Surah Al-Maeda - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَوۡفُواْ بِٱلۡعُقُودِۚ أُحِلَّتۡ لَكُم بَهِيمَةُ ٱلۡأَنۡعَٰمِ إِلَّا مَا يُتۡلَىٰ عَلَيۡكُمۡ غَيۡرَ مُحِلِّي ٱلصَّيۡدِ وَأَنتُمۡ حُرُمٌۗ إِنَّ ٱللَّهَ يَحۡكُمُ مَا يُرِيدُ
Aey eman walo! Ehad-o-paymaan pooray kero tumharay liye maweshi chopaye halal kiye gaye hain ba-juz unn kay jin kay naam parh ker suna diye jayen gay magar halat-e-ehraam mein shikar ko halal jannay walay na banna yaqeenan Allah jo chahaye hukum kerta hai
Surah Al-Maeda, Verse 1
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحِلُّواْ شَعَـٰٓئِرَ ٱللَّهِ وَلَا ٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَلَا ٱلۡهَدۡيَ وَلَا ٱلۡقَلَـٰٓئِدَ وَلَآ ءَآمِّينَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ يَبۡتَغُونَ فَضۡلٗا مِّن رَّبِّهِمۡ وَرِضۡوَٰنٗاۚ وَإِذَا حَلَلۡتُمۡ فَٱصۡطَادُواْۚ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ أَن صَدُّوكُمۡ عَنِ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِ أَن تَعۡتَدُواْۘ وَتَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡبِرِّ وَٱلتَّقۡوَىٰۖ وَلَا تَعَاوَنُواْ عَلَى ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۖ إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ
Aey eman walo! Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 2
حُرِّمَتۡ عَلَيۡكُمُ ٱلۡمَيۡتَةُ وَٱلدَّمُ وَلَحۡمُ ٱلۡخِنزِيرِ وَمَآ أُهِلَّ لِغَيۡرِ ٱللَّهِ بِهِۦ وَٱلۡمُنۡخَنِقَةُ وَٱلۡمَوۡقُوذَةُ وَٱلۡمُتَرَدِّيَةُ وَٱلنَّطِيحَةُ وَمَآ أَكَلَ ٱلسَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّيۡتُمۡ وَمَا ذُبِحَ عَلَى ٱلنُّصُبِ وَأَن تَسۡتَقۡسِمُواْ بِٱلۡأَزۡلَٰمِۚ ذَٰلِكُمۡ فِسۡقٌۗ ٱلۡيَوۡمَ يَئِسَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِن دِينِكُمۡ فَلَا تَخۡشَوۡهُمۡ وَٱخۡشَوۡنِۚ ٱلۡيَوۡمَ أَكۡمَلۡتُ لَكُمۡ دِينَكُمۡ وَأَتۡمَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ نِعۡمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلۡإِسۡلَٰمَ دِينٗاۚ فَمَنِ ٱضۡطُرَّ فِي مَخۡمَصَةٍ غَيۡرَ مُتَجَانِفٖ لِّإِثۡمٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai
Surah Al-Maeda, Verse 3
يَسۡـَٔلُونَكَ مَاذَآ أُحِلَّ لَهُمۡۖ قُلۡ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُ وَمَا عَلَّمۡتُم مِّنَ ٱلۡجَوَارِحِ مُكَلِّبِينَ تُعَلِّمُونَهُنَّ مِمَّا عَلَّمَكُمُ ٱللَّهُۖ فَكُلُواْ مِمَّآ أَمۡسَكۡنَ عَلَيۡكُمۡ وَٱذۡكُرُواْ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهِۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ سَرِيعُ ٱلۡحِسَابِ
Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 4
ٱلۡيَوۡمَ أُحِلَّ لَكُمُ ٱلطَّيِّبَٰتُۖ وَطَعَامُ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ حِلّٞ لَّكُمۡ وَطَعَامُكُمۡ حِلّٞ لَّهُمۡۖ وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ وَٱلۡمُحۡصَنَٰتُ مِنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ إِذَآ ءَاتَيۡتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ مُحۡصِنِينَ غَيۡرَ مُسَٰفِحِينَ وَلَا مُتَّخِذِيٓ أَخۡدَانٖۗ وَمَن يَكۡفُرۡ بِٱلۡإِيمَٰنِ فَقَدۡ حَبِطَ عَمَلُهُۥ وَهُوَ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Kul pakeezah cheezen aaj tumharay liye halal ki gaeen aur ehal-e-kitab ka zabeeha tumharay liye halal hai aur tumhara zabeeha unn kay liye halal hai aur pak daaman musalman aurten aur jo log tum say pehlay kitab diye gaye hain unn ki pak daaman aurten bhi halal hain jabkay tum unn kay mehar ada kero iss tarah kay tum unn say ba-qaeeda nikkah kero yeh nahi kay aelaaniya zinna kero ya posheedah bad kaari kero munkireen-e-eman kay aemaal zaya aur ikaarat hain aur aakhirat mein woh haarney walon mein say hain
Surah Al-Maeda, Verse 5
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قُمۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ فَٱغۡسِلُواْ وُجُوهَكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ إِلَى ٱلۡمَرَافِقِ وَٱمۡسَحُواْ بِرُءُوسِكُمۡ وَأَرۡجُلَكُمۡ إِلَى ٱلۡكَعۡبَيۡنِۚ وَإِن كُنتُمۡ جُنُبٗا فَٱطَّهَّرُواْۚ وَإِن كُنتُم مَّرۡضَىٰٓ أَوۡ عَلَىٰ سَفَرٍ أَوۡ جَآءَ أَحَدٞ مِّنكُم مِّنَ ٱلۡغَآئِطِ أَوۡ لَٰمَسۡتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدٗا طَيِّبٗا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُم مِّنۡهُۚ مَا يُرِيدُ ٱللَّهُ لِيَجۡعَلَ عَلَيۡكُم مِّنۡ حَرَجٖ وَلَٰكِن يُرِيدُ لِيُطَهِّرَكُمۡ وَلِيُتِمَّ نِعۡمَتَهُۥ عَلَيۡكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Aey eman walo! Jab tum namaz kay liye utho to apney mun ko aur apney haathon ko kohniyon samet dho lo aur apney siron ka masah kero aur apney paon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat mein ho to ghusul kerlo haan agar tum beemar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein say koi hajat zaroori say farigh ho ker aaya ho ya tum aurton say milay ho aur tumhen pani na milay to tum pak mitti say tayammum kerlo issay apney chehron per aur haathon per mall lo Allah Taalaa tum per kissi qisam ki tangi nahi daalna chahata bulkay uss ka irada tumhen pak kerney ka aur tumhen apni bharpoor nemat denay ka hai takay tum shukar ada kertay raho
Surah Al-Maeda, Verse 6
وَٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ وَمِيثَٰقَهُ ٱلَّذِي وَاثَقَكُم بِهِۦٓ إِذۡ قُلۡتُمۡ سَمِعۡنَا وَأَطَعۡنَاۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Tum per Allah Taalaa ki jo nematen nazil hui hain unhen yaad rakho aur uss kay uss ehad ka bhi jiss ka tum say mohida hua hai jabkay tum ney kaha hum ney suna aur maana aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa dilon ki baaton ka jannay wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 7
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُواْ قَوَّـٰمِينَ لِلَّهِ شُهَدَآءَ بِٱلۡقِسۡطِۖ وَلَا يَجۡرِمَنَّكُمۡ شَنَـَٔانُ قَوۡمٍ عَلَىٰٓ أَلَّا تَعۡدِلُواْۚ ٱعۡدِلُواْ هُوَ أَقۡرَبُ لِلتَّقۡوَىٰۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرُۢ بِمَا تَعۡمَلُونَ
Aey eman walo! Tum Allah ki khatir haq per qaeem hojao raasti aur insaf kay sath gawahi denay walay bann jao kissi qom ki adawat tumhen khilaf-e-adal per aamaada na ker dey adal kiya kero jo perhezgari kay ziyada qarib hai aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeen mano kay Allah Taalaa tumharay aemaal say ba khabar hai
Surah Al-Maeda, Verse 8
وَعَدَ ٱللَّهُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٌ عَظِيمٞ
Allah Taalaa ka wada hai jo eman layen aur nek kaam keren unn kay liye wasee maghfirat aur boht bara ajar-o-sawab hai
Surah Al-Maeda, Verse 9
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Aur jin logon ney kufur kiya aur humaray ehkaam ko jhutlaya woh dozakhi hain
Surah Al-Maeda, Verse 10
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ هَمَّ قَوۡمٌ أَن يَبۡسُطُوٓاْ إِلَيۡكُمۡ أَيۡدِيَهُمۡ فَكَفَّ أَيۡدِيَهُمۡ عَنكُمۡۖ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَلۡيَتَوَكَّلِ ٱلۡمُؤۡمِنُونَ
Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya hai ussay yaad kero jabkay aik qom ney tum per dast darazi kerni chahai to Allah Taalaa ney unn kay haathon ko tum tak phonchney say rok diya aur Allah Taalaa say dartay raho aur mominon ko Allah Taalaa hi per bharosa kerna chahaiye
Surah Al-Maeda, Verse 11
۞وَلَقَدۡ أَخَذَ ٱللَّهُ مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَبَعَثۡنَا مِنۡهُمُ ٱثۡنَيۡ عَشَرَ نَقِيبٗاۖ وَقَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مَعَكُمۡۖ لَئِنۡ أَقَمۡتُمُ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتَيۡتُمُ ٱلزَّكَوٰةَ وَءَامَنتُم بِرُسُلِي وَعَزَّرۡتُمُوهُمۡ وَأَقۡرَضۡتُمُ ٱللَّهَ قَرۡضًا حَسَنٗا لَّأُكَفِّرَنَّ عَنكُمۡ سَيِّـَٔاتِكُمۡ وَلَأُدۡخِلَنَّكُمۡ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ فَمَن كَفَرَ بَعۡدَ ذَٰلِكَ مِنكُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ ٱلسَّبِيلِ
Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya
Surah Al-Maeda, Verse 12
فَبِمَا نَقۡضِهِم مِّيثَٰقَهُمۡ لَعَنَّـٰهُمۡ وَجَعَلۡنَا قُلُوبَهُمۡ قَٰسِيَةٗۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ عَن مَّوَاضِعِهِۦ وَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦۚ وَلَا تَزَالُ تَطَّلِعُ عَلَىٰ خَآئِنَةٖ مِّنۡهُمۡ إِلَّا قَلِيلٗا مِّنۡهُمۡۖ فَٱعۡفُ عَنۡهُمۡ وَٱصۡفَحۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Phir unn ki ehad shikni ki waja say hum ney unn per apni laanat nazil farma di aur unn kay dil sakht ker diye kay woh kalaam ko uss ki jagah say badal daaltay hain aur jo kuch naseehat unhen ki gaee thi uss ka boht bara hissa bhula bethay unn ki aik na aik khayanat per tujhay itlaa milti hi rahey gi haan thoray say aisay nahi bhi hain pus tu unhen moaf kerta jaa aur dar guzar kerta reh be-shak Allah Taalaa ehsan kerney walon say mohabbat kerta hai
Surah Al-Maeda, Verse 13
وَمِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّا نَصَٰرَىٰٓ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَهُمۡ فَنَسُواْ حَظّٗا مِّمَّا ذُكِّرُواْ بِهِۦ فَأَغۡرَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَاوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ وَسَوۡفَ يُنَبِّئُهُمُ ٱللَّهُ بِمَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
Aur jo apney aap ko nasrani kehtay hain hum ney unn say bhi ehad-o-paymaan liya unhon ney bhi iss ka bara hissa faramosh ker diya jo unhen naseehat ki gaee thi to hum ney bhi unn kay aapas mein bughz-o-adawat daal di jo ta-qayamat rahey gi aur jo kuch yeh kertay thay un-qarib Allah Taalaa unhen sab bata dey ga
Surah Al-Maeda, Verse 14
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ كَثِيرٗا مِّمَّا كُنتُمۡ تُخۡفُونَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَعۡفُواْ عَن كَثِيرٖۚ قَدۡ جَآءَكُم مِّنَ ٱللَّهِ نُورٞ وَكِتَٰبٞ مُّبِينٞ
Aey ehal-e-kitab! Tumhara pass humara rasool (PBUH) aa chuka hai jo tumahray samney kitab-ullah ki bakasrat aisi baaten zahir ker raha hai jinhen tum chupa rahey thay aur boht si baaton say dar guzar kerta hai tumharay pass Allah Taalaa ki taraf say noor aur wazeh kitab aa chuki hai
Surah Al-Maeda, Verse 15
يَهۡدِي بِهِ ٱللَّهُ مَنِ ٱتَّبَعَ رِضۡوَٰنَهُۥ سُبُلَ ٱلسَّلَٰمِ وَيُخۡرِجُهُم مِّنَ ٱلظُّلُمَٰتِ إِلَى ٱلنُّورِ بِإِذۡنِهِۦ وَيَهۡدِيهِمۡ إِلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Jiss kay zariye say Allah Taalaa unhen jo raza-e-rab kay darpay hon salamti ki raahen batlata hai aur apni tofiq say andheron say nikal ker noor ki taraf laata hai aur raah-e-raast ki taraf unn ki rehbari kerta hai
Surah Al-Maeda, Verse 16
لَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۚ قُلۡ فَمَن يَمۡلِكُ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔا إِنۡ أَرَادَ أَن يُهۡلِكَ ٱلۡمَسِيحَ ٱبۡنَ مَرۡيَمَ وَأُمَّهُۥ وَمَن فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗاۗ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۚ يَخۡلُقُ مَا يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 17
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ وَٱلنَّصَٰرَىٰ نَحۡنُ أَبۡنَـٰٓؤُاْ ٱللَّهِ وَأَحِبَّـٰٓؤُهُۥۚ قُلۡ فَلِمَ يُعَذِّبُكُم بِذُنُوبِكُمۖ بَلۡ أَنتُم بَشَرٞ مِّمَّنۡ خَلَقَۚ يَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُ وَيُعَذِّبُ مَن يَشَآءُۚ وَلِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا بَيۡنَهُمَاۖ وَإِلَيۡهِ ٱلۡمَصِيرُ
Yahud-o-nasaara kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf lotna hai
Surah Al-Maeda, Verse 18
يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ عَلَىٰ فَتۡرَةٖ مِّنَ ٱلرُّسُلِ أَن تَقُولُواْ مَا جَآءَنَا مِنۢ بَشِيرٖ وَلَا نَذِيرٖۖ فَقَدۡ جَآءَكُم بَشِيرٞ وَنَذِيرٞۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aey ehal-e-kitab! Bil yaqeen humara rasool tumharay pass rasoolon ki aamad kay aik waqfay kay baad aa phoncha hai. Jo tumharay liye saaf saaf biyan ker raha hai takay tumhari yeh baat na reh jaye kay humaray pass to koi bhalaee buraee sunaney wala aaya hi nahi pus abb to yaqeenan khushkhabri sunaney wala aur aagah kerney wala aa phoncha aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 19
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَةَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡ إِذۡ جَعَلَ فِيكُمۡ أَنۢبِيَآءَ وَجَعَلَكُم مُّلُوكٗا وَءَاتَىٰكُم مَّا لَمۡ يُؤۡتِ أَحَدٗا مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Aur yaad kero musa (alh-e-salam) ney apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Allah Taalaa kay uss ehsan ka zikar kero kay uss ney tum mein say payghumbar banaye aur tumhen badshah bana diya aur tumhen woh diya jo tamam aalam mein kissi ko nahi diya
Surah Al-Maeda, Verse 20
يَٰقَوۡمِ ٱدۡخُلُواْ ٱلۡأَرۡضَ ٱلۡمُقَدَّسَةَ ٱلَّتِي كَتَبَ ٱللَّهُ لَكُمۡ وَلَا تَرۡتَدُّواْ عَلَىٰٓ أَدۡبَارِكُمۡ فَتَنقَلِبُواْ خَٰسِرِينَ
Aey meri qom walo! Iss muqaddas zamin mein dakhil ho jao jo Allah Taalaa ney tumharay naam likh di hai aur apni pusht kay ball roo gardaani na kero kay phir nuksan mein jaa paro
Surah Al-Maeda, Verse 21
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّ فِيهَا قَوۡمٗا جَبَّارِينَ وَإِنَّا لَن نَّدۡخُلَهَا حَتَّىٰ يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا فَإِن يَخۡرُجُواْ مِنۡهَا فَإِنَّا دَٰخِلُونَ
Unhon ney jawab diya kay aey musa wahan to zor aawar sirkash log hain aur jab tak woh wahan say na nikal jayen hum to hergiz wahan na jayen gay haan agar woh wahan say nikal jayen phir to hum (ba khushi) chalay jayen gay
Surah Al-Maeda, Verse 22
قَالَ رَجُلَانِ مِنَ ٱلَّذِينَ يَخَافُونَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمَا ٱدۡخُلُواْ عَلَيۡهِمُ ٱلۡبَابَ فَإِذَا دَخَلۡتُمُوهُ فَإِنَّكُمۡ غَٰلِبُونَۚ وَعَلَى ٱللَّهِ فَتَوَكَّلُوٓاْ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Do shakson ney jo khuda taras logon mein say thay jin per Allah Taalaa ka fazal tha kaha kay tum unn kay pass darwazay mein to phonch jao darwazay mein qadam rakhtay hi yaqeenan tum ghalib aajao gay aur agar tum momin ho to tumhen Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahaiye
Surah Al-Maeda, Verse 23
قَالُواْ يَٰمُوسَىٰٓ إِنَّا لَن نَّدۡخُلَهَآ أَبَدٗا مَّا دَامُواْ فِيهَا فَٱذۡهَبۡ أَنتَ وَرَبُّكَ فَقَٰتِلَآ إِنَّا هَٰهُنَا قَٰعِدُونَ
Qom ney jawab diya kay aey musa! Jab tak woh wahan hain tab tak hum hergiz wahan na jayen gay iss liye tum aur tumhara perwerdigar jaa ker dono hi larr bhiro hum yahin bethay huye hain
Surah Al-Maeda, Verse 24
قَالَ رَبِّ إِنِّي لَآ أَمۡلِكُ إِلَّا نَفۡسِي وَأَخِيۖ فَٱفۡرُقۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Musa (alh-e-salam) kehney lagay elahee! Mujhay to ba-juz apney aur meray bhai kay kissi aur per koi ikhtiyar nahi pus tu hum mein aur inn na farmanon mein judaee ker dey
Surah Al-Maeda, Verse 25
قَالَ فَإِنَّهَا مُحَرَّمَةٌ عَلَيۡهِمۡۛ أَرۡبَعِينَ سَنَةٗۛ يَتِيهُونَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Irshad hua kay abb zamin inn per chalees saal tak haram ker di gaee hai yeh khana badosh idhar udhar sir gardan phirtay rahen gay iss liye tum inn fasiqon kay baray mein ghumgeen na hona
Surah Al-Maeda, Verse 26
۞وَٱتۡلُ عَلَيۡهِمۡ نَبَأَ ٱبۡنَيۡ ءَادَمَ بِٱلۡحَقِّ إِذۡ قَرَّبَا قُرۡبَانٗا فَتُقُبِّلَ مِنۡ أَحَدِهِمَا وَلَمۡ يُتَقَبَّلۡ مِنَ ٱلۡأٓخَرِ قَالَ لَأَقۡتُلَنَّكَۖ قَالَ إِنَّمَا يَتَقَبَّلُ ٱللَّهُ مِنَ ٱلۡمُتَّقِينَ
Aadam (alh-e-salam) kay dono beton ka khara khara haal bhi enhen suna do unn dono ney aik nazrana paish kiya inn mein say aik ki nazar qabool hogaee aur doosray ki maqbool na hui to woh kehney laga mein tujhay maar hi daalon ga uss ney kaha Allah Taalaa taqwa walon ka hi amal qabool kerta hai
Surah Al-Maeda, Verse 27
لَئِنۢ بَسَطتَ إِلَيَّ يَدَكَ لِتَقۡتُلَنِي مَآ أَنَا۠ بِبَاسِطٖ يَدِيَ إِلَيۡكَ لِأَقۡتُلَكَۖ إِنِّيٓ أَخَافُ ٱللَّهَ رَبَّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Go tu meray qatal kay liye dast darazi keray lekin mein teray qatal ki taraf hergiz apney haath na barhaon ga mein to Allah Taalaa perwerdigar-e-aalam say khof khata hun
Surah Al-Maeda, Verse 28
إِنِّيٓ أُرِيدُ أَن تَبُوٓأَ بِإِثۡمِي وَإِثۡمِكَ فَتَكُونَ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلنَّارِۚ وَذَٰلِكَ جَزَـٰٓؤُاْ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Mein to chahata hun kay tu mera gunah aur apney gunah apney sir rakh ley aur dozakhiyon mein shaamil hojaye zalimon ka yehi badla hai
Surah Al-Maeda, Verse 29
فَطَوَّعَتۡ لَهُۥ نَفۡسُهُۥ قَتۡلَ أَخِيهِ فَقَتَلَهُۥ فَأَصۡبَحَ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ
Pus ussay uss kay nafs nay apney bhai kay qatal per aamaada ker diya aur uss ney ussay qatal ker daala jiss say nuksan paney walon mein say hogaya
Surah Al-Maeda, Verse 30
فَبَعَثَ ٱللَّهُ غُرَابٗا يَبۡحَثُ فِي ٱلۡأَرۡضِ لِيُرِيَهُۥ كَيۡفَ يُوَٰرِي سَوۡءَةَ أَخِيهِۚ قَالَ يَٰوَيۡلَتَىٰٓ أَعَجَزۡتُ أَنۡ أَكُونَ مِثۡلَ هَٰذَا ٱلۡغُرَابِ فَأُوَٰرِيَ سَوۡءَةَ أَخِيۖ فَأَصۡبَحَ مِنَ ٱلنَّـٰدِمِينَ
Phir Allah Taalaa ney aik kawway ko bheja jo zamin khod raha tha takay ussay dikhaye kay woh kiss tarah apney bhai ki naash ko chupa dey woh kehnay laga haaye afsos! Kiya mein aisa kerney say bhi gaya guzra hogaya kay iss kawway ki tarah apney bhai ki laash ko dafna deta? Phir to (bara hi) pashemaan aur sharminda hogaya
Surah Al-Maeda, Verse 31
مِنۡ أَجۡلِ ذَٰلِكَ كَتَبۡنَا عَلَىٰ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ أَنَّهُۥ مَن قَتَلَ نَفۡسَۢا بِغَيۡرِ نَفۡسٍ أَوۡ فَسَادٖ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ ٱلنَّاسَ جَمِيعٗا وَمَنۡ أَحۡيَاهَا فَكَأَنَّمَآ أَحۡيَا ٱلنَّاسَ جَمِيعٗاۚ وَلَقَدۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا بِٱلۡبَيِّنَٰتِ ثُمَّ إِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم بَعۡدَ ذَٰلِكَ فِي ٱلۡأَرۡضِ لَمُسۡرِفُونَ
Issi waja say hum ney bani israeel per yeh likh diya kay jo shaks kissi ko baghair iss kay, kay woh kissi ka qatil ho ya zamin mein fasaad machaney wala ho qatal ker daalay to goya uss ney tamam logon ko qatal ker diya aur jo shaks kissi aik ki jaan bacha ley uss ney goya tamam logon ko zinda ker diya aur unn kay pass humara boht say rasool zahir daleelen ley ker aaye lekin phir uss kay baad bhi unn mein kay aksar log zamin mein zulm-o-ziyadti aur zabadasti kerney walay hi rahey
Surah Al-Maeda, Verse 32
إِنَّمَا جَزَـٰٓؤُاْ ٱلَّذِينَ يُحَارِبُونَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادًا أَن يُقَتَّلُوٓاْ أَوۡ يُصَلَّبُوٓاْ أَوۡ تُقَطَّعَ أَيۡدِيهِمۡ وَأَرۡجُلُهُم مِّنۡ خِلَٰفٍ أَوۡ يُنفَوۡاْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِۚ ذَٰلِكَ لَهُمۡ خِزۡيٞ فِي ٱلدُّنۡيَاۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌ
Jo Allah Taalaa say aur uss kay rasool say laren aur zamin mein fasaad kertay phiren unn ki saza yehi hai kay woh qatal ker diye jayen ya sooli charha diya jayen ya unhen jila watan ker diya jaye yeh to hui inn ki dunyawi zillat aur khuwari aur aakhirat mein inn kay liye bara bhari azab hai
Surah Al-Maeda, Verse 33
إِلَّا ٱلَّذِينَ تَابُواْ مِن قَبۡلِ أَن تَقۡدِرُواْ عَلَيۡهِمۡۖ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Haan jo log iss say pehlay tauba ker len kay tum unn per qaboo paalo to yaqeen mano kay Allah Taalaa boht bari bakhsish aur reham-o-karam wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 34
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱبۡتَغُوٓاْ إِلَيۡهِ ٱلۡوَسِيلَةَ وَجَٰهِدُواْ فِي سَبِيلِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Musalmano! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash kero aur uss ki raah mein jihad kero takay tumhara bhala ho
Surah Al-Maeda, Verse 35
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَوۡ أَنَّ لَهُم مَّا فِي ٱلۡأَرۡضِ جَمِيعٗا وَمِثۡلَهُۥ مَعَهُۥ لِيَفۡتَدُواْ بِهِۦ مِنۡ عَذَابِ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِ مَا تُقُبِّلَ مِنۡهُمۡۖ وَلَهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Yaqeen mano kay kafiron kay liye agar woh sab kuch ho jo saari zamin mein hai bulkay issay kay misil aur bhi ho aur woh iss sab ko qayamat kay din azab kay badlay fidiye mein dena chahayen to bhi na mumkin hai kay inn ka fidya qabool ker liya jaye inn kay liye to dard naak azab hi hai
Surah Al-Maeda, Verse 36
يُرِيدُونَ أَن يَخۡرُجُواْ مِنَ ٱلنَّارِ وَمَا هُم بِخَٰرِجِينَ مِنۡهَاۖ وَلَهُمۡ عَذَابٞ مُّقِيمٞ
Yeh chahayen gay kay dozakh mein say nikal jayen lekin yeh hergiz iss mein say na nikal saken gay inn kay liye to dawami azab hain
Surah Al-Maeda, Verse 37
وَٱلسَّارِقُ وَٱلسَّارِقَةُ فَٱقۡطَعُوٓاْ أَيۡدِيَهُمَا جَزَآءَۢ بِمَا كَسَبَا نَكَٰلٗا مِّنَ ٱللَّهِۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٞ
Chori kerney walay aurat aur mard kay haath kaat diya kero. Yeh badla hai uss ka jo enhon ney kiya azab Allah ki taraf say aur Allah Taalaa qooat aur hikmat wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 38
فَمَن تَابَ مِنۢ بَعۡدِ ظُلۡمِهِۦ وَأَصۡلَحَ فَإِنَّ ٱللَّهَ يَتُوبُ عَلَيۡهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٌ
Jo shaks apney gunah kay baad tauba ker ley aur islaah ker ley to Allah Taalaa rehmat kay sath uss ki taraf lot’ta hai yaqeenan Allah Taalaa moaf farmaney wala meharbani kerney wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 39
أَلَمۡ تَعۡلَمۡ أَنَّ ٱللَّهَ لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ يُعَذِّبُ مَن يَشَآءُ وَيَغۡفِرُ لِمَن يَشَآءُۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Surah Al-Maeda, Verse 40
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ لَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِ مِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَلَمۡ تُؤۡمِن قُلُوبُهُمۡۛ وَمِنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْۛ سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ سَمَّـٰعُونَ لِقَوۡمٍ ءَاخَرِينَ لَمۡ يَأۡتُوكَۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ مِنۢ بَعۡدِ مَوَاضِعِهِۦۖ يَقُولُونَ إِنۡ أُوتِيتُمۡ هَٰذَا فَخُذُوهُ وَإِن لَّمۡ تُؤۡتَوۡهُ فَٱحۡذَرُواْۚ وَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ فِتۡنَتَهُۥ فَلَن تَمۡلِكَ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يُطَهِّرَ قُلُوبَهُمۡۚ لَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Aey rasool! Aap inn logon kay peechay na kurhiye jo kufur mein sabqat ker rahey hain khuwa woh inn (munfiqon) mein say hon jo zabani to eman ka dawa kertay hain lekin haqeeqatan unn kay dil ba eman nahi aur yahundiyon mein say kuch log aisay hain jo ghalat baaten sunnay kay aadi hain aur inn logon kay jasoos hain jo abb tak aap kay pass nahi aaye woh kalmaat kay asli moqay ko chor ker enhen mutaghayyur ker diya kertay hain kehtay hain kay agar tum yehi hukum diye jao to qabool ker lena aur agar yeh hukum na diye jao to alag thalag rehna aur jiss ka kharab kerna Allah ko manzoor ho to aap uss kay liye khudaee hidayat mein kissi cheez kay mukhtaar nahi. Allah Taalaa ka irada inn kay dilon ko pak kerney ka nahi inn kay liye duniya mein bhi bari zillat aur ruswaee hai aur aakhirat mein bhi inn kay liye bari sakht saza hai
Surah Al-Maeda, Verse 41
سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ أَكَّـٰلُونَ لِلسُّحۡتِۚ فَإِن جَآءُوكَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُمۡ أَوۡ أَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡۖ وَإِن تُعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ فَلَن يَضُرُّوكَ شَيۡـٔٗاۖ وَإِنۡ حَكَمۡتَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Yeh kaan laga laga ker jhoot kay sunnay walay aur ji bhar bhar ker haram kay khaney walay hain agar yeh tumharay pass aayen to tumhen ikhtiyar hai khuwa inn kay aapas ka faisla kero khuwa inn ko taal do agar tum inn say mun bhi phero gay to bhi yeh tum ko hergiz zarar nahi phoncha saktay aur agar tum faisla kero to inn mein adal-o-insaf kay sath faisla kero yaqeenan adal walon kay sath Allah mohabbat rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 42
وَكَيۡفَ يُحَكِّمُونَكَ وَعِندَهُمُ ٱلتَّوۡرَىٰةُ فِيهَا حُكۡمُ ٱللَّهِ ثُمَّ يَتَوَلَّوۡنَ مِنۢ بَعۡدِ ذَٰلِكَۚ وَمَآ أُوْلَـٰٓئِكَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ
(tajjub ki baat hai kay) woh kaisay apney pass toraat hotay huye jiss mein ehkaam-e-elahee hain tum ko munsif banatay hain phir iss kay baad bhi phir jatay hain dar asal yeh eman-o-yaqeen walay hain hi nahi
Surah Al-Maeda, Verse 43
إِنَّآ أَنزَلۡنَا ٱلتَّوۡرَىٰةَ فِيهَا هُدٗى وَنُورٞۚ يَحۡكُمُ بِهَا ٱلنَّبِيُّونَ ٱلَّذِينَ أَسۡلَمُواْ لِلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ بِمَا ٱسۡتُحۡفِظُواْ مِن كِتَٰبِ ٱللَّهِ وَكَانُواْ عَلَيۡهِ شُهَدَآءَۚ فَلَا تَخۡشَوُاْ ٱلنَّاسَ وَٱخۡشَوۡنِ وَلَا تَشۡتَرُواْ بِـَٔايَٰتِي ثَمَنٗا قَلِيلٗاۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡكَٰفِرُونَ
Hum ney toraat nazil farmaee hai jiss mein hidayat-o-noor hai yahudiyon mein issi toraat kay sath Allah Taalaa kay mannay walay anbiya (alheem-us-salam) aur ehal-ullah aur ulama faislay kertay thay kiyon kay unhen Allah ki iss kitab ki hifazat ka hukum diya gaya tha. Aur woh iss per iqrari gawah thay abb tumhen chahaiye kay logon say na darro aur sirf mera darr rakho meri aayaton ko thoray thoray mol per na becho jo log Allah ki utari hui wahee kay sath faislay na keren woh (pooray aur pukhta) kafir hain
Surah Al-Maeda, Verse 44
وَكَتَبۡنَا عَلَيۡهِمۡ فِيهَآ أَنَّ ٱلنَّفۡسَ بِٱلنَّفۡسِ وَٱلۡعَيۡنَ بِٱلۡعَيۡنِ وَٱلۡأَنفَ بِٱلۡأَنفِ وَٱلۡأُذُنَ بِٱلۡأُذُنِ وَٱلسِّنَّ بِٱلسِّنِّ وَٱلۡجُرُوحَ قِصَاصٞۚ فَمَن تَصَدَّقَ بِهِۦ فَهُوَ كَفَّارَةٞ لَّهُۥۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّـٰلِمُونَ
Aur hum ney yahudiyon kay zimmay toraat mein yeh baat muqarrar ker di thi kay jaan kay badlay jaan aur aankh kay badlay aankh aur naak kay badlay naak aur kaan kay badlay kaan aur daant kay badlay daant aur khaas zakhmon ka bhi badla hai phri jo shaks iss ko moaf ker dey to woh iss kay liye kuffara hai aur jo log Allah kay nazil kiye huye kay mutabiq hukum na keren wohi log zalim hain
Surah Al-Maeda, Verse 45
وَقَفَّيۡنَا عَلَىٰٓ ءَاثَٰرِهِم بِعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِۖ وَءَاتَيۡنَٰهُ ٱلۡإِنجِيلَ فِيهِ هُدٗى وَنُورٞ وَمُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَهُدٗى وَمَوۡعِظَةٗ لِّلۡمُتَّقِينَ
Aur hum ney unn kay peechay essa bin marium ko bheja jo apney say pehlay ki kitab yaani toraat ki tasdeeq kerney walay thay aur hum ney unhen injeel ata farmaee jiss mein noor aur hidayat thi aur woh apney say pehlay ki kitab toraat ki tasdeeq kerti thi aur woh sira sir hidayat-o-naseehat thi paarsa logon kay liye
Surah Al-Maeda, Verse 46
وَلۡيَحۡكُمۡ أَهۡلُ ٱلۡإِنجِيلِ بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فِيهِۚ وَمَن لَّمۡ يَحۡكُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ فَأُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡفَٰسِقُونَ
Aur injeel walon ko bhi chahaiye kay Allah Taalaa ney jo kuch injeel mein nazil farmaya hai ussi kay mutabiq hukum keren aur jo Allah Taalaa kay nazil kerda say hi hukum na keren woh (bad kaar) faasiq hain
Surah Al-Maeda, Verse 47
وَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمُهَيۡمِنًا عَلَيۡهِۖ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۖ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ عَمَّا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡحَقِّۚ لِكُلّٖ جَعَلۡنَا مِنكُمۡ شِرۡعَةٗ وَمِنۡهَاجٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَعَلَكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَكُمۡ فِي مَآ ءَاتَىٰكُمۡۖ فَٱسۡتَبِقُواْ ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Aur hum ney aap ki taraf haq kay sath yeh kitab nazil farmaee hai jo apney say agli kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur inn ki mohafiz hai. Iss liye aap inn kay aapas kay moamlaat mein issi utari hui kitab kay sath hukum kijiye iss haq say hatt ker inn ki khuwaishon kay peechay na jaiye tum mein say her aik kay liye hum ney aik dastoor aur raah muqarrar ker di hai. Agar manzoor maula hota to tum sab ko aik hi ummat bana deta lekin uss ki chahat hai kay jo tumhen diya hai uss mein tumhen aazmaye tum nekiyon ki taraf jaldi kero tum sab ka rujoo Allah hi ki taraf hai phir woh tumhen her woh cheez bata dey ga jiss mein tum ikhtilaf kertay rehtay ho
Surah Al-Maeda, Verse 48
وَأَنِ ٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ وَٱحۡذَرۡهُمۡ أَن يَفۡتِنُوكَ عَنۢ بَعۡضِ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ إِلَيۡكَۖ فَإِن تَوَلَّوۡاْ فَٱعۡلَمۡ أَنَّمَا يُرِيدُ ٱللَّهُ أَن يُصِيبَهُم بِبَعۡضِ ذُنُوبِهِمۡۗ وَإِنَّ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلنَّاسِ لَفَٰسِقُونَ
Aap inn kay moamlaat mein khuda ki nazil kerda wahee kay mutabiq hi hukum kijiye inn ki khuwaishon ki tabeydaari na kijiye aur inn say hoshiyaar rahiye kay kahin yeh aap ko Allah kay utaray huye kissi hukum say idhar udhar na keren agar yeh log mun pher len to yaqeen keren kay Allah ka irada yehi hai kay enhen inn kay baaz gunahon ki saza dey hi daalay aur aksar log na farmaan hi hotay hain
Surah Al-Maeda, Verse 49
أَفَحُكۡمَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ يَبۡغُونَۚ وَمَنۡ أَحۡسَنُ مِنَ ٱللَّهِ حُكۡمٗا لِّقَوۡمٖ يُوقِنُونَ
Kiya yeh log phir say jaheeliyat kay faisla chahtay hain yaqeen rakhney walay logon kay liye Allah Taalaa say behtar faislay aur hukum kerney wala kaun ho sakta hai
Surah Al-Maeda, Verse 50
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلۡيَهُودَ وَٱلنَّصَٰرَىٰٓ أَوۡلِيَآءَۘ بَعۡضُهُمۡ أَوۡلِيَآءُ بَعۡضٖۚ وَمَن يَتَوَلَّهُم مِّنكُمۡ فَإِنَّهُۥ مِنۡهُمۡۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Aey eman walo! Tum yahud-o-nasaara ko dost na banao yeh to aapas mein hi aik doosray kay dost hain. Tum mein say jo bhi inn mein say kissi say dosti keray woh be-shak enhi mein say hai zalimon ko Allah Taalaa hergiz raah-e-raast nahi dikhata
Surah Al-Maeda, Verse 51
فَتَرَى ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يُسَٰرِعُونَ فِيهِمۡ يَقُولُونَ نَخۡشَىٰٓ أَن تُصِيبَنَا دَآئِرَةٞۚ فَعَسَى ٱللَّهُ أَن يَأۡتِيَ بِٱلۡفَتۡحِ أَوۡ أَمۡرٖ مِّنۡ عِندِهِۦ فَيُصۡبِحُواْ عَلَىٰ مَآ أَسَرُّواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ نَٰدِمِينَ
Aap dekhen gay jin kay dilon mein beemari hai woh dor dor ker inn mein ghuss rahey hain aur kehtay hain kay humen khatra hai aisa na ho kay koi haadsa hum per parr jaye boht mumkin hai kay Allah Taalaa fatah dey dey. Ya apney pass say koi aur cheez laye phir to yeh apney dilon mein chupaee hui baaton per (bey tarah) naadim honey lagen gay
Surah Al-Maeda, Verse 52
وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَهَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ إِنَّهُمۡ لَمَعَكُمۡۚ حَبِطَتۡ أَعۡمَٰلُهُمۡ فَأَصۡبَحُواْ خَٰسِرِينَ
Aur eman walay kahen gay kiya yehi woh log hain jo baray mubalighay say Allah ki qasmen kha kha ker kehtay hain kay hum tumharay sath hain. Inn kay aemaal ghaarat huye aur yeh na kaam hogaye
Surah Al-Maeda, Verse 53
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَن يَرۡتَدَّ مِنكُمۡ عَن دِينِهِۦ فَسَوۡفَ يَأۡتِي ٱللَّهُ بِقَوۡمٖ يُحِبُّهُمۡ وَيُحِبُّونَهُۥٓ أَذِلَّةٍ عَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَعِزَّةٍ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ يُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ وَلَا يَخَافُونَ لَوۡمَةَ لَآئِمٖۚ ذَٰلِكَ فَضۡلُ ٱللَّهِ يُؤۡتِيهِ مَن يَشَآءُۚ وَٱللَّهُ وَٰسِعٌ عَلِيمٌ
Aey eman walo! Tum mein say jo shaks apney deen say phir jaye to Allah Taalaa boht jald aisi qom ko laye ga jo Allah ki mehboob hogi aur woh bhi Allah say mohabbat rakhti hogi woh naram dil hongay musalmanon per aur sakht aur tez hongay kuffaar per Allah ki raah mein jihad keren gay aur kissi malamat kerney walay ki malamat ki perwah bhi na keren gay yeh hai Allah Taalaa ka fazal jissay chahaye dey Allah Taalaa bari wusat wala aur zabardast ilm wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 54
إِنَّمَا وَلِيُّكُمُ ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلَّذِينَ يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُونَ ٱلزَّكَوٰةَ وَهُمۡ رَٰكِعُونَ
(musalmano)! Tumhara dosat khud Allah hai aur uss ka rasool hai aur eman walay hain jo namazon ki pabandi kertay hain aur zakat ada kertay hain aur woh rukoo (khushoo-o-khuzoo) kerney walay hain
Surah Al-Maeda, Verse 55
وَمَن يَتَوَلَّ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ فَإِنَّ حِزۡبَ ٱللَّهِ هُمُ ٱلۡغَٰلِبُونَ
Aur jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay rasool say aur musalmanon say dosti keray woh yaqeen manay kay Allah Taalaa ki jamat hi ghalib rahey gi
Surah Al-Maeda, Verse 56
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَتَّخِذُواْ ٱلَّذِينَ ٱتَّخَذُواْ دِينَكُمۡ هُزُوٗا وَلَعِبٗا مِّنَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ مِن قَبۡلِكُمۡ وَٱلۡكُفَّارَ أَوۡلِيَآءَۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Musalmano! Unn logon ko dost na banao jo tumharay deen ko hansi khel banaye huye hain (khuwa) woh unn mein say hon jo tum say pehlay kitab diye gaye ya kuffaar hon agar tum momin hoto Allah Taalaa say dartay raho
Surah Al-Maeda, Verse 57
وَإِذَا نَادَيۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ ٱتَّخَذُوهَا هُزُوٗا وَلَعِبٗاۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمۡ قَوۡمٞ لَّا يَعۡقِلُونَ
Aur jab tum namaz kay liye pukartay ho wo woh issay hansi khel thehra letay hain. Yeh iss wastay kay bey aqal hain
Surah Al-Maeda, Verse 58
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ هَلۡ تَنقِمُونَ مِنَّآ إِلَّآ أَنۡ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡنَا وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبۡلُ وَأَنَّ أَكۡثَرَكُمۡ فَٰسِقُونَ
Aap keh dijiye kay aey yahudiyon aur nasraniyo! Tum hum say sirf iss waja say dusmaniyan ker rahey ho kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch humari janib nazil kiya gaya hai aur jo kuch iss say pehlay utara gaya hai uss per eman laye hain aur iss liye bhi kay tum mein aksar faasiq hain
Surah Al-Maeda, Verse 59
قُلۡ هَلۡ أُنَبِّئُكُم بِشَرّٖ مِّن ذَٰلِكَ مَثُوبَةً عِندَ ٱللَّهِۚ مَن لَّعَنَهُ ٱللَّهُ وَغَضِبَ عَلَيۡهِ وَجَعَلَ مِنۡهُمُ ٱلۡقِرَدَةَ وَٱلۡخَنَازِيرَ وَعَبَدَ ٱلطَّـٰغُوتَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضَلُّ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
Keh dijiye kay kiya mein tumehn bataon? Kay iss say bhi ziyada bura ajar paaney wala Allah kay nazdeek kaun hai? Woh jiss per Allah Taalaa ney laanat ki aur uss per woh ghussa hua aur unn mein say baaz ko bandar aur sooar bana diya aur jinhon ney maboodaan-e-baatil ki parastish ki yehi log bad tar darjay walay hain aur yehi raah-e-raast say boht ziyada bhatakney walay hain
Surah Al-Maeda, Verse 60
وَإِذَا جَآءُوكُمۡ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَقَد دَّخَلُواْ بِٱلۡكُفۡرِ وَهُمۡ قَدۡ خَرَجُواْ بِهِۦۚ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا كَانُواْ يَكۡتُمُونَ
Aur jab tumharay pass aatay hain to kehtay hain kay hum eman laye halankay woh kufur liye huye hi aaye thay aur iss kufur kay sath hi gaye bhi aur yeh jo kuch chupa rahey hain ussay Allah khoob janta hai
Surah Al-Maeda, Verse 61
وَتَرَىٰ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡإِثۡمِ وَٱلۡعُدۡوَٰنِ وَأَكۡلِهِمُ ٱلسُّحۡتَۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aap dekhen gay kay inn mein say aksar gunah kay kaamon ki taraf aur zulm-o-ziyadti ki taraf aur maal haram khaney ki taraf lapak rahey hain jo kuch yeh ker rahey hain woh nihayat buray kaam hain
Surah Al-Maeda, Verse 62
لَوۡلَا يَنۡهَىٰهُمُ ٱلرَّبَّـٰنِيُّونَ وَٱلۡأَحۡبَارُ عَن قَوۡلِهِمُ ٱلۡإِثۡمَ وَأَكۡلِهِمُ ٱلسُّحۡتَۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَصۡنَعُونَ
Enhen inn kay abid-o-aalim jhoot baaton kay kehney aur haram cheezon kay khaney say kiyon nahi roktay be-shak bura kaam hai jo yeh ker rahey hain
Surah Al-Maeda, Verse 63
وَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ يَدُ ٱللَّهِ مَغۡلُولَةٌۚ غُلَّتۡ أَيۡدِيهِمۡ وَلُعِنُواْ بِمَا قَالُواْۘ بَلۡ يَدَاهُ مَبۡسُوطَتَانِ يُنفِقُ كَيۡفَ يَشَآءُۚ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۚ وَأَلۡقَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ كُلَّمَآ أَوۡقَدُواْ نَارٗا لِّلۡحَرۡبِ أَطۡفَأَهَا ٱللَّهُۚ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادٗاۚ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Aur yahudiyon ney kaha Allah Taalaa kay haath bandhay huye hain aur inn kay iss qol ki waja say inn per laanat ki gaee bulkay Allah Taalaa kay dono haath khulay huye hain. Jiss tarah chahata hai kharach kerta hai aur jo kuch teri taraf teray rab ki janib say utara jata hai woh inn mein say aksar ko to sirkashi aur kufur mein barha deta hai aur hum ney inn mein aapas mein hi qayamat tak kay liye adawat aur bughz daal diya hai aur jab kabhi laraee ki aag ko bharkana chahatay hain to Allah Taalaa ussay bujha deta hai yeh mulk bhar mein shar-o-fasaad machatay phirtay hain aur Allah Taalaa fasaadiyon say mohabbat nahi kerta
Surah Al-Maeda, Verse 64
وَلَوۡ أَنَّ أَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ ءَامَنُواْ وَٱتَّقَوۡاْ لَكَفَّرۡنَا عَنۡهُمۡ سَيِّـَٔاتِهِمۡ وَلَأَدۡخَلۡنَٰهُمۡ جَنَّـٰتِ ٱلنَّعِيمِ
Aur agar yeh ehal-e-kitab eman latay aur taqwa ikhtiyar kertay to hum inn ki tamam burayian moaf farma detay aur zaroor enhen rahat-o-aaram ki jannaton mein ley jatay
Surah Al-Maeda, Verse 65
وَلَوۡ أَنَّهُمۡ أَقَامُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِم مِّن رَّبِّهِمۡ لَأَكَلُواْ مِن فَوۡقِهِمۡ وَمِن تَحۡتِ أَرۡجُلِهِمۚ مِّنۡهُمۡ أُمَّةٞ مُّقۡتَصِدَةٞۖ وَكَثِيرٞ مِّنۡهُمۡ سَآءَ مَا يَعۡمَلُونَ
Aur agar yeh log toraat aur injeel aur inn ki janib jo kuch Allah Taalaa ki taraf say nazil farmaya gaya hai inn kay pooray paband rehtay to yeh log apney upper say aur neechay say roziyan patay aur khatay aik jamat to inn mein say darmiyana ravish ki hai baqi inn mein say boht say logon kay buray aemaal hain
Surah Al-Maeda, Verse 66
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ بَلِّغۡ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۖ وَإِن لَّمۡ تَفۡعَلۡ فَمَا بَلَّغۡتَ رِسَالَتَهُۥۚ وَٱللَّهُ يَعۡصِمُكَ مِنَ ٱلنَّاسِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aey rasool jo kuch bhi aap ki taraf aap kay rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ney Allah ki risalat ada nahi kiaur aap ko Allah Taalaa logon say bacha ley ga be-shak Allah Taalaa kafir logon ko hidayat nahi deta
Surah Al-Maeda, Verse 67
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَسۡتُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍ حَتَّىٰ تُقِيمُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡۗ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۖ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab! Tum dar asal kissi cheez per nahi jab tak kay toraat aur injeel ko aur jo kuch tumhari taraf tumharay rab ki taraf say utara gaya hai qaeem na kerojo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say utra hai woh inn mein say bohton ko shararat aur inkaar mein aur bhi barhaye ga hi to aap inn kafiron per ghumgeen na hon
Surah Al-Maeda, Verse 68
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَٱلَّذِينَ هَادُواْ وَٱلصَّـٰبِـُٔونَ وَٱلنَّصَٰرَىٰ مَنۡ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡأٓخِرِ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ
Musalman yahudi sitara parast aur nasrani koi ho jo bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray woh mehaz bey khof rahey ga aur bilkul bey ghum hojaye ga
Surah Al-Maeda, Verse 69
لَقَدۡ أَخَذۡنَا مِيثَٰقَ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ وَأَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمۡ رُسُلٗاۖ كُلَّمَا جَآءَهُمۡ رَسُولُۢ بِمَا لَا تَهۡوَىٰٓ أَنفُسُهُمۡ فَرِيقٗا كَذَّبُواْ وَفَرِيقٗا يَقۡتُلُونَ
Hum ney bil yaqeen bano israeel say ehad-o-paymaan liya aur unn ki taraf rasoolon ko bheja jab kabhi rasool unn kay pass woh ehkaam ley ker aaye jo unn ki apni mansha kay khilaf thay to unhon ney unn ki jamat ki takzeeb ki aur aik jamat ko qatal ker diya
Surah Al-Maeda, Verse 70
وَحَسِبُوٓاْ أَلَّا تَكُونَ فِتۡنَةٞ فَعَمُواْ وَصَمُّواْ ثُمَّ تَابَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ ثُمَّ عَمُواْ وَصَمُّواْ كَثِيرٞ مِّنۡهُمۡۚ وَٱللَّهُ بَصِيرُۢ بِمَا يَعۡمَلُونَ
Aur yeh samajh bethay kay koi pakar na hogi pus andhay behray bann bethay phir Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool ki iss kay baad bhi unn mein say aksar andhay behray hogaye. Allah Taalaa unn kay aemaal ko ba-khoobi dekhney wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 71
لَقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۖ وَقَالَ ٱلۡمَسِيحُ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۖ إِنَّهُۥ مَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ ٱلۡجَنَّةَ وَمَأۡوَىٰهُ ٱلنَّارُۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٖ
Be-shak woh log kafir hogaye jin ka qol hai kay maseeh ibn-e-marium hi Allah hain halankay khud maseeh ney unn say kaha tha aey bani israeel! Allah hi ki ibadat kero jo mera aur tumhara sab ka rab hai yaqeen mano kay jo shaks Allah kay sath shareek kerta hai Allah Taalaa ney uss per jannat haram ker di hai uss ka thikana jahannum hi hai aur gunehgaron ki madad kerney wala koi nahi hoga
Surah Al-Maeda, Verse 72
لَّقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ ثَالِثُ ثَلَٰثَةٖۘ وَمَا مِنۡ إِلَٰهٍ إِلَّآ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞۚ وَإِن لَّمۡ يَنتَهُواْ عَمَّا يَقُولُونَ لَيَمَسَّنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ عَذَابٌ أَلِيمٌ
Woh log bhi qatan kafir hogaye jinhon ney kaha Allah teen mein ka teesra hai dar asal so Allah Taalaa key koi mabood nahi. Agar yeh log apney iss qol say baaz na rahey to inn mein say jo kufur per rahen gay unhen alam naak azab zarror phonchay ga
Surah Al-Maeda, Verse 73
أَفَلَا يَتُوبُونَ إِلَى ٱللَّهِ وَيَسۡتَغۡفِرُونَهُۥۚ وَٱللَّهُ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Yeh log kiyon Allah Taalaa ki taraf nahi jhuktay aur kiyon istaghfar nahi kertay? Allah Taalaa boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hai
Surah Al-Maeda, Verse 74
مَّا ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَ إِلَّا رَسُولٞ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِهِ ٱلرُّسُلُ وَأُمُّهُۥ صِدِّيقَةٞۖ كَانَا يَأۡكُلَانِ ٱلطَّعَامَۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُبَيِّنُ لَهُمُ ٱلۡأٓيَٰتِ ثُمَّ ٱنظُرۡ أَنَّىٰ يُؤۡفَكُونَ
Maseeh ibn-e-marium siwa payghumbar honey kay aur kuch bhi nahi uss say pehlay bhi boht say payghumbar ho chukay hain unn ki walida aik raast baaz aurat thi dono maa betay khana khaya kertay thay aap dekhiye kay kiss tarah hum inn kay samney daleelen rakhtay hain phir ghor kijiye kay kiss tarah woh phiray jatay hain
Surah Al-Maeda, Verse 75
قُلۡ أَتَعۡبُدُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ مَا لَا يَمۡلِكُ لَكُمۡ ضَرّٗا وَلَا نَفۡعٗاۚ وَٱللَّهُ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلۡعَلِيمُ
Aap keh dijiye kay kiya tum Allah kay siwa unn ki ibadat kertay ho jo na tumharay kiss nuksan kay maalik hain na kissi nafay kay Allah hi khoob sunnay aur poori tarah jannay wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 76
قُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَا تَغۡلُواْ فِي دِينِكُمۡ غَيۡرَ ٱلۡحَقِّ وَلَا تَتَّبِعُوٓاْ أَهۡوَآءَ قَوۡمٖ قَدۡ ضَلُّواْ مِن قَبۡلُ وَأَضَلُّواْ كَثِيرٗا وَضَلُّواْ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
Keh dijiye aey ehal-e-kitab! Apney deen mein na haq ghuloov aur ziyadti na kero aur unn logon ki nafsani khuwaishon perwi na kero jo pehlay say behak chukay hain aur bohton ko behka bhi chukay hain aur seedhi raah say hatt gaye hain
Surah Al-Maeda, Verse 77
لُعِنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۢ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَلَىٰ لِسَانِ دَاوُۥدَ وَعِيسَى ٱبۡنِ مَرۡيَمَۚ ذَٰلِكَ بِمَا عَصَواْ وَّكَانُواْ يَعۡتَدُونَ
Bani israeek kay kafiron per (hazrat) dawood (alh-e-salam) aur (hazrat) essa bin marium (alh-e-salam)ki zabani laanat ki gaee iss waja say kay woh na farmaniyan kertay thay aur hadd say aagay barh jatay thay
Surah Al-Maeda, Verse 78
كَانُواْ لَا يَتَنَاهَوۡنَ عَن مُّنكَرٖ فَعَلُوهُۚ لَبِئۡسَ مَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
Aapas mein aik doosray ko buray kaamon say jo woh kertay thay roktay na thay jo kuch bhi yeh kertay thay yaqeenan woh boht hi bura tha
Surah Al-Maeda, Verse 79
تَرَىٰ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ يَتَوَلَّوۡنَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۚ لَبِئۡسَ مَا قَدَّمَتۡ لَهُمۡ أَنفُسُهُمۡ أَن سَخِطَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِمۡ وَفِي ٱلۡعَذَابِ هُمۡ خَٰلِدُونَ
Inn mein say boht say logon ko aap dekhen gay kay woh kafiron say dostiyan kertay hain jo kuch enhon ney apney liye aagay bhej rakha hai woh boht bura hai kay Allah Taalaa inn say naraz hua aur woh hamesha jahannum mein rahen gay
Surah Al-Maeda, Verse 80
وَلَوۡ كَانُواْ يُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَٱلنَّبِيِّ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡهِ مَا ٱتَّخَذُوهُمۡ أَوۡلِيَآءَ وَلَٰكِنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُمۡ فَٰسِقُونَ
Agar enhen Allah Taalaa per aur nabi per aur jo nazil kiya gaya hai uss per eman hota to yeh kuffaar say dostiyan na kertay lekin inn mein kay aksar log faasiq hain
Surah Al-Maeda, Verse 81
۞لَتَجِدَنَّ أَشَدَّ ٱلنَّاسِ عَدَٰوَةٗ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلۡيَهُودَ وَٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْۖ وَلَتَجِدَنَّ أَقۡرَبَهُم مَّوَدَّةٗ لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّا نَصَٰرَىٰۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّ مِنۡهُمۡ قِسِّيسِينَ وَرُهۡبَانٗا وَأَنَّهُمۡ لَا يَسۡتَكۡبِرُونَ
Yaqeenan aap eman walon ka sab say ziyada dushman yahudiyon aur mushrikon ko payen gay aur eman walon say sab say ziyada dosti kay qareeb aap yaqeenan unhen payen gay jo apney aap ko nasaara kehtay hain yeh iss liye kay inn mein ulama aur ibadat kay liye gosha nasheen afraad paye jatay hain aur iss waja say kay woh takabbur nahi kertay
Surah Al-Maeda, Verse 82
وَإِذَا سَمِعُواْ مَآ أُنزِلَ إِلَى ٱلرَّسُولِ تَرَىٰٓ أَعۡيُنَهُمۡ تَفِيضُ مِنَ ٱلدَّمۡعِ مِمَّا عَرَفُواْ مِنَ ٱلۡحَقِّۖ يَقُولُونَ رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱكۡتُبۡنَا مَعَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
Aur jab woh rasool ki taraf nazil kerda (kalaam) ko suntay hain to aap unn ki aankhen aansoo say behti hui dekhtay hain iss sabab say kay enhon ney haq pehchan liya woh kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman ley aaye pus tu hum ko bhi unn logon kay sath likh ley jo tasdeeq kertay hain
Surah Al-Maeda, Verse 83
وَمَا لَنَا لَا نُؤۡمِنُ بِٱللَّهِ وَمَا جَآءَنَا مِنَ ٱلۡحَقِّ وَنَطۡمَعُ أَن يُدۡخِلَنَا رَبُّنَا مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلصَّـٰلِحِينَ
Aur humaray pass konsa uzur hai kay hum Allah Taalaa per aur jo haq hum ko phoncha hai uss per eman na layen aur hum iss baat ki umeed rakhtay hain kay humara rab hum ko nek logon ki rafaqat mein dakhil ker dey ga
Surah Al-Maeda, Verse 84
فَأَثَٰبَهُمُ ٱللَّهُ بِمَا قَالُواْ جَنَّـٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَاۚ وَذَٰلِكَ جَزَآءُ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Iss liye inn ko Allah Taalaa inn kay iss qol ki waja say aisay baagh dey ga jin kay neechay nehren jari hongi yeh inn mein hamesha hamesha rahen gay aur nek logon ka yehi badla hai
Surah Al-Maeda, Verse 85
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ وَكَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَآ أُوْلَـٰٓئِكَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡجَحِيمِ
Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaat ko jhutlatay rahey woh log dozakh walay hain
Surah Al-Maeda, Verse 86
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تُحَرِّمُواْ طَيِّبَٰتِ مَآ أَحَلَّ ٱللَّهُ لَكُمۡ وَلَا تَعۡتَدُوٓاْۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُعۡتَدِينَ
Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo pakeezah cheezen tumharay wastay halal ki hain unn ko haram mat kero aur hadd say aagay mat niklo be-shak Allah Taalaa hadd say nikalney walon ko pasan nahi kerta
Surah Al-Maeda, Verse 87
وَكُلُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ حَلَٰلٗا طَيِّبٗاۚ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ أَنتُم بِهِۦ مُؤۡمِنُونَ
Aur Allah Taalaa ney jo cheezen tum ko di hain unn mein say halal marghoob cheezen khao aur Allah Taalaa say daro jiss per tum eman rakhtay ho
Surah Al-Maeda, Verse 88
لَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِيٓ أَيۡمَٰنِكُمۡ وَلَٰكِن يُؤَاخِذُكُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَٰنَۖ فَكَفَّـٰرَتُهُۥٓ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٖۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَٰثَةِ أَيَّامٖۚ ذَٰلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَٰنَكُمۡۚ كَذَٰلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Allah Taalaa tumhari qasmon mein laghv qasam per tum say moaakhiza nahi farmata lekin moaakhiza uss per farmata hai kay tum jin qasmon ko mazboot ker do. Iss ka kaffaara das mohtajon kko khana dena hai osat darjay ka jo apney ghar walon ko khilatay ho ya unn ko kapra dena ya aik ghulam ya londi aazad kerna hai aur jiss ko maqdoor na ho to teen din kay rozay hain yeh tumhari qasmon ka kaffaara hai jabkay tum qasam kha lo aur apni qasmon ka khayal rakho1 issi tarah Allah Taalaa tumharay wastay apney ehkaam biyan farmata hai takay tum shukar kero
Surah Al-Maeda, Verse 89
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِنَّمَا ٱلۡخَمۡرُ وَٱلۡمَيۡسِرُ وَٱلۡأَنصَابُ وَٱلۡأَزۡلَٰمُ رِجۡسٞ مِّنۡ عَمَلِ ٱلشَّيۡطَٰنِ فَٱجۡتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aey eman walo! Baat yehi hai kay sharab aur juaa aur thaan aur faal nikalney ka paansay kay teer yeh sab gandi baaten shetani kaam hain inn say bilkul alag raho takay tum falah yaab ho
Surah Al-Maeda, Verse 90
إِنَّمَا يُرِيدُ ٱلشَّيۡطَٰنُ أَن يُوقِعَ بَيۡنَكُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ فِي ٱلۡخَمۡرِ وَٱلۡمَيۡسِرِ وَيَصُدَّكُمۡ عَن ذِكۡرِ ٱللَّهِ وَعَنِ ٱلصَّلَوٰةِۖ فَهَلۡ أَنتُم مُّنتَهُونَ
Shetan to yun chahata hai kay sharab aur juaey kay zariye say tumharay aapas mein adawat aur bughz waqey kera dey aur Allah Taalaa ki yaad say aur namaz say tum ko baaz rakhay so abb bhi baaz aajao
Surah Al-Maeda, Verse 91
وَأَطِيعُواْ ٱللَّهَ وَأَطِيعُواْ ٱلرَّسُولَ وَٱحۡذَرُواْۚ فَإِن تَوَلَّيۡتُمۡ فَٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Aur tum Allah Taalaa ki ita’at kertay raho aur rasool ki ita’at kertay raho aur ehtiyaat rakho. Agar aeyraaz kero gay to yeh jaan rakho kay humaray rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai
Surah Al-Maeda, Verse 92
لَيۡسَ عَلَى ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ جُنَاحٞ فِيمَا طَعِمُوٓاْ إِذَا مَا ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّءَامَنُواْ ثُمَّ ٱتَّقَواْ وَّأَحۡسَنُواْۚ وَٱللَّهُ يُحِبُّ ٱلۡمُحۡسِنِينَ
Aisay logon per jo kay eman rakhtay hon aur nek kaam kertay hon iss cheez mein koi gunah nahi jiss ko woh khatay peetay hon jabkay woh log taqwa rakhtay hon aur eman rakhtay hon aur nek kaam kertay hon phir perhezgari kertay hon aur khoob nek amal kertay hon Allah aisay neko kaaron say mohabbat rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 93
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَيَبۡلُوَنَّكُمُ ٱللَّهُ بِشَيۡءٖ مِّنَ ٱلصَّيۡدِ تَنَالُهُۥٓ أَيۡدِيكُمۡ وَرِمَاحُكُمۡ لِيَعۡلَمَ ٱللَّهُ مَن يَخَافُهُۥ بِٱلۡغَيۡبِۚ فَمَنِ ٱعۡتَدَىٰ بَعۡدَ ذَٰلِكَ فَلَهُۥ عَذَابٌ أَلِيمٞ
Aey eman walo! Allah Taalaa qadray shikar say tumhara imtehan keray ga jin tak tumharay haath aur tumharay naizay phonch saken gay takay Allah Taalaa maloom ker ley kay kaun shaks iss say binn dekhay darta hai so jo shaks iss kay baad hadd say niklay ga uss kay wastay dard naak saza hai
Surah Al-Maeda, Verse 94
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَقۡتُلُواْ ٱلصَّيۡدَ وَأَنتُمۡ حُرُمٞۚ وَمَن قَتَلَهُۥ مِنكُم مُّتَعَمِّدٗا فَجَزَآءٞ مِّثۡلُ مَا قَتَلَ مِنَ ٱلنَّعَمِ يَحۡكُمُ بِهِۦ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ هَدۡيَۢا بَٰلِغَ ٱلۡكَعۡبَةِ أَوۡ كَفَّـٰرَةٞ طَعَامُ مَسَٰكِينَ أَوۡ عَدۡلُ ذَٰلِكَ صِيَامٗا لِّيَذُوقَ وَبَالَ أَمۡرِهِۦۗ عَفَا ٱللَّهُ عَمَّا سَلَفَۚ وَمَنۡ عَادَ فَيَنتَقِمُ ٱللَّهُ مِنۡهُۚ وَٱللَّهُ عَزِيزٞ ذُو ٱنتِقَامٍ
Aey eman walo! (wehshi) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala
Surah Al-Maeda, Verse 95
أُحِلَّ لَكُمۡ صَيۡدُ ٱلۡبَحۡرِ وَطَعَامُهُۥ مَتَٰعٗا لَّكُمۡ وَلِلسَّيَّارَةِۖ وَحُرِّمَ عَلَيۡكُمۡ صَيۡدُ ٱلۡبَرِّ مَا دُمۡتُمۡ حُرُمٗاۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ ٱلَّذِيٓ إِلَيۡهِ تُحۡشَرُونَ
Tumharay liye dariya ka shikar pakrna aur iss ka khana halal kiya gaya hai. Tumharay faeeday kay wastay aur musafiron kay wastay aur khushki ka shikar pakarna tumharay liye haram kiya gaya hai jab tak tum halat-e-ehraam mein raho aur Allah Taalaa say daro jiss kay pass jama kiye jao gay
Surah Al-Maeda, Verse 96
۞جَعَلَ ٱللَّهُ ٱلۡكَعۡبَةَ ٱلۡبَيۡتَ ٱلۡحَرَامَ قِيَٰمٗا لِّلنَّاسِ وَٱلشَّهۡرَ ٱلۡحَرَامَ وَٱلۡهَدۡيَ وَٱلۡقَلَـٰٓئِدَۚ ذَٰلِكَ لِتَعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ يَعۡلَمُ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَأَنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٌ
Allah ney kaaba ko jo kay adab ka makan hai logon kay qaeem rehney ka sabab qarar dey diya aur izzat walay maheeney ko bhi aur haram mein qurbani honey walay janwar ko bhi aur unn janwaron ko bhi jin kay galay mein pattay hon yeh iss liye takay tum iss baat ka yaqeen ker lo kay be-shak Allah tamam aasmanon aur zamin kay andar ki cheezon ka ilm rakhta hai aur be-shak Allah sab cheezon ko khoob janta hai
Surah Al-Maeda, Verse 97
ٱعۡلَمُوٓاْ أَنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلۡعِقَابِ وَأَنَّ ٱللَّهَ غَفُورٞ رَّحِيمٞ
Tum yaqeen jano kay Allah Taalaa saza bhi sakht denay wala hai aur Allah Taalaa bari maghfirat aur bari rehmat wala bhi hai
Surah Al-Maeda, Verse 98
مَّا عَلَى ٱلرَّسُولِ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُۗ وَٱللَّهُ يَعۡلَمُ مَا تُبۡدُونَ وَمَا تَكۡتُمُونَ
Rasool kay zimmay to sirf phonchana hai. Aur Allah Taalaa sab janta hai jo kuch tum zahir kertay ho aur jo kuch tum posheedah rakhtay ho
Surah Al-Maeda, Verse 99
قُل لَّا يَسۡتَوِي ٱلۡخَبِيثُ وَٱلطَّيِّبُ وَلَوۡ أَعۡجَبَكَ كَثۡرَةُ ٱلۡخَبِيثِۚ فَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ يَـٰٓأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aap farma dijiye kay na pak aur pak barabar nahi go aap ko na pak ki kasrat bhali lagti ho Allah Taalaa say dartay raho aey aqal mando! Takay tum kaamyaab ho
Surah Al-Maeda, Verse 100
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَسۡـَٔلُواْ عَنۡ أَشۡيَآءَ إِن تُبۡدَ لَكُمۡ تَسُؤۡكُمۡ وَإِن تَسۡـَٔلُواْ عَنۡهَا حِينَ يُنَزَّلُ ٱلۡقُرۡءَانُ تُبۡدَ لَكُمۡ عَفَا ٱللَّهُ عَنۡهَاۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌ حَلِيمٞ
Aey eman walo!aisi baaten mat poocho kay kay agar tum per zahir ker di jayen to tumhen na gawar ho aur agar tum zamaanaay-e-nuzool-e-quran mein inn baaton ko poocho gay to tum per zahir ker di jayen gi sawalaat-e-guzishta Allah ney moaf ker diye aur Allah bari maghfirat wala bara hilm wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 101
قَدۡ سَأَلَهَا قَوۡمٞ مِّن قَبۡلِكُمۡ ثُمَّ أَصۡبَحُواْ بِهَا كَٰفِرِينَ
Aisi baaten tum say pehlay aur logon ney bhi poochi thin phir inn baaton kay munkir hogaye
Surah Al-Maeda, Verse 102
مَا جَعَلَ ٱللَّهُ مِنۢ بَحِيرَةٖ وَلَا سَآئِبَةٖ وَلَا وَصِيلَةٖ وَلَا حَامٖ وَلَٰكِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يَفۡتَرُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَۖ وَأَكۡثَرُهُمۡ لَا يَعۡقِلُونَ
Allah Taalaa ney na bahiyyra ko mashroo kiya hai aur na saaeeba ko na waseela ko aur na haam ko lekin jo log kafir hain woh Allah Taalaa per jhoot lagatay hain aur kasay kafir aqal nahi rakhtay
Surah Al-Maeda, Verse 103
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ قَالُواْ حَسۡبُنَا مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ءَابَآؤُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَهۡتَدُونَ
Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ney jo ehkaam nazil farmay hain unn ki taraf aur rasool ki taraf rujoo kero to kehtay hain hum ko wohi kafi hai jiss per hum ney apney baron ko paya kiya agar cheh inn kay baray na kuch samajh rakhtay hon aur na hidayat rakhtay hon
Surah Al-Maeda, Verse 104
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَيۡكُمۡ أَنفُسَكُمۡۖ لَا يَضُرُّكُم مَّن ضَلَّ إِذَا ٱهۡتَدَيۡتُمۡۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aey eman walo! Apni fiker kero jab tum raah-e-raast per chal rahey ho to jo shaks gumrah rahey uss say tumahara koi nuksan nahi. Allah hi kay pass tum sab ko jana hai phir woh tum sab ko batla dey ga jo kuch tum sab kertay thay
Surah Al-Maeda, Verse 105
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ شَهَٰدَةُ بَيۡنِكُمۡ إِذَا حَضَرَ أَحَدَكُمُ ٱلۡمَوۡتُ حِينَ ٱلۡوَصِيَّةِ ٱثۡنَانِ ذَوَا عَدۡلٖ مِّنكُمۡ أَوۡ ءَاخَرَانِ مِنۡ غَيۡرِكُمۡ إِنۡ أَنتُمۡ ضَرَبۡتُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَأَصَٰبَتۡكُم مُّصِيبَةُ ٱلۡمَوۡتِۚ تَحۡبِسُونَهُمَا مِنۢ بَعۡدِ ٱلصَّلَوٰةِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ إِنِ ٱرۡتَبۡتُمۡ لَا نَشۡتَرِي بِهِۦ ثَمَنٗا وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰ وَلَا نَكۡتُمُ شَهَٰدَةَ ٱللَّهِ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلۡأٓثِمِينَ
Aey eman walo! Tumharay aapas mein do shaks ka gawah hona munasib hai jabkay tum mein say kissi ko maut aaney lagay aur waseeat kerney ka waqt ho woh do shaks aisay hon kay deen daar hon khuwa tum mein say hon ya ghair logon mein say do shaks hon agar tum kahin safar mein gaye ho aur tumhen maut aajaye agar tum ko shuba hoto inn dono ko baad namaz rok lo phir dono Allah ki qasmen khayen kay hum iss qasam kay ewaz koi nafa nahi lena chahatayagar cheh koi qarabat daar bhi ho aur Allah Taalaa ki baat ko hum posheedah keren gay hum iss halat mein sakht gunehgar hongay
Surah Al-Maeda, Verse 106
فَإِنۡ عُثِرَ عَلَىٰٓ أَنَّهُمَا ٱسۡتَحَقَّآ إِثۡمٗا فَـَٔاخَرَانِ يَقُومَانِ مَقَامَهُمَا مِنَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَحَقَّ عَلَيۡهِمُ ٱلۡأَوۡلَيَٰنِ فَيُقۡسِمَانِ بِٱللَّهِ لَشَهَٰدَتُنَآ أَحَقُّ مِن شَهَٰدَتِهِمَا وَمَا ٱعۡتَدَيۡنَآ إِنَّآ إِذٗا لَّمِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Phir gar iss ki itlaa ho kay woh dono gawah kissi gunah kay murtakib huye hain to inn logon mein say jin kay muqablay mein gunah ka irtakaab hua tha woh do shaks jo sab mein qareeb tar hain jahan woh dono kharay huye thay yeh dono kharay hon phir dono Allah ki qasam khayen kay bil yaqeen humari yeh qasam inn dono ki uss qasam say ziyada raast hai aur hum ney zara tajawuz nahi kiya hum iss halat mein sakht zalim hongay
Surah Al-Maeda, Verse 107
ذَٰلِكَ أَدۡنَىٰٓ أَن يَأۡتُواْ بِٱلشَّهَٰدَةِ عَلَىٰ وَجۡهِهَآ أَوۡ يَخَافُوٓاْ أَن تُرَدَّ أَيۡمَٰنُۢ بَعۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡۗ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱسۡمَعُواْۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Yeh qareeb zariya hai iss amar ka kay woh log waqiya ko theek tor per zahir keren ya iss baat say darr jayen kay inn say qasmen lenay kay baad qasmen ulti parr jayen gi aur Allah Taalaa say daro aur suno! Aur Allah Taalaa faasiq logon ko hidayat nahi kerta
Surah Al-Maeda, Verse 108
۞يَوۡمَ يَجۡمَعُ ٱللَّهُ ٱلرُّسُلَ فَيَقُولُ مَاذَآ أُجِبۡتُمۡۖ قَالُواْ لَا عِلۡمَ لَنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Jiss roz Allah Taalaa tamam payghumbaron ko jama keray ga phir irshad farmaye ga tum ko kiya jawab mila tha woh arz keren gay kay hum ko kuch khabar nahi tu hi be-shak posheedah baaton ko poora jannay wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 109
إِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ٱذۡكُرۡ نِعۡمَتِي عَلَيۡكَ وَعَلَىٰ وَٰلِدَتِكَ إِذۡ أَيَّدتُّكَ بِرُوحِ ٱلۡقُدُسِ تُكَلِّمُ ٱلنَّاسَ فِي ٱلۡمَهۡدِ وَكَهۡلٗاۖ وَإِذۡ عَلَّمۡتُكَ ٱلۡكِتَٰبَ وَٱلۡحِكۡمَةَ وَٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَۖ وَإِذۡ تَخۡلُقُ مِنَ ٱلطِّينِ كَهَيۡـَٔةِ ٱلطَّيۡرِ بِإِذۡنِي فَتَنفُخُ فِيهَا فَتَكُونُ طَيۡرَۢا بِإِذۡنِيۖ وَتُبۡرِئُ ٱلۡأَكۡمَهَ وَٱلۡأَبۡرَصَ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ تُخۡرِجُ ٱلۡمَوۡتَىٰ بِإِذۡنِيۖ وَإِذۡ كَفَفۡتُ بَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ عَنكَ إِذۡ جِئۡتَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ فَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi
Surah Al-Maeda, Verse 110
وَإِذۡ أَوۡحَيۡتُ إِلَى ٱلۡحَوَارِيِّـۧنَ أَنۡ ءَامِنُواْ بِي وَبِرَسُولِي قَالُوٓاْ ءَامَنَّا وَٱشۡهَدۡ بِأَنَّنَا مُسۡلِمُونَ
Aur jabkay mein ney hawareen ko hukum diya kay tum mujh per aur meray rasool per eman laao unhon ney kaha hum eman laye aur aap shahid rahiye kay hum pooray farman bardaar hain
Surah Al-Maeda, Verse 111
إِذۡ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ هَلۡ يَسۡتَطِيعُ رَبُّكَ أَن يُنَزِّلَ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِۖ قَالَ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ إِن كُنتُم مُّؤۡمِنِينَ
Woh waqt yaad kay qabil hai jab kay hawariyon ney arz kiya kay essa bin marium! Kiya aap ka rab aisa ker sakta hai kay hum per aasman say aik khuwaan nazil farma dey? Aap ney farmaya Allah say daro agar tum eman laye ho
Surah Al-Maeda, Verse 112
قَالُواْ نُرِيدُ أَن نَّأۡكُلَ مِنۡهَا وَتَطۡمَئِنَّ قُلُوبُنَا وَنَعۡلَمَ أَن قَدۡ صَدَقۡتَنَا وَنَكُونَ عَلَيۡهَا مِنَ ٱلشَّـٰهِدِينَ
Woh bolay kay hum yeh chahatay hain kay uss mein say khayen aur humaray dilon ko poora itminaan hojaye aur humaray yeh yaqeen aur barh jaye kay aap ney hum say sach bola hai aur hum gawahi denay walon mein say hojayen
Surah Al-Maeda, Verse 113
قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ ٱللَّهُمَّ رَبَّنَآ أَنزِلۡ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ تَكُونُ لَنَا عِيدٗا لِّأَوَّلِنَا وَءَاخِرِنَا وَءَايَةٗ مِّنكَۖ وَٱرۡزُقۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney walon say acha hai
Surah Al-Maeda, Verse 114
قَالَ ٱللَّهُ إِنِّي مُنَزِّلُهَا عَلَيۡكُمۡۖ فَمَن يَكۡفُرۡ بَعۡدُ مِنكُمۡ فَإِنِّيٓ أُعَذِّبُهُۥ عَذَابٗا لَّآ أُعَذِّبُهُۥٓ أَحَدٗا مِّنَ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Haq Taalaa ney irshad farmaya kay mein woh khana tum logon per nazil kerney wala hun phir jo shaks tum mein say iss kay baad na haq shanasi keray ga to mein uss ko aisi saza doon ga kay woh saza duniya jahaan walon mein say kissi ko na doon ga
Surah Al-Maeda, Verse 115
وَإِذۡ قَالَ ٱللَّهُ يَٰعِيسَى ٱبۡنَ مَرۡيَمَ ءَأَنتَ قُلۡتَ لِلنَّاسِ ٱتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَٰهَيۡنِ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ مَا يَكُونُ لِيٓ أَنۡ أَقُولَ مَا لَيۡسَ لِي بِحَقٍّۚ إِن كُنتُ قُلۡتُهُۥ فَقَدۡ عَلِمۡتَهُۥۚ تَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِي وَلَآ أَعۡلَمُ مَا فِي نَفۡسِكَۚ إِنَّكَ أَنتَ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai
Surah Al-Maeda, Verse 116
مَا قُلۡتُ لَهُمۡ إِلَّا مَآ أَمَرۡتَنِي بِهِۦٓ أَنِ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۚ وَكُنتُ عَلَيۡهِمۡ شَهِيدٗا مَّا دُمۡتُ فِيهِمۡۖ فَلَمَّا تَوَفَّيۡتَنِي كُنتَ أَنتَ ٱلرَّقِيبَ عَلَيۡهِمۡۚ وَأَنتَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Mein ney to inn say aur kuch nahi kaha magar sirf wohi jo tu ney mujh say kehney ko farmaya tha kay tum Allah ki bandagi ikhtiyar kero jo mera bhi rab hai aur tumhara bhi rab hai. Mein inn per gawah raah jab tak inn mein raah. Phir jab tu ney mujh ko utha liya to tu hi inn per mutlaa raha. Aur tu her cheez ki poori khabar rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 117
إِن تُعَذِّبۡهُمۡ فَإِنَّهُمۡ عِبَادُكَۖ وَإِن تَغۡفِرۡ لَهُمۡ فَإِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Agar tu inn ko saza dey to yeh teray banday hain aur agar tu inn ko moaf farma dey to tu zabardast hai hikmat wala hai
Surah Al-Maeda, Verse 118
قَالَ ٱللَّهُ هَٰذَا يَوۡمُ يَنفَعُ ٱلصَّـٰدِقِينَ صِدۡقُهُمۡۚ لَهُمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ رَّضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ
Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin kay neechay nehren jari hongi jin mein woh hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi aur khush hain yeh bari (bhaari) kamyaabi hai
Surah Al-Maeda, Verse 119
لِلَّهِ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ وَمَا فِيهِنَّۚ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرُۢ
Allah hi ki hai saltanat aasmanon ki aur zamin ki aur unn cheezon ki jo inn mein mojood hain aur woh her sheh per poori qudrat rakhta hai
Surah Al-Maeda, Verse 120