Surah Al-Maeda Verse 3 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaحُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةُ وَٱلدَّمُ وَلَحۡمُ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦ وَٱلۡمُنۡخَنِقَةُ وَٱلۡمَوۡقُوذَةُ وَٱلۡمُتَرَدِّيَةُ وَٱلنَّطِيحَةُ وَمَآ أَكَلَ ٱلسَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّيۡتُمۡ وَمَا ذُبِحَ عَلَى ٱلنُّصُبِ وَأَن تَسۡتَقۡسِمُواْ بِٱلۡأَزۡلَٰمِۚ ذَٰلِكُمۡ فِسۡقٌۗ ٱلۡيَوۡمَ يَئِسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن دِينِكُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِۚ ٱلۡيَوۡمَ أَكۡمَلۡتُ لَكُمۡ دِينَكُمۡ وَأَتۡمَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ نِعۡمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلۡإِسۡلَٰمَ دِينٗاۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ فِي مَخۡمَصَةٍ غَيۡرَ مُتَجَانِفٖ لِّإِثۡمٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai