Surah Al-Maeda Verse 2 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحِلُّواْ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ وَلَا ٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَلَا ٱلۡهَدۡيَ وَلَا ٱلۡقَلَـٰٓئِدَ وَلَآ ءَآمِّينَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّهِمۡ وَرِضۡوَٰنٗاۚ وَإِذَا حَلَلۡتُمۡ فَٱصۡطَادُواْۚ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ أَن صَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ أَن تَعۡتَدُواْۘ وَتَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَلَا تَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
ae iman walo! Allah tala ke shaayer2 ki be-hurmati na karo na adab wale mahino ki na haram mein qurbani hone wale, aur patte pehnae gae janwaro ki, jo kaba ko jare rahe ho,aur na un logo ki jo baitullah ke qasd se apne rub tala ke fazal aur us ki raza joi ki niyyath se ja rahe ho,haan jab tum ehram utar dalo tuh shikar khel sakte ho,jin logo ne tumhe masjid haraam se ruka tha un ki dushmani tumhe is bath par amada na kare ke tum hudh se guzar jao,neki aur parhezagari mein ek dosre ki imdad karte raho aur gunah aur zulm wa zyadati mein madad na karo,aur Allah tala se darte raho,be’shak Allah tala saqth saza dene wala hai