Surah Al-Maeda Verse 32 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaمِنۡ أَجۡلِ ذَٰلِكَ كَتَبۡنَا عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَنَّهُۥ مَن قَتَلَ نَفۡسَۢا بِغَيۡرِ نَفۡسٍ أَوۡ فَسَادٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ ٱلنَّاسَ جَمِيعٗا وَمَنۡ أَحۡيَاهَا فَكَأَنَّمَآ أَحۡيَا ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۚ وَلَقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا بِٱلۡبَيِّنَٰتِ ثُمَّ إِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡأَرۡضِ لَمُسۡرِفُونَ
isi wajeh se hum ne bani israel par ye likh diya ke jo shaqs kisi ko baghair us ke, ke wo kisi ka qaatil ho, ya zamin mein fasad machane wala ho qatl kar dale,tuh goya us ne tamam logo ka qatl kar diya aur jo shaqs kisi ek ki jan bacha le,us ne goya tamam logo ko zinda kar diya aur un ke pas hamare bahuth se rasol zaaher dalile le kar aae,lekin phir us ke badh bhi un mein ke aksar log zamin mein zulm wa zyadati aur zabardsti karne wale hee rahe