Surah Al-Maeda Verse 41 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Maeda۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ لَا يَحۡزُنكَ ٱلَّذِينَ يُسَٰرِعُونَ فِي ٱلۡكُفۡرِ مِنَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَلَمۡ تُؤۡمِن قُلُوبُهُمۡۛ وَمِنَ ٱلَّذِينَ هَادُواْۛ سَمَّـٰعُونَ لِلۡكَذِبِ سَمَّـٰعُونَ لِقَوۡمٍ ءَاخَرِينَ لَمۡ يَأۡتُوكَۖ يُحَرِّفُونَ ٱلۡكَلِمَ مِنۢ بَعۡدِ مَوَاضِعِهِۦۖ يَقُولُونَ إِنۡ أُوتِيتُمۡ هَٰذَا فَخُذُوهُ وَإِن لَّمۡ تُؤۡتَوۡهُ فَٱحۡذَرُواْۚ وَمَن يُرِدِ ٱللَّهُ فِتۡنَتَهُۥ فَلَن تَمۡلِكَ لَهُۥ مِنَ ٱللَّهِ شَيۡـًٔاۚ أُوْلَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ لَمۡ يُرِدِ ٱللَّهُ أَن يُطَهِّرَ قُلُوبَهُمۡۚ لَهُمۡ فِي ٱلدُّنۡيَا خِزۡيٞۖ وَلَهُمۡ فِي ٱلۡأٓخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٞ
ae rasol! aap un logo ke piche na khadiye, jo kufr mein sabqath kar rahe hai,qaah wo un (munafiqo) mein se ho, jo zabani tuh iman ka dawa karte hai lekin haqiqatan un ke dil ba-imaan nahi, aur yahodiyo mein se kuch log aise hai jo ghalath batein sunne ke aadi hai aur un logo ke jasoos hai jo ab tak aap ke pas nahi aae,wo kalmath ke asli mauqe ko chod kar unhe muta-ghayyar6 kar diya karte hai,kehte hai ke agar tum yahi hukm diye jao tuh qubol kar lena aur agar ye hukm na diye jao tuh alag thalag rehna, aur jis ka qaraab karna Allah ko manzor ho tuh aap us ke liye khudaayi hidaayath mein se kisi chiz ke muqtar nahi,Allah tala ka irada un ke dilo ko pak karne ka nahi,un ke liye dunya mein bhi badi zillath aur roswai hai aur aqirath mein bhi un ke liye badi saqth saza hai