Surah Al-Maeda Verse 42 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Maedaسَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ أَكَّـٰلُونَ لِلسُّحۡتِۚ فَإِن جَآءُوكَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُمۡ أَوۡ أَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡۖ وَإِن تُعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ فَلَن يَضُرُّوكَ شَيۡـٔٗاۖ وَإِنۡ حَكَمۡتَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Yeh kaan laga laga ker jhoot kay sunnay walay aur ji bhar bhar ker haram kay khaney walay hain agar yeh tumharay pass aayen to tumhen ikhtiyar hai khuwa inn kay aapas ka faisla kero khuwa inn ko taal do agar tum inn say mun bhi phero gay to bhi yeh tum ko hergiz zarar nahi phoncha saktay aur agar tum faisla kero to inn mein adal-o-insaf kay sath faisla kero yaqeenan adal walon kay sath Allah mohabbat rakhta hai