Surah Al-Maeda Verse 2 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحِلُّواْ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ وَلَا ٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَلَا ٱلۡهَدۡيَ وَلَا ٱلۡقَلَـٰٓئِدَ وَلَآ ءَآمِّينَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّهِمۡ وَرِضۡوَٰنٗاۚ وَإِذَا حَلَلۡتُمۡ فَٱصۡطَادُواْۚ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ أَن صَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ أَن تَعۡتَدُواْۘ وَتَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَلَا تَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Aey eman walo! Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai