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا كَانُواْ يَكۡتُمُونَ
aur jab tumhaare paas aate hai to kehte hai ke hum imaan laaye, halaan ke wo kufr liye hoye hee aaye thein aur osi kufr ke saath hee gaye bhi aur ye jo kuch chupa rahe hai, ose Allah ta’ala qoob jaanta hai
Surah Al-Maeda, Verse 61
وَتَرَىٰ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَأَكۡلِهِمُ ٱلسُّحۡتَۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
aap dekhenge ke un mein aksar gunaah ke kaamo ki taraf aur zulm wa zyaadati ki taraf aur maal haraam khaane ki taraf lapak rahe hai, jo kuch ye kar rahe hai wo nihaayath bore kaam hai
Surah Al-Maeda, Verse 62
لَوۡلَا يَنۡهَىٰهُمُ ٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ عَن قَوۡلِهِمُ ٱلۡإِثۡمَ وَأَكۡلِهِمُ ٱلسُّحۡتَۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
inhe un ke aabedh wa aalim jhoot baatho ke kehne aur haraam chizo ke khaane se kyo nahi rukte, be-shak bora kaam hai jo ye kar rahe hai
Surah Al-Maeda, Verse 63
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ يَدُ ٱللَّهِ مَغۡلُولَةٌۚ غُلَّتۡ أَيۡدِيهِمۡ وَلُعِنُواْ بِمَا قَالُواْۘ بَلۡ يَدَاهُ مَبۡسُوطَتَانِ يُنفِقُ كَيۡفَ يَشَآءُۚ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۚ وَأَلۡقَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ كُلَّمَآ أَوۡقَدُواْ نَارٗا لِّلۡحَرۡبِ أَطۡفَأَهَا ٱللَّهُۚ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادٗاۚ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
aur yahodiyo ne kaha ke Allah ta’ala ke haath baandhe hoye hai, un hee ke haath baandhe hoye hai aur un ke is khaul ki wajeh se un par laanath ki gayi, balke Allah ta’ala ke duno haath khule hoye hai, jis taraah chaahta hai qarch karta hai aur jo kuch teri taraf tere rab ki jaanib se utaara jaata hai wo un mein se aksar ko to sarkashi aur kufr mein aur bada deta hai, aur hum ne un mein aapas mein hee qayaamath tak ke liye adaawath aur baghz daal diya hai,wo jab kabhi ladaayi ki aag ko bhadkaana chaahte hai to Allah ta’ala ose boja deta hai, ye mulk bhar mein shar wa fasaad machaate phirte hai aur Allah ta’ala fasaadiyo se muhabbath nahi karta
Surah Al-Maeda, Verse 64
وَلَوۡ أَنَّ أَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ ءَامَنُواْ وَٱتَّقَوۡاْ لَكَفَّرۡنَا عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَأَدۡخَلۡنَٰهُمۡ جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
aur agar ye ahle kitaab imaan laate aur taqwa eqtiyaar karte to hum un ki tamaam buraiyya maaf farma dete aur zaroor unhe raahath wa araam ki jannato mein le jaate
Surah Al-Maeda, Verse 65
وَلَوۡ أَنَّهُمۡ أَقَامُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِم مِّن رَّبِّهِمۡ لَأَكَلُواْ مِن فَوۡقِهِمۡ وَمِن تَحۡتِ أَرۡجُلِهِمۚ مِّنۡهُمۡ أُمَّةٞ مُّقۡتَصِدَةٞۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ سَآءَ مَا يَعۡمَلُونَ
aur agar ye log tauraath wa injeel aur un ki jaanib jo kuch Allah ta’ala ki taraf se naazil faramaaya gaya hai, un ke pure paabandh rehte to ye log apne upar se aur niche se roziya paate aur khaate, ek jamaath to un mein se darmiyaana rawish ki hai, baakhi un mein se bahuth se logo ke bure amaal hai
Surah Al-Maeda, Verse 66
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ بَلِّغۡ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۖ وَإِن لَّمۡ تَفۡعَلۡ فَمَا بَلَّغۡتَ رِسَالَتَهُۥۚ وَٱللَّهُ يَعۡصِمُكَ مِنَ ٱلنَّاسِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
aye rasool jo kuch bhi aap ki taraf aap ke rab ki jaanib se naazil kiya gaya hai, pahoncha di jiye, agar aap ne aisa na kiya to aap ne Allah ki risaalath ada nahi ki aur aap ko Allah ta’ala logo se bacha lega, be-shak Allah ta’ala kaafir logo ko hidaayath nahi deta
Surah Al-Maeda, Verse 67
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَسۡتُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍ حَتَّىٰ تُقِيمُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡۗ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۖ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
aap keh di jiye ke aye ahle kitaab! tum dar asal kisi cheez par nahi, jab tak ke tauraath wa injeel ko aur jo kuch tumhaari taraf tumhaare rab ki taraf se utaara gaya hai qaayam na karo, jo kuch aap ki jaanib aap ke rab ki taraf se utra hai, wo un mein se bahuto ko sharaarath aur inkaar mien aur bhi badayega hee, to aap un kaafiro par ghamgeen na ho
Surah Al-Maeda, Verse 68
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلصَّـٰبِـُٔونَ وَٱلنَّصَٰرَىٰ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
musalmaan, yahoodi sitaara parasth aur nasraani, koyi ho, jo bhi Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan laaye aur nek amaal kare wo mahez be-khauf rahega aur bil kul be-gham ho jayega
Surah Al-Maeda, Verse 69
لَقَدۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَأَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمۡ رُسُلٗاۖ كُلَّمَا جَآءَهُمۡ رَسُولُۢ بِمَا لَا تَهۡوَىٰٓ أَنفُسُهُمۡ فَرِيقٗا كَذَّبُواْ وَفَرِيقٗا يَقۡتُلُونَ
hum ne bil yaqeen banu isarel se ahad wa paima liya aur un ki taraf rasulo ko bheja, jab kabhi rasool un ke paas wo ehkaam le kar aaye jo un ki apni mansha ke qilaaf thein to unhone un ki ek jamaath ki takzeeb ki aur ek jamaath ko qatl kar diya
Surah Al-Maeda, Verse 70
وَحَسِبُوٓاْ أَلَّا تَكُونَ فِتۡنَةٞ فَعَمُواْ وَصَمُّواْ ثُمَّ تَابَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ ثُمَّ عَمُواْ وَصَمُّواْ كَثِيرٞ مِّنۡهُمۡۚ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
aur samajh baithe ke koyi pakad na hogi, pas andhe bhaire ban baithe, phir Allah ta’ala ne un ki tauba qubool ki, us ke baadh bhi un mein se aksar andhe bhaire ho gae, Allah ta’ala un ke amaal ko ba-qoobi dekhne waala hai
Surah Al-Maeda, Verse 71
لَقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۖ وَقَالَ ٱلۡمَسِيحُ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۖ إِنَّهُۥ مَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ ٱلۡجَنَّةَ وَمَأۡوَىٰهُ ٱلنَّارُۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٖ
be-shak wo log kaafir ho gaye jin ka qaul hai ke Masih ibn Maryam hee Allah hai, halaan ke khud Masih ne un se kaha tha ke aye bani israel! Allah hee ki ibaadath karo jo mera aur tumhaara sab ka rab hai, yaqeen maano ke jo shaqs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par jannath haraam kardi hai, us ka thikaana jahannam hee hai aur gunehgaaro ki madath karne waala koyi nahi hoga
Surah Al-Maeda, Verse 72
لَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ ثَالِثُ ثَلَٰثَةٖۘ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّآ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۚ وَإِن لَّمۡ يَنتَهُواْ عَمَّا يَقُولُونَ لَيَمَسَّنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
wo log bhi qat-an kaafir ho gaye jinhone kaha Allah teen mein ka tisra hai, dar asal sivaaye Allah ta’ala ke koyi maboodh nahi, agar ye log apne is qaul se baaz na rahe to un mein se jo kufr par rahenge unhe almnaak azaab zaroor pahonchenge
Surah Al-Maeda, Verse 73
أَفَلَا يَتُوبُونَ إِلَى ٱللَّهِ وَيَسۡتَغۡفِرُونَهُۥۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
ye log kyo Allah ta’ala ki taraf nahi jhukte aur kyo esteghfaar nahi karte? Allah ta’ala to bahuth hee baqshne waala aur bada hee meherbaan hai
Surah Al-Maeda, Verse 74
مَّا ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَ إِلَّا رَسُولٞ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِ ٱلرُّسُلُ وَأُمُّهُۥ صِدِّيقَةٞۖ كَانَا يَأۡكُلَانِ ٱلطَّعَامَۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُبَيِّنُ لَهُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ ثُمَّ ٱنظُرۡ أَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Masih ibn Maryam siva paighambar hone ke aur kuch bhi nahi, us se pehle bhi bahuth se paighambar ho chuke hai, un ki waaleda ek raasth baaz aurath thi, duno maa bete khaana khaaya karte thein, aap dekhiye ke kis tarah hum un ke saamne dalile rakhte hai, phir ghaur ki jiye ke kis tarah wo phire jaate hai
Surah Al-Maeda, Verse 75
قُلۡ أَتَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَمۡلِكُ لَكُمۡ ضَرّٗا وَلَا نَفۡعٗاۚ وَٱللَّهُ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
aap keh di jiye ke kya tum Allah ke siva un ki ibaadath karte ho, jo na tumhaare kisi nuqsaan ke maalik hai na kisi nafe ke, Allah hee qoob sunne aur puri tarah jaanne waala hai
Surah Al-Maeda, Verse 76
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَلَا تَتَّبِعُوٓاْ أَهۡوَآءَ قَوۡمٖ قَدۡ ضَلُّواْ مِن قَبۡلُ وَأَضَلُّواْ كَثِيرٗا وَضَلُّواْ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
keh di jiye ke aye ahle kitaab! apne deen mein na-haq ghulo aur zyaadati na karo aur un logo ki nafsaani qaahisho ki pairvi na karo jo pehle se bahek chuke hai aur bahuto ko behka bhi chuke hai aur sidhi raah se hat gaye hai
Surah Al-Maeda, Verse 77
لُعِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَلَىٰ لِسَانِ دَاوُۥدَ وَعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ
bani israel ke kaafiro par (hazrath) Dawood(alaihissalaam) aur (hazarth) Isa bin Maryam(alaihissalaam) ki zabaani laanath ki gayi, is wajeh se ke wo na-farmaaniya karte thein aur hadh se aage bad jaate thein
Surah Al-Maeda, Verse 78
كَانُواْ لَا يَتَنَاهَوۡنَ عَن مُّنكَرٖ فَعَلُوهُۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
aapas mein ek dosre ko bure kaamo se jo wo karte thein, rokte na thein, jo kuch bhi ye karte thein, yaqinan wo bahuth bura tha
Surah Al-Maeda, Verse 79
تَرَىٰ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ يَتَوَلَّوۡنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ لَبِئۡسَ مَا قَدَّمَتۡ لَهُمۡ أَنفُسُهُمۡ أَن سَخِطَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَفِي ٱلۡعَذَابِ هُمۡ خَٰلِدُونَ
un mein se bahuth se logo ko aap dekhenge ke wo kaafiro se dostiya karte hai, jo kuch unhone apne liye aage bhej rakha hai, wo bahuth bura hai ke Allah ta’ala un se naraaz hoa aur wo hamesha azaab mein rahenge
Surah Al-Maeda, Verse 80
وَلَوۡ كَانُواْ يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلنَّبِيِّ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مَا ٱتَّخَذُوهُمۡ أَوۡلِيَآءَ وَلَٰكِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ
agar unhe Allah ta’ala par aur nabi par aur jo naazil kiya gaya hai us par imaan hota to ye kuffaar se dostiya na karte, lekin un mein aksar log faasiq hai
Surah Al-Maeda, Verse 81
۞لَتَجِدَنَّ أَشَدَّ ٱلنَّاسِ عَدَٰوَةٗ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلۡيَهُودَ وَٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْۖ وَلَتَجِدَنَّ أَقۡرَبَهُم مَّوَدَّةٗ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّا نَصَٰرَىٰۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّ مِنۡهُمۡ قِسِّيسِينَ وَرُهۡبَانٗا وَأَنَّهُمۡ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ
yaqinan aap imaan waalo ka sab se zyaada dushman yahodiyo aur mushriko ko payenge, aur imaan waalo se sab se zyaada dosti ke qareeb aap yaqinan unhe payenge jo apne aap ko nasaara kehte hai, ye is liye ke un mein ulema aur ibaadath ke liye gosha nasheen afraadh paaye jaate hai, aur us wajeh se ke wo takabbur nahi karte
Surah Al-Maeda, Verse 82
وَإِذَا سَمِعُواْ مَآ أُنزِلَ إِلَى ٱلرَّسُولِ تَرَىٰٓ أَعۡيُنَهُمۡ تَفِيضُ مِنَ ٱلدَّمۡعِ مِمَّا عَرَفُواْ مِنَ ٱلۡحَقِّۖ يَقُولُونَ رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱكۡتُبۡنَا مَعَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
aur jab wo rasool ki taraf naazil karda (kalaam) ko sunte hai, to aap un ki aankhe aanso se behte hoyi dekhte hai, is sabab se ke unhone haq ko pehchaan liya, wo kehte hai ke aye hamaare rab! hum imaan le aaye, pas to hum ko bhi un logo ke saath likh le, jo tasdeeq karte hai
Surah Al-Maeda, Verse 83
وَمَا لَنَا لَا نُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَمَا جَآءَنَا مِنَ ٱلۡحَقِّ وَنَطۡمَعُ أَن يُدۡخِلَنَا رَبُّنَا مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلصَّـٰلِحِينَ
aur hamaare paas kaun sa uzr hai, ke hum Allah ta’ala par aur jo haq hum ko pahoncha hai us par imaan na laaye, aur hum baath ki ummeed rakhte hai ke hamaara rab hum ko nek logo ki rafaaqath11 mein daakhil kar dega
Surah Al-Maeda, Verse 84
فَأَثَٰبَهُمُ ٱللَّهُ بِمَا قَالُواْ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
is liye un ko Allah ta’ala, un ke us qaul ki wajeh se aise baagh dega jin ke niche nehre jaari hongi, ye un mein hamesha hamesha rahenge aur nek logo ka yahi badhla hai
Surah Al-Maeda, Verse 85
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
aur jin logo ne kufr kiya aur hamaari ayaath ko jhutlaate rahe, wo log dozakh waale hai
Surah Al-Maeda, Verse 86
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحَرِّمُواْ طَيِّبَٰتِ مَآ أَحَلَّ ٱللَّهُ لَكُمۡ وَلَا تَعۡتَدُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
aye imaan waalo! Allah ta’ala ne jo paakiza chize tumhaare waaste halaal ki hai un ko haraam math karo aur hadh se aage math niklo, be-shak Allah ta’ala hadh se nikalne waalo ko pasand nahi karta
Surah Al-Maeda, Verse 87
وَكُلُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ حَلَٰلٗا طَيِّبٗاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
aur Allah ta’ala ne jo chize tum ko di hai un mein se halaal marghoob12 chize khaao aur Allah ta’ala se daro jis par tum imaan rakhte ho
Surah Al-Maeda, Verse 88
لَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَٰنَۖ فَكَفَّـٰرَتُهُۥٓ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖۚ ذَٰلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Allah ta’ala tumhaari qasmo mein lagho qasam par tum se mu-aaqeza13 nahi farmaata, lekin mu-aaqeza us par farmaata hai, ke tum jin qasmo ko mazbooth kardo, us ka kaffaara das muhtaajo ko khaana dena hai, ausad darje ka jo apne ghar waalo ko khilaate ho ya un ko kapda dena ya ek ghulaam ya laundi ko azaad karna hai, aur jis ko maqdoor14 na ho to teen din ke roze hai, ye tumhaari qasmo ka kaffaara hai, jab ke tum qasam khaalo aur apni qasmo ka qayaal rakho! isi tarah Allah ta’ala tumhaare waaste apne ehkaam bayaan farmaata hai, ta ke tum shukr karo
Surah Al-Maeda, Verse 89
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّمَا ٱلۡخَمۡرُ وَٱلۡمَيۡسِرُ وَٱلۡأَنصَابُ وَٱلۡأَزۡلَٰمُ رِجۡسٞ مِّنۡ عَمَلِ ٱلشَّيۡطَٰنِ فَٱجۡتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
aye imaan waalo! baath yahi hai ke sharaab aur juwwa aur thaan15 aur faal nikaalne ke paanse ke teer, ye sab gandhi baatein shaitaani kaam hai, in se bil-kul alag raho ta ke tum falaah-yaab ho
Surah Al-Maeda, Verse 90
إِنَّمَا يُرِيدُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَن يُوقِعَ بَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ فِي ٱلۡخَمۡرِ وَٱلۡمَيۡسِرِ وَيَصُدَّكُمۡ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَعَنِ ٱلصَّلَوٰةِۖ فَهَلۡ أَنتُم مُّنتَهُونَ
shaitaan to yo chaahta hai ke sharaab aur juwwe ke zariye se tumhaare aapas mein adaawath aur baghz waaqe karaade aur Allah ta’ala ki yaad se aur namaaz se tum ko baaz rakhe, so ab bhi baaz aa jaao
Surah Al-Maeda, Verse 91
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَٱحۡذَرُواْۚ فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
aur tum Allah ta’ala ki ita’ath karte raho aur rasool ki ita’ath karte raho aur ehtiyaath rakho, agar eraaz karoge to ye jaan rakho ke hamaare rasool ke zimme sirf saaf saaf pahonchaana dena hai
Surah Al-Maeda, Verse 92
لَيۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جُنَاحٞ فِيمَا طَعِمُوٓاْ إِذَا مَا ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّأَحۡسَنُواْۚ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
aise logo par jo ke imaan rakhte ho aur nek kaam karte ho, us cheez mein koyi gunaah nahi jis ko wo khaate peete ho, jab ke wo log taqwa rakhte ho aur imaan rakhte ho aur nek kaam karte ho phir parhezgaari karte ho aur imaan rakhte ho phir parhezgaari karte ho aur qoob nek amal karte ho, Allah aise nekokaaro se muhabbath rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 93
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَيَبۡلُوَنَّكُمُ ٱللَّهُ بِشَيۡءٖ مِّنَ ٱلصَّيۡدِ تَنَالُهُۥٓ أَيۡدِيكُمۡ وَرِمَاحُكُمۡ لِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ مَن يَخَافُهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ فَمَنِ ٱعۡتَدَىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَلَهُۥ عَذَابٌ أَلِيمٞ
aye imaan waalo! Allah ta’ala qadre shikaar16 se tumhaara imtehaan karega, jin tak tumhaare haath aur tumhaare neze pahonch sakenge, ta ke Allah tala maloom karle ke kaun shaqs us se bin dekhte darta hai, so jo shaqs us ke baadh hadh se niklega us ke waaste dard-naak saza hai
Surah Al-Maeda, Verse 94
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡتُلُواْ ٱلصَّيۡدَ وَأَنتُمۡ حُرُمٞۚ وَمَن قَتَلَهُۥ مِنكُم مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآءٞ مِّثۡلُ مَا قَتَلَ مِنَ ٱلنَّعَمِ يَحۡكُمُ بِهِۦ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ هَدۡيَۢا بَٰلِغَ ٱلۡكَعۡبَةِ أَوۡ كَفَّـٰرَةٞ طَعَامُ مَسَٰكِينَ أَوۡ عَدۡلُ ذَٰلِكَ صِيَامٗا لِّيَذُوقَ وَبَالَ أَمۡرِهِۦۗ عَفَا ٱللَّهُ عَمَّا سَلَفَۚ وَمَنۡ عَادَ فَيَنتَقِمُ ٱللَّهُ مِنۡهُۚ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
aye imaan waalo! (wehshi) shikaar ko qatl math karo jab ke tum haalath ehraam mein ho, aur jo shaqs tum se us ko jaan bojh kar qatl karega ta us par fidya waajib hoga jo ke masaawi hoga us jaanwar ke, jis ko us ne qatl kiya hai, jis ka faisla tum mein se do mutebar shaqs karde qaah wo fidya qaas chaupaayo mein se ho, jo niyaaz ke taur par kaabe tak pahochaaya jaaye aur qaah kaffaara masaakeen ko de diya jaaye aur qaah us ke baraabar roze rakh liye jaaye ta ke apne kiye ki shaamath ka maza chake, Allah ta’ala ne guzishta ko maaf kar diya aur jo shaqs phir aisi hee harkath karega to Allah ta’ala inteqaam lega aur Allah zabardast hai inteqaam lene waala
Surah Al-Maeda, Verse 95
أُحِلَّ لَكُمۡ صَيۡدُ ٱلۡبَحۡرِ وَطَعَامُهُۥ مَتَٰعٗا لَّكُمۡ وَلِلسَّيَّارَةِۖ وَحُرِّمَ عَلَيۡكُمۡ صَيۡدُ ٱلۡبَرِّ مَا دُمۡتُمۡ حُرُمٗاۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
tumhaare liye darya ka shikaar pakadna aur us ka khaana halaal kiya gaya hai, tumhaare fayede ke waaste aur musaafiro ke waaste aur khushki ka shikaar pakadna tumhaare liye haraam kiya gaya hai, jab tak tum haalath ehraam mein raho aur Allah ta’ala se daro jis ke paas jama kiye jaoge
Surah Al-Maeda, Verse 96
۞جَعَلَ ٱللَّهُ ٱلۡكَعۡبَةَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ قِيَٰمٗا لِّلنَّاسِ وَٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَٱلۡهَدۡيَ وَٱلۡقَلَـٰٓئِدَۚ ذَٰلِكَ لِتَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَأَنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Allah ne kaabe ko, jo ke adab ka makaan hai logo ke qaayem rehne ka sabab qaraar de diya aur izzath waale mahine ko bhi aur haram mein qurbaani hone waale jaanwar ko bhi aur un jaanwaro ko bhi jin ke gale mein patthe ho, ye is liye ta ke tum us baath ka yaqeen karlo ke be-shak Allah tamaam aasmaano aur zameen ke andar ki chizo ka ilm rakhta hai aur be-shak Allah sab chizo ko qoob jaanta hai
Surah Al-Maeda, Verse 97
ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ وَأَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
tum yaqeen jaano ke Allah ta’ala saza bhi saqt dene waala hai aur Allah ta’ala badi maghfirath aur badi rehmath waala bhi hai
Surah Al-Maeda, Verse 98
مَّا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا تَكۡتُمُونَ
rasool ke zimme to sirf pahonchaana hai, aur Allah ta’ala sab jaanta hai, jo kuch tum zaaher karte ho aur jo kuch poshida rakhte ho
Surah Al-Maeda, Verse 99
قُل لَّا يَسۡتَوِي ٱلۡخَبِيثُ وَٱلطَّيِّبُ وَلَوۡ أَعۡجَبَكَ كَثۡرَةُ ٱلۡخَبِيثِۚ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
aap farma dijiye ke na-paak aur paak baraabar nahi, go aap ko napaak ki kasrath bhali lagti ho, Allah ta’ala se darte raho, aye aqal-mandho! ta ke tum kamyaab ho
Surah Al-Maeda, Verse 100
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَسۡـَٔلُواْ عَنۡ أَشۡيَآءَ إِن تُبۡدَ لَكُمۡ تَسُؤۡكُمۡ وَإِن تَسۡـَٔلُواْ عَنۡهَا حِينَ يُنَزَّلُ ٱلۡقُرۡءَانُ تُبۡدَ لَكُمۡ عَفَا ٱللَّهُ عَنۡهَاۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌ حَلِيمٞ
ae imaan waalo! aisi baatein math pucho ke agar tum par zaaher kardi jaaye to tumhe na-gawaar ho aur agar tum zamaana nuzol-e-Qur’aan mein un baatho ko puchoge to tum par zaaher kaardi jayengi, sawalaath guzishta Allah ne maaf kar diye aur Allah badi maghfirath waala bade ilm waala hai
Surah Al-Maeda, Verse 101
قَدۡ سَأَلَهَا قَوۡمٞ مِّن قَبۡلِكُمۡ ثُمَّ أَصۡبَحُواْ بِهَا كَٰفِرِينَ
aisi baatein tum se pehle aur logo ne bhi pochi thi phir un baatho ke munkir ho gaye
Surah Al-Maeda, Verse 102
مَا جَعَلَ ٱللَّهُ مِنۢ بَحِيرَةٖ وَلَا سَآئِبَةٖ وَلَا وَصِيلَةٖ وَلَا حَامٖ وَلَٰكِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۖ وَأَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ
Allah ta’ala ne, na buhaira17 ko mashro18 kiya hai aur na saayeba19 ko aur na wasila20 ko aur na haam21 ko, lekin jo log kaafir hai wo Allah ta’ala par jhot lagaata hai aur aksar kaafir aqal nahi rakhte
Surah Al-Maeda, Verse 103
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ قَالُواْ حَسۡبُنَا مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ءَابَآؤُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَهۡتَدُونَ
aur jab un se kaha jaata hai ke Allah ta’ala ne jo ehkaam naazil farmaaye hai un ki taraf aur rasool ki taraf rujo karo, to kehte hai ke hum ko wahi kaafi hai jis par hum ne apne bado ko paaya, kya agar-che in ke bade na kuch samajh rakhte ho aur na hidaayath rakhte ho
Surah Al-Maeda, Verse 104
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَيۡكُمۡ أَنفُسَكُمۡۖ لَا يَضُرُّكُم مَّن ضَلَّ إِذَا ٱهۡتَدَيۡتُمۡۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
aye imaan waalo! apni fikr karo jab tum raahe raasth par chal rahe ho, to jo shaqs gumraah rahe us se tumhaara koyi nuqsaan nahi, Allah hee ke paas tum sab ko jaana hai phir wo tum sab ko bathla dega jo kuch tum sab karte thein
Surah Al-Maeda, Verse 105
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ شَهَٰدَةُ بَيۡنِكُمۡ إِذَا حَضَرَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ حِينَ ٱلۡوَصِيَّةِ ٱثۡنَانِ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ أَوۡ ءَاخَرَانِ مِنۡ غَيۡرِكُمۡ إِنۡ أَنتُمۡ ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَأَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةُ ٱلۡمَوۡتِۚ تَحۡبِسُونَهُمَا مِنۢ بَعۡدِ ٱلصَّلَوٰةِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ لَا نَشۡتَرِي بِهِۦ ثَمَنٗا وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰ وَلَا نَكۡتُمُ شَهَٰدَةَ ٱللَّهِ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلۡأٓثِمِينَ
aye imaan waalo! tumhaare aapas mein do shaqs ka gawaah hona munaasib hai, jab ke tum mein se kisi ko mauth aane lage, aur wasiyath karne ka waqth ho, wo do shaqs aise ho, ke deendaar ho, qaah tum mein se ho, ya ghair logo mein se do shaqs ho, agar tum kahi safar mein gaye ho aur tumhe mauth aa jaaye, agar tum ko shuba ho to un duno ko baadh namaaz rok lo phir duno Allah ki qasam khaaye ke hum is qasam ke ewaz koyi nafa nahi lena chaahte agar che koyi qaraabatdaar bhi ho aur Allah tala ki baath ko hum poshida na karenge, hum us haalath mein saqth gunehgaar honge
Surah Al-Maeda, Verse 106
فَإِنۡ عُثِرَ عَلَىٰٓ أَنَّهُمَا ٱسۡتَحَقَّآ إِثۡمٗا فَـَٔاخَرَانِ يَقُومَانِ مَقَامَهُمَا مِنَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَوۡلَيَٰنِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ لَشَهَٰدَتُنَآ أَحَقُّ مِن شَهَٰدَتِهِمَا وَمَا ٱعۡتَدَيۡنَآ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
phir agar us ki ittela ho ke wo duno gawaah kisi gunaah ke murtakib hoye hai to un logo mein se jin ke muqaable mein gunaah ka irtekaab hoa tha aur do shaqs jo sab mein qareeb-tar hai jahaan wo duno khade hoye thein, ye duno khade ho phir duno Allah ki qasam khaaye ke bil-yaqeen hamaari ye qasam un duno ki us qasam se zyaada raast hai aur hum ne zara tajaawuz nahi kiya, hum us haalath mein saqt zaalim honge
Surah Al-Maeda, Verse 107
ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَن يَأۡتُواْ بِٱلشَّهَٰدَةِ عَلَىٰ وَجۡهِهَآ أَوۡ يَخَافُوٓاْ أَن تُرَدَّ أَيۡمَٰنُۢ بَعۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱسۡمَعُواْۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
ye qareeb zarya hai us amr ka ke wo log waaqe ko theek taur par zaaher kare ya us se dar jaaye ke un se qasme lene ke baadh qasme ulti pad jayengi aur Allah ta’ala se daro aur suno aur Allah ta’ala faasiq logo ko hidaayath nahi karta
Surah Al-Maeda, Verse 108
۞يَوۡمَ يَجۡمَعُ ٱللَّهُ ٱلرُّسُلَ فَيَقُولُ مَاذَآ أُجِبۡتُمۡۖ قَالُواْ لَا عِلۡمَ لَنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
jis roz Allah ta’ala tamaam paighambaro ko jama karega phir irshaad farmayega ke tum ko kya jawaab mila tha,wo arz karenge ke hum ko kuch qabar nahi, tu hee be-shak poshida baatho ko pura jaanne waala hai
Surah Al-Maeda, Verse 109
إِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱذۡكُرۡ نِعۡمَتِي عَلَيۡكَ وَعَلَىٰ وَٰلِدَتِكَ إِذۡ أَيَّدتُّكَ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِ تُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗاۖ وَإِذۡ عَلَّمۡتُكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَۖ وَإِذۡ تَخۡلُقُ مِنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ بِإِذۡنِي فَتَنفُخُ فِيهَا فَتَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِيۖ وَتُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ تُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ كَفَفۡتُ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَنكَ إِذۡ جِئۡتَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
jab ke Allah ta’ala irshaad farmayega ke aye Isa bin Maryam! mera in’aam yaad karo jo tum par aur tumhaari waaleda par hoa hai, jab main ne tum ko ruhul qudus se tayeed di, tum logo se kalaam karte thein godh mein bhi aur badi umr mein bhi aur jab ke main ne tum ko kitaab aur hikmath ki baatein aur tauraath aur injeel ki taleem di aur jab ke tum mere hukm se gaare22 se ek shakal banaate thein jaise parinde ki shakal hoti hai, phir tum us ke andar phook maar dete thein jis se wo parinda ban jaata tha mere hukm se aur tum accha kar dete thein maadar zaath andhe ko aur kodi ko mere hukm se aur jab ke tum murdo ko nikaal kar khada kar lete thein mere hukm se aur jab ke main ne bani israel ko tum se baaz rakha jab tum un ke paas dalile le kar aaye thein, phir un mein jo kaafir thein unhone kaha tha ke ba-juz khule jaadu ke ye aur kuch bhi nahi
Surah Al-Maeda, Verse 110
وَإِذۡ أَوۡحَيۡتُ إِلَى ٱلۡحَوَارِيِّـۧنَ أَنۡ ءَامِنُواْ بِي وَبِرَسُولِي قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَٱشۡهَدۡ بِأَنَّنَا مُسۡلِمُونَ
aur jab ke main ne hawaariyyeen ko hukm diya ke tum mujh par aur mere rasool par imaan laao unhone kaha ke hum imaan laaye aur aap shaahid rahiye ke hum pure farmabardaar hai
Surah Al-Maeda, Verse 111
إِذۡ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ هَلۡ يَسۡتَطِيعُ رَبُّكَ أَن يُنَزِّلَ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِۖ قَالَ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
wo waqt yaad ke qaabil hai jab ke hawaariyo ne arz kiya ke aye Isa bin Maryam! kya aap ka rab aisa kar sakta hai ke hum par asamaan se ek qwaan(dastar) naazil farmaade? aap ne farmaaya ke Allah se daro agar tum imaan waale ho
Surah Al-Maeda, Verse 112
قَالُواْ نُرِيدُ أَن نَّأۡكُلَ مِنۡهَا وَتَطۡمَئِنَّ قُلُوبُنَا وَنَعۡلَمَ أَن قَدۡ صَدَقۡتَنَا وَنَكُونَ عَلَيۡهَا مِنَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
wo bole ke hum ye chaahte hai ke us mein se khaaye aur hamaare dilo ko pura itmenaan ho jaaye aur hamaara ye yaqeen aur bad jaaye ke aap ne hum se sach bola hai aur hum gawaahi dene waalo mein se ho jaaye
Surah Al-Maeda, Verse 113
قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ ٱللَّهُمَّ رَبَّنَآ أَنزِلۡ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ تَكُونُ لَنَا عِيدٗا لِّأَوَّلِنَا وَءَاخِرِنَا وَءَايَةٗ مِّنكَۖ وَٱرۡزُقۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
Isa bin Maryam ne dua ki ke aye Allah aye hamaare parvardigaar! hum par asmaan se khaana naazil farma ke wo hamaare liye yaani hum mein jo awwal hai aur jo baadh mein hai sab ke liye ek khushi ki baath ho jaaye aur teri taraf se ek nishaani ho jaaye aur tu hum ko rizkh ata farma de aur tu sab ata karne waalo se accha hai
Surah Al-Maeda, Verse 114
قَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مُنَزِّلُهَا عَلَيۡكُمۡۖ فَمَن يَكۡفُرۡ بَعۡدُ مِنكُمۡ فَإِنِّيٓ أُعَذِّبُهُۥ عَذَابٗا لَّآ أُعَذِّبُهُۥٓ أَحَدٗا مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
haq ta’ala ne irshaad farmaaya ke main wo khaana tum logo par naazil karne waala hoon, phir jo shaqs tum mein se us ke baadh, na-haq shanaasi karega to main us ko aisi saza donga ke wo saza dunya jahaan waalo mein se kisi ko na donga
Surah Al-Maeda, Verse 115
وَإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ءَأَنتَ قُلۡتَ لِلنَّاسِ ٱتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَٰهَيۡنِ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أَقُولَ مَا لَيۡسَ لِي بِحَقٍّۚ إِن كُنتُ قُلۡتُهُۥ فَقَدۡ عَلِمۡتَهُۥۚ تَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِي وَلَآ أَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِكَۚ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
aur wo waqt bhi qaabil zikr hai jab ke Allah ta’ala farmaayega aye Isa bin Maryam kya tum ne in logo se keh diya tha ke mujh ko aur meri maa ko bhi alaawa Allah ke maboodh qaraar de lo! Isa arz karenge ke main to tujh ko munazzah23 samajhta hoon, mujh ko kisi tarah zeba na tha ke main aisi baath kehta jis ke kehne ka mujh ko koyi haq nahi, agar main ne kaha hoga to tujh ko us ka ilm hoga, tu to mere dil ke andar ki baath bhi jaanta hai aur main tere nafs mein jo kuch hai us ko nahi jaanta, tamaam ghaibo ka jaanne waala tu hee hai
Surah Al-Maeda, Verse 116
مَا قُلۡتُ لَهُمۡ إِلَّا مَآ أَمَرۡتَنِي بِهِۦٓ أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۚ وَكُنتُ عَلَيۡهِمۡ شَهِيدٗا مَّا دُمۡتُ فِيهِمۡۖ فَلَمَّا تَوَفَّيۡتَنِي كُنتَ أَنتَ ٱلرَّقِيبَ عَلَيۡهِمۡۚ وَأَنتَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
main ne to un se aur kuch nahi kaha magar sirf wahi jo tu ne mujh se kehne ko faramaaya tha ke tum Allah ki bandegi eqtiyaar karo jo mera bhi rab hai aur tumhaara bhi rab hai, main un par gawaah raha jab tak un mein raha phir jab tu ne mujh ko utha liya, to tu hee un par muttale24 raha aur tu har cheez ki puri qabar rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 117
إِن تُعَذِّبۡهُمۡ فَإِنَّهُمۡ عِبَادُكَۖ وَإِن تَغۡفِرۡ لَهُمۡ فَإِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
agar tu un ko saza de to ye tere bandhe hai aur agar tu un ko maaf farma de to tu zabardast hai hikmath waala hai
Surah Al-Maeda, Verse 118
قَالَ ٱللَّهُ هَٰذَا يَوۡمُ يَنفَعُ ٱلصَّـٰدِقِينَ صِدۡقُهُمۡۚ لَهُمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ رَّضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Allah ta’ala irshaad farmayega ke ye wo din hai ke jo log sacche thein un ka saccha hona un ke kaam ayega, un ko baagh milenge jin ke niche nehre jaari hongi jin mein wo hamesha hamesha ko rahenge, Allah ta’ala un se raazi aur khush aur ye Allah se raazi aur khush hai, ye badi (bhaari) kamyaabi hai
Surah Al-Maeda, Verse 119
لِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا فِيهِنَّۚ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرُۢ
Allah hee ki hai saltanath asmaano ki aur zameen ki aur un cheezo ki jo un mein maujoodh hai aur wo har shay par puri khudrath rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 120