Surah Al-Maeda Verse 41 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maeda۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ لَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِ مِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَلَمۡ تُؤۡمِن قُلُوبُهُمۡۛ وَمِنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْۛ سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ سَمَّـٰعُونَ لِقَوۡمٍ ءَاخَرِينَ لَمۡ يَأۡتُوكَۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ مِنۢ بَعۡدِ مَوَاضِعِهِۦۖ يَقُولُونَ إِنۡ أُوتِيتُمۡ هَٰذَا فَخُذُوهُ وَإِن لَّمۡ تُؤۡتَوۡهُ فَٱحۡذَرُواْۚ وَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ فِتۡنَتَهُۥ فَلَن تَمۡلِكَ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يُطَهِّرَ قُلُوبَهُمۡۚ لَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٞ
Aey paigambar! Tumhare liye baais-e-ranjh (grieve) na hon woh log jo kufr ki raah mein badi teiz gaami dikha rahey hain khwa woh unmein se hon jo mooh se kehte hain hum iman laye magar dil unke iman nahin laye , ya unmein se hon jo yahudi ban gaye hain, jinka haal yeh hai ke jhoot ke liye kaan lagate hain, aur dusre logon ki khatir jo tumhare paas kabhi nahin aaye, sun gun lete phirte hain, kitab-Allah ke alfaz ko unka saheeh mahal mutayin honay ke bawajood asal maani se pherte hain. Aur logon se kehte hain ke agar tumhein yeh hukum diya jaye to maano nahin to na maano, jisey Allah hi ne fitne mein daalne ka irada karliya ho to usko Allah ki giraft se bachane keliye tum kuch nahin kar sakte. Yeh woh log hain jinke dilon ko Allah ne paak karna na chaha. Inke liye duniya mein ruswayi hai aur aakhirat mein sakht saza