Surah Al-Maeda Verse 42 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaسَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ أَكَّـٰلُونَ لِلسُّحۡتِۚ فَإِن جَآءُوكَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُمۡ أَوۡ أَعۡرِضۡ عَنۡهُمۡۖ وَإِن تُعۡرِضۡ عَنۡهُمۡ فَلَن يَضُرُّوكَ شَيۡـٔٗاۖ وَإِنۡ حَكَمۡتَ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِٱلۡقِسۡطِۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلۡمُقۡسِطِينَ
Yeh jhoot sunne waley aur haram ke maal khane waley hain, lihaza agar yeh tumhare paas (apne muqaddamaat lekar) aayein to tumhein ikhtiyar diya jata hai ke chaho inka faisla karo warna inkar kardo. Inkar kardo to yeh tumhara kuch bigaad nahin sakte, aur faisla karo to phir theek theek insaf ke saath karo ke Allah insaf karne walon ko pasand karta hai